Lanat Teri Bewafai per

by Pooja on April 09, 2009, 07:00:25 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2227 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Kar ke mujhse bewafai, aoro main mujhe dhoonda kiye
lanat teri bewafai per, kaya soch kar aise insaan dunia main jiya kare

Phir se wahi natak, phir se wo hi dhoka giri
kis tarah wehashi insaan, insaaniyat ka khoon piya kare

Na umar ki sharm, na zindagi ka takaza
kis besharmi se wo, apne he khoon (kids)ka khoon kiya kare

her dhoke ko samjhe vijay, her loot ko haq apna
kaise bacho ke munh se chin roti, ayaashi yah insaan kiya kare

Kar ke mujhse bewafai, aoro main mujhe dhoonda kiye
lanat teri bewafai per, kaya soch kar aise insaan dunia main jiya kare
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~~ Sab Teri Bewafai Ka Anjaam hai ~~~ by Devdas_online in Shayeri for Dard -e- Bewafai
TERI BEWAFAI by jochahohojayein in Shayeri for Dard -e- Bewafai
wah re teri bewafai.......... by roshni246 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Teri Bewafai Ka Fasaana,. by Azeem Azaad in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~~Teri Bewafai ~~ by ALONE BAD in Shayeri for Dard -e- Bewafai
pandit
Guest
«Reply #1 on: April 09, 2009, 07:03:17 PM »
Reply with quote
NICE CREATION POOJA JEE..
SAMAAJ KO AAINA DIKHAYA HAI AAPNE....

GUD ONE..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: April 09, 2009, 07:05:47 PM »
Reply with quote
Shukaria Pandit ji!!! Bas kaam karte karte, pata nahi man mai kaya ayya aor kalam likhati chali gai !!!
Logged
pandit
Guest
«Reply #3 on: April 09, 2009, 07:07:46 PM »
Reply with quote
Shukaria Pandit ji!!! Bas kaam karte karte, pata nahi man mai kaya ayya aor kalam likhati chali gai !!!

TRUE..
I WAS ALSO AMAZED..
KI ABHI TO WORKING TIME HAI AND POOJA JE NE ITNI GEHRAI SE BHARI LINES LIKH RAHII HAIN...

NEVER MIND..THAT WAS GREAT........... Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: April 09, 2009, 09:11:20 PM »
Reply with quote
Kar ke mujhse bewafai, aoro main mujhe dhoonda kiye
lanat teri bewafai per, kaya soch kar aise insaan dunia main jiya kare

Phir se wahi natak, phir se wo hi dhoka giri
kis tarah wehashi insaan, insaaniyat ka khoon piya kare

Na umar ki sharm, na zindagi ka takaza
kis besharmi se wo, apne he khoon (kids)ka khoon kiya kare

her dhoke ko samjhe vijay, her loot ko haq apna
kaise bacho ke munh se chin roti, ayaashi yah insaan kiya kare

Kar ke mujhse bewafai, aoro main mujhe dhoonda kiye
lanat teri bewafai per, kaya soch kar aise insaan dunia main jiya kare

Waah...Pooja, Samaj ke ghinaune sach ko aapne badi khoobsurti se shabodon main baandha hai....Bohot Khoob !
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: April 10, 2009, 02:34:37 AM »

Applause  Applause Applause
Wah wah wah.... Last four lines bahut accha laga padkar. Too good di..

Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: April 10, 2009, 02:48:13 AM »
Reply with quote
Bahut hi khoob Pooja di..

Applause
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #7 on: April 10, 2009, 03:54:59 AM »
Reply with quote
bohat bohat khoob bohat umda pooja ji...
bohat khoobsoorati se naraazgi jataai aapne.....
bohat khoob khayal likha aapne..... Applause Applause Applause
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #8 on: April 10, 2009, 04:34:21 AM »
Reply with quote
Nice work Pooja... very well said..
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #9 on: April 10, 2009, 05:07:52 AM »
Reply with quote
Very Very Nice Pooja. Di.. Bahoot hi acha aur sacha likha hai aapne.. Winking
Logged
sanya310
Guest
«Reply #10 on: April 10, 2009, 10:22:31 AM »
Reply with quote
bohot achhe pooja di!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: April 10, 2009, 08:19:33 PM »
Reply with quote
Bahoot acha laga yah dekh kar, jis arth main yah kavita likhi gai... bahoot yo-members ne use samjha aor saraha hai!! Ajj Insaaniyat ka bahoot bada durbhagye hai yah ki insaan apne sawarth main... apno ko kitna dard deta ja raha hai!!

Waah...Pooja, Samaj ke ghinaune sach ko aapne badi khoobsurti se shabodon main baandha hai....Bohot Khoob !

Thanks Celmira!!!

Applause  Applause Applause
Wah wah wah.... Last four lines bahut accha laga padkar. Too good di..

Thanks Roja!!

Bahut hi khoob Pooja di..

Applause

bahoot bahoot shukaria Angel!!

bohat bohat khoob bohat umda pooja ji...
bohat khoobsoorati se naraazgi jataai aapne.....
bohat khoob khayal likha aapne..... Applause Applause Applause

Thanks Saurabh ji!!

Nice work Pooja... very well said..

Thanks Sajid!!

Very Very Nice Pooja. Di.. Bahoot hi acha aur sacha likha hai aapne.. Winking

Shukaria Sophi!!

bohot achhe pooja di!

Thanks Sanya!!!
Logged
forgot
Guest
«Reply #12 on: April 20, 2009, 05:51:17 PM »
Reply with quote
Bahoot khoob Pooja ji, waha, waha!!
tum jinta sunder likhti ho , shayad tum itni sunder bhee ho.
well, humne bhee irshad kiya hai- par ye likha kishne hai ye pata nahi

Agar rakh sakho to 1 nishani hu main,
Aur kho do to sirf 1 kahani hu main,
Rok paye na jisko ye saari duniya,
Vo 1 boondh ankh ka paani hu main.............!!!!

Sabko pyar dene ki aadat hai hume,
Apni alag pehchan banane ki aadat hai hume,
Kitna bhi gehra jakhm de koi,
Utna hi jyada muskurane ki aadat hai hume.....!!!!

fir farmaya hai
---------------------------
Is anjnabi duniya mein,Akela ek khawaab hu,
Sawaalo se khafa,Chhota sa jawaab hu,

Jo na samjh sake,Unke liye "KOUN",
Jo samajh chuke,Unke liye kitaab hu,

Duniya ki nazar mein,Jaane kyu chubha sa,
Sabse nashila aur badnaam sharaab hu,

Sar uthakar dekho,Wo dekh raha hai tumko,
Jisko na dekha usne,Wo chamakta aaftab hu,

Aankh se dekhoge,To khush paoge,
Dil se poochoge,To dard ka sailaab hu.........!!!!

-----------------------------------------------
fir farmaya hai
do muhan achhe hai rakeeb main kishi mashoom ko das jaane ko
kaisa swad hota hai jara tum bataona .
alif koi to muhan kholo , main betab hoon hakikat khuda ki mahafil main laane ko

Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: April 21, 2009, 02:18:29 AM »
Reply with quote
Nice sharing Forgot ji  Thumbs UP
Logged
pandit
Guest
«Reply #14 on: April 21, 2009, 02:27:36 AM »
Reply with quote
Bahoot khoob Pooja ji, waha, waha!!
tum jinta sunder likhti ho , shayad tum itni sunder bhee ho.
well, humne bhee irshad kiya hai- par ye likha kishne hai ye pata nahi

Agar rakh sakho to 1 nishani hu main,
Aur kho do to sirf 1 kahani hu main,
Rok paye na jisko ye saari duniya,
Vo 1 boondh ankh ka paani hu main.............!!!!

Sabko pyar dene ki aadat hai hume,
Apni alag pehchan banane ki aadat hai hume,
Kitna bhi gehra jakhm de koi,
Utna hi jyada muskurane ki aadat hai hume.....!!!!

fir farmaya hai
---------------------------
Is anjnabi duniya mein,Akela ek khawaab hu,
Sawaalo se khafa,Chhota sa jawaab hu,

Jo na samjh sake,Unke liye "KOUN",
Jo samajh chuke,Unke liye kitaab hu,

Duniya ki nazar mein,Jaane kyu chubha sa,
Sabse nashila aur badnaam sharaab hu,

Sar uthakar dekho,Wo dekh raha hai tumko,
Jisko na dekha usne,Wo chamakta aaftab hu,

Aankh se dekhoge,To khush paoge,
Dil se poochoge,To dard ka sailaab hu.........!!!!

-----------------------------------------------
fir farmaya hai
do muhan achhe hai rakeeb main kishi mashoom ko das jaane ko
kaisa swad hota hai jara tum bataona .
alif koi to muhan kholo , main betab hoon hakikat khuda ki mahafil main laane ko

nice work Forgot..
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:32:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer