~Koi apna na nikla~ by Rahim

by dead heart on September 28, 2010, 04:31:19 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3043 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Insaan ager kabhi sabse zada lachar mehsoos karta hai toh woh tab hota hai jab woh bimar hota hai..Peechle kuch dino se tabyat ne mujhe dokha diya hai iss qadar kay bistar ne tham lia hai..Allah ka anginat shukar hai kay abhi atleast thek hoon mager fully fit nahin..

Khair,
pata nahin kya soch kar yeh lavz apne ap behte gaye..zindagi kay har lamhe se seekhna chahiye..aur kehte hai kay mushkilon main insaan woh seekta hai jo khushialion main nahin seekh sakta..toh bas kuch seekha hai inn guzre kuch dino main..

kuch jazbaton ko kalam se kagaz par uttar raha hoon..

dua karta hoon Allah sabko mehfooz rakhe..Ameen..!

Apne khoon kay ilava koi apna na nikla,
Lipat gaya bistar se toh koi dekhne mujhe apne ghar se na nikla,
Apne khoon kay ilava koi apna na nikla..

Maa meri dinn raat bhagti rahi mere peeche,
Ek bhi lamha uska khud kay bare main sochne main na nikla,

Mera dard iss qadar tha kay papa bhi mere pareshan the,
Ek bhi lamha unka mujhe dekhe bina na nikla,

Jinse na thi umeed unhone tak pucha kay kya haal hai ‘Khamosh’,
Mager uss Zalim ka mere liye apne phone se ek message tak na nikla,

Shayad usse galat samajta hoon main mager dikhati toh woh aisa hai,
Kay mano aise waqt uski zuban se mere liye ek shabd dua ka na nikla,

‘Khamosh’ toh talabgar hai sabhi ki duaon ka iss daur main yaaron,
Mager aj janlia sachayi yeh bhi duniya ki,
Kay apne khoon kay ilava koi apna na nikla..

~..Rahim..~..A Silent heart..~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
chand nikla to by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
##Chand Phir Nikla## by honeyrose in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4  All »
masoomiyat ka janaza nikla by chaitali in Shayri-E-Dard
**Apna hi leta** by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Ghar se nikla tha (AD) by rayees abdullah in Miscellaneous Shayri
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #1 on: September 28, 2010, 04:52:16 PM »
Reply with quote
Bhai Rahim....aaj aapki ye peshkash padh kar apne aap ko aaine me khada mehsus kiya maine...

kuch apne gunaah kuch apne karam yaad aagaye....
kuch kehne ki tadap ho rahi hai par shabd nahin mil rahe ya jazbaat pata nahin...par ye aapki baat sach hai...apne khuun apne maa paa k alawa duniya me kabhi koi apna nahin hota...apne bhai bahen chahe jaise bhi hon lekin bure waqt me wahi sath dete hain...kisi k liye bhi unhe kabhi na sataye koi..
apni ek zid k liye kyun unhe satate hain log.....

pata nahin kya kya likh gai..maaf karna.

bht hi khubsuart aur dil ko chhu jane wali nazm hai ye aapki ...bhtttttttt sari duaon aur pyaar k sath..k aap jaldi se thik ho jayen..
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: September 28, 2010, 04:57:45 PM »
Reply with quote
Anamika di,

Bahaut bahaut shukriya..Ap bilkul sach likh gayi..aisa laga jaise parrte hi apka dil jo kehta gaya wohi ap likti gayi,..bahaut bahaut bahaut shukriya..

Duaon aur pyaar apke liye di..!
Logged
neelgold
Guest
«Reply #3 on: September 28, 2010, 09:00:28 PM »
Reply with quote
Rahim bhai ky aho gya ji .... hru noe? wat happnd ... tht's y ur away from so many daz ...

Bhut khoob likha hai aur bhut sacha likha hai ........ voh kehte hai na
"Apne to Apne hote hai " .......

Pls app apna khyal rekhna & pls update me on ur health .. im worrid......

Yaar saab aise nahi hote hai bt its ok ......

TC pls
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: September 29, 2010, 11:42:41 AM »
Reply with quote
Shukriya Neel jee..
Dont be worried..Im fyn nw..mashAllah..
Shukriya once again.,!
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #5 on: September 29, 2010, 11:46:58 AM »
Reply with quote
are yaar hadd ho gayiii..apna mano to sahi ham kaun se paraye he~

sath khada tha mere khuda har raah meri
or me duniya se keheta raha koi apna na mila~
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: September 29, 2010, 11:49:13 AM »
Reply with quote
Arey humne kab kaha ap paraye hai..

apne do lines bahaut khoob likhi hai..! Applause
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #7 on: September 29, 2010, 11:52:44 AM »
Reply with quote
shuk-riya dost...labz to hote hi behene ke liye he~
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #8 on: September 29, 2010, 02:40:12 PM »
Reply with quote
Kya Kahoon Bhai Rahim!!!

Bahut dard Aur Gehre Jazbaat se Bhari peshkash Dil ko chuti hai, Sirf tabiyat Kharaab Hone Par Hi nahi,Insaan Aise Kayi halaaton se Guzarta Hai Jab usse yeh mehsoos hota hai ke ke Apna Khoon Apna Hi hota Hai..

Lajawab!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #9 on: September 29, 2010, 02:42:34 PM »
Reply with quote
Bhai Rahim....aaj aapki ye peshkash padh kar apne aap ko aaine me khada mehsus kiya maine...

kuch apne gunaah kuch apne karam yaad aagaye....
kuch kehne ki tadap ho rahi hai par shabd nahin mil rahe ya jazbaat pata nahin...par ye aapki baat sach hai...apne khuun apne maa paa k alawa duniya me kabhi koi apna nahin hota...apne bhai bahen chahe jaise bhi hon lekin bure waqt me wahi sath dete hain...kisi k liye bhi unhe kabhi na sataye koi..
apni ek zid k liye kyun unhe satate hain log.....

pata nahin kya kya likh gai..maaf karna.

bht hi khubsuart aur dil ko chhu jane wali nazm hai ye aapki ...bhtttttttt sari duaon aur pyaar k sath..k aap jaldi se thik ho jayen..

Anu Aapke baatein bilkul sach hai, haan sach kadwa zaroor hota hai,Par Aap sach se inkaar nahi kar sakte, chaahe apno mein bhi bahut khaamiyan ho par aakhir mein Rishte wahi nibhte hai.

bahut Achi Soch Thumbs UP

Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: September 29, 2010, 04:51:28 PM »
Reply with quote
Kya Kahoon Bhai Rahim!!!

Bahut dard Aur Gehre Jazbaat se Bhari peshkash Dil ko chuti hai, Sirf tabiyat Kharaab Hone Par Hi nahi,Insaan Aise Kayi halaaton se Guzarta Hai Jab usse yeh mehsoos hota hai ke ke Apna Khoon Apna Hi hota Hai..

Lajawab!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahaut bahaut bahaut shukriya Khwaish Dost..bahaut sach kaha kay sirf bimari nahin, mushkil kay har daur main apne hi kam ate hai..apnon main bhi woh jo waqei sach main apna ho..
Teh dil se shukriya..!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #11 on: September 30, 2010, 05:25:29 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: October 01, 2010, 10:24:14 AM »
Reply with quote
Shukriya Hriday jee..!
Logged
hkpk
Guest
«Reply #13 on: October 01, 2010, 10:55:25 AM »
Reply with quote
Insaan ager kabhi sabse zada lachar mehsoos karta hai toh woh tab hota hai jab woh bimar hota hai..Peechle kuch dino se tabyat ne mujhe dokha diya hai iss qadar kay bistar ne tham lia hai..Allah ka anginat shukar hai kay abhi atleast thek hoon mager fully fit nahin..

Khair,
pata nahin kya soch kar yeh lavz apne ap behte gaye..zindagi kay har lamhe se seekhna chahiye..aur kehte hai kay mushkilon main insaan woh seekta hai jo khushialion main nahin seekh sakta..toh bas kuch seekha hai inn guzre kuch dino main..

kuch jazbaton ko kalam se kagaz par uttar raha hoon..

dua karta hoon Allah sabko mehfooz rakhe..Ameen..!

Apne khoon kay ilava koi apna na nikla,
Lipat gaya bistar se toh koi dekhne mujhe apne ghar se na nikla,
Apne khoon kay ilava koi apna na nikla..

Maa meri dinn raat bhagti rahi mere peeche,
Ek bhi lamha uska khud kay bare main sochne main na nikla,
Apne khoon kay ilava koi apna na nikla..

Mera dard iss qadar tha kay papa bhi mere pareshan the,
Ek bhi lamha unka mujhe dekhe bina na nikla,
Apne khoon kay ilava koi apna na nikla..

Jinse na thi umeed unhone tak pucha kay kya haal hai ‘Khamosh’,
Mager uss Zalim ka mere liye apne phone se ek message tak na nikla,
Apne khoon kay ilava koi apna na nikla..

Shayad usse galat samajta hoon main mager dikhati toh woh aisa hai,
Kay mano aise waqt uski zuban se mere liye ek shabd dua ka na nikla,
Apne khoon kay ilava koi apna na nikla..

‘Khamosh’ toh talabgar hai sabhi ki duaon ka iss daur main yaaron,
Mager aj janlia sachayi yeh bhi duniya ki,
Kay apne khoon kay ilava koi apna na nikla..

~..Rahim..~..A Silent heart..~
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #14 on: October 01, 2010, 11:00:26 AM »
Reply with quote
bAHUT ACHHA LIKHA HAI...Rahim-bhai... Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Insaan ager kabhi sabse zada lachar mehsoos karta hai toh woh tab hota hai jab woh bimar hota hai..Peechle kuch dino se tabyat ne mujhe dokha diya hai iss qadar kay bistar ne tham lia hai..Allah ka anginat shukar hai kay abhi atleast thek hoon mager fully fit nahin..

Khair,
pata nahin kya soch kar yeh lavz apne ap behte gaye..zindagi kay har lamhe se seekhna chahiye..aur kehte hai kay mushkilon main insaan woh seekta hai jo khushialion main nahin seekh sakta..toh bas kuch seekha hai inn guzre kuch dino main..

kuch jazbaton ko kalam se kagaz par uttar raha hoon..

dua karta hoon Allah sabko mehfooz rakhe..Ameen..!

Apne khoon kay ilava koi apna na nikla,
Lipat gaya bistar se toh koi dekhne mujhe apne ghar se na nikla,
Apne khoon kay ilava koi apna na nikla..

Maa meri dinn raat bhagti rahi mere peeche,
Ek bhi lamha uska khud kay bare main sochne main na nikla,
Apne khoon kay ilava koi apna na nikla..

Mera dard iss qadar tha kay papa bhi mere pareshan the,
Ek bhi lamha unka mujhe dekhe bina na nikla,
Apne khoon kay ilava koi apna na nikla..

Jinse na thi umeed unhone tak pucha kay kya haal hai ‘Khamosh’,
Mager uss Zalim ka mere liye apne phone se ek message tak na nikla,
Apne khoon kay ilava koi apna na nikla..

Shayad usse galat samajta hoon main mager dikhati toh woh aisa hai,
Kay mano aise waqt uski zuban se mere liye ek shabd dua ka na nikla,
Apne khoon kay ilava koi apna na nikla..

‘Khamosh’ toh talabgar hai sabhi ki duaon ka iss daur main yaaron,
Mager aj janlia sachayi yeh bhi duniya ki,
Kay apne khoon kay ilava koi apna na nikla..

~..Rahim..~..A Silent heart..~
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:00:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer