Kis tarah ka pyar karta hai

by Pooja on December 18, 2008, 10:34:35 PM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 22
ReplyPrint
Author  (Read 17572 times)
Pooja
Guest
«Reply #75 on: December 26, 2008, 12:34:12 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause

bahoot khoob Pank ji, kamal ka likhte hai app...
Dead Heart ji apne bhi bahoot acha sath diyan hai Pank ji ka .. good wok both!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khuda Khud Pyar karta.... by Aryaan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 7 8 »
Mujhse bhi koi Pyar karta hai........... by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
HUMSE KOI PYAR NHI KARTA by amarhellboy in Share: Poetry of Pain
ab main nhi karta tumse pyar by likemaddy in Other Languages
Is tarah bhi koi judaa Karta..........( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #76 on: December 26, 2008, 12:52:26 AM »
Reply with quote
Shukriya Pooja ji
MR. DH Nice Reply Thanx
Shukriya Soniya ji
Shukriya Smardiya Ji
Poojaji sorry ham kal nahi the yahan pe kuch prob. thi
Aapke liye reply bhi soch liya hai ,
Shayad dil se hi likha hai tongue3
I hope Pasanad aayega, Afterall Bewaafayi ka iljam jo dhona hai nachiz ko tongue3

Aap kya jano bewafi ka ilzaam kya hota hai,
Dekar ilzamo ka gunah mujhko aapka dil kitne sukun se sota hai...

Har lamhe me mera dil tadapta hai,
Har sans me dil rota hai...

Khwaboo ko aapke todne ke liye kab talak mere khwab mujhe saza denge,
Dekhte hai kab aapki rusvayi ka gam meri aankho ko bhigota hai...

Har dhadkan ke aakhir me maut dekhi maine,
Har raste me aapkii ummid me chlata hun thaharta hun...

Rukna nahi tha naam jis rishte ka,
Aaj usi rishte ki buniyad ke liye gam ki galiyo se gujarta hun...

~Pank~

In labzo ko likhte huye mujhe kaisa laga ye batana mushkil hai

In lafzo ko parr kar, is dil per kaya gujari hai, yah chah kar bhi nahi likh paugi main.. App insaani zajbaato ko bahoot ache se samjh kar likhte hai wo kabile tarif hai Pank ji..last ki char line pata nahi kitani baar parr chuki hu  aor un palo main jee chuki hu... bahoot khoob... sahi kaha apne... bahoot dil se likhi hai apne.. aor parrane wale ke dil ko cheer kr, wahi thum gai hi..
samjh nahi aa raha hai ki jawab kaha se shuru karu..

Tere seene se lipat kar sote rahe kisi bache ki tarah
tere baad in ankhon ko, naseeb wo nind kaha

kitne ansoo pi kar, juban se nikla yah bewafaai ka shabd
shayad ajj bhi tujhe mere us dard ka gumaan kaha

Royega tera dil aor tadpega bhi, ab umarbhar
mere salo ki tadap ke bawjood, ajj tu hai kaha aor main hu kaha

plat plat kar, meri rooh, deikhati rahi mere armaan tujhe
magar tere kutil deemag main, mere armaano ke liye koi jagah he thi kaha

hum to ruke rahe barso wahin per, zakham kha kha kar bhi
tum he chal diye naate torr, tab hum jaate phir kaha

Ruk chuki zindagi, toot chuka rishta ab to
ab kisi armaan ki jagah bachi hai kaha

bahoot kam hota hai ki jo main likhna chahu, wo na likh kar bas ussi ke aass pass ke arth se milta julta likh deti hu... ajj bhi yahi kiya hai.. jitna acha jawab apne likha, uske samne yah kuch nahi,,, magar jo man main hai wo na hi likhu to acha hai.. apke jawab ka intzaar rahega Pank ji...
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #77 on: December 26, 2008, 05:25:02 AM »

Poojaji Aapke words kisi bhi bewafa ko rula denge
1st 4 lines me aapne to jaan hi le li hai
Wakayi Bahoot Khubsurat aur umda likha hai aapne
Aur Jab aapne aasapas ka likha hai aur itna achha likha ,to ummid karte hai jo mann me tha usse likhati to aur bhi achha lagta,Poojaji kabhi apne jasbaato ko chipakar na likha kijiye, ye thoda sa galat hai mam...
Reply bhi sun lijiye abb...

Tere dil ki halat mujhe bhi kai dard dilati hai,
Unn dino ki yaade jab bhi yaad aati hai....

Nahi hai ab nind bhi inn aankho me,
Har lamha har ghadi mujhe teri hi yaade jagati hain...

Har ilzam tera manzoor hai is dil ko,
Bs dard hota hai soch kar, ke kyun is bewafa ko maut nahi aati hai...

Tere ilzaam shayad mujhe umr bhar ye ehsas karayenge shayad,
Ke bewafayi ki koi sehar kabhi nahi aati hai...

Mushkil hai ab safayi me ek labz bhi likhna,
Jab tere aane ki ummid reh reh kar bikhar jati hai...

Tere seene ka dard na mai samjh saka kabhi,
Aur shayad is dil ki khalish na tujhe samjh aati hai...

Hota raha jo rishta kisi umr ki tarah pakka,
Ummid na thi ki us rishte ki bhi koi aaisi subah aati hai...

Aaj bhi lagta hai shayad teri uumid meri sanso me baki hai,
Jab vo raate,vo yaade, vo baate is bewafa ke askho me muskurati hai...

~Pank~

Aaj ke aapne labzo ne bahoot Sad kar diya Pooja ji,
Hope Jo mann me tha usse bhi jarur likhengi,kyunki ham bhi apne mann ki hi likh rahe hain ...
Thanx for Nice replies...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #78 on: December 26, 2008, 05:53:16 AM »
Reply with quote
sab se pahle maafi chahti hu Pank ji, mere shabdo ne apko sad kar diya. Mera aisa koi irada nahi tha. yah subject itna senstive hai ki... chah kar bhi acha nahi likh sakti,,, kadvi suchai aor usse mila dard.. kaha se koi skoon mil sakta hai

Apka jawab wah, kaya likhu.. shabd nahi mil rahe hai, ek ek shabd ek ek line suchai ki tasveer dikhati hui.. khas kar yah lines to dil ko ander tak chu gai hai:

Tere ilzaam shayad mujhe umr bhar ye ehsas karayenge shayad,
Ke bewafayi ki koi sehar kabhi nahi aati hai...

Mushkil hai ab safayi ek labz bhi likhna,
Jab tere aane ki ummid reh reh kar bikhar jati hai...

Tere seene ka dard na mai samjh saka kabhi,
Aur shayad is dil ki khalish na tujhe samjh aati hai...

jawab agali post main likhne ki koshish karati hu
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #79 on: December 26, 2008, 06:11:03 AM »

Shukriya Poojaji
Sad hone ke liye mujhe maf kijiye
But achha to aapne likha hi hai
Uske liye aap mafi na mangiye
Hame ek jagah thoda edit kiya hai, jo likhna chahte the vo aaisa hi tha
Logged
Pooja
Guest
«Reply #80 on: December 26, 2008, 06:18:00 AM »
Reply with quote
Poojaji Aapke words kisi bhi bewafa ko rula denge
1st 4 lines me aapne to jaan hi le li hai
Wakayi Bahoot Khubsurat aur umda likha hai aapne
Aur Jab aapne aasapas ka likha hai aur itna achha likha ,to ummid karte hai jo mann me tha usse likhati to aur bhi achha lagta,Poojaji kabhi apne jasbaato ko chipakar na likha kijiye, ye thoda sa galat hai mam...
Reply bhi sun lijiye abb...

Tere dil ki halat mujhe bhi kai dard dilati hai,
Unn dino ki yaade jab bhi yaad aati hai....

Nahi hai ab nind bhi inn aankho me,
Har lamha har ghadi mujhe teri hi yaade jagati hain...

Har ilzam tera manzoor hai is dil ko,
Bs dard hota hai soch kar, ke kyun is bewafa ko maut nahi aati hai...

Tere ilzaam shayad mujhe umr bhar ye ehsas karayenge shayad,
Ke bewafayi ki koi sehar kabhi nahi aati hai...

Mushkil hai ab safayi ek labz bhi likhna,
Jab tere aane ki ummid reh reh kar bikhar jati hai...

Tere seene ka dard na mai samjh saka kabhi,
Aur shayad is dil ki khalish na tujhe samjh aati hai...

Hota raha jo rishta kisi umr ki tarah pakka,
Ummid na thi ki us rishte ki bhi koi aaisi subah aati hai...

Aaj bhi lagta hai shayad teri uumid meri sanso me baki hai,
Jab vo raate,vo yaade, vo baate is bewafa ke askho me muskurati hai...

~Pank~

Aaj ke aapne labzo ne bahoot Sad kar diya Pooja ji,
Hope Jo mann me tha usse bhi jarur likhengi,kyunki ham bhi apne mann ki hi likh rahe hain ...
Thanx for Nice replies...

aitbaar karna chahu per ab kar nahi paati
teri kisi bhi baat ka yakin kar nahi paati

hoge tum dukhi meri yaadon ko laker
ajeeb se hook uthati hai dil main,
jiska main izhaar kar nahi paati

meri dua main kahin to hogi kuch majbooti
shayad issi liye tujhe mout bhi nahi atti

bewafa hai tu, kyun mere pyar per asar nahi padta
kis liye mere sabar ki ab bhi raat nahi atti

na samjh sake tum mujhe, na meri samjh main teri bewafai aai
phir kyun juda hokar ajj teri meri rahein juda nahi ho paati

rishta toot kar bhi, toota rishta rah gaya humare bich
chaknachoor ho jitna, zakham ki kharonchein bhi utani jayada hai atti

na jaga koi umeend jis ki sanso ki koi zindagi na ho
kyun ajj bhi teri adatein, mujh per taras nahi khati

Ashaq tere per baras jaate hai ajj bhi ashaq mere
janati hu ajj bhi meri deewangi,
tera mujhse kheilne ka sabab hai ban jaati
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #81 on: December 26, 2008, 06:43:14 AM »
Reply with quote
aitbaar karna chahu per ab kar nahi paati
teri kisi bhi baat ka yakin kar nahi paati

hoge tum dukhi meri yaadon ko laker
ajeeb se hook uthati hai dil main,
jiska main izhaar kar nahi paati

meri dua main kahin to hogi kuch majbooti
shayad issi liye tujhe mout bhi nahi atti

bewafa hai tu, kyun mere pyr per asar nhi padta
kis liye mere sabar ki ab bhi raat nahi atti

na samjh sake tum mujhe, na meri samjh main teri bewafai aai
phir kyun juda hokar ajj teri meri rahein juda nahi ho paati

rishta toot kar bhi, toota rishta rah gaya humare bich
chaknachoor ho jitna, zakham ki kharonchein bhi utani jayada hai atti

na jaga koi umeend jis ki sanso ki koi zindagi na ho
kyun ajj bhi teri adatein, mujh per taras nahi khati

Ashaq tere per baras jaate hai ajj bhi ashaq mere
janati hu ajj bhi meri deewangi,
tera mujhse kheilne ka sabab hai ban jaati

Har Word ke liye aapne likha hai Poojaji
Bahoot Hi  Dil ko Chhune Wale Tikhe ilzam hain,
Iske liye bhi reply ab sun likjiye

Hame to ab aadat si ho gayi hai tere ilzamo me jeene ki,
Dard ke lamhe dekhne ki gamo ke ghunt peene ki...

Vo subaho na dekh kai dino se jisme tera naam na ho,
Aaisa aaina nahi mila tere baad jisme mera chehra badnaam na ho...

Aaj dooriyo ka gamo rago me khoon bankar bahata hai,
Kaise kahoo ke is bewafi ka kis sans me nahi rahta hai...

Lakh koshisho ke baad bhi ye gam dil me hi kyun rah gaya,
Manzar meri tanhayi ka mehfilon me bhi nahi thahrta hai,

Bewafa hun ab, par bewafa na tha kabhi is tarah,
Yaado ka dard yaad dilata hai jab sanso ka dard dil pe ubharta hai...

Kaisa ye Jakhm de diya usse, jise dil sabse jyada pyar karta hai,
Waqt to marham hai har zakhm ka, lekin mera ye zakhm bhi nahi bharta hai...

Mar kar bhi ab chain nahi aayega mujhe
Kyunki teri aankho ka ek ek askh meri rooh se gujarta hai...

~Pank~

Logged
k.shael
Guest
«Reply #82 on: December 26, 2008, 06:44:19 AM »
Reply with quote
 Applause   Applause  Applause
Bahut Khoob Pooja Didi,

& Pank Ji,

Shally.
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #83 on: December 26, 2008, 06:57:25 AM »
Reply with quote
Applause   Applause  Applause
Bahut Khoob Pooja Didi,

& Pank Ji,

Shally.
Shukriya Shallyji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #84 on: December 26, 2008, 05:25:44 PM »
Reply with quote
Har Word ke liye aapne likha hai Poojaji
Bahoot Hi  Dil ko Chhune Wale Tikhe ilzam hain,
Iske liye bhi reply ab sun likjiye

Hame to ab aadat si ho gayi hai tere ilzamo me jeene ki,
Dard ke lamhe dekhne ki gamo ke ghunt peene ki...

Vo subaho na dekh kai dino se jisme tera naam na ho,
Aaisa aaina nahi mila tere baad jisme mera chehra badnaam na ho...

Aaj dooriyo ka gamo rago me khoon bankar bahata hai,
Kaise kahoo ke is bewafi ka kis sans me nahi rahta hai...

Lakh koshisho ke baad bhi ye gam dil me hi kyun rah gaya,
Manzar meri tanhayi ka mehfilon me bhi nahi thahrta hai,

Bewafa hun ab, par bewafa na tha kabhi is tarah,
Yaado ka dard yaad dilata hai jab sanso ka dard dil pe ubharta hai...

Kaisa ye Jakhm de diya usse, jise dil sabse jyada pyar karta hai,
Waqt to marham hai har zakhm ka, lekin mera ye zakhm bhi nahi bharta hai...

Mar kar bhi ab chain nahi aayega mujhe
Kyunki teri aankho ka ek ek askh meri rooh se gujarta hai...

~Pank~

Applause Applause wah wah kaya baat hai pank ji... bahoot khoob... apki is kavita ko baar baar parra.. hamesha ki tarah dil pighla... magar dard ne phir zirah cherd di.. isi kash m kash main jo man mai aa raha hai wo he likhne ja rahi hu...

Aadat jo ho jaati tujhe, to is kadar ajj bhi mera dil dukhata na
Jise pata ho lamhe dukh ke, wo itni baat kabhi sunata na

Na kar sakega koi bhi tujhse is kadar pyar, na he sabar-e-wafa
Pachtayega pal pal, ki kash mujhe chor kart u kabhi jaata na

Lakh koshisho ke baad bhi, kisi ka bhi sung, mujhe bhula nahi sakta
Kaya thi main, teri zindagi main, yah kabhi tune jaana na

Saza mangu aor kabhi mangu dua mai tere liye rub se
Ek he roop socha mera, aor koi roop tune pehchana na

Rooh-e-dil ko zakhami kar kar, yah pyar karne ka kahna
kitne roop hai tere, yah maine ajj tak jaana na
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #85 on: December 26, 2008, 06:24:15 PM »

Very Nice Poojaji
Iss bar bhi bahoot khoob ilzam aaye hai, koshish rahegi ham jawab thik se de sake... aur kadva likhne se parhej na kare mam, dard se hi to shayari nikalti hai... tongue3

Aaj tere ilzaamo me bhi mujhe kitna sukun aaya hai...
Khush hun mai agar har ilzaam ke baad mera pyar muskuraya hai...

Meri kadavi yaado ne tujhe ek lamha bhi khush hone na diya beshaq...
Par mai kaise gavahi dun tujhe, ki un palo ke baad maine khud ko kis jahan me paya hai...

Teri aaho me meri bavafayi ki kahani har pal nazar aayi mujhe,
Tere har gamo ko maine apni zindagi me bhi chupchap appnaya hai...

Tere baad koi kya aayega iss zindagi me khushiya dene ki khatir,
Jab maine khud hi apni zindagi ko kanto ka chaman banaya hai...

Jo sanso ki jagah hoti hai dhadhkano ke liye,
Vahi jagah hai teri bhi,jab se in sanso ne ek chalne ka maqsad paya hai...

Meri saza to teri judayi ne puri kar di,
Fir kisi saza ke liye kyun khuda ke samne tumne hath failaya hai...
~~~~~
Ek hi khalish liye shayad ye jahan chhut jayega,
Tujhse ki bewafi ka manzar mujhe maut ke baad bhi shayad satayega...

Aankho me aaj bhi meri tere hi ashk hai,
Par shayad ye bhi tujhe mera koi bahana nazar aayega...
~~~~~
Ho sake to bewafayi ka ye ilzaam mere baad tum bhula dena,
Iska dard sirf mujhe ho, apne dard ko tum khushiyo ki nind sula dena...

Na de sako mujhe ek pyar bhari muskan agar fir se,
To apni khushi ke liye hi sahi, mujhe fir kisi baat pe rula dena...

~pank~

Logged
Pooja
Guest
«Reply #86 on: December 26, 2008, 06:38:06 PM »

Bahoot khoob likha pank ji... apki kavita parrte he yah do line man mai aii so ek dum se likh di!!

pathar bana kar mujhe mere armaan jagate ho
Qatil ho mere aor baar bar qatal kiye jaate ho!!

Ab apki kavita ke jawab main kuch likhne ki koshish..

mat soch mere ilzaam lagane se tere karm sulajh jayege
diya hai dard mujhe, yah karm tujhe umarbhar rulayege

hu kadvi bahot main ajj, yah main janati hu
karte hai ajj bhi tujhi se pyar, phir tere zakham kis tarah bhool payege

such hai, apna chaman tumne khud he kanto se sajaya hai
dukh yahi ki, in kanto se, hum bhi, kaha bach payege

ki hogi shayad kabhi tumne bhi, dil se, humse muhobaat
issi dhokein main, shayad ab hum jeevan jiye jayege

saato janam ek rahne ka, kabhi kiya tha wada tumne
shayad naseeb main ho, tujhse pyar agle janam,
 yah dhoka bhi khud ko diye jayege

Meri ankhon main ajj bhi ashaq hai tere naam se
Na dikhayege tujhe ab, khud he sab piye jayege

Na de sakoge, koi bhi sakoon,kisi bhi tarah se,  mujhko tum
Dard main bilkhate hue kabhi dua to kabhi shikayat hum kiye jayage
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #87 on: December 26, 2008, 06:57:15 PM »

Masha-Allah Poojaji
Har line pe Dil ko chhuaa hai aapne
Bahoot hi khubsurat ilzamat lagaye
Bahoot hi sahi saza sunayi hai
Aapki har saza manzoor hai

Reply bhi lijiye

Jab bhi tere ilzamo ke mausam aayenge,
Ham apne zamkho ko hara banayenge...

Kar lena dil ki murad puri mere askho pe khush hokar,
Jab tere har ilzam me mere ashk muskurayenge...

Aana na fir meri lash pe rone ke liye,
Jab in sanso ke raste hamesha ke liye band ho jayenge...

Ab fir jamno ke sath ki ummid na karna,
Kitne baar fir tutenge jab tujhe apne diye dard me tadapta payenge...

Na karenge kisi sans me intejar tera, tujhe gam dene ke liye,
Par tere har ilzam ko sar aankho pe liye jayenge...

Mang lo kitani bhi saazaye meri khatir khuda se ,
Ham to bas tere sukun ke liye duaa kiye jayenge...

~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #88 on: December 26, 2008, 07:43:41 PM »

Ajeeb baat hai, jitna app narm hote hai utna he ek gussa ander lave ki dehak jaat ahai... maafi chahugi agar koi shabd apko pasand na ayye mere jawab main

Na kah ise ilzaamo ka mosam, mosam to beet jaata hai
Main jee rahi hu wo zindagi, jiske dukho ka, ant na kabhi atta hai

Meri kisi murad ki kab se hone lagi chinta tujhe
Tujhe to bas ek mera zakhmo per muskurana  atta hai

Loot kar meri zindagi ke sab sukh, kar di her raah band
Shayad mujhe rota dekh, tujhe koi sakoon atta hai

Khilona samjh kar jab chaha mujhse kheil liya
Baato ka jaadu chalana, tumhe khoob atta hai

Dua tere dil se aor wo bhi mere liye
Ajj bhi kaya khoob, mere zakhmo ka majak, tumhe udana atta hai!!
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #89 on: December 26, 2008, 08:40:02 PM »

Are Hadd hai Poojaji
Ek Bewafa Insaan ko Bekasoor Hone ka haq bhi nahi hai kya
Words to bade Kadve the, But Padhne me maza aa gaya....
But Really Bahoot Achha Laga
Lijiye ab reply bhi suniye

Mujhe bewafa thehrakar jab tumhe sukoon mila,
Har iljaam me fir bhi chupchap sahta gaya....

Tere armaano ka katla maroor tha,
Par har ilzaam me mera ki khoon behta gaya...

Har ilzaam ke pehle khud bhi ek baar soch lo,
Ki kaun kitane baar kisi ko befawa kehta gaya...

Teri khushiyo ke liye mujhe bewafa hona manroor tha,
Tujhe ek baar bhi bewafa na kaha kya mera itna hi kasoor tha...

~Pank~
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 22
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:44:07 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer