~*~ Kuch ankahee baatein ~*~ by Rahim

by dead heart on May 02, 2012, 03:47:20 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2122 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
“tu hi haqeeqat, khwab tu,
dariya bhi tu aur pyaas bhi tu”,
kyun kehta tha tu yeh sab kuch mujse,
jab saath mera na dena tha tujhe,
kyun ponche the mere ashk tune humdum,
jab baad muddat kay rulana tha tujhe,
main toh tanha hi tha, tanha reh leta,
umeed dila kar, kyun chorr jana tha tujhe,
hum bikharte hai toh jhoot se, sach se nahin,
bas ek yehi baat, zehen main rakhna tha tujhe,
hum unn main se nikle jinhone jahan ko paya,
par afsos yeh, na paa sake, toh bas tujhe,
‘Khamosh’ ne na tujse tohfe mange na tera jism,
iss nadan ko bas, apne dil main basana tha tujhe,
na thhi mohobat toh pehle din izhar kar diya hota,
be-matlab umeed nahin dilana chahiye tha tujhe,
kyun ponche the mere ashq tune ae humdum,
jab baad muddat kay, bas rulana tha tujhe..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kuch Anmol baatein!!!!!!!! by ranjana in Shairi - E - Zindagi
~*~ Kuch haqeeqatein ~*~ by Rahim by dead heart in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Ankahee ishq ki ikk daastaan hun.. by nashwani in Ghazals « 1 2  All »
Kuch Baatein by deepansh in Share:Love Poetry
kuch ankahi baatein.. by abhishek dayma in Shayri for Dard -e- Judai
masoom shahjada
Guest
«Reply #1 on: May 02, 2012, 03:50:54 PM »
Reply with quote
Waaah waaah waaaah
Logged
sbechain
Guest
«Reply #2 on: May 02, 2012, 07:21:10 PM »
Reply with quote
“tu hi haqeeqat, khwab tu,
dariya bhi tu aur pyaas bhi tu”,
kyun kehta tha tu yeh sab kuch mujse,
jab saath mera na dena tha tujhe,
kyun ponche the mere ashk tune humdum,
jab baad muddat kay rulana tha tujhe,
main toh tanha hi tha, tanha reh leta,
umeed dila kar, kyun chorr jana tha tujhe,
hum bikharte hai toh jhoot se, sach se nahin,
bas ek yehi baat, zehen main rakhna tha tujhe,
hum unn main se nikle jinhone jahan ko paya,
par afsos yeh, na paa sake, toh bas tujhe,
‘Khamosh’ ne na tujse tohfe mange na tera jism,
iss nadan ko bas, apne dil main basana tha tujhe,
na thhi mohobat toh pehle din izhar kar diya hota,
be-matlab umeed nahin dilana chahiye tha tujhe,
kyun ponche the mere ashq tune ae humdum,
jab baad muddat kay, bas rulana tha tujhe..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~

aap ka kalaam acha hai.

 Applause Applause Applause Applause Applause

per iss kalaam ki soach pe mujhe ye ekhtelaaf hai ki kya zaruri hai jis aadmi ya shakhs ya ladki ne aap se humdardi ki ho insaaniyat ke naate to kya wo aap se pyaar bhi utna kare. ye ghalatfahmi mardo.n ko zayada ho jaati hai.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: May 02, 2012, 08:08:26 PM »
Reply with quote
Waaah waaah waaaah
Bahaut bahaut shukriya Masoom jee..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: May 02, 2012, 08:10:49 PM »
Reply with quote

aap ka kalaam acha hai.

 Applause Applause Applause Applause Applause

per iss kalaam ki soach pe mujhe ye ekhtelaaf hai ki kya zaruri hai jis aadmi ya shakhs ya ladki ne aap se humdardi ki ho insaaniyat ke naate to kya wo aap se pyaar bhi utna kare. ye ghalatfahmi mardo.n ko zayada ho jaati hai.
Bahaut bahaut shukriya Sheba jee..
Sach soch hai kay kalam chahe jitna bhi acha hai,
likhne wale ka dard ya khushi bayan kar saki hai,
uski kahani hai..
Hum ghalatfehmian nahin palte kay koi humse mohobat karta hai..
Haan mager ager samne wala kahe kay hum apko chahte hai,
phir baad muddat inkar kar de kay kabhi mohobat thi hi nahin,
toh isme bhala hum kaise kasurvar..
Khair, Khush rahiye..!
Logged
himanshuIITR
Guest
«Reply #5 on: May 03, 2012, 03:34:39 AM »
Reply with quote
 Applause
Logged
sarfira
Guest
«Reply #6 on: May 03, 2012, 09:22:54 AM »
Reply with quote
bahot khoob Rahim dost--
dard bhari peshkash rahi
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: May 03, 2012, 02:01:47 PM »
Reply with quote
Applause
Shukriya Himanshu jee..
Khush rahiye..!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: May 03, 2012, 02:02:32 PM »
Reply with quote
bahot khoob Rahim dost--
dard bhari peshkash rahi
Bahaut shukriya Dost..
Haan dard hi thha isme..
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:41:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer