kon kisi ka hota hay g? (by vb)

by vb on December 14, 2012, 01:26:06 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1039 times)
vb
Guest
Reply with quote


Aaj bhe veeraan may-khaanon men
vb tanha rota hay
Kon kisi ka hota hay g?
Kon kisi ka hota hay?

Duniya men maan, baap say barh kar
Suntay thay koi aur nahi
Hotay hon gay sadiyon pehlay
Lekin ab wo daur nahi
Hum ne tu bazaar he dekhay
Is duniya men pyaar nahi
Duniya ki kya cheez hay bolo?
Jis ka kaarobaar nahi
Har rishta biyopaar yahan par
Har jazba, samjhota hay
Kon kisi ka hota hay g?
Kon kisi ka hota hay?

Us larki ki baat karo ho
Jis ne naatay tore diyay
Pyaar k pyaaray afsaanay bhi
Us ne aadhay chhore diyay
Us larki k peechay hum ne
Apna sub kuchh haar diya
Sher ki jholi men jo kuchh tha
Hum ne us par vaar diya
Lekin us larki ko dekho
Chaahat ko dhutkaar diya
Vb jee ko is duniya men
Jeetay jee he maar diya

Chaahat k bazaar men insaan
Kya paataa? Kya khota hay?
Kon kisi ka hota hay g?
Kon kisi ka hota hay
Aaj bhe veeraan may-khaanon men
vb tanha rota hay
Kon kisi ka hota hay g?
Kon kisi ka hota hay?


*------------------------*


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kab Kon Kisi Ka Hota Hai by sweet suh in Shayri-E-Dard
kaun hota hai yaha kisi ka by kaushikbhawna008 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Kisi Ki Soch Par Koi Pahra Nahi Hota ... ( Radhika ) by Radhika_2 in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Jab kisi ko kisi se pyar hota hai, by er.pushpendra1 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Hota Nahi Koi Bhi Kisi Ka! by mohdabrar in Shayri-E-Dard
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: December 14, 2012, 02:06:52 PM »
Reply with quote
good
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #2 on: December 14, 2012, 02:11:54 PM »
Reply with quote
very nice
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #3 on: December 14, 2012, 02:16:21 PM »
Reply with quote
ek ahchi peshkash ke iye meri taraf se daad janaab, yunhi shirkat karte raheN.....
Logged
mkv
Guest
«Reply #4 on: December 14, 2012, 03:17:25 PM »
Reply with quote
Very nice VB jee
har ek line ..very touching

aur repeatitions ..quite impressive
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: December 14, 2012, 06:56:21 PM »
Reply with quote
VB Jee Aadaab!


WaH VB jee aapke geet meiN jo mazaa aata hai padhne meiN kia
kaheN... behad umdaa khayaal pur asar lafz aur gazab ki rawani
rahti hai aapke kalaamoN meiN... Usual Smile


yeH kalaam bhi behad umdaa rahi, chaNd ban ke toH kia kahne jee
dil ko lag se gaye aapke yeH khayaal ... Usual Smile

huamri hazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye... Usual Smile

Likhate rahiye... aate rahiye..
Shaad O aabad rahiye...

Khuda Hafez.. Usual Smile                   







Aaj bhe veeraan may-khaanon men
vb tanha rota hay
Kon kisi ka hota hay g?
Kon kisi ka hota hay?

Duniya men maan, baap say barh kar
Suntay thay koi aur nahi
Hotay hon gay sadiyon pehlay
Lekin ab wo daur nahi



Bahut umdaa khayaal pesh kiya hai janab ..Applause Applause Applause Applause Applause
 icon_salut icon_salut icon_salut                   




Hum ne tu bazaar he dekhay
Is duniya men pyaar nahi
Duniya ki kya cheez hay bolo?
Jis ka kaarobaar nahi
Har rishta biyopaar yahan par
Har jazba, samjhota hay
Kon kisi ka hota hay g?
Kon kisi ka hota hay?


 Applause Applause Applause


Us larki ki baat karo ho
Jis ne naatay tore diyay
Pyaar k pyaaray afsaanay bhi
Us ne aadhay chhore diyay
Us larki k peechay hum ne
Apna sub kuchh haar diya
Sher ki jholi men jo kuchh tha
Hum ne us par vaar diya
Lekin us larki ko dekho
Chaahat ko dhutkaar diya
Vb jee ko is duniya men
Jeetay jee he maar diya

 Applause Applause Applause Applause Applause


Chaahat k bazaar men insaan
Kya paataa? Kya khota hay?
Kon kisi ka hota hay g?
Kon kisi ka hota hay
Aaj bhe veeraan may-khaanon men
vb tanha rota hay
Kon kisi ka hota hay g?
Kon kisi ka hota hay?


*------------------------*



Logged
sarfira
Guest
«Reply #6 on: December 14, 2012, 07:32:41 PM »
Reply with quote
waaahhhhh VB jee
kya kehne
bas gungunata gya ye geet
Logged
prashad
Guest
«Reply #7 on: December 15, 2012, 01:36:36 AM »
Reply with quote


Aaj bhe veeraan may-khaanon men
vb tanha rota hay
Kon kisi ka hota hay g?
Kon kisi ka hota hay?

Duniya men maan, baap say barh kar
Suntay thay koi aur nahi
Hotay hon gay sadiyon pehlay
Lekin ab wo daur nahi
Hum ne tu bazaar he dekhay
Is duniya men pyaar nahi
Duniya ki kya cheez hay bolo?
Jis ka kaarobaar nahi
Har rishta biyopaar yahan par
Har jazba, samjhota hay
Kon kisi ka hota hay g?
Kon kisi ka hota hay?

Us larki ki baat karo ho
Jis ne naatay tore diyay
Pyaar k pyaaray afsaanay bhi
Us ne aadhay chhore diyay
Us larki k peechay hum ne
Apna sub kuchh haar diya
Sher ki jholi men jo kuchh tha
Hum ne us par vaar diya
Lekin us larki ko dekho
Chaahat ko dhutkaar diya
Vb jee ko is duniya men
Jeetay jee he maar diya

Chaahat k bazaar men insaan
Kya paataa? Kya khota hay?
Kon kisi ka hota hay g?
Kon kisi ka hota hay
Aaj bhe veeraan may-khaanon men
vb tanha rota hay
Kon kisi ka hota hay g?
Kon kisi ka hota hay?


*------------------------*



bahut khoob
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #8 on: December 15, 2012, 04:01:57 AM »
Reply with quote
 Applause
Logged
aqsh
Guest
«Reply #9 on: December 15, 2012, 05:23:29 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
very nice
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: December 15, 2012, 02:04:37 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause  bahut bahut khoob Vb ji... khoobsurat rachna ....!!!
Logged
vb
Guest
«Reply #11 on: December 17, 2012, 06:15:38 AM »
Reply with quote
shukriya aap sub ka...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 05:39:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer