**Kuch bhutle jaa rahe hai**

by dead heart on June 07, 2009, 09:31:25 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1590 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Paise ki khoj main aaj kal duniya wale,
Apnon ko bhulte jaa rahe hai,
Jo chahta hai hume usse chorr kar,
Gheron ki baahon main toot te jaa rahe hai,
Shayad log kuch bhulte jaa rahe hai...

Rote hai log tanhaion main jaa kar,
Shayad dilbaar ki baahon ko bhulte jaa rahe hai,
Dusron ki panchat lagi hai sabhi ko,
Khud ke ghar ke halat bhulte jaa rahe hai,
Shayad log kuch bhulte jaa rahe hai...

Shahrukh aur Amitabh ka janam din toh yaad hai,
Maa baap ki sagai ki tarikh bhulte jaa rahe hai,
Kisi gher ki maut ki wajah toh pata hai hume,
Lekin kam se ane par baap ka haal puchna bhulte jaa rahe hai,
Shayad log kuch bhulte jaa rahe hai...

Jab ek dinn maa chawal ke bajae roti deti hai toh chikte hai hum,
Kuch log har roz bhook se mar rahe hai; yeh baat bhulte jaa rahe hai,
Kisi ke latiffe par toh khul ke has lete hai hum,
Maa royi thi kal humare datne par;aise lamhe bhulte jaa rahe hai,
Shayad log kuch bhulte jaa rahe hai...

Qadar nahin hai hume aaj apnon ki,
Khuda ne maut banayi hai; yeh baat bhulte jaa rahe hai,
Iss bhag dorr main ek khayal ke saath thamgaya hai
Rahim,
Paise ki khoj main pyaar ko khote jaa rahe hai,
Shayad log kuch bhulte jaa rahe hai...
Logged
diya786
Guest
«Reply #1 on: June 07, 2009, 11:07:17 AM »
Reply with quote
Paise ki khoj main aaj kal duniya wale,
Apnon ko bhulte jaa rahe hai,
Jo chahta hai hume usse chorr kar,
Gheron ki baahon main toot te jaa rahe hai,
Shayad log kuch bhulte jaa rahe hai...

Rote hai log tanhaion main jaa kar,
Shayad dilbaar ki baahon ko bhulte jaa rahe hai,
Dusron ki panchat lagi hai sabhi ko,
Khud ke ghar ke halat bhulte jaa rahe hai,
Shayad log kuch bhulte jaa rahe hai...

Shahrukh aur Amitabh ka janam din toh yaad hai,
Maa baap ki sagai ki tarikh bhulte jaa rahe hai,
Kisi gher ki maut ki wajah toh pata hai hume,
Lekin kam se ane par baap ka haal puchna bhulte jaa rahe hai,
Shayad log kuch bhulte jaa rahe hai...

Jab ek dinn maa chawal ke bajae roti deti hai toh chikte hai hum,
Kuch log har roz bhook se mar rahe hai; yeh baat bhulte jaa rahe hai,
Kisi ke latiffe par toh khul ke has lete hai hum,
Maa royi thi kal humare datne par;aise lamhe bhulte jaa rahe hai,
Shayad log kuch bhulte jaa rahe hai...

Qadar nahin hai hume aaj apnon ki,
Khuda ne maut banayi hai; yeh baat bhulte jaa rahe hai,
Iss bhag dorr main ek khayal ke saath thamgaya hai
Rahim,
Paise ki khoj main pyaar ko khote jaa rahe hai,
Shayad log kuch bhulte jaa rahe hai...



Mashallah
Subhanaal
kamaal likha hai Rahim Bhai
bahut umda peshkash hai
Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: June 07, 2009, 11:11:04 AM »
Reply with quote
Shukriya Kashish di!!!!
Logged
diya786
Guest
«Reply #3 on: June 07, 2009, 11:20:35 AM »
Reply with quote
aapne itni khoobsurat peshkash ki hai ki shukriya to humein kehna chahiye....
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: June 07, 2009, 11:23:24 AM »
Reply with quote
Acha hai ke apko acha laga...Ek sandesh dena chahta hoon main samaj ko ke log kuch bhulte jaa rahe hai...
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #5 on: June 07, 2009, 11:44:10 AM »
Reply with quote
bahut bahut khub likha h aapne Rahim ji.......har lafj ek sachai byan kar rha h....... Applause Applause Applause

 Aaj ka insaan khud ko bhulta ja rha h khuch yaad h to sirf paisa kmana aur dikhawe ki duniya me jeena......
Logged
Roja
Guest
«Reply #6 on: June 07, 2009, 11:45:01 AM »
Reply with quote
Bahut khoob... Rahim bahut accha laga padkar.  Applause Thumbs UP
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: June 07, 2009, 03:28:22 PM »
Reply with quote
Shukriya Poppoetry aur Roja di...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: June 09, 2009, 04:24:53 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Rahim!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aapki Soch Ki Tareef Karna Chaahta Hoon..Bahut Ache..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #9 on: June 09, 2009, 04:28:23 PM »
Reply with quote
Just too beautiful Rahim...

Lafz nahi hia tarif karne ke liye, bas itna kahungi ke in jazbaaton ko samajh jaye log aur amal karein to shayad zindagi ka rukh, zindagi jeene ka maza kuchh aur hi ho...

Hats off... Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: June 10, 2009, 08:04:27 AM »
Reply with quote
Shukriya Angel di aur Khwahish jee...
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: June 10, 2009, 08:07:15 AM »
Reply with quote
Waah Kya kHoob LIkha Hai Rahim Bhai, Great Job Yaar Boat Achche,.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: June 10, 2009, 07:01:48 PM »
Reply with quote
Shukriya Azeem bhaijan...
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: June 10, 2009, 08:47:37 PM »
Reply with quote
 Applause  Applause Applause Applause

Bohot bohot khoob Rahim
Logged
dead heart
Guest
«Reply #14 on: June 10, 2009, 09:58:55 PM »
Reply with quote
Shukriya Talat di
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:12:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.378 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer