**Kuch Khwahishein Meri** by Rahim

by dead heart on April 03, 2010, 10:26:47 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2664 times)
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #15 on: April 07, 2010, 02:20:25 AM »
Reply with quote
Shandar gadiyon main gumne ki tamana rakta hoon,
Aukad meri sadkon pe bhatakne ki hai,
Ek dinn asmaan ki bulandion ko choona chahta hoon,
Aadat meri zameen par sambhalne ki hai,
Zindagi main mujhe bahaut kuch hasil karna hai…

Maa baap ne bahaut kiya hai mere liye,
Ab unke liye kuch karke dikhana chahta hoon,
Maut ek dinn sabko apni agosh main le legi,
Us’se pehle apna ek naam bana na chahta hoon,
Mujhe saalon yaad kare log; aisi ek yaad de jana chahta hoon…

Sab khareeb aur paa sakoun; yeh khwahish meri bhi hai,
Par sachai hai ke ‘Rahim’ ab tak khote aya hai,
Kabhi  dost toh kabhi apna pyaar; kuch na mila,
Ab toh aadat si hai khwahishon ko dafnane ki,
Bas ek baar zindagi main; sachi mohobat pana chahta hoon…

Pata nahin kya darshane ki koshish ki hai maine yeh nazm main,
Bas dil ke kuch dabe ehsaason ko sameta hai maine,
Wakei ab zameen pe rehna pasand nahin mujhe,
Asmaan ko choo sakoun; aisi aukad bhi nahin,
Kehte hai  pana chaho toh sab mil sakta hai,
Ae Khuda mujhe uski mohobat chahiye,
Ya Rabb mujhe apna who dildar chahiye,
Ya Mowla mujhe apni ek pehchan chahiye,
Yakeen hai kar lunga sab hasil ager zinda raha toh,
Bas mujhe mere Allah ka saath chahiye…


~Rahim~



bahoot hi khoobsurat likha hai rahim ji aapne...........fir ek ghalib sahab ka mash-hoor sher yaad aata hai
Hazaron khwaishen aisi ke har khwahish pe dum nikle
bahoot nikle mere arman, lekin fir bhi kam nikle
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**Meri jaan tu nahin toh 'Rahim' nahin**by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
~Meri nazmon main shabd tamam uske the~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~*~ Kabhi kuch seekh bhi lete ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
~*~ Kuch khamosh jazbaat ~*~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
~*~ Kuch khamosh ehsaas ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
Rajesh Harish
Guest
«Reply #16 on: April 07, 2010, 08:58:04 AM »
Reply with quote
Shandar gadiyon main gumne ki tamana rakta hoon,
Aukad meri sadkon pe bhatakne ki hai,
Ek dinn asmaan ki bulandion ko choona chahta hoon,
Aadat meri zameen par sambhalne ki hai,
Zindagi main mujhe bahaut kuch hasil karna hai…

Maa baap ne bahaut kiya hai mere liye,
Ab unke liye kuch karke dikhana chahta hoon,
Maut ek dinn sabko apni agosh main le legi,
Us’se pehle apna ek naam bana na chahta hoon,
Mujhe saalon yaad kare log; aisi ek yaad de jana chahta hoon…

Sab khareeb aur paa sakoun; yeh khwahish meri bhi hai,
Par sachai hai ke ‘Rahim’ ab tak khote aya hai,
Kabhi  dost toh kabhi apna pyaar; kuch na mila,
Ab toh aadat si hai khwahishon ko dafnane ki,
Bas ek baar zindagi main; sachi mohobat pana chahta hoon…

Pata nahin kya darshane ki koshish ki hai maine yeh nazm main,
Bas dil ke kuch dabe ehsaason ko sameta hai maine,
Wakei ab zameen pe rehna pasand nahin mujhe,
Asmaan ko choo sakoun; aisi aukad bhi nahin,
Kehte hai  pana chaho toh sab mil sakta hai,
Ae Khuda mujhe uski mohobat chahiye,
Ya Rabb mujhe apna who dildar chahiye,
Ya Mowla mujhe apni ek pehchan chahiye,
Yakeen hai kar lunga sab hasil ager zinda raha toh,
Bas mujhe mere Allah ka saath chahiye…


~Rahim~



Bahut umda peshkash hai Rahim Ji
Logged
dead heart
Guest
«Reply #17 on: April 07, 2010, 07:16:30 PM »
Reply with quote
Bahaut shukriya Rajesh jee aur Bekarar jee...

Nice sharing Bekarar jee...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #18 on: April 07, 2010, 07:17:33 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut shukriya Geet jee...Mere liye yeh bahaut badi baat hai ke meri nazmon main koi khud ka ghum dekh sakta hai...Shukriya!
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #19 on: April 07, 2010, 07:33:38 PM »
Reply with quote
Welcome Banner ji...
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:40:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer