**Kyun???** by Rahim

by dead heart on September 25, 2009, 08:20:35 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1427 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Kyun???

Kyun kisi se itni mohobat hojati hai,
Ke uske dhoor jane par zindagi tham si jati hai,
Woh udaas hota hai toh dil mera rota hai,
Kaise koi zindagi main itna khas hota hai,
Kyun kisi se itni mohobat hojati hai...

Kyun zindagi uske bina kabrastan lagne lagti hai,
Labon ko ussi ki pyaas lagne lagti hai,
Kyun takleef uss par ati hai aur dard mujhe hota hai,
Kaise koi zindagi main itna khas hota hai,
Kyun kisi se itni mohobat hojati hai...

Kyun uske bina sab adhura sa lagta hai,
Hawa ka ek jhonka bhi toofan lagta hai,
Kyun dokha usse mile par dil mera toot'ta hai,
Kaise koi zindagi main itna khas hota hai,
Kyun kisi se itni mohobat hojati hai...

~Rahim~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**Maa** by Rahim by dead heart in Share:Miscellaneous Shayari
**Chorr ke kyun gaya** by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
~Kyun mujhe rula diya~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
~*~ Iss qadar kyun dil laga liya sahib ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~*~ Wohi kyun rulata hai ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
Pooja
Guest
«Reply #1 on: September 25, 2009, 09:21:15 PM »
Reply with quote
WOW BAHOOT KHOOB RAHIM JI!!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: September 25, 2009, 10:07:01 PM »
Reply with quote
Wah wah Rahim bhai itna kam umar mein itni badiyaa likhte ho aap.bahut khoob,really touched,mindblowing creation,excellent icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #3 on: September 26, 2009, 03:38:07 PM »
Reply with quote
bahut khuub rahim very touching line in heart Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: September 26, 2009, 06:03:51 PM »
Reply with quote
Shukriya Pooja jee, Madhu di aur Rishi jee...
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #5 on: September 27, 2009, 06:09:03 PM »
Reply with quote
Wah Wah Mere Dost.. Kya Gazab Ke Alfaaz Likhe hain aapne.. Such me aapke In Sawaalon Ke jawab Mere paas Bhi nahi Hain.. Par aaapke har Sawal Me Succhaai Hai.. Kyunki Shayad Mohabbat Aisi Hi Hoti hai.. Aur Shayad Dard Mohabbat Ka Doosra Naam hai..!! Bahut Hi Umda.. Bahut Khoooooob..!! Applause Applause

Kuan Kahata Hai Ki Mohabbat Bahut Dard Deti Hai,
Are Aashiqon Ko To Is Dard se Bhi Mohabbat Hoti Hai..

Khaamakhaah Log Badnaam Karte Hain Mohabbat Ko,
Such To Yeh Hai Ki Dard Me Hi Mohabbat Chipi Hoti Hai..!!!

**~** Mann **~**
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: September 27, 2009, 06:26:37 PM »

Bahaut bahaut shukriya Vikas bhaijan hamesha saath dene ke liye...
Wah mere bhaijan...Aapne behad acha likha hai...Dil choone wali lines likhi hai...Applause Applause

Mohobat main dard na ho toh mohobat maza nahin deti Rahim,
Bas yehi sochte sochte uske diye dard ko apnane ki aadat dal'li...
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #7 on: September 27, 2009, 06:37:51 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Shukriya Rahim Bhai.. aur aapki Yeh 2 line waqai Bahut Khoob Hain.. Masha-Allah.. Aapki Qalam Ka jawab Nahi Rahim Bhai..!! Applause

Nigaahon Ka Milna Hua, Aur Dil Ka Tootna Hua,
Phir Mili Bewafaai, Aur Khud Ka Qatl Hona Hua..!!

**~** Mann **~**
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #8 on: September 28, 2009, 05:14:51 AM »
Reply with quote
Waah waah Ky baat hai Rahim Bro.. bahoot Bahoot Umda likha hai.. bahoot Khoob!

Mann tussi tho kya kahun.. bahoot Badiyaa.. Bahoot khoob!

Dard ka Qafila mohabbat ka paigaam lata hai
Judai ke Aalam ko bhi Ishq ka Naam de jata hai !!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: September 28, 2009, 07:04:15 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Shukriya Rahim Bhai.. aur aapki Yeh 2 line waqai Bahut Khoob Hain.. Masha-Allah.. Aapki Qalam Ka jawab Nahi Rahim Bhai..!! Applause

Nigaahon Ka Milna Hua, Aur Dil Ka Tootna Hua,
Phir Mili Bewafaai, Aur Khud Ka Qatl Hona Hua..!!

**~** Mann **~**
Bahaut bahaut shukriya...Bas dil se likta hoon aur aap jaise jab dil main base ho toh kalam ka sunder hona teh hai...
Bahaut khoob likha hai aapne bhi...Toooo good...Applause Applause

Unki bewaffai main itna dum nahin tha jo Rahim ko qatl kar sake,
Hum toh khud shahid hogaye qatil ka chehra dekh kar...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: September 28, 2009, 07:09:20 PM »
Reply with quote
Waah waah Ky baat hai Rahim Bro.. bahoot Bahoot Umda likha hai.. bahoot Khoob!

Mann tussi tho kya kahun.. bahoot Badiyaa.. Bahoot khoob!

Dard ka Qafila mohabbat ka paigaam lata hai
Judai ke Aalam ko bhi Ishq ka Naam de jata hai !!

Bahaut bahaut shukriya Divya di...

Wah kya baat hai...Kya baat kahi hai...Toooo goood... Applause

Woh aur honge jinke judai ko bhi ishq ka naam diya jata hoga,
Yahan toh judai main Rahim ka janaza ut'te ut'te bachgaya...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:48:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.142 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer