KYA HUM SACH MEIN AZAAD HAI???

by khwaish on January 24, 2008, 03:50:09 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 14679 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote


INSAAN KE ROOP MEIN PHIRTE HAI NA JAANE BHEDIYE KITNE,
IN AANKHON KE SAAMNE HOTE HAI HAADSE KITNE,
CHUP REHTE HAI,SAB SEHTE HAI,SOCHTE HAI
KHAMOSH REHNA HI BEHTAR HAI VARNA KAT NA JAAYE
YAHAN GALE KITNE....


EK FAKIR JO BEECH RAASTO MEIN
DO ROTI KE LIYE TARASTA HAI
BEECH SADKO MEIN HAMARI NAZRON
KE SAAMNE SE GUZARTA HAI,
HAR DIN JO GAREEBI KI MAUT MARTA HAI
PHIR BHI JINDA REHNE KE LIYE WAQT SE LADTA HAI...


EK NETA JO KURSI PAR APNI NAZAR
THIKA KAR RAKHTA HAI
LAAKHO KATL KARVAAKAR BHI,
SINGHAASAN PAR JO JAA BAITHTA HAI
RAAJNITI MEIN TO KHOON PAANI SE BHI SASTA HAI
AAJ KA MANTRI AANKHON MEIN APNE
BAS KURSI KA HI TO NASHA RAKHTA HAI.....


EK SADHAARAN SA LADKA
AAJ KE DAUR MEIN JEE-JAAN LAGA KAR PADHTA HAI
BAS PARDES MEIN JAAKAR SETTLE HO JANE KI ICHA RAKHTA HAI
PAR MAIN SOCHTA HOON,YEH KAR BHI KYA SAKTA HAI?
APNE PARIVAAR KO SAMBHAAL KAR YEH AAGE KAHAN SE BAD SAKTA HAI?

MAIN AUR KISI KI NAHI,APNE DOSTO KI BAAT SUNATA HOON
SAB NE KHOOB PADHAI KI,
KOI U.S MEIN,KOI U.K MEIN,KOI DUBAI MEIN JAA BASA HAI
YUVAK PEEDHI KI  KYA YEHI EK DISHA HAI


EK LADKI JO APNE MAA-BAAP KE AANKH KA TAARA HAI
AAJ KE DAUR MEIN BETIYAN
BETO SE BADHKAR MAA-BAAP KA SAHARA HAI.

JAB BETI JAWAAN HOTI HAI
ISKI SHAADI ACHE GHAR PE HO,
HAR MAA-BAAP KO CHINTA HOTI HAI

PAR JAB DAHEJ KE NAAM PE BETI KI BOLI LOG LAGATE HAI
SACH KEHTA HOON "KHWAISH" KI AANKHEIN  ANSUO SE BHAR JAATE HAI
KYA ISSI DIN KE LIYE MAA-BAAP BETIYON KO
GHOD MEIN KHILAATE HAI....

AAO HUM SAB MILKAR IS BAAT KA EHSAAS KARE
IS DESH KE LIYE SHAHEEDO NE JAAN BHI DEDI
PAR UFFF NA KIYA,AAJ KOI SHAHEEDI KI ZARURAT NAHI
PAR IS BAAT PAR SOCHNA HAI
KYA HUM SAB NE MILKAR KABHI
IS DESH KE LIYE KUCH KIYA???

YEH SAB HALAAT DEKH KAR,"KHWAISH" KE DIL MEIN EK CHOTI SI BAAT HAI

"KYA HUM SACH MEIN AZAAD HAI"




Logged
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: January 24, 2008, 03:59:32 PM »
Reply with quote
Khwaish bro !

Na sirf yeh kabil-e-tareef hai but hats off to you for being so emotional and honest in your approach to address the various burning issues !

Bahut he achcha laga !

We need more inputs from you and like minded people here !
Logged
mehhekkk
Guest
«Reply #2 on: January 24, 2008, 04:47:01 PM »
Reply with quote
bahut lajawab,sach ye sawal to aaj bhi naag ki tarah fann nikale khadahai,kya hum sach mein aazaad hai,shayad,nahi.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: January 24, 2008, 04:51:53 PM »
Reply with quote
Khwaish bro !

Na sirf yeh kabil-e-tareef hai but hats off to you for being so emotional and honest in your approach to address the various burning issues !

Bahut he achcha laga !

We need more inputs from you and like minded people here !

THANX A LOT PAAJI...main yeh likhte waqt bahut maayus ho gaya tha..aisa laga ke sach mein  insaan ko abhi  bahut cheezo se azaadi paani hai ...thanx...ur appreciation is always valued a lot
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: January 24, 2008, 04:54:12 PM »
Reply with quote
bahut lajawab,sach ye sawal to aaj bhi naag ki tarah fann nikale khadahai,kya hum sach mein aazaad hai,shayad,nahi.

thanx a lot mehakk,aap bhi kuch likhte to acha lagta
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: January 24, 2008, 04:59:38 PM »
Reply with quote
bahoot khoob khwaish!!! bahoot acha likha hai apne!!! Ek koshish meri bhi.. apka sath dene ki...

Zindagi ke mayne ab badal gaye hai
Rahe azad her kisi ke gum se
Yah ajj ke jamane ke log
Samjh gaye hai, zindagi ke dar se

Nahi jab kuch hath mai to kuch kah kar kaya hoga
Uska bhala karne ke chakar main, kahin apna boora hoga
Koi nochta hai usko to usko bhi to kisi ko nochna hoga
Bas issi soch mai her ek insaan ko guzrana hoga

Simat gaya hai her ek insaan, bas khud hi ke liye
Chahiye dehaj bahu se, apni beti ki shadi ke liye
Phans gaye hai sabhi zalalat ke chakarview ke liye
Chahiye KARAN bahoot ajj, isse torne ke liye

Ma ke pet se hi jo yah samjh kar aye
Khud ke liye nahi, wo to bana hai DESH ke liye
Arjun se hai iltiza wo sahi path usko hai pardaye
Bahoot kuch ho sakta hai abhi bhi, Humare desh ke liye!!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: January 24, 2008, 05:17:49 PM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB POOJA...SHUKRIYA AAPKE SAATH KA..

KUCH AISE DIL MEIN JAZBAAT HAI,KE MAIN PUCH BAITHA
KYA HUM SACH MEIN AZAAD HAI??

SONE KI CHIDIYA JISSE SAB KEHTE THE,
KYA JAG KE THEKEDAARO NE CHODA,
KUCH HAMAARE HAATH HAI

AAJ GAREEBI,MUFLISI SE HAR INSAAN KA CHEHRA HAI UTRA
KYA YEHI PARIBHAASA HAI AZAADI KI
KYA ISI KO KEHTE HAI HUM AZAAD HAI???

RISHTO KI KADAR,AAPAS MEIN LOGO KA PYAAR
YEH KAHIN AUR NAHI MILTA DUNIYA MEIN
YEH SIRF APNE DESH KI DI HUI HUMEIN SAUGAAT HAI...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: January 24, 2008, 05:23:32 PM »
Reply with quote
Kis ne roka hai kaise roka hai
Yahi to samjhna hoga
Na pata chle rog ki jard
To ilaaz kaise hoga

Sun rahe hai saalo se
yah ho raha hai wo ho raha hai
kisi ko kahi se’
kuch shuru karna hoga

ab to shayad koi pardta bhi nahi
aise likhi hui baatein
kisi naye andaaz se
in sabko ab likhna hoga
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: January 24, 2008, 05:33:05 PM »
Reply with quote
EHSAAS SAB KO HAI
KE KUCH KARNA HOGA
IN MUSHKILO KO MAAT DEKAR
HUM SAB KO AAGE GUZARNA HOGA
KEHNE SE KUCH NAHI HAASIL
YEH JAANTE HAI SAB....

HUM SAB KO EK NAYA SAVERA BAN KAR UBHARNA HOGA
NAYI SOCH,NAYI KIRAN LE KE
HUM SAB KO SAVARNA HOGA
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: January 24, 2008, 05:59:04 PM »
Reply with quote
nice khwaish ji!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: January 24, 2008, 06:16:02 PM »
Reply with quote
shukriya pooja aapka
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #11 on: January 24, 2008, 07:42:49 PM »
Reply with quote
Khwaish, Pooja

Good going by both of you !

There are lots of positive changes which are taking place around us now. Though there is still a lot more to be done !

Rang de Basanti and Halla Bol type of movies are conveying a loud message and the effects are there.

So I will say keep writing and awaken others...Halla Bol !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: January 24, 2008, 07:44:59 PM »
Reply with quote
shukaria veer ji!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #13 on: January 24, 2008, 07:48:13 PM »
Reply with quote
shukriya paaji...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #14 on: January 25, 2008, 02:53:53 PM »
Reply with quote
khwaish ji bohat acha likha hai aapne ..
mere aankhon seh aasu nikal padhe.. Crying
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:47:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer