Kis tarah ka pyar karta hai

by Pooja on December 18, 2008, 10:34:35 PM
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 22
ReplyPrint
Author  (Read 17381 times)
Pooja
Guest
«Reply #90 on: December 26, 2008, 09:05:17 PM »
Reply with quote
Are Hadd hai Poojaji
Ek Bewafa Insaan ko Bekasoor Hone ka haq bhi nahi hai kya
Words to bade Kadve the, But Padhne me maza aa gaya....
But Really Bahoot Achha Laga
Lijiye ab reply bhi suniye

Mujhe bewafa thehrakar jab tumhe sukoon mila,
Har iljaam me fir bhi chupchap sahta gaya....

Tere armaano ka katla maroor tha,
Par har ilzaam me mera ki khoon behta gaya...

Har ilzaam ke pehle khud bhi ek baar soch lo,
Ki kaun kitane baar kisi ko befawa kehta gaya...

Teri khushiyo ke liye mujhe bewafa hona manroor tha,
Tujhe ek baar bhi bewafa na kaha kya mera itna hi kasoor tha...

~Pank~

App he ki permission laker kuch kadve shabdo ka upyog kiya hai apni tukbandio main.. ek baar phir se mafi chahti hu un sab shabdo ke liye jo apko kadve lage.

nice reply... koshish karati hu kuch likhne ki mjawab main


Teri chupi deti gai kitne zakham, in sabka to ab hisab nahi
Chup she jao tum kuch yaha, aise to kabhi hua koi kamaal nahi

Khoon baha hai sirf teri ankhon se gussa ban kar
Kisi bhi ilzaam ne teri rooh ko kabhi chua he nahi

Her soch ho gai khatam tere zakham seh seh kar
Aor ab sochne ko kuch raha he nahi

Tha kis ka kaya kasoor, ajj bhi tum yah sawal uthate ho
Jisko wafa ne shayad kabhi chua he nahi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Khuda Khud Pyar karta.... by Aryaan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 7 8 »
Mujhse bhi koi Pyar karta hai........... by badnaam_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
HUMSE KOI PYAR NHI KARTA by amarhellboy in Share: Poetry of Pain
ab main nhi karta tumse pyar by likemaddy in Other Languages
Is tarah bhi koi judaa Karta..........( Ghayel ) by Sajid_Ghayel in Shayri-E-Dard
pankshivam
Guest
«Reply #91 on: December 27, 2008, 09:54:58 PM »
Reply with quote
App he ki permission laker kuch kadve shabdo ka upyog kiya hai apni tukbandio main.. ek baar phir se mafi chahti hu un sab shabdo ke liye jo apko kadve lage.

nice reply... koshish karati hu kuch likhne ki mjawab main


Teri chupi deti gai kitne zakham, in sabka to ab hisab nahi
Chup she jao tum kuch yaha, aise to kabhi hua koi kamaal nahi

Khoon baha hai sirf teri ankhon se gussa ban kar
Kisi bhi ilzaam ne teri rooh ko kabhi chua he nahi

Her soch ho gai khatam tere zakham seh seh kar
Aor ab sochne ko kuch raha he nahi

Tha kis ka kaya kasoor, ajj bhi tum yah sawal uthate ho
Jisko wafa ne shayad kabhi chua he nahi

Bahoot Khoob Poojaji

Meri khamoshi ko tumne bewafayi ka naam diya,
Kabhi mere jakhmo ko jakhm kaha hi nahi...

Kehti ho aaj bhi pyar hai is bewafa se,
Jo pyar kabhi dil me raha hi nahi...

Ro kar apne kis zakhm ki yaad karti ho,
Jisse kabhi gam ka aansu baha hi nahi...

Apne jasbato ki maut ka ilzam lagaya mujhpe,
Meri khwahisho ka kya...,kya maine kuch saha hi nahi...

Rota hun tere zakhmo se bahti har bund ki khatir jab,
Yaad aata hai tere ilzamo ka fasana, jisme mere liye koi duaa hi nahi...

~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #92 on: December 28, 2008, 02:22:13 AM »
Reply with quote
wah kaya jawab diya hai.. ek gane ki ek line yaad aa gai
"badi wafa se nibhai tumne, humari thori si bewafai...
aor agli line mere liye jaati hai
hazar rahein murr kar dekhi, kahin se koi sada na aai...

khair .. back to thread.. bahoot he pyar se tano ke sath apka jawab ayya hai.. koshish karti hu kuch likhne ki


teri her koshish se milta gaya ek naya zakham
kis tarah teri koshish ka hum aintraam karte

tere dil ko na chu saka kabhi pyar mera
kis tarah se, tu he bata, hum tujhse pyar karte

mere zakhmo ko samjha hota agar kabhi tumne
na ajj bhari mehfil main yah sawal karte

kabhi mujhse na kahin koi dil ki bhi baat tune
kis tarah teri khwaishon ka koi anjaam karte

kabhi ek baar bhi jo tum sochte dil se mera afsana
na phir duao ki kabhi koi tum baat karte


apki is kavita ko parr kar bahoot kuch man main aa raha tha, magar maine line by line apki kavita ka jawab likhna he sahi samjha!!
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #93 on: December 28, 2008, 02:54:29 AM »
Reply with quote
Too Good Poojaji
Reply Bhi hajir hai....


Is baat ka ilm na tha ,pyar ke liye bhi koi majboori hogi,
Jiski sanso se sanse chalti thi, use aaisi duri hogi...

"Mujhpe lagakar ilzam apne katal ka, royenge vo mere ishq ki duhayi dekar,
Har khamosh nazar dekhegi rasta unka, jab jayenge vo aaisi judayi dekar..."

Tum kya jano kab tumne is dil ko nahi chhua hai,
Rahkar bhi dur is dil se sanso ko teri vafao ka ehsas hua hai...

Tera fasana mujhe aakhiri sans tak yaad rahega,
Wafa ki ho maine kabhi agar,to mera dard tere seene me aabad rahega...

Na kiya maine kabhi koi sitam teri khushiyo ke havale,
Huaa to bas ek gam ke tune mere hisse aaskh bhi aankho me na sambhale...

Lutaa diya har ask ko mujhe bewafa kehte huye,
Do pal bhi aaitbar na kiya apne majhi pe, dubati kashti me behte huye...

Kya manzar hoga jab meri aankho ke aage mera vo sahaara dooba,
Lehro ka ruthna bhi jayaj tha jab mere aage mera kinaara dooba...

~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #94 on: December 28, 2008, 03:18:05 AM »
Reply with quote
 Applause Clapping Smiley Applause Clapping Smiley Applause Clapping Smiley

wah wah wah wah wah wah wah!! kaya baat hai, ek ek line kamal ki likhi hai apne Pank ji.. kai baar apka jawab parra.. wah bahoot khoob!! kamal ki soch hai apki aor kamal ki kalam

jis ki sanson se chalti thi tumhari sansein,
ussi ka sansein lena dushwaar kar diya
dekar mujhe dunia bhar ke ilzaam, sari dunia main badnaam kar diya

juda ho chuke hai hum, ab aor kaya judai baki hai
mere jeevanbhar ki wafa ka, kaya khoob tumne inaam de diya

ab bhi chaho jale mere seene main tera he dard umarbhar
kaya ho tum, khud he tumne yah jawab de diya

kitna sambhale koi insaan zakhmo ko aor kab tak
jan tune khud he umarbhar ki judaai ka samaan de diya

aitbar tum per kis tarah aor karte hum
jab her aitbaar ko khud tumne he chaknachoor kar diya

ek manjar dekh kar, kar baithe sawal humse
jab khud he mera her manjar tumne andhero ke naam kar diya


maafi chahti hu ki mere shabd is baar bahoot he kadve ho gaye hai.. magar kalam ko rokte rokte bhi kadvahat jhalak gai

Logged
pankshivam
Guest
«Reply #95 on: December 28, 2008, 07:43:11 AM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Poojaji Applause Applause Applause
Aapke kadbve Words pe hamara reply accept kijiye


Kaise kahe ki apni hi sanso kaun dusvar karta hai,
Ye to vo hi kar sakta hai to dard-e-Bewafayi ka ilzam dil ke aar-paar karta hai...

Mile tujhe dard,aaisi meri zindagi me vo sham na aaye,
Badnaami ki zindagi manzoor hai mujhe, par tere daman pe koi ilazam na aaye...

Rakh saku tere zakhmo pe marham mai fir se usi pyar ka,
De de aaj vo haq fir se mujhe,tere khamoshi bhare intezar ka...

Dekhna hai mujh fir se khushhiyo ka jahan teri aankho me,manzar vo khumar ka,
Keemat chahe meri zindagi hi kyun na ho, Le aaunga fir se teri khatir vahi mausam mai bahar ka...

~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #96 on: December 28, 2008, 08:14:22 AM »
Reply with quote
wah kaya baat hai Pank ji, bahoot wafa se app bewafaai ko nibha rahe hai... apki wafa dekh kar to achi se achi wafa hil jaaye... bahoot acha laga apka jawab

khud ko bewafas kah kar bhi koi wafa na tumse nibhai gai
kis liye phir itne sawal, kyun teri zindagi se tanhaai nahi gai

na rakh koi marhum mere zakhmo pere, ab mujhe khamosh rahne de
janti hu main, kabhi koi dawa tujhse mere zakhmo per lagaai nahi gai

na kar ab meri khushio ke liye kuch bhi
tujhse kabhi apni aise baat rakhwaai nahi gai
Logged
fairy2633
Guest
«Reply #97 on: December 28, 2008, 08:58:05 AM »
Reply with quote
bahut accha likha pooja ji..... Applause

abb ye suniye...
Mere zakhmo ki wajah bhi wahi hai
Mere Zakhmo ki dava bi wahi hai
Woh Namak Zakkmo par lagaye toh kya hua
Mohabbat karne ki wajah bhi wahi hai
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #98 on: December 28, 2008, 08:58:05 AM »
Reply with quote
bahoot Khoob Poojaji
Bahoot Khoob
Reply bhi dekh lijiye

Bewafao ki zindagi me wafa ek rang kaha aate hai,
Chahe bhi agar wafa karna kisi mod pe vo to Bewafa ki kahlate hain...

Hamne to ummid ki un iljaamo me bhi tumhe khushi dene ki,
Jinke dard chubhan bankar dil me dard jagate hain...

Apne kisi zakhmo ki parwah nahi thi kabhi mujhko,
Aaj bhi apne hisse ka marham kyun tere zakhmo ki khatir bachate hain...

Dekhkar gamo me tujhko rote hai tadap jate hai,
Tere gamo ke lamhe jane kyun mere askho ke sath bikhar jate hain...

Koshish ki puri is bewafa ne bhi apne ilzam dhone ki,
Par kya apni zindagi me toh bewafayi ke ilzam hi jagah paate hai.....



~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #99 on: December 28, 2008, 09:01:52 AM »
Reply with quote
bahut accha likha pooja ji..... Applause

abb ye suniye...
Mere zakhmo ki wajah bhi wahi hai
Mere Zakhmo ki dava bi wahi hai
Woh Namak Zakkmo par lagaye toh kya hua
Mohabbat karne ki wajah bhi wahi hai


wah kaya baat hai, bahoot khoob fairy ji
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #100 on: December 28, 2008, 09:03:40 AM »
Reply with quote
bahut accha likha pooja ji..... Applause

abb ye suniye...
Mere zakhmo ki wajah bhi wahi hai
Mere Zakhmo ki duva bi wahi hai
Woh Namak Zakkmo par lagaye toh kya hua
Mohabbat karne ki wajah bhi wahi hai

Bahoot khoob Fairyji

Logged
fairy2633
Guest
«Reply #101 on: December 28, 2008, 09:06:55 AM »
Reply with quote
 Thankyou !  pooja ji....pank ji....
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #102 on: December 28, 2008, 09:13:21 AM »
Reply with quote
Bahut badiya contribution from both of you Pooja Ji and Shivam Ji
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #103 on: December 28, 2008, 09:15:42 AM »
Reply with quote
Bahut badiya contribution from both of you Pooja Ji and Shivam Ji
Shukriya Rajesh ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #104 on: December 28, 2008, 09:25:07 AM »
Reply with quote
bahoot Khoob Poojaji
Bahoot Khoob
Reply bhi dekh lijiye

Bewafao ki zindagi me wafa ek rang kaha aate hai,
Chahe bhi agar wafa karna kisi mod pe vo to Bewafa ki kahlate hain...

Hamne to ummid ki un iljaamo me bhi tumhe khushi dene ki,
Jinke dard chubhan bankar dil me dard jagate hain...

Apne kisi zakhmo ki parwah nahi thi kabhi mujhko,
Aaj bhi apne hisse ka marham kyun tere zakhmo ki khatir bachate hain...

Dekhkar gamo me tujhko rote hai tadap jate hai,
Tere gamo ke lamhe jane kyun mere askho ke sath bikhar jate hain...

Koshish ki puri is bewafa ne bhi apne ilzam dhone ki,
Par kya apni zindagi me toh bewafayi ke ilzam hi jagah paate hai.....



~Pank~

man.na padega apki hajir jawabi ko Pank ji... bahoot khoob!!

sahi kaha apne, bewafa se wafa paai nahi jaati
kitna bhi sambhalein, unse kahi baat, nibhai nahi jaati

Umindon ko jaga kar, zakhamo ko de jaana
zakhmo per phir koi dawa, unse lagai nahi jaati

apni her baat per, duhaai de de ke rona
doosro ke ansoo per, koi sunwaai karwai nahi jaati

mat fafole mere zakhmo ko, dard ka lava na bhabhak jaaye
shabdo se her dard ko, sbar ki baat samjhaai nahi jaati
Logged
Pages: 1 ... 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11 ... 22
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 02:57:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer