kya vb jee yaan aatay hain? (NM)

by vb on September 22, 2010, 04:30:03 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1523 times)
vb
Guest
Reply with quote


Monitors requested to plzz.. delete....

Logged
neelgold
Guest
«Reply #1 on: September 22, 2010, 09:56:42 PM »
Reply with quote
Wah Wah Wah ...

Kya baat hai VB jee.... Bhut ache ....

 Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: September 22, 2010, 10:16:49 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause

Fir ek dhamaakedaar peshkash Vb ji... jawaab nahi aapke geeton ke khoobsurti ki... hum har bar dukhi ho jaate hain ki hum dhang se aapke geeton ki taarif nahi kar paate... ap itna achcha likhte hain ki humein taarif ke shabd nahi milte hain... bas yahi sochte hain kuch aisa likhen ki lage haan Vb ji ke geet k barabar unki tarif ki hai humne.. par nahi ho paata .... taarif ke shabd itne chhote par jaate hain aapke geeton k aage... koi tulna hi nahi ho paati apke geeton ki...

bahut bahut pyaara geet likha hai aapne Vb ji.. mohabbat aur dard ka jaise sangam ko... dil ko chhooti aapki ye peshkash humein bahut pasand aayi... yunhi likhte rahiye aur humse share karte rahiye jise padh padh ke hum aanad lete rahen... bahut khoob VB ji......!!!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: September 23, 2010, 12:05:16 AM »
Reply with quote
Wah wah vb ji hmesha ki tarah bahut khoobsurti se likha aapne.great work.excellent icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause :clap:keep it up
Logged
cara
Guest
«Reply #4 on: September 23, 2010, 03:28:37 AM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI       VB JI.....



KYA VB JI YAAN AATAY HAIN..?

AAJ BHI WO APNE PYAR KO DOONHTE NAZAR AATE HAIN

YE JAANTE HUE BHI WO APNE PYAR KO KHO BAITHE HAIN

PHIR BHI USKI TALASH MEIN DAR-BADAR BATAKTE RAHETE HAIN

KABHI KABHI UNKE KHAYALON MEIN KHO JAATE HAIN

APNE GEET GAAKAR UNSE BATEN KARTE RAHETE HAIN

KISI KO KUCH NAHI KAHETE APNE AAP KO BADNASEEB MANTE HAIN

JAHAN DEKHO HAR JAGAH SAJDE KARTE NAZAR AATE HAIN

YUN TOH  VB JI PADE LIKHE HAIN "BA" "MA" PAAS HAIN

PAR PYAR KE IMTHIAN MAIN WO FAIL NAZAR AATE HAIN

BAHUT DIN HUE DEKHA NAHIN UNKO "KYA VB JI YAAN AATAY HAIN"..?

 
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #5 on: September 23, 2010, 06:28:20 PM »
Reply with quote
Ek naye he rang ki kavita....naya andaaz....khud pe vyang karna bahut mushkil hota hai....aapne bkhoobi kiya hai aur kavita ko nirvaah kiya hai...dil se daad hai ji..... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Kya puchhte ho.."kya vb jee yahaan aatey hain".?
Haan aksar shareer unka yahaan par hota hai....
Par voh saat samunder paar sapno me kho jaate hain
Naam voh kisi ladki ka neend me bud-budaate hain
Bahut koshish ki par naam hum samajh nahi paate hain
Ajeeb-o-gareeb shaksh hai voh,vb jee kehlaate hain





Ik Deewaanay, saudaaee say shakhs yahan kya aatay hain?
Naam tu un ka Rabb he jaanen, vb jee kehlaatay hain...

Ake zamaana tha in kaa bhi naam bhalaa saa hota tha
In k rangeeen naghmon ka sub college pyaasa hota tha
Aaj wohi vb jee akser, geet hijar k gaatay hain
Naam tu un ka Rabb he jaanen, vb jee kehlaatay hain...

Saat samandar paar, suna hay, ik larki par martay hain
Apnay geeton k zariyay wo baaten us say kartay hain
Us say he kehtay hain jo bhe, geeton main farmaatay hain
Naam tu un ka Rabb he jaanen, vb jee kehlaatay hain...

Suntay hain, wo larki bhe ab baat nahi karti in say
Rotay rehtay hain shab bhar ye, raat nahi kateti in say
Ab to shab bhar may-khaanay main dil apna behlaatay hain
Naam tu un ka Rabb he jaanen, vb jee kehlaatay hain...

Tan par raakh bhaboot malay wo Gorakh Naath ka chela ban
Melee soorat, melay kapray, mela tann or mela mann
Chaak garebaan kar k akser, galiyon main chilaatay hain
Naam tu un ka Rabb he jaanen, vb jee kehlaatay hain...

Itnay karmon waalay hain k kya kahiyay bus rehne dain
Mitti he ban jaataa hay gar sonay ko bhe wo chho lain
Rotay rotay, akser dekha, sajday main gir jaatay hain
Naam tu un ka Rabb he jaanen, vb jee kehlaatay hain...

Maano ya tum na maano wo BA, MA paas huvay
Bus keh lo k, duniya main na pyaar k qisay raast huvay
Aisay deewaanay tu akser, sarkon paay mar jaatay hain
Naam tu un ka Rabb he jaanen, vb jee kehlaatay hain...

Gar aain tu un say kehna, uth jaain ab maaf karen
Us larki ne ghalat kiya kya? us say bhi insaaf karen
Duniya waalay deewaanon par, pather to barsaatay hain
Naam tu un ka Rabb he jaanen, vb jee kehlaatay hain...


Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: September 23, 2010, 06:52:01 PM »
Reply with quote
Wah Anaam ji aapne bhi kuch kam nahi likha,great lines icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #7 on: September 23, 2010, 07:09:43 PM »
Reply with quote
Zarraa nawaji ka shukriaa....Madhu ji....thank you ji

Wah Anaam ji aapne bhi kuch kam nahi likha,great lines icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
saans
Guest
«Reply #8 on: September 27, 2010, 03:57:05 PM »
Reply with quote

...again a bakhoob peshkash!

aik gustaakhi ham karne lage hain, halkay-fulkay reply kee soorat mein...koshish zara si...

hamne bhi zikr suna hay inka,
aatay rahein hain, aatay rahenge...
rangeen, mehazabeen haseenaon ke...
nagme va kissay gungunatay rahenge...

apna naam hi bhool gaye hone,
aisey bhi masoom nahin hain...
haan! aik zara sa pagal-pan hay...
farhaad or shiv sa junoon nahin hay (lolz)

jis larki ka zikr suntay ho...
woh aur nahin koi khawab hay inka
kalpanaon ke gehray samandar mein ji,
kya moti, kya rait ka tinka...

jab-jab yahan aayein inhein kehna,
jab thak jaayein bas tab rukna,
insaaf wafa kee duhayiyan chorh ke,
udaasi bhool, khush-rubaayiyaan likhna....

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #9 on: September 27, 2010, 04:08:56 PM »
Reply with quote
Wahhhhhh VB ji kya kehna aapki iss nazm ka....
tareefein aapko pasand nahin to kum shabdon me itna hi kahungi...

aapki har nazm  dil ko chhu jati hai
kya kahen humse kya kya likhwa jati hai....!!!
Logged
saans
Guest
«Reply #10 on: September 28, 2010, 03:36:50 PM »
Reply with quote

Very well answered! acha likha gaya and for those light moments that we all need in this fastest life...
I thought to share something I tried, correct wherever u like, bahut gahaltiyaan hongi, phir bhi chotti si kosish...


yeh dharti hay un shayaron kee,
jahan sab ke sab deewanay hain
kuch jeevan jaach say dukhi huye,
kuch iski chaalon say sayaanay hain

in sab ke beech mein ik vb hain,
jin ko log na jaanein hain
haan! inki nazmon say lagta hay
ke kuch kuch jaanay pehchanay hain

gar insaan kee banayee haddon ko
ik saar karein tu lagta hay
shayarana see in baton mein
sab chall hain, sab bahanay hain

oh! ham arz karein kuch inkay liye
jis soorat kee yeh baat karein
woh kalpanic butt see moorat ke
ab na kuch bhi naam karein

ik kosish aur karna zara
kehna unhein sab maya hay Winking
saat samandar ke paar kahan
kab koi zinda wapis aya hay

har naQsh us saanwlay chehray ka
kuch bayaan karay yeh yaQeen tu nahin
har shaks say usko chah ho koi
itni ameer woh zameen bhi nahin

isi aik wajah ko thaan
pataal mein ghar bana liya usnay
samandar kee rangeen basti mein gum
ik seep mein panah lee usnay

ab yeh thee baat us duniyan kee
jismein jana zara mushkil hay
kehna unsay ab hosh karein
kuch aur nahin wahan daldal hay

in masoom chehron pe na jayein
kuch tu ab wo hoshe karein
reh gaye chand saal jo jeevan ke
grehasthi mein parvesh kahein

yeh jeevan ka khel hi aisa hay
jisko koi samajh na paya hay
kissay kaho ya nazmein inhein
sab ki sab hee maya hay ...

Usual Smile








Logged
saans
Guest
«Reply #11 on: September 28, 2010, 03:37:31 PM »
Reply with quote
oh...I didn't mean to use those smileys like tht, ignore them...plz
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:05:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer