<>*kyun ikraar kiya karte hain*<>

by *KasaK*....Dil Ki on August 10, 2010, 12:30:08 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2987 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
Reply with quote
<>*kyun ikraar kiya karte hain*<>

khayalon k aangan me jab  bhi hum tahelte hain
na jane kitne anokhe sapne jii liya karte hain

ho sakte nahin jo pure kabhi kisi haal me
hum wo ankahe afsaane sun liya karte hain

jab tatolta hai man kabhi unn sapno ko akele me
hum sharm se apna sir jhuka liya karte hain

kyun kar baithe hum wo khwaishen jo jaayaz nahin
hum har baar khud se ye sawalaat kiya karte hain

kuch to hongi majburiyan kuch dil ki chahatein
jo hum unke kadmon me ab bhi sir jhukaya karte hain

ye meri chahat hai ya tere pyaar ka pagalpan sanam
hum inkaar me bhi na jane kyun ikraar kiya karte hain...!!!
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #1 on: August 10, 2010, 12:35:40 PM »

Very romantic.....Very touching.....Kasak Ji ......nice creation....dil se daad hazir hai....yunhi likhte rahen...

khush rahen...
duaaon ke saath...
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #2 on: August 10, 2010, 12:59:23 PM »
Reply with quote
its to awesome kasak......... Clapping Smiley

 Applause  Applause  Applause  Applause Applause  Applause  Applause

 Applause  Applause  Applause  icon_thumleft
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #3 on: August 10, 2010, 01:21:09 PM »
Reply with quote
its to awesome kasak......... Clapping Smiley

 Applause  Applause  Applause  Applause Applause  Applause  Applause

 Applause  Applause  Applause  icon_thumleft

thnx devangi ji.....aapne ise itna pasand kiya
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #4 on: August 10, 2010, 01:23:24 PM »
Reply with quote
Very romantic.....Very touching.....Kasak Ji ......nice creation....dil se daad hazir hai....yunhi likhte rahen...

khush rahen...
duaaon ke saath...

shukriya naresh ji k aapne ise itna saraha....
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #5 on: August 10, 2010, 01:37:56 PM »
Reply with quote
Sunder khayaal aur unka izhaar....kasak-di.. Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Sapno par koi rok-tok nahi hum har raat dekh liya karte hain
Jaante hain poore nahi honge ess liye jeekra nahi karte hain

Jo kismat ne diyaa uss-se jayaada hamesha maanga karte hain
Hogi kuchh teri bhi majburi par saath tera maanga karte hain

<>*kyun ikraar kiya karte hain*<>

khayalon k aangan me jab  bhi hum tahelte hain
na jane kitne anokhe sapne jii liya karte hain

ho sakte nahin jo pure kabhi kisi haal me
hum wo ankahe afsaane sun liya karte hain

jab tatolta hai man kabhi unn sapno ko akele me
hum sharm se apna sir jhuka liya karte hain

kyun kar baithe hum wo khwaishen jo jaayaz nahin
hum har baar khud se ye sawalaat kiya karte hain

kuch to hongi majburiyan kuch dil ki chahatein
jo hum unke kadmon me ab bhi sir jhukaya karte hain

ye meri chahat hai ya tere pyaar ka pagalpan sanam
hum inkaar me bhi na jane kyun ikraar kiya karte hain...!!!
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #6 on: August 10, 2010, 02:04:09 PM »
Reply with quote
Hmm……………Kasak Ji…………..

Ek Aur Mast Wala Bomb Feka He Apne…..
Well Meri Request He Sabhi Se Ki Kasak Ji Ko Ek Recognist Terrorist Declare Kar Diya Jaye………
Kyuki Ye Shayri Ke Zariye Ese Bomb Marti He Ki Hum Khud Ko Bhula Dete He………
Its Superb Presentation Kasak Ji………..Mindblowing And Heart Touching……..

Well Ye Apki Poetry Ke Jawab Me Ek Choti Si Koshish Mere Taraf Se …..Umiid He Aapko Pasand Aye

Mohhabat Me Hum Inkaar Ko Ikraar Mante He
Sanam Ki Shikayate Hum To Pyar Mantee He

Humdono  Rakhte He Khamosh In Labo Ko
Ek Duje Ka Haal Fir Bhi Hum Yaar Jante He

Khwab Dekho Bas Unhe Pura Honi Ki Shart Na Rakho
Jo Kar De Inhe Pura Use Hum Parwar Digaar Mante He

Sar Juka Ho Sanam Ke Kadam Me To Kya Harj He
Hum To Unki Jeet Me Jeet Unki Haar Me Apni Haar Mante He

Hume Kya Lena Dena Duniya Se Apni Duniya To Tu He Sanam
YIsiliye Ye Begairat Duniya Hume Aur Hum IsKo Bekaar Mante He
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #7 on: August 10, 2010, 02:10:58 PM »
Reply with quote
haayeeeeeeeee rabbaaaaaaa.......

dil dhadka gaye aapke bol ji......

teri har baat hum subah shaam mante hain
tujhi ko apna solah shringaar mante hain

tu chahe to bana de chahe to mita de hume
hum teri har raza sarkaar mante hain

tujhe pujte pujte ab to uss kanha ko bhi bhula diya
janu tujhe hum apna natkhat gopal mante hain

kaise kahein k kya baat hai tere pyaar me e sanam
hum tujhe khud me aur khud ko tujhme samaya mante hain...!!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #8 on: August 10, 2010, 03:10:40 PM »
Reply with quote
Agar Yeh kahoon Ke Anamika Ji Mere Paas Koi Lafz Nahi Iss Kavita Ki Tareef Mein To woh Bhi Aapko Suuna-Suuna Sa Lagega..

Aapki Yeh kavita Mein Dard Aur Mohabbat Ka Ek Milan Nazar Aaya..Insaan Kayi Baar Dil mein Aisi khwaishe,Aisi Umeed jaga leta hai jo kabhi mukammal Nahi ho paate..Aur Shayad Woh Zindagi Mein Kuch Naajayaz Khwaishe Hi Bankar Reh Jaate Hai, Isliye Kuch Kehna Chahunga...

Zaroorate Ke Mutaabik Zindagi Jeeo
Khwaisho Ke Mutaabik Nahi!!!!!

Kyonki Zaroorat Fakir Ki Bhi Poori Ho Jaati hai
Aur Khwaish Baadshaho Ki Bhi Adhoori Reh Jaati Hai..

Yehi zindagi Ki haqeeqat Hai Anamikaji..

Logged
ishu_singh10
Guest
«Reply #9 on: August 10, 2010, 03:28:13 PM »
Reply with quote
nice Kasak & Gud Khwaish
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #10 on: August 10, 2010, 03:31:52 PM »
Reply with quote
Agar Yeh kahoon Ke Anamika Ji Mere Paas Koi Lafz Nahi Iss Kavita Ki Tareef Mein To woh Bhi Aapko Suuna-Suuna Sa Lagega..

Aapki Yeh kavita Mein Dard Aur Mohabbat Ka Ek Milan Nazar Aaya..Insaan Kayi Baar Dil mein Aisi khwaishe,Aisi Umeed jaga leta hai jo kabhi mukammal Nahi ho paate..Aur Shayad Woh Zindagi Mein Kuch Naajayaz Khwaishe Hi Bankar Reh Jaate Hai, Isliye Kuch Kehna Chahunga...

Zaroorate Ke Mutaabik Zindagi Jeeo
Khwaisho Ke Mutaabik Nahi!!!!!

Kyonki Zaroorat Fakir Ki Bhi Poori Ho Jaati hai
Aur Khwaish Baadshaho Ki Bhi Adhoori Reh Jaati Hai..

Yehi zindagi Ki haqeeqat Hai Anamikaji..

aapki baat hume bht achhci lagi khwaish ji.....
sach hai jo aapne kaha k jaruraton k hisaab se jiyo khwaishon k nahin
lekin unn khwaishon ka kya ji jo khwaishein zindagi ki jarurat ban jati hain...wo khwaishein na chhode banti hain na unke pure hone ki umeed hoti hai....zindagi use paane aur na paane ki uljhan me hi reh jati hai...

zindagi meri bhi ek aisi hi uljhan ban gai hai
suljhi hui kadi thi ye ab ik paheli ban gai hai

kuch sapne kuch armaan jaga gaye wo dil me
jinhe pane ki dil me justazoo jag gai hai

nahin honge wo pure kabhi iss zindagi me
ye jaan kar bhi zindagi unke piche bhaag rahi hai

kyun hain ye khwaish mere dil me bata do tum
jinke pure na hone ki kasak dil me reh reh k uth rahi hai...!!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #11 on: August 11, 2010, 12:54:15 AM »
Reply with quote
uffffffffff..... yahaan to qatl-e-aam macha rakha hai aapne Kasak ji... sabki jaan leke rahoge aap apne kavitaon se... hum to ghaayal ho hi chuke hain jaaane aur kitne huye honge... bahut khoobsurat rachna hai ye aapki... dard aur mohabbat ka sangam .... wah ji wah... kya kehne .... bahut hi pyaari kavita hai...!!!

 Hats off to you!
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #12 on: August 11, 2010, 05:38:14 PM »
Reply with quote
Sunder khayaal aur unka izhaar....kasak-di.. Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Sapno par koi rok-tok nahi hum har raat dekh liya karte hain
Jaante hain poore nahi honge ess liye jeekra nahi karte hain

Jo kismat ne diyaa uss-se jayaada hamesha maanga karte hain
Hogi kuchh teri bhi majburi par saath tera maanga karte hain

thnku thnku koyal tumne ye kavita pasand ki iss liye...and beautiful iines from ur side ...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #13 on: August 11, 2010, 05:39:23 PM »
Reply with quote
nice Kasak & Gud Khwaish

thnx ishu ji...for appreciating......
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #14 on: August 11, 2010, 05:41:50 PM »
Reply with quote
uffffffffff..... yahaan to qatl-e-aam macha rakha hai aapne Kasak ji... sabki jaan leke rahoge aap apne kavitaon se... hum to ghaayal ho hi chuke hain jaaane aur kitne huye honge... bahut khoobsurat rachna hai ye aapki... dard aur mohabbat ka sangam .... wah ji wah... kya kehne .... bahut hi pyaari kavita hai...!!!

 Hats off to you!

ufffffff........ab aapko kya kahun.....
thnx alot....klaskar ji...k aapne itnaaaaaaaaaaaaaaaaaa pasand kiyaaaaa meri iss koshish ko......
aap sabko dekh dekh padh k likh leti hun ...bas aur kuch nahin....
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:58:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer