Kya Gareeb Bacho ke Dil mein Koi Armaan nahi Hota "Khwaish"

by khwaish on July 20, 2010, 08:52:20 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 49611 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Kal Hi ki Baat hai jab Maine Ek Maa Ko Apne Do Bachon Ke saath, sadak ke ek Kone Par Ekdum Sookhi Hui Roti Khaate Hue dekh raha Tha,Hum Kayi Baar Inn cheezon ko Nazar-Andaaz kar Apne-Apne Kaamo Par lag jaate Hai,Par Naa Jaane Kyon Woh Ek Tasveer mein Aankhon ke saamne Baar-Baar Aati Rahi..Main maanta Hoon Aaj Ke Daur mein Gareebi se Badi koi Saza Nahi...Bas Kuch Jazbaaton mein behkar Kuch Likh Raha Hoon....


Khushiyon ko Har Koi Baant Leta Hai
par kisi Ke gham Ko Baantna Asaan Nahi Hota..

Kisi mazloom Ki Madad Karna Insaaniyat Hai!!!
Yeh Kisi Par Koi Ehsaan Nahi Hota...

Parinde Bhi Laut Aate hai Aakhir mein Apne Basere Ki orre!!!
par Kayi Insaan Aise bhi hai jinka Koi Makaan Nahi Hota...

Ek Bacha sadak Ke Kinaare Baith Kuch Soch Raha Tha!!!
 Kya Gareeb Bacho Ke Dil mein Koi Armaan Nahi Hota??

Yeh Baat Sach Hai Ke har Ek Ka Apna-Apna Naseeb hai!!!
Apne Se Kamzor Ko Dekhkar Kya Insaan Pashemaan Nahi Hota

"Khwaish" Aaj Ke Daur mein Gareebi se Badi koi Saza Nahi!!!!
Kaash Aisa Ho Ke Gareebi Ka Hi koi Naam-o-Nishaan Nahi hota...

                   ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: July 20, 2010, 09:26:08 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kin shabdon me aapki is kavita ki taarif karun samajh nahi pa raha hoon... bahut khoobsurti si aapne us maasoom bachche ke haal ko apne shabdon me utaara hai...

sach "Kya Gareeb Bacho Ke Dil mein Koi Armaan Nahi Hota??"

bahut khoob Khwaish ji... bahut hi umda likha hai aapne...!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: July 20, 2010, 12:15:26 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kin shabdon me aapki is kavita ki taarif karun samajh nahi pa raha hoon... bahut khoobsurti si aapne us maasoom bachche ke haal ko apne shabdon me utaara hai...

sach "Kya Gareeb Bacho Ke Dil mein Koi Armaan Nahi Hota??"

bahut khoob Khwaish ji... bahut hi umda likha hai aapne...!!!


Aapka Teh Dil Se Shukriya Kapil Ji Jo Aapne Iss Kavita Ke Ehsaas Ko samjha..

Bas yuhi Saath Dete rahiyega.. icon_flower
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #3 on: July 20, 2010, 03:54:50 PM »
Reply with quote
Kal Hi ki Baat hai jab Maine Ek Maa Ko Apne Do Bachon Ke saath, sadak ke ek Kone Par Ekdum Sookhi Hui Roti Khaate Hue dekh raha Tha,Hum Kayi Baar Inn cheezon ko Nazar-Andaaz kar Apne-Apne Kaamo Par lag jaate Hai,Par Naa Jaane Kyon Woh Ek Tasveer mein Aankhon ke saamne Baar-Baar Aati Rahi..Main maanta Hoon Aaj Ke Daur mein Gareebi se Badi koi Saza Nahi...Bas Kuch Jazbaaton mein behkar Kuch Likh Raha Hoon....


Khushiyon ko Har Koi Baant Leta Hai
par kisi Ke gham Ko Baantna Asaan Nahi Hota..

Kisi mazloom Ki Madad Karna Insaaniyat Hai!!!
Yeh Kisi Par Koi Ehsaan Nahi Hota...

Parinde Bhi Laut Aate hai Aakhir mein Apne Basere Ki orre!!!
par Kayi Insaan Aise bhi hai jinka Koi Makaan Nahi Hota...

Ek Bacha sadak Ke Kinaare Baith Kuch Soch Raha Tha!!!
"Khwaish" Kya Gareeb Bacho Ke Dil mein Koi Armaan Nahi Hota??

Yeh Baat Sach Hai Ke har Ek Ka Apna-Apna Naseeb hai!!!
Par Apne Se Kisi Kamzor Logon ko Dekhkar Kya Insaan Kabhi Pashemaan Nai Hota...

"Khwaish" Aaj Ke Daur mein Gareebi se Badi koi Saza Nahi!!!!
Kaash Aisa Ho Ke Gareebi Ka Hi koi Naam-o-Nishaan Nahi hota...

                   ~~~~~Khwaish~~~~~


Very Nice Poetry...Khwaish Ji....impressive creation...tahe dil se daad hazir hai.....yunhi behtar kalaam ke saath humeshaa aate rahiye....bazm ki raunq zamaate rahiye...khush rahen...

apna khayal rakhen...
duaaon ke saath....
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: July 20, 2010, 11:41:27 PM »
Reply with quote
Pehle toh yeh bata doun kay lavz nahin hai tariff karne kay liye...Dil bhar aya, ankhein bheeg gayi...Wakei aj ghareebi ek saza se kam nahin...Mager aj ager andhera hai, toh kal subah bhi hogi...jo aj hume thukra rahe hai, kal wohi hume apnaenge...
Mowla ka shukar hai kay usne bahaut diya hai mager sach hai maine bhi apni kayi khwahishat ko dafan kiya hai apni iss bahaut kam si zindagi main...kabhi kabhi chubta hai yeh sab...jab dekta hoon kay log paisa urra rahe hai jabke kisi ke pas ek waqt roti kay liye paisa nahin hai...
Chalo ab ager main kehta gaya toh najane kitna kehjaunga..
Bas dobara se daad Khwaish Dost apke liye...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: July 21, 2010, 07:31:52 AM »
Reply with quote
Very Nice Poetry...Khwaish Ji....impressive creation...tahe dil se daad hazir hai.....yunhi behtar kalaam ke saath humeshaa aate rahiye....bazm ki raunq zamaate rahiye...khush rahen...

apna khayal rakhen...
duaaon ke saath....

Bahut Bahut Shukriya Aapka Anshumaliji..
Logged
a loner
Guest
«Reply #6 on: July 21, 2010, 07:43:06 AM »
Reply with quote
yaar tumhari soch aur tumhari shayri ne rula hi diya,tumhare likhne ka andaz bahut alag hai.kkep it up!!!!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: July 21, 2010, 08:51:34 AM »
Reply with quote
Khwaish ji hamesha ki tarah aapne bahut dard bhari sachai pesh kiya.really heart touching creation.keep it up. icon_salut icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
shabbir143
Guest
«Reply #8 on: July 21, 2010, 10:02:27 AM »
Reply with quote
Bohat Khoob Khwaish Ji
Kaash Har Insan Aapki Tarah Soch Pata
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #9 on: July 21, 2010, 12:51:44 PM »
Reply with quote
Khwaish ji kya hi jazbaati kavita likhi hai aapne. Ghareebon ke dukh, dard ko mehsoos karte hue use lafzo mein badi khoobsurti se dhaala hai. Maalik ne agar hamein kuch assaniyan aur dualat di hai to hamara farz banta hai ke hum ghareebon, besaharon, yateemon ki har mumkin madad karein. Aisa karne par hamein wo kitni duaayein denge aur usse hame aisa dili sukoon aur khushi milegi ke lakhon repaye karch karne par bhi nahi mil sakti.

Ek achhi rachna ke liye aapko vadhaaiyan.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: July 21, 2010, 01:35:50 PM »
Reply with quote
Bahut Khub Khwaish Bhai
Jis Qadar Aapke Dil Men Dusron Ke Liye
Pyaar Aur Humdardi Hai Usse Main Salaam
Karta Hoon Bhai.Is Daur Mein Bahut Hi Kam
Log Aise Dekhne Ko Milte Hain Jo Dusron
Ke Dard Ko Mehsoos Kar Saken...
Humesha Ki Tarah Bahut Khoobsurat Peshkash

Khush Rahiye...


~Shihab~


Aapke iss baat par kya Jawaab Doon Majid bhai,Auron ke dard Ko mehsoos karna Hi Insaaniyat hai..Aur yehi Baat Maine Pehle sher Bhi kahi Ki Khushiyan To koi bhi Baant lega Par kisi Ke dard Ko baanta Bahut Mushkil hai..Bas Yehi Dua Hai Uss Khuda Ke Aage Ke Ke woh Apne bando par humesha Mehr Bhar Nazar banaye rakhe..Insaan Kabhi Do roti ko Mohtaaz Naa Ho...

Aapne waqt Diya,Aapka Teh dil Se shukriya Mere Bhai.. icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: July 21, 2010, 02:14:26 PM »
Reply with quote
Pehle toh yeh bata doun kay lavz nahin hai tariff karne kay liye...Dil bhar aya, ankhein bheeg gayi...Wakei aj ghareebi ek saza se kam nahin...Mager aj ager andhera hai, toh kal subah bhi hogi...jo aj hume thukra rahe hai, kal wohi hume apnaenge...
Mowla ka shukar hai kay usne bahaut diya hai mager sach hai maine bhi apni kayi khwahishat ko dafan kiya hai apni iss bahaut kam si zindagi main...kabhi kabhi chubta hai yeh sab...jab dekta hoon kay log paisa urra rahe hai jabke kisi ke pas ek waqt roti kay liye paisa nahin hai...
Chalo ab ager main kehta gaya toh najane kitna kehjaunga..
Bas dobara se daad Khwaish Dost apke liye...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bhai Rahim, Sach kaha Aapne Aaj Andhera Hai to kal Subeh Bhi hogi..

Aapne Jis Bareeki se Iss Ehsaas,Inn jazbaaton ko Samjha,Mehsoos Kiya,Koi Lafz nahi mere paas Jo Main Aapka Shukriya Ada Kar Sakoon..

Aapne Apna Waqt Diya,Teh Dil Seshukriya Mere Bhai.. icon_flower
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #12 on: July 21, 2010, 02:31:56 PM »
Reply with quote
khwaish ji....aapki kavita padhke apni ek baat yaad aagai..jiske liye main kabhi khudko maaf nahin kar pai..kyunki shayad uss waqt kuch kehti to aaj raju mere sath hota...par kuch dar kuch nasamjhi ...use kho diya aur uski wajah aaj bhi khudko hi manti hun...

aankhon me aansu aur hathon me chai ki pyali liye
kal ek bachcha mujhe chai ki dukaan par mila tha

dekh mujhe wo kuch sakuchaya kuch dara fir pas aaya
main jab usko dekh muskura di wo thoda sa kuch ghabraya tha

maine jab pucha naam kya hai bete tera aur ye hath par kya hua
wo chup raha sir jhukaye kuch na wo bol paya tha

hath pakad use khincha jab maine apne pas aur pyar se pucha
wo mere gale lag sa gaya aur der tak rota raha tha'

tabhi uske pujniya pitaji aagye wahan aur lage chillane
samajh gai main k kya hua tha wo bachcha iss tarah kyun roya tha...

kuch dekh kar sunkar bhi main kuch kar na saki khud pe bht gussa mujhe aaya tha
ek nanhe balak ko maine ek julmi baap ko saump diya tha...!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: July 22, 2010, 02:18:50 PM »
Reply with quote
yaar tumhari soch aur tumhari shayri ne rula hi diya,tumhare likhne ka andaz bahut alag hai.kkep it up!!!!

Bahut bahut Shukriya A Loner ji..

Aapne Pasand farmaya,Yeh Jaankar bahut Khushi hi hai icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #14 on: July 23, 2010, 12:20:13 PM »
Reply with quote
Khwaish ji hamesha ki tarah aapne bahut dard bhari sachai pesh kiya.really heart touching creation.keep it up. icon_salut icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause

Thankyou Soooooooooooo Much For Giving your valuable time Dear Madhu icon_flower
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:02:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer