koi bharam najar atta hai

by Pooja on January 18, 2008, 09:15:02 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2736 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
kyun tujh main koi aor najar atta hai
mere man ka chor najar atta hai

teri her baat mai wo  najar atta hai
tere her shabd mai wo simat atta hai

kaise pasand teri uski ho sakti hai ek si
dil ko kaya koi bharam najar atta hai

tere ane se atti hai ab ahat uski
kyun man bechain najar atta hai

kyun tujh main koi aor najar atta hai
mere man ka chor najar atta hai…………..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dil per nahi ajj koi ikhitiyaar, ajj koi atta hai by Pooja in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Najar - Najar se by Pooja in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
~~Mazza Atta Hai~~ by Sammual in Kaifiyaat-ae-maye
Najar Atta Hai!!! by Pooja in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
AB SABAR NAHI ATTA by Rajigujral in Shayri for Dard -e- Judai
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: January 18, 2008, 09:56:31 PM »
Reply with quote
 Usual Smile  Usual Smile  Usual Smile  Roll Eyes BAHUT KHOOB,YEH PADHKAR AISA LAGTA HAI KE....

IDHAR RANJISH UDHAR BANDISH HAI ZAMANE KI
"KHWAISH" PHIR BHI
KOSHISH KARTA HAI DIL LAGANE KI

DONO KI PASAND EK HO,SOCH EK HO,HALAT EK HO
YEH BHI KHOOB WAJEH HAI UNKI PARESHAANI KI

KUCH SAWAAL AISE HOTE HAI
JISKA KOI JAWAAB NHI HOTA
KYA AAP KOSHISH KAROGI
MUJHE YEH BAAT SAMJHANE KI..

KAASH KOI ITNA DOOR NA HOTA VARNA
HUM CHAL PADTE PHIR MOHABBAT MEIN
KISMAT AZMAANE KI...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: January 18, 2008, 10:02:08 PM »
Reply with quote
sawal aisa hai jiske jawab se dil darta hai
behad -behad pyar usse yah dil karta hai

shayad issi liye her baat mai wo najar atta hai
khud ki hi nahi aoro ki kavita mai sama jaata hai

kaya samjhau main tumko, meri to khud samjh nahi atta hai
simata hua hai wo mujh main, phir kyun her ek main najar atta hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: January 18, 2008, 10:12:48 PM »
Reply with quote
HAR TARAF MUKADDAR KI AZMAISH HAI
UNSE KABHI TO NAZREIN MILE
"KHWAISH" KI BHI BAS YEHI KHWAISH HAI

UNSE KARNI BAS ITNI SI FARMAIYISH HAI...

MOHABAAT KE RANG MEIN EK BAAR TO DOOB KE DEKHO
DIL KI BAATON KO KABHI TO SUNO

PYAAR SACHA HO TO HAR CHEEZ JAAYISH HAI..

Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: January 18, 2008, 10:15:25 PM »
Reply with quote
doob chuke pyar mai aor gahari hi najar aai
ab tak is pyaar ki koi seema na ban paai

dekhain kismat ka tamsha jo kheil khilati hai
dil se mila kar dil, rahein juda kar jaati hai....
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: January 18, 2008, 10:22:42 PM »
Reply with quote
MAANTE HAI HUM BHI MOHABBAT ASAAN NAHI HOTI
PAR  DONO KE DHADKHAN SE EK AWAAZ HAI TO
MOHABBAT PHIR EK YA DO PAL KI MEHMAAN NAHI HOTI

AGAR YEH SOCHKAR KADAM PEECHE HATENGE UNKE
TO KEH DENA,HAR EK KI KISMAT KI RAAHEIN
EK SAMAAN NAHI HOTI

SAATH REH NAHI SAKTE,JUDA HO NAHI SAKTE
YEH KYA KASHMAKASH HAI,
KUCH TO SAMJHO IN BAATON SE
HAR BAAT KI ZUBAAN NAHI HOTI..

 
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: January 18, 2008, 10:25:42 PM »
Reply with quote
bahoot khoob.. her baat ki juban nahi hoti... bahoot hi achi line likhi hai apne...

yaadon ko man se hataya nahi jaata
khayalo ko kabhi haqiqat banaya nahi jaata

ghutati rahti hai abhilashaye umarbhar
kyun itani si baat ko, khud samjhaya nahi jaata
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: January 18, 2008, 10:31:55 PM »
Reply with quote
JALTE CHIRAAG KI HASRAT TO DEKHIYE
HAUSLA TUFANO MEIN BHI JALNE KA RAKHTE HAI

HUM KEHTE HAI,SAB KUCH BHOOL KAR
EK JALAK TO DEKHO
YEH PHIR BHI DIL MEIN
ZAKHM PURANE RAKHTE HAI

INHE KYA PATA,HAMARI MOHABBAT KE BAARE MEIN
INKE HAR GHAM AUR DARD PE NAZAR HUM RAKHTE HAI
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: January 18, 2008, 10:37:35 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai!!! bahoot khoob khwaish ji!!!

hasrat hi rahi unke sath muskuarne ki
unse rooth kar, khud ko manwaane ki

khayalo mai hi abs ab to baat hoti hai
her subah uske naam se, unke naam se raat hoti hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: January 18, 2008, 10:49:01 PM »
Reply with quote
JAB TOOTKAR BIKHAR GAYA HO AAENA JAB APNE DIL KA
TU UNKI TASVEER KO SEENE MEIN KYON SAMBHAALTI HO

SHAYAD WOH SHAKS SAMAJ NA PAAYA
JAZBAATO KI EHMIYAT
TO PHIR KYON AAJ BHI
APNE DIL KO BEHLAATI HO...

GHAM KA SAMUNDAR HAI JAB IN AANKHON MEIN
TO KYON APNE DIL KO ITNA AAZMATI HO
DARD RAKHTI HO DIL MEIN
AUR PHIR BHI MUSKURATI HO...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: January 18, 2008, 10:54:20 PM »
Reply with quote
samjha tha wo is kadar
samjh na paaya koi us kadar
samjh meri hi nadan thi
janati hu ajj bhi
main hi ek uski jaan thi....
Logged
Rai
Guest
«Reply #11 on: January 19, 2008, 10:28:35 AM »
Reply with quote
bohat acha likha ha
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: January 22, 2008, 10:39:25 PM »
Reply with quote
thanks Rai ji!!

apka yoindia mai sawagat hai!!!

her baat mai wo hi rang hai
na jaane kyun man yah dang hai
bharam badal raha hai yakin mai
yakin mai bas ab thora sa bharahm hai
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: January 24, 2008, 08:37:13 PM »
Reply with quote
chand ki roshni main bhi
ek ajeeb sa suroor hota hai

woh kehte hai ke hum mein woh apne aap ko dekhte hai
"khwaish" humein isse baat pe bahut guroor hota hai

woh jo haath thamaye to kabhi na phir chute unka saath
par kya sochkar unka dil humse door hota hai

dooriyon ki parwah na kijiyega
faaslo mein pyaar aur gehra...
mere huzoor hota hai!!!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: January 24, 2008, 09:39:54 PM »
Reply with quote
Teri awaz mai uski awaz sunai deti hai
Shabdo tere main uski parchai dikhai deti hai
Shayad issi liye ruk gai kuch palo ko tere sung
Tere khayalo mai uski tasveer dikhai deti hai…
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 03:15:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer