~*~ Kismat bahaut kadki hai ~*~by Rahim

by dead heart on August 08, 2011, 04:51:54 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1621 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Kal raat doston kay saath bahar jana hua..Order dete hue, ek dost ne yunhi kehdia 'sambhal kay order dena, kismat bahaut kadki hai..' Aur maine kaha,
'Kismat main humari bahaut kadki hai,
Humare paas na paisa hai, na ladki hai..'

Bas toh socha kuch yunhi free verse likha jaye..

Kismat main humari bahaut kadki hai,
Humare paas na paisa hai na ladki hai..

Main itna najane tanha kyun hoon,
Dil main rehne se tere main mana kyun hoon,
Wafadar ghumon se hi toh sajhi hai zindagi,
Sach kehta hoon bahaut tadpi hai zindagi,
Kabhi humari ankhon main palte khwab toote,
Toh kabhi kisi ne dil main jagte armaan loote,
Wakei kismat main humari bahaut kadki hai,
Humare paas na paisa hai, na ladki hai..

Paisa dastaak dejaye toh ladki miljaegi,
Warna kisi kadke se kaun dil lagaegi,
Aj kal paisa mohobat se upar hai,
Jaise kayi logon kay liye ashiq Khuda se upar hai,
Inn duniya walon ko najane kab akal ani hai,
Sach kehta hoon, ek dinn inhe moun ki khani hai,
Wakei kismat main humari bahaut kadki hai,
Humare paas na paisa hai, na ladki hai..

Dollar shollar dikha kay apna kaam nikalwana,
Qabr main jaa kay kis ko hai paise khilwana,
Jab tak ho duniya main bas sawab kamana,
Warna baad main toh hai sirf pachtana,
Mohobat ne seekhaya mujhe ‘Khamosh’ dil na lagana,
Bewaffai pane se behtar hai tanha waqt beetana,
Waqei kismat main humari bahaut kadki hai,
Humare paas na paisa hai, na ladki hai..

Kismat main humari bahaut kadki hai,
Humare paas na paisa hai na ladki hai..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**Gunhegaar bahaut hai** by Rahim by dead heart in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
**Madadgar bahaut hai** by Rahim by dead heart in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
**Andhera bahaut hai** by Rahim by dead heart in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
**Adhura bahaut hai** by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
~Gareeb bahaut hai~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
sarfira
Guest
«Reply #1 on: August 08, 2011, 05:25:55 AM »
Reply with quote
wese to aapki post achhi hai--

lekin mujhe ye theame kuch jada pasanad nai aaya--

paisa aur ladki ko hi kimat mana gaya hai isme--

agar Majahiya shayri hai to bahut saari daad iss post ko Usual Smile
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #2 on: August 08, 2011, 09:41:21 AM »
Reply with quote
Bahut achhe... Rahim Bhai... Usual Smile Usual Smile
 Applause Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: August 08, 2011, 11:57:57 AM »
Reply with quote
wese to aapki post achhi hai--

lekin mujhe ye theame kuch jada pasanad nai aaya--

paisa aur ladki ko hi kimat mana gaya hai isme--

agar Majahiya shayri hai to bahut saari daad iss post ko Usual Smile
Teh teh dil se shukriya..
Ladki aur kadki rhyme karte hai isiliye yeh iss post ki lines hai..
Haan ek mazakiya post keh sakte hai isse..light post..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: August 08, 2011, 12:00:17 PM »
Reply with quote
Bahut achhe... Rahim Bhai... Usual Smile Usual Smile
 Applause Applause Applause Applause
Teh teh dil se shukriya Mohammad jee..
Khush rahiye..!
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #5 on: August 08, 2011, 01:08:39 PM »
Reply with quote
bahut khoob Rahim ji.
as usual aapki poetry different aur thematic hoti hai.
iss tarha likhte rahen.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #6 on: August 08, 2011, 04:07:24 PM »
Reply with quote
bht bht khoob rahim....
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: August 08, 2011, 06:16:07 PM »
Reply with quote
Rahim Sahaab Aadaab!

Janab bade dino baad aapki haazri huyi mehfil meiN..
Janab aajkal masrufiyat jyaada hai kia ?

Khair par bahut khub kalaam kahi hai aapne.. behad
achche aur umdaa khayaal bayaaN kiye hai... Usual Smile
Sachai hai ahsaas O khayaal meiN .. Usual Smile

Humari daad O mubarakbaad kabul kijiye.. Usual Smile
Likhate rahiye... Aate rahiye.. Usual Smile
Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez..... Usual Smile         

Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: August 09, 2011, 12:56:19 PM »
Reply with quote
bahut khoob Rahim ji.
as usual aapki poetry different aur thematic hoti hai.
iss tarha likhte rahen.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Apka teh teh dil se shukriya Suresh jee..
Khush rahiye.!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: August 09, 2011, 12:56:47 PM »
Reply with quote
bht bht khoob rahim....
Shukriya Priya di..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: August 09, 2011, 12:58:07 PM »
Reply with quote
Rahim Sahaab Aadaab!

Janab bade dino baad aapki haazri huyi mehfil meiN..
Janab aajkal masrufiyat jyaada hai kia ?

Khair par bahut khub kalaam kahi hai aapne.. behad
achche aur umdaa khayaal bayaaN kiye hai... Usual Smile
Sachai hai ahsaas O khayaal meiN .. Usual Smile

Humari daad O mubarakbaad kabul kijiye.. Usual Smile
Likhate rahiye... Aate rahiye.. Usual Smile
Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez..... Usual Smile         


Parwaaz jee,
Apka comment dil khush kar deta hai..
Teh dil se shukriya..
Bas aj kal likhna bahaut kam hota hai..
Masroof toh haan hai hi..
Apne waqt diya, apka shukriya..
Khush rahiye..!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: August 09, 2011, 01:12:44 PM »
Reply with quote
Bhai Rahim,Aapne Jaisa Intro diya ke doston ke saath baithe-baithe aapsi baatcheet mein aapko yeh line sujhi aur aapne iss par ek nazm hi likdi..Aisa kayi baar hota hai ke koi line itni achi lagti hai ke Dil Kehta Hai Ke Kyon Naa Kuch Likha jaaye...Light Mood Mein Likhi Yeh Nazm Dichasp Hai..

Bahut Bahut Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: August 09, 2011, 06:19:10 PM »
Reply with quote
Bhai Rahim,Aapne Jaisa Intro diya ke doston ke saath baithe-baithe aapsi baatcheet mein aapko yeh line sujhi aur aapne iss par ek nazm hi likdi..Aisa kayi baar hota hai ke koi line itni achi lagti hai ke Dil Kehta Hai Ke Kyon Naa Kuch Likha jaaye...Light Mood Mein Likhi Yeh Nazm Dichasp Hai..

Bahut Bahut Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Teh teh dil se shukriya Dost..
Haan yeh line yunhi keh di thi aur ussi waqt socha tha,
kay fursat main ispe zaroor likhunga..
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:50:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer