Kuch Dhoondli Si Yaadein "Khwaish"

by khwaish on May 13, 2010, 12:44:14 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 5124 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Jaise Ke Har Insaan Kehta Hai Ke Bachpan ke Din Yaa Bachpan Ke woh Pal Zindagi ke sabse Haseen palon Mein Geene Jaate Hai..Kyonki Uss Umar mein Insaan Duniyadaari Aur Kayi Zimmedariyon se Mukth Apni Zindagi Ko Apne Dang Se Jeeta Hai..Iss Nazm Mein Ek Aise Insaan Ki Baatein hai Jo Apne Aaj Ko Apne Ateet Se Compare Karta Hai Aur sochta Hai Aakhir Kya-Kya Tabdeeliyan Aayi Hai Badhti Umar Ke saath..Main Maanta Hoon Yeh Nazm Shayad Lenghtwise Zyaadi Hi Lambi Hai Par Dil Se Likhi Cheezon ko Naapa Ya Tola Nahi Jaa Sakta..Umeed Karta Hoon Aap Sab Bhi Iss Nazm Ko Zaroor Padhenge...Shukriya

Kuch Dhoondli si Yaadein Inn Palkon ko bhiga gayi..
Khud Ko kho Baitha Tha Duniya Ke Iss bheed Mein
Mujhko Mujhse Hi Yeh Mila Gayi...

Kuch Rishte Jo Aaj tak Mehkate Hai
Kuch Guzre Hue pal Jo Aankhon Mein Teharte hai
Kuch Khwaishe Jo Aaj Bhi Adhuri hai
Kuch Log Jinke Bin Yeh Zindagi Benoori Hai..

Mujhko Badalte Daur ke saath Jo chalna Seekha Gayi
Kuch Dhoondli Si Yaadein Inn Palkon Ko Bhiga Gayi...

Mujhe yaad Hai Woh Din Jab main Sab Se Darra karta Tha
Choti si umar mein Akela Tanha Raha Karta Tha.
Aaj Bekhuaff Ho kar Sabse Milta hoon,
Apni Har Baat Asaani Se keh Deta Hoon..

Duniya Mujhe Khud Duniyadaari kya Hai?? Batlaa Gayi
Kuch Dhoondli Si yaadein Inn palkon Ko Bhiga Gayi...

Maa-Baap ki Ungli Thaam kar Chalna Seekha
Dagmagate Kadamo se girte hue Phir sambhalna seekha
Aaj Daudta Hoon uss Tez Raftaar mein
Zindagi batt Si gayi hai bas Aaj jeet Aur Haar mein..

Dil Ke Jageh Mein Mehsoos Hota Hai jaise Pathar Sa Laga gayi
Kuch Dhoondli si yaadein inn Palkon ko bhiga gayi...

Kuch Toote hue Khilone Aaj Yeh sawaal karte hai
Badhti Umar ke saath woh maasumiyat kaha gayi?? Yeh bawaal karte hai
Sohrat Ki bhook Mein kyon Hum Jazbaaton Ko Bhool Jaate hai
Jahan Pyaar Mohabbat Naa Ho, waha Sirf Naam Ke Rishte Reh jaate Hai

Ab Dhan-Daulat ke Naam Par Pariwaar Ke tukde karwa gayi
Kuch dhoonli si Yaadein inn Palkon Ko Bhiga gayi...

Choti si Umar mein Sab Milkar Khela Karte the
Ladai-Jhagde Hote bhi te to Kisi Bahaane dil saaf kar liya karte the
Aaj Gile-shikwo se dil bhara rehta hai
Aaj Ke daur mein Kaun Khud se Jaakar Sulaah karta Hai

Aaj Aaene Mein khud ki parchai Dekh,Yeh Aankhein Sharma Gayi
Kuch dhoondli si yaadein Inn Palkon ko Bhiga gayi..

Woh Maa-baap Jiske Aankh Ka Main Taara Hoon,
Jinke Budhaape Ka Main Sahaara Hoon,
Jo Har waqt Meri Fikr Mein Raha Karte Hai
Jo Meri khaatir Kitne Dukh-dard Saha Karte hai..

Unki Duayon ka Asar Hai Jo har Parsatityon se Mujhe Ladna Seeka Gayi
Kuch dhoondli Si yaadein Inn Palkon Ko Bhiga Gayi..

"Khwaish Jaanta Hai Guzra Hua Daur kabhi Laut Kar nahi Aata
Insaan Kitni Bhi Koshish karle,
 Ek baar Kuch Gawaane ke baad woh cheez nahi paata!!!
Yahaan Insaan To chale Jaata Hai
Sirf Uska Naam Hai Reh jaata Hai

yeh Zindagi ki Sachai hai Jo mere Jism-E-Rooh mein Samaa Gayi
Kuch Doondhli Si yaadein Inn Palkon Ko Bhiga Gayi

              ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #1 on: May 13, 2010, 01:24:23 PM »
Reply with quote
wah.. wah..!!!!!!!!!!!!

kya khoob likha hai khwahish ji...... Applause Applause Applause

 icon_salut icon_salut
Logged
vb
Guest
«Reply #2 on: May 13, 2010, 01:24:50 PM »
Reply with quote
buhat khoob!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: May 13, 2010, 01:51:02 PM »
Reply with quote
Har Baar Ki Tarah Badiya Andaz Mein
Ek Bahut Hi Khoobsurat Peshkash...
Bahut Khub Khwaish Bhai....


Yun Hi Mehfil Ki Raunaq Afzaii Karte Rahiye...


Khush Rahiye...


~Shihab~


Aapka Teh Dil Se Shukriya Majid Bhai.. icon_flower

Aapne Apna Waqt Diya,Wohi Bahut hai..Bas Yuhi Saath Dete Rahiyega Usual Smile
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: May 13, 2010, 04:17:00 PM »
Reply with quote
Sach kaha aapne...

"Kuch Doondhli Si yaadein Inn Palkon Ko Bhiga Gayi"

Wo bachpan ki yaadein wo beeta hua kal bahut bahut khoobsurat hua karta tha. hamari soch hi bahut pyaari hua karti thi. koi lobh nahi, koi chhal nahi, koi moh nahi, bas yakeen aur yakeen hi hua karta tha tab. aane waale kal ki koi fikar nahi thi. guzre huye kal k baare sochna nahi tha. dil tut ta bhi tha to bas kuch palon ke liye. rishte tut te bhi the to bas judne ke liye. na jaane wo din kahaan chale gaye....!!!!

aapki is kavita me kuch to aisa khaas jarur hoga Khwaish ji jo "meri bhi palko ko bhiga gayi". taarif me ab kya kahun ye kavita taarifon me bandhne ke liye nahi hai ye to saare bandhano se azaad hai.sach hi kahaa hai aapne dil se nikli cheezon to naapa ya tola nahi karte. dil se nikla hai dil ko chhoo gayi...bahut khoob likha hai aapne..!!!

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

kalam ke chalne ko zamana pagalpan samajhta hai,
dil ke likhe to bas dil samajhta hai...
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #5 on: May 13, 2010, 09:43:07 PM »
Reply with quote
bade hi khoobsurat andaaz main likha hai aapne..bahot khoob
Logged
thegrimreaper
Guest
«Reply #6 on: May 14, 2010, 01:32:21 AM »
Reply with quote
great job

Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: May 14, 2010, 06:54:34 AM »
Reply with quote
wah.. wah..!!!!!!!!!!!!

kya khoob likha hai khwahish ji...... Applause Applause Applause

 icon_salut icon_salut

Aapne Apna Waqt Diya..Aapka Teh Dil Se Shukriya Touhid Ji Usual Smile
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #8 on: May 14, 2010, 08:27:12 AM »
Reply with quote
Good work Khwaish-bhai...Ati sunder... Applause Applause Applause

Yahi jeevan ki sachayi hai.....kadva sach...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: May 14, 2010, 12:25:53 PM »
Reply with quote
Bahaut khoob Yaar...Hamesha ki tarha bahaut acha likha hai...kuch lines, Rahim ke dil main sama gayi... Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #10 on: May 15, 2010, 06:15:00 AM »
Reply with quote
Khwaish Bhaiiiiiiiiii Aap To Kamaal Hain Yaaar.. Jab Bhi Kuch Le kar aate Hain, Wo Har Nazm Apne Aap me Behtreeen aur Khubsoorat Ehasaason Se Saji Hoti hai...!!!   icon_salut icon_salut

Bachpan Ki Yaadon Ko Behad Maasoomiyat se Kaagaz par Utaara hai aapne.. Lafzon ko Behad Khubsoorati se Sajaaya hai aaapne..  icon_thumleft icon_thumleft


Daad Kubool karen..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley




**~** Mann **~**
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: May 15, 2010, 06:48:51 AM »
Reply with quote
buhat khoob!

Bahut Bahut Shukriya Vb ji.. Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: May 16, 2010, 08:12:03 AM »
Reply with quote
Sach kaha aapne...

"Kuch Doondhli Si yaadein Inn Palkon Ko Bhiga Gayi"

Wo bachpan ki yaadein wo beeta hua kal bahut bahut khoobsurat hua karta tha. hamari soch hi bahut pyaari hua karti thi. koi lobh nahi, koi chhal nahi, koi moh nahi, bas yakeen aur yakeen hi hua karta tha tab. aane waale kal ki koi fikar nahi thi. guzre huye kal k baare sochna nahi tha. dil tut ta bhi tha to bas kuch palon ke liye. rishte tut te bhi the to bas judne ke liye. na jaane wo din kahaan chale gaye....!!!!

aapki is kavita me kuch to aisa khaas jarur hoga Khwaish ji jo "meri bhi palko ko bhiga gayi". taarif me ab kya kahun ye kavita taarifon me bandhne ke liye nahi hai ye to saare bandhano se azaad hai.sach hi kahaa hai aapne dil se nikli cheezon to naapa ya tola nahi karte. dil se nikla hai dil ko chhoo gayi...bahut khoob likha hai aapne..!!!

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

kalam ke chalne ko zamana pagalpan samajhta hai,
dil ke likhe to bas dil samajhta hai...

Kapil Ji, Aapki Baatein,Aapki Soch ko main Salaam Karta Hoon,Aap Ne Iss Nazm Ke Ehsaas Ko Bakhoobi Samjha..

Main Bhi Yehi Darshaana Chaahta Tha Ke Aaj Hum Agar Apne Guzre Hue Palon Ko, Apne Bachpan Ko Yaad Karein to Humein Mein pehle Aur Aaj mein Kitna Fark Nazar Aayega..Aaj Agar Hum Kisi Se Kisi Wajeh se Naraaz Ho jaate Hai, To Bahut Mushkil se Hi Uss Nazraazgi Ko door Kar Paate Hai..Jab Tak Samaj Na Thi Samajdhaar the Aur Aaj Samaj Hai To Kuch Zyaada Hi Practical Life jee Lete Hai..

Aapne Apna Waqt Diya..Aap ka Tehhhhhhhhhhhhh Dil Se Shukriya.. icon_flower
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: May 16, 2010, 06:52:45 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Jitani parshansa ki jaaye, utani kam khwaish ji... bahoot waqat baad akar ajj yoindia mai parra hai.... kamaal@dhamaal.superbbb

yeh lines sab kuch kah jaati hai:

Dil Ke Jageh Mein Mehsoos Hota Hai jaise Pathar Sa Laga gayi
Kuch Dhoondli si yaadein inn Palkon ko bhiga gay

hamesha khush raho dost!!!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #14 on: May 16, 2010, 08:19:30 PM »
Reply with quote
Wah wah Khwaish ji,bahut sachai,gaherai aur khoobsurati se likha aapne ye nazm,
bahut bahut khoob,aapke bhi na ek alag andaaz hota hai likhne ka.bahut pasand aayi aapke nazm,Kapil ji aapne bhi khoob saath diya Khwaish ji ka.excellent creation icon_salut Hats off to you! Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:01:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer