MAA KA SAYA !!( Qadeertoopchi )

by junaidqadir on June 24, 2009, 07:12:49 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 3933 times)
junaidqadir
Guest
Reply with quote
Ahle yoindia adaab !!

Bahoth din baad apke bich hazir hon khuch maazi ki yaden liye howe jo yoindia se taluq rakhti hain ,, masrufiyath ne ab jaake ijazath di hai to hazir howa hon ussi umid se jo kabhi yoindia se howa karti thi ,, khuch naya to post nahi kar sakta filhal Saudi Arabia me muqeem hon to ammi ki yaad kaafi mutasir kar rahi hai apni likhi eak purani ghazal apni ammi  aur abbu ke naam !! unke haq me duva farma-e-yega !! aur allah sub ke sar per unke waldin ka saya rakhe ,, Ameen !!

Araz hai

Mere sar pe  meri maa ki duvaoon ka saya hoga !!
Shayad isiliye khud samandaroon ne mujhe doobne se bachaya hoga !!

Maa ki agush me laut aya hai beta fir se!!
Shayad duniya ne isse bahoth sataya hoga !!

Ab usske mohabbath ki misaal doge bhi to kya doge!!
Kaatke apna pet jisne bachon ko khilayaa hoga !!

Ki thi saqawat jisne umar bhar bachoon ke liye !!
Kya guzri hogi uss baap per jab hath me aya kasa hoga !!

Kaise milegi jannath uss aulaad ko !!
Jisne me maa se pahele biwi ka faraz nibhaya hoga !!

Aur uske sajde ko  koi shirk na kahede Qadeer !!
Shayad isiliye uske qadmoo me jannath banaya hoga !!

Qadeer Toopchi
Logged
salil2002
Guest
«Reply #1 on: June 24, 2009, 07:31:50 AM »
Reply with quote
bahut hi behtareen likha hai bhai jaan,,,,,,,,,,,,take care of urs........allah aap par hamesha apna karam banaye rakhe
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #2 on: June 24, 2009, 08:29:36 AM »
Reply with quote
Ahle yoindia adaab !!

Bahoth din baad apke bich hazir hon khuch maazi ki yaden liye howe jo yoindia se taluq rakhti hain ,, masrufiyath ne ab jaake ijazath di hai to hazir howa hon ussi umid se jo kabhi yoindia se howa karti thi ,, khuch naya to post nahi kar sakta filhal Saudi Arabia me muqeem hon to ammi ki yaad kaafi mutasir kar rahi hai apni likhi eak purani ghazal apni ammi  aur abbu ke naam !! unke haq me duva farma-e-yega !! aur allah sub ke sar per unke waldin ka saya rakhe ,, Ameen !!

Araz hai

Mere sar pe  meri maa ki duvaoon ka saya hoga !!
Shayad isiliye khud samandaroon ne mujhe doobne se bachaya hoga !!

Maa ki agush me laut aya hai beta fir se!!
Shayad duniya ne isse bahoth sataya hoga !!

Ab usske mohabbath ki misaal doge bhi to kya doge!!
Kaatke apna pet jisne bachon ko khilayaa hoga !!

Ki thi saqawat jisne umar bhar bachoon ke liye !!
Kya guzri hogi uss baap per jab hath me aya kasa hoga !!

Kaise milegi jannath uss aulaad ko !!
Jisne me maa se pahele biwi ka faraz nibhaya hoga !!

Aur uske sajde ko  koi shirk na kahede Qadeer !!
Shayad isiliye uske qadmoo me jannath banaya hoga !!

Qadeer Toopchi

bahoth bahoth shukriya sahil apka ,, allah apko hamesha khush rakhe aur apni amaan me rakhe !!

Qadeertoopchi
Logged
k.shael
Guest
«Reply #3 on: June 24, 2009, 10:28:36 AM »
Reply with quote
Wah Wah Bahut Bahut Khoob Qadeer Ji, Maa ke naam par aapki ye ghazal ek behtreen awaaj hai bachon ke liye..bahut bahut umda aur shukriya aisi ghazal pesh karne ke liye..!!! Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

Shally.
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: June 24, 2009, 11:14:09 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Mashallah Bhaijan bohot hi khoobsurat ghazal likhi hai aapne....jitni taareef ki jaaye kam hogi is jazbe ki, aure jazbon ko in khoobsurat alfaaz main dhaalne ki..

Aur uske sajde ko  koi shirk na kahede Qadeer !!
Shayad isiliye uske qadmoo me jannath banaya hoga !!


Bohot Khoob Qadeer Bhai
Logged
superspawn10
Guest
«Reply #5 on: June 24, 2009, 11:25:37 AM »
Reply with quote
SubhanAllah..SubhanAllah....
Kya likha hai aapne bhai... Clapping Smiley
Aur aakhri ki do line ka to kya kehna..Har lafz me itni sachayi hai ki Sachayi khud iski gawah bani hai...
MashaAllah...
Allah aapko Jaza-e-khair de...
Keep writing...
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #6 on: June 24, 2009, 11:50:14 AM »
Reply with quote
Wah Wah Bahut Bahut Khoob Qadeer Ji, Maa ke naam par aapki ye ghazal ek behtreen awaaj hai bachon ke liye..bahut bahut umda aur shukriya aisi ghazal pesh karne ke liye..!!! Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

Shally.


shally ji shukar guzaar hon apka hausla afza-e- aur izzath afza-e- ke liye !! ammi ki yaad se mutasir hokar ke ye alfaz ko shayari me dhalne ki koshish ki thi khuch arsa pahele apko pasand aa-e- samjho qimath wasool !! allah apko khush rakhe !!

Qadeertoopchi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: June 24, 2009, 11:59:26 AM »
Reply with quote
Subhan Allah, Subhan Allah,.

Qadeer Bhaijaan, Kya KHoob Likha Hai Mere Bhai, Realy This Nazm Touched My Heart
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: June 25, 2009, 04:51:43 PM »
Reply with quote
icon_salut icon_salut icon_salut

Bahut Bahut Bahut Khoob Qadeerji..Har ek Lafz mein Itni sachai Hai Ke Kya Kahen..Itne Gehre Ehsaas Hai Is Nazm Mein Ke Bas padhkar,Apne Aap Ko Aaene Mein Utaar Sakta Hai Insaan...Bahut Khooob Mere Bhai. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Bahut Khoob Mere Bhai..Guzaarish Hai Aapse Ke Likhta Raha Kariye..
Logged
Roja
Guest
«Reply #9 on: June 25, 2009, 04:56:45 PM »
Reply with quote
Ahle yoindia adaab !!

Bahoth din baad apke bich hazir hon khuch maazi ki yaden liye howe jo yoindia se taluq rakhti hain ,, masrufiyath ne ab jaake ijazath di hai to hazir howa hon ussi umid se jo kabhi yoindia se howa karti thi ,, khuch naya to post nahi kar sakta filhal Saudi Arabia me muqeem hon to ammi ki yaad kaafi mutasir kar rahi hai apni likhi eak purani ghazal apni ammi  aur abbu ke naam !! unke haq me duva farma-e-yega !! aur allah sub ke sar per unke waldin ka saya rakhe ,, Ameen !!

Araz hai

Mere sar pe  meri maa ki duvaoon ka saya hoga !!
Shayad isiliye khud samandaroon ne mujhe doobne se bachaya hoga !!

Maa ki agush me laut aya hai beta fir se!!
Shayad duniya ne isse bahoth sataya hoga !!

Ab usske mohabbath ki misaal doge bhi to kya doge!!
Kaatke apna pet jisne bachon ko khilayaa hoga !!

Ki thi saqawat jisne umar bhar bachoon ke liye !!
Kya guzri hogi uss baap per jab hath me aya kasa hoga !!

Kaise milegi jannath uss aulaad ko !!
Jisne me maa se pahele biwi ka faraz nibhaya hoga !!

Aur uske sajde ko  koi shirk na kahede Qadeer !!
Shayad isiliye uske qadmoo me jannath banaya hoga !!

Qadeer Toopchi

Wah... bahut dino baad aapne likha wo b jakaas  Thumbs UP.... bahut khoob Qadeer bhaiya.
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #10 on: June 28, 2009, 01:05:33 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Mashallah Bhaijan bohot hi khoobsurat ghazal likhi hai aapne....jitni taareef ki jaaye kam hogi is jazbe ki, aure jazbon ko in khoobsurat alfaaz main dhaalne ki..

Aur uske sajde ko  koi shirk na kahede Qadeer !!
Shayad isiliye uske qadmoo me jannath banaya hoga !!


Bohot Khoob Qadeer Bhai

Talat Bahen Aadab !!

Shukar guzaar hon apka jo apne pasand farmaya ,, apki nazaron ka karam hai bahen varna to qaqsar ki bisath hi kya hai !! allah apko khush o khurram rakhe aur apni amaan me rakhe .. Ameen !!

Qadeertoopchi
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #11 on: June 29, 2009, 05:48:47 AM »
Reply with quote
bahoth bahoth shukriya khuwaish sahab ke apne apna waqath diya nachiz ke kalam ko aur pasandgi ke liye shukarguzaar hon !! allah apko khush rakhe !!

Qadeertoopchi
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #12 on: September 17, 2009, 02:34:45 AM »
Reply with quote
Wah bahut hi khoob Qadeer ji,kamaal ke creation hai,keep it up.excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #13 on: September 09, 2011, 11:42:03 AM »
Reply with quote
Aadaab Bhaijaan!

Kia kaheN aapke in umdaa khayaaloN ki tareef meiN
Gazal ko padhte hua roNgte khade ho gaye the...

Sabhi ashar behad khoob kahe hai aapne... Dil se
daad kabul kijiye...

Allaah aapke kaif ko banaaye rakhe... Khush O aabaad
rahiye...

Khuda hafez           



Ahle yoindia adaab !!

Bahoth din baad apke bich hazir hon khuch maazi ki yaden liye howe jo yoindia se taluq rakhti hain ,, masrufiyath ne ab jaake ijazath di hai to hazir howa hon ussi umid se jo kabhi yoindia se howa karti thi ,, khuch naya to post nahi kar sakta filhal Saudi Arabia me muqeem hon to ammi ki yaad kaafi mutasir kar rahi hai apni likhi eak purani ghazal apni ammi  aur abbu ke naam !! unke haq me duva farma-e-yega !! aur allah sub ke sar per unke waldin ka saya rakhe ,, Ameen !!

Araz hai

Mere sar pe  meri maa ki duvaoon ka saya hoga !!
Shayad isiliye khud samandaroon ne mujhe doobne se bachaya hoga !!

Maa ki agush me laut aya hai beta fir se!!
Shayad duniya ne isse bahoth sataya hoga !!

Ab usske mohabbath ki misaal doge bhi to kya doge!!
Kaatke apna pet jisne bachon ko khilayaa hoga !!

Ki thi saqawat jisne umar bhar bachoon ke liye !!
Kya guzri hogi uss baap per jab hath me aya kasa hoga !!

Kaise milegi jannath uss aulaad ko !!
Jisne me maa se pahele biwi ka faraz nibhaya hoga !!

Aur uske sajde ko  koi shirk na kahede Qadeer !!
Shayad isiliye uske qadmoo me jannath banaya hoga !!

Qadeer Toopchi
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:34:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer