**Lachar umeedein** by Rahim

by dead heart on May 12, 2010, 09:10:36 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2203 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Kuch log hai jo sirf umeedon pe jeete hai...Yeh nazm unke naam...
Dil jo sochta hai, wohi likh raha hoon...Bura lage toh teh dil se maafi mangta hoon...
Ek shaer yaad ata hai jab main sochta hoon unn logon ke baare main jo sirf umeed karte hai;


Sirf umeedon se khwahishein puri nahin hoti,
Sirf duaon se toh doston, yahan Jannat bhi nahin milti...

Bhatak’ta hai raaston par,
Asmaan choone ki khwahish hai,
Parra rehta hai sadak ke konon par,
Mahalon main rehne ki khwahish hai,
Insaan lachar umeedon pe jeeta hai…

Padayi kar nahin sakta kyun ki paise nahin hai,
Hawayi jahanz udane ki khwahish hai,
Koi dusra desh gumne ki aukad nahin hai,
Duniya dekhne ki khwahish hai,
Insaan lachar umeedon pe jeeta hai…

Apne bachon ko khilone tak nahin dila sakta,
Gadion main gumne ki khwahish hai,
Naye kapde kharidne main arson lag jate hai,
Jashnon main jumne ki khwahish hai,
Insaan lachar umeedon pe jeeta hai…

Haath thama hua hai uska jisse tumse mohobat nahin,
Usse pane ki dil-i khwahish hai,
Woh sitam karti hai aur tu sehta rehta hai nadan,
Mohobat karne ki dil se khwahish jo hai,
Insaan lachar umeedon pe jeeta hai…

Kehta hai ‘Khamosh’ ke agey badna seekho,
Jo tumhe chorr gaye usse chorrna seekho,
Jo nahin paa sakte; usse pane ki umeed na rakho,
Mager usse pane ke sapne zaroor dekho,
Mohobat karo toh aisi karo ke khushi mile,
Jo ghum dene lage usse khushi bana na seekho,
Warna usse zindagi se nikal phekna seekho,
Adhuri khwahishon ke sahare mat jeeyo,
Na-puri umeedon ko peeche chorrna seekho,
Jaise tum chahte ho; waisi mukamal zindagi jeeyo,
Koi tumhe chalaye; aisa kisi ko moka na do,
Takkat bano khud ki na ke kamzori,
‘Khamosh’ kehta hai har pal ko jeeyo,
Har lamhe ko jeeyo,
Har lamhe main jeeyo,
Zindagi sirf ek baar milti hai,
Zindagi ko zindagi main mukamal jeeyo,
Mager kadva sach hai ke,
Insaan lachar umeedon pe jeeta hai…


~Rahim~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
::Umeedein....:: by nidhi_yadein in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
**Meri jaan tu nahin toh 'Rahim' nahin**by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Lachar mohabbat by raajaindra in Shayari -e- Husn
Lachar log.... prakrati by prakrati in Miscellaneous Shayri
kitne lachar hum hai by suman59 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
vb
Guest
«Reply #1 on: May 13, 2010, 10:24:19 AM »
Reply with quote
buhat achhay... ! khoob...
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #2 on: May 13, 2010, 10:33:13 AM »
Reply with quote
Wah wah rahim bhai,bahut gaherai aur sachai hai aapke nazm mein.great creation.bahut bahut khoob Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #3 on: May 13, 2010, 11:08:29 AM »
Reply with quote
Wah Rahim-bhai...wah kya kehne.. Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Umeed ke bina tou jeena bada kathin hai
Na ho sapne tou aage badhna mushkil hai

Dil mai ho sachi lagan tou har khwahish mumkin hoti hai
Umeed kab laachaar hoti hai,ye tou kismat ayse hoti hai

Kuch log hai jo sirf umeedon pe jeete hai...Yeh nazm unke naam...
Dil jo sochta hai, wohi likh raha hoon...Bura lage toh teh dil se maafi mangta hoon...
Ek shaer yaad ata hai jab main sochta hoon unn logon ke baare main jo sirf umeed karte hai;


Sirf umeedon se khwahishein puri nahin hoti,
Sirf duaon se toh doston, yahan Jannat bhi nahin milti...

Bhatak’ta hai raaston par,
Asmaan choone ki khwahish hai,
Parra rehta hai sadak ke konon par,
Mahalon main rehne ki khwahish hai,
Insaan lachar umeedon pe jeeta hai…

Padayi kar nahin sakta kyun ki paise nahin hai,
Hawayi jahanz udane ki khwahish hai,
Koi dusra desh gumne ki aukad nahin hai,
Duniya dekhne ki khwahish hai,
Insaan lachar umeedon pe jeeta hai…

Apne bachon ko khilone tak nahin dila sakta,
Gadion main gumne ki khwahish hai,
Naye kapde kharidne main arson lag jate hai,
Jashnon main jumne ki khwahish hai,
Insaan lachar umeedon pe jeeta hai…

Haath thama hua hai uska jisse tumse mohobat nahin,
Usse pane ki dil-i khwahish hai,
Woh sitam karti hai aur tu sehta rehta hai nadan,
Mohobat karne ki dil se khwahish jo hai,
Insaan lachar umeedon pe jeeta hai…

Kehta hai ‘Khamosh’ ke agey badna seekho,
Jo tumhe chorr gaye usse chorrna seekho,
Jo nahin paa sakte; usse pane ki umeed na rakho,
Mager usse pane ke sapne zaroor dekho,
Mohobat karo toh aisi karo ke khushi mile,
Jo ghum dene lage usse khushi bana na seekho,
Warna usse zindagi se nikal phekna seekho,
Adhuri khwahishon ke sahare mat jeeyo,
Na-puri umeedon ko peeche chorrna seekho,
Jaise tum chahte ho; waisi mukamal zindagi jeeyo,
Koi tumhe chalaye; aisa kisi ko moka na do,
Takkat bano khud ki na ke kamzori,
‘Khamosh’ kehta hai har pal ko jeeyo,
Har lamhe ko jeeyo,
Har lamhe main jeeyo,
Zindagi sirf ek baar milti hai,
Zindagi ko zindagi main mukamal jeeyo,
Mager kadva sach hai ke,
Insaan lachar umeedon pe jeeta hai…


~Rahim~
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: May 13, 2010, 08:34:26 PM »
Reply with quote
Shukriya VB jee, Madhu di aur Koyal di...

Nice lines Koyal di...bahaut ache... Applause Applause
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #5 on: May 14, 2010, 06:48:20 AM »
Reply with quote

Thanks Rahim-bhai....

Shukriya VB jee, Madhu di aur Koyal di...

Nice lines Koyal di...bahaut ache... Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: May 14, 2010, 11:42:31 AM »
Reply with quote
Welx di...
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #7 on: May 15, 2010, 06:16:43 AM »
Reply with quote
Rahim Mere Dostttt.. Behad Hi Lajawab Peshkash Aapki.. Har ek lafz Apne aapme Ek Kahani kahata Nazar aata Hai.. Bahut Umda Likha hai mere Dost.. Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
dead heart
Guest
«Reply #8 on: May 15, 2010, 10:14:19 AM »
Reply with quote
Shukriya Vikas bhaijan...Teh dil se shukriya!
Logged
S.hashmi
Guest
«Reply #9 on: May 17, 2010, 10:43:11 AM »
Reply with quote
 Applause bahot hi umda rachna
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: May 17, 2010, 01:05:31 PM »
Reply with quote
Shukriya Hashmi jee..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 04:49:58 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer