*Ladayi Ho Gayi Hai*

by Roja on January 22, 2009, 02:33:29 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1102 times)
Roja
Guest
Reply with quote
Zamane-ber ki in angdayiyon mein
Burayi chup gayi acchayiyon mein..

Ye diware uti toh humne jana
Ladayi ho gayi hai bhayiyon mein..

Kahi se mil gaya hai kya kajana
Jo ab utne lage oonchayiyon mein..

Pahadi raston per chale rahe ho
Ludak jao na gehrayiyon mein..

Jali hai kaun-si basti batao
Ajab-si bhuu(smell) hai in purvayiyon mein..

Kabhi rote rahe hum bheed mein bhi
Kabhi haste rahe tanhayiyon mein..

Zara tum gaur se dekho toh "Roja"
Kayi parvath chupe hai raayiyon mein....






Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~~De Gayi~~~ by Ravinder in Shayri-E-Dard
mohabbat ho gayi hai kya.................................... by salil2002 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek umr guzar gayi by raiees in Shayri-E-Dard
TU BAS GAYI HAIN by ANKIT RAO in Shayri for Khumar -e- Ishq
*Dushwariyan Reh Gayi* by Roja in Shayri-E-Dard
Pooja
Guest
«Reply #1 on: January 22, 2009, 02:57:38 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

her ek line ek se bar kar ek hai Roja... Superb Likha hai... magar yah do line to such main rula gai mujhe..

Kabhi rote rahe hum bheed mein bhi
Kabhi haste rahe tanhayiyon mein..
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #2 on: January 22, 2009, 03:13:52 AM »
Reply with quote
 Applause Applause
bahoot khoob roja....
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #3 on: January 22, 2009, 04:31:41 AM »
Reply with quote
Zamane-ber ki in angdayiyon mein
Burayi chup gayi acchayiyon mein..

Ye diware uti toh humne jana
Ladayi ho gayi hai bhayiyon mein..

Kahi se mil gaya hai kya kajana
Jo ab utne lage oonchayiyon mein..

Pahadi raston per chale rahe ho
Ludak jao na gehrayiyon mein..

Jali hai kaun-si basti batao
Ajab-si bhuu(smell) hai in purvayiyon mein..

Kabhi rote rahe hum bheed mein bhi
Kabhi haste rahe tanhayiyon mein..

Zara tum gaur se dekho toh "Roja"
Kayi parvath chupe hai raayiyon mein....








Wah Wah Subhan allah kya likha janab !! maza agaya rooja ji !!

Aur is ashar ke kya kahene "

Jali hai kaunsi basti batao !!
ajab si boo hai in purva-e-yoon me !!

...............Roja..............

Ye sher duniya ke har shaqs se sawal karta nazar ata  hai !! kya maada aur wazan diya hai ghazal ko is sher ne bhai mahefooz rakhiyega is sher ko aag laga dega mahefiloon me !! Allah tumhare is kalam ko izzath bakshe Ameen !!


Eak Ashar Apki Nazar karta hon roji ji jo sacha-e-mabni hai !! Tawajjo chahonga !!

Ab wo Kaunse Amman ki baath karte hain qadeer !!
ajj bhi kai laashen mili hain viraniyoon me !!

Qadeer Toopchi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: January 22, 2009, 04:40:26 AM »
Reply with quote
bahoot achi lines likhi hai Qadeer ji apne... wah kaya baat hai, do line mai sab kah gaye!!!!
Logged
cara
Guest
«Reply #5 on: January 22, 2009, 04:57:58 AM »
Reply with quote
kya baat hai....roja ji   ....

khushiyan jo nazar aati hai insaano mein,
bahut burayiyan chupee hain,in ki parchaiyon mein.
ab toh sirf diware hi uti hai bhayiyon mein,
jannat ke badle,sab jaayege,apni hi khodi huyi khaaiyun mein.
 
Logged
abdulqadeer
Guest
«Reply #6 on: January 22, 2009, 05:01:14 AM »
Reply with quote
bahoot achi lines likhi hai Qadeer ji apne... wah kaya baat hai, do line mai sab kah gaye!!!!

Shukriya Pooja Ji inshallah is Lines ko jald hi ghazalka roop donga duva kijiya !! aur apko meri lines pasand ayi to iski qimat usool ho gayi ...Allah tumhe Khush rakhe !! aur apki sunch ko barqara rakhe ye line samjhne ke liye bahoth mudda chahiye !!ahesand mand hai apke ke apne is lines ko samjha aur saraha !!

Qadeer Toopchi
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: January 22, 2009, 05:25:52 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Roja Ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: January 22, 2009, 05:31:00 AM »
Reply with quote
Shukriya Pooja Ji inshallah is Lines ko jald hi ghazalka roop donga duva kijiya !! aur apko meri lines pasand ayi to iski qimat usool ho gayi ...Allah tumhe Khush rakhe !! aur apki sunch ko barqara rakhe ye line samjhne ke liye bahoth mudda chahiye !!ahesand mand hai apke ke apne is lines ko samjha aur saraha !!

Qadeer Toopchi

Apki Gazal ka intzaar rahega!!
Logged
Roja
Guest
«Reply #9 on: January 25, 2009, 09:06:50 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

her ek line ek se bar kar ek hai Roja... Superb Likha hai... magar yah do line to such main rula gai mujhe..

Kabhi rote rahe hum bheed mein bhi
Kabhi haste rahe tanhayiyon mein..


Bahut bahut shukhriya didi aapne waqt nikal kar hamara
yeh kalam pada aur tarif ki... Thank you dear.
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: January 25, 2009, 09:18:15 AM »
Reply with quote
Applause Applause
bahoot khoob roja....

Thanks Bhaiya
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: January 25, 2009, 09:22:08 AM »
Reply with quote
Bohat Khoob Roja Sis Keep It Up...

Thanks majid brother
Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: January 25, 2009, 09:24:18 AM »
Reply with quote
kya baat hai....roja ji   ....

khushiyan jo nazar aati hai insaano mein,
bahut burayiyan chupee hain,in ki parchaiyon mein.
ab toh sirf diware hi uti hai bhayiyon mein,
jannat ke badle,sab jaayege,apni hi khodi huyi khaaiyun mein.
 

Thank you Cara, and bahut accha likha hai aapne bi..Yu hi saat dena
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: January 25, 2009, 09:28:22 AM »
Reply with quote
Wah Wah Subhan allah kya likha janab !! maza agaya rooja ji !!

Aur is ashar ke kya kahene "

Jali hai kaunsi basti batao !!
ajab si boo hai in purva-e-yoon me !!

...............Roja..............

Ye sher duniya ke har shaqs se sawal karta nazar ata  hai !! kya maada aur wazan diya hai ghazal ko is sher ne bhai mahefooz rakhiyega is sher ko aag laga dega mahefiloon me !! Allah tumhare is kalam ko izzath bakshe Ameen !!


Eak Ashar Apki Nazar karta hon roji ji jo sacha-e-mabni hai !! Tawajjo chahonga !!

Ab wo Kaunse Amman ki baath karte hain qadeer !!
ajj bhi kai laashen mili hain viraniyoon me !!

Qadeer Toopchi

Thank you very much Toopchi ji... aapne b bahut
umda jawab mein likha hai..
Logged
Roja
Guest
«Reply #14 on: January 25, 2009, 09:31:23 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Roja Ji

Thanks Rajesh harish ji, saat dete rehna.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:56:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer