Aadab,
Waise main koi shayar kism ka insaan nahi. Lekin kabhi kabhi kuch baate, kabhi kabhi shayri ke andaaz mein dil se nikal jaati hain. Aise hi kuchh sher, pehli baar yahan post kar raha hoon. Waise ye kis hudd tak 'sher' hain muze pata nahi, phir bhi, aap ki raay padhna pasand karoonga.
Arz Hai,
Woh jab maujood the to ye badnaseebi thi
ke ye lab, dil ki baatein keh na sake
Unse judaai ka dard dil mein is tarah baith gaya
ke ashk bhi in aankhon se beh na sake
Kabhi kabhi zindagi kya gazab khel khilati hain
ek hi pal mein kitna bada paath dilati hain
band aankhon mein sara sansaar dikhati hain
Zindagi hi humein jeena sikhati hain
Agar ghum hi na hote to khushi ka maza kise aata
Khushi hi na hoti to ghum ko ghum kaun kehta
Tanhai mein jee kar itna badal gaya yeh chehra
Muskurakar dekhne ki ise aadat na rahgi
Angaar ugalte nain itne badal chuke hain ab
Ke pyaar se koi dekhe, yeh chaahat na rahi.
Kabhi kisi ki yaad se dil pagal sa hota hain
Man hi man tanhai mein chupke se ye rota hain
Doctor se main milta hoon problem meri sunaata hoon
Na jaane kya sochta hain, par doctor mujh me hastaa hain
Kabhi kabhi ye jeevan veeraana lagta hain
Kabaad mein pada ek item puraana lagta hain
Har ek pal phir kitna long lagta hain
Slow tune pe gaaya sad song lagta hain
Kabhi lagta bhi hain ke koi is jeevan mein aa jaaye
Dil ke aasman par baadal sa chha jaaye
Pyar ke side effects ko jaan kar yeh khwaishe ruk jaati hain
Bas yun hi sochta rehta hoon aur palke jhuk jaati hain.
Dil ki baaton ko dil se na lagaaiye
Inhe soch kar aap khud ko na tadpaaiye
Waise bhi zindagi rukti nahi hamare liye
Koi saath aaye to thik warna akele chale jaaiye
SMS Sher:
Agar isi se sawarti ho kisi ki zondagi
To hum haazir hain abhi marne ke liye
Agar isi se khilta ho aap ka mobile
To banza haazir hai SMS karne ke liye
Khushamdeen
bahut khoob