**Kuch Khwahishein Meri** by Rahim

by dead heart on April 03, 2010, 10:26:47 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2687 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Shandar gadiyon main gumne ki tamana rakta hoon,
Aukad meri sadkon pe bhatakne ki hai,
Ek dinn asmaan ki bulandion ko choona chahta hoon,
Aadat meri zameen par sambhalne ki hai,
Zindagi main mujhe bahaut kuch hasil karna hai…

Maa baap ne bahaut kiya hai mere liye,
Ab unke liye kuch karke dikhana chahta hoon,
Maut ek dinn sabko apni agosh main le legi,
Us’se pehle apna ek naam bana na chahta hoon,
Mujhe saalon yaad kare log; aisi ek yaad de jana chahta hoon…

Sab khareeb aur paa sakoun; yeh khwahish meri bhi hai,
Par sachai hai ke ‘Rahim’ ab tak khote aya hai,
Kabhi  dost toh kabhi apna pyaar; kuch na mila,
Ab toh aadat si hai khwahishon ko dafnane ki,
Bas ek baar zindagi main; sachi mohobat pana chahta hoon…

Pata nahin kya darshane ki koshish ki hai maine yeh nazm main,
Bas dil ke kuch dabe ehsaason ko sameta hai maine,
Wakei ab zameen pe rehna pasand nahin mujhe,
Asmaan ko choo sakoun; aisi aukad bhi nahin,
Kehte hai  pana chaho toh sab mil sakta hai,
Ae Khuda mujhe uski mohobat chahiye,
Ya Rabb mujhe apna who dildar chahiye,
Ya Mowla mujhe apni ek pehchan chahiye,
Yakeen hai kar lunga sab hasil ager zinda raha toh,
Bas mujhe mere Allah ka saath chahiye…


~Rahim~

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**Meri jaan tu nahin toh 'Rahim' nahin**by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
~Meri nazmon main shabd tamam uske the~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~*~ Kabhi kuch seekh bhi lete ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
~*~ Kuch khamosh jazbaat ~*~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~*~ Kuch khamosh ehsaas ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: April 03, 2010, 10:45:38 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Rahim bhai ... bahut khoob....!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aapne bahut hi khoobsurti se apne khwaishon ko bataya hai. Aur unke poore na hone k dard ko bhi bakhoobi bataya hai aapne. Bahut dard hai aapke kalam me. Shabdo ko ehsaason me baandhna koi aapse sikhe. "Allah" sabse bada hota hai , usse badkar koi nahi. Aur wo apne chahne waalo k sar se kabhi apna haath nahi uthaate. Haan unke ghar der jarur ho sakti hai par andher nahi. Aapki saari khwaishen jaroor poori hongi. Hamari duwa hai ye. Sachchi mohabbat bhi milegi aapko aur aasmaan ki bulandiyon ko bhi chhu lenge aap . Wo din dur nahi Rahim bhai. Wo din dur nahi. Hamari har duwa aapke liye hai aapke saath hai.

Aapka dost
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: April 03, 2010, 10:48:42 PM »
Reply with quote
Bahaut shukriya Kapil dost..Haan aj kal har kalam main dard hi dard hai mere...aur haan hum toh bas shabd saath mila dete hai...koi humse kya seekhega...hum toh khud seekh rahe hai...apka bahaut shukriya Dost...bahaut sara saath dene ka...Ap hamesha khush rahiye..Rahim ki dil ki gehrayion se dua hai...dil ki gehrayion se..
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: April 03, 2010, 10:52:44 PM »
Reply with quote
Pareshaan na ho Rahim bhai ... aapka dard jald hi dur hoga...!!!

Bahaut shukriya Kapil dost..Haan aj kal har kalam main dard hi dard hai mere...aur haan hum toh bas shabd saath mila dete hai...koi humse kya seekhega...hum toh khud seekh rahe hai...apka bahaut shukriya Dost...bahaut sara saath dene ka...Ap hamesha khush rahiye..Rahim ki dil ki gehrayion se dua hai...dil ki gehrayion se..
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: April 03, 2010, 10:53:41 PM »
Reply with quote
InshAllah!!
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #5 on: April 04, 2010, 10:17:21 AM »
Reply with quote
Behtrin Rahim ji.....khuda aapki har khwaish ko poora kare..... Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: April 04, 2010, 10:53:11 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Bhai Rahim..

bahut Hi khoobsurat Ehsaas.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: April 04, 2010, 11:42:48 AM »
Reply with quote
Wah wah Rahim bhai.very touching and great creation.meri duaa hai aapke sab khwaishein zaroor poora hoga. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: April 04, 2010, 06:41:14 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut shukriya Madhu di, Nikhaar jee aur Khwahish jee..
Logged
sushil singh
Guest
«Reply #9 on: April 05, 2010, 12:46:43 PM »
Reply with quote
Shandar gadiyon main gumne ki tamana rakta hoon,
Aukad meri sadkon pe bhatakne ki hai,
Ek dinn asmaan ki bulandion ko choona chahta hoon,
Aadat meri zameen par sambhalne ki hai,
Zindagi main mujhe bahaut kuch hasil karna hai…

Maa baap ne bahaut kiya hai mere liye,
Ab unke liye kuch karke dikhana chahta hoon,
Maut ek dinn sabko apni agosh main le legi,
Us’se pehle apna ek naam bana na chahta hoon,
Mujhe saalon yaad kare log; aisi ek yaad de jana chahta hoon…

Sab khareeb aur paa sakoun; yeh khwahish meri bhi hai,
Par sachai hai ke ‘Rahim’ ab tak khote aya hai,
Kabhi  dost toh kabhi apna pyaar; kuch na mila,
Ab toh aadat si hai khwahishon ko dafnane ki,
Bas ek baar zindagi main; sachi mohobat pana chahta hoon…

Pata nahin kya darshane ki koshish ki hai maine yeh nazm main,
Bas dil ke kuch dabe ehsaason ko sameta hai maine,
Wakei ab zameen pe rehna pasand nahin mujhe,
Asmaan ko choo sakoun; aisi aukad bhi nahin,
Kehte hai  pana chaho toh sab mil sakta hai,
Ae Khuda mujhe uski mohobat chahiye,
Ya Rabb mujhe apna who dildar chahiye,
Ya Mowla mujhe apni ek pehchan chahiye,
Yakeen hai kar lunga sab hasil ager zinda raha toh,
Bas mujhe mere Allah ka saath chahiye…


~Rahim~


Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #10 on: April 05, 2010, 12:50:48 PM »
Reply with quote
bahut achhi hai. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: April 05, 2010, 07:15:38 PM »
Reply with quote
Shukriya Suresh jee...
Logged
neelgold
Guest
«Reply #12 on: April 05, 2010, 11:43:43 PM »
Reply with quote
very touching!!!!!!!!!!
God Bless u.....
Be alwyz Positive & God vll fulfill all ur desires....
Shandar gadiyon main gumne ki tamana rakta hoon,
Aukad meri sadkon pe bhatakne ki hai,
Ek dinn asmaan ki bulandion ko choona chahta hoon,
Aadat meri zameen par sambhalne ki hai,
Zindagi main mujhe bahaut kuch hasil karna hai…

Maa baap ne bahaut kiya hai mere liye,
Ab unke liye kuch karke dikhana chahta hoon,
Maut ek dinn sabko apni agosh main le legi,
Us’se pehle apna ek naam bana na chahta hoon,
Mujhe saalon yaad kare log; aisi ek yaad de jana chahta hoon…

Sab khareeb aur paa sakoun; yeh khwahish meri bhi hai,
Par sachai hai ke ‘Rahim’ ab tak khote aya hai,
Kabhi  dost toh kabhi apna pyaar; kuch na mila,
Ab toh aadat si hai khwahishon ko dafnane ki,
Bas ek baar zindagi main; sachi mohobat pana chahta hoon…

Pata nahin kya darshane ki koshish ki hai maine yeh nazm main,
Bas dil ke kuch dabe ehsaason ko sameta hai maine,
Wakei ab zameen pe rehna pasand nahin mujhe,
Asmaan ko choo sakoun; aisi aukad bhi nahin,
Kehte hai  pana chaho toh sab mil sakta hai,
Ae Khuda mujhe uski mohobat chahiye,
Ya Rabb mujhe apna who dildar chahiye,
Ya Mowla mujhe apni ek pehchan chahiye,
Yakeen hai kar lunga sab hasil ager zinda raha toh,
Bas mujhe mere Allah ka saath chahiye…


~Rahim~


Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: April 06, 2010, 11:52:50 AM »
Reply with quote
Shukriya Neel jee...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #14 on: April 06, 2010, 12:56:52 PM »
Reply with quote

Bahut hi umda rahim ji...koi alfaz samjh nhi aa raha jisse tarif kar saku..aapki har lekhi mein main apne dard ka ehsasss zarur paati hu...bahut bahut shukriya ye nazm likhne k liye...

Sab khareeb aur paa sakoun; yeh khwahish meri bhi hai,
Par sachai hai ke ‘Rahim’ ab tak khote aya hai,
Kabhi  dost toh kabhi apna pyaar; kuch na mila,
Ab toh aadat si hai khwahishon ko dafnane ki,
Bas ek baar zindagi main; sachi mohobat pana chahta hoon…...

APKA YE PARAGRAPH BAHUT HI LAJAWAB LAGA...INSAAN SIRRF RUPAYE AUR DAULAT SE HI AMEER NHI BANTA...ASLI AMEER WAHI HAI JISKE PAAS SACHI MHBT HO...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:18:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer