Maa Khaas Tunhare liye…..

by free_clouds on July 10, 2006, 02:28:01 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1493 times)
free_clouds
Guest
Reply with quote
Samjh sakti hun main woh din kitna khaas hoga,
Jab kuch lamhon ke intzaar ke baad ek kali ki tarah
Main tumhare dono hathon mein puri simat gayi hungi,
Dekhkar meri nanhi nanhi aankhein roshni ki tarah
Tumahri aankhon mein bhi chaamak bhar gayi hogi
Phir apni chamakati aankhon mein khawab lekar
Pyaar se tumne mere mathe ko chuma hoga
Tab tumhe khud pe hi bhaut gurur hua hoga
Jab maine tumhe pheli baar maa kha hoga

Naye khawabon ki nayi manzil saamne dekh
Tumne hath pakad kar mujhe chalna sikhaya hoga
Mujhe baar baar girte dekh,
Tumhara dil bhi darr se kapkapaya hoga
Aur apne pyaar bhare aanchal mein chupa kar
Kai zakhmaon se mujhe bachaya hoga

Phir dheere dheere chadi maine apni manzilon ki sidayan
Aur duniya ki bheed mein tera hath mujhse kahin chut gaya
Tune phir bhi thaam kar sambhalna sikhaya mujhe
Apni sikhon se duniyadari ki achi buri baatein bataya mujhe
Par maine hamesha hi apni zidd se thukaraya use
Meri zidd ke aage tumne apne dil pe pathar rakha hoga

Par aaj mujhe yakin ho chala hai ki maa tum sahi thi
Aur ab main ek baar phir-
Wapis tumhare dono hathon mein simtana chahti hun
Tumhare pyaare aanchal mein phir se chipna chahti hun
Tumhare haathon ke sahare ek baar phir se apne
Dagmaagte hue kadmaon ko sambhalana chahti hun

Maa chupo lo na mujhe apne mein hi kahin……….
Logged
ranjana
Guest
«Reply #1 on: July 10, 2006, 02:53:16 PM »
Reply with quote
bahut khoob .....aapaka sawagat hai yahan .......

maa har dard le ke jeena sikhaati hai
maa hi zindagi ke rang dhang sikhaati hai
maa  chhipaa leti apne aanchal ke tale
jab zindagi mein kabhi dhup si chhaa jaati  hai
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: July 11, 2006, 12:13:08 AM »
Reply with quote
Bahut achha likha hai Free_clouds....Really touching.....

Welcome to Yoindia....
[/b]
Logged
ranjana
Guest
«Reply #3 on: July 11, 2006, 06:30:59 AM »
Reply with quote
meri nanahi si gudiya jo kabhi chhip jaati  thee meri god mein
ab aake mere seene se nahi lagati
karti thee jo na  jaane baate kitni
ab woh aksar hi gumsum si hai rehti
kuda karti thee jo har waqt har jagah ghar mein
ab woh har  baat per sharama ke chal deti hai
meri hi parchhayi ab mujhse aprichit si ho gayi hai
meri lado meri  gudiya ab badi ho  gayi hai!!!!!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #4 on: July 13, 2006, 11:24:50 AM »
Reply with quote
free clouds ji...bohot hi pyara likha hai apne MAA topic pe, very touching... keep postig and welcome to yoindia. enjoy it!

 :D

ranjana ji...very nice also!

 :D
Logged
amazing_world
Guest
«Reply #5 on: July 15, 2006, 03:33:35 AM »
Reply with quote
very touching poem.....

neend apni bhula ke sulaya humko
khushi apni bhula ke hasaya humko
dukh kabhi na dena us khuda ki murat ko
log khete hai maa baap jinko
Logged
free_clouds
Guest
«Reply #6 on: July 15, 2006, 01:08:29 PM »
Reply with quote
thanks a lot ranjana, amazing world, meena and shikha.... Usual Smile
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: July 16, 2006, 07:24:49 AM »
Reply with quote
jo hame rote hue dekh ke khud ko rula leti hai
har uljhan ko pal mein suljha deti hai
le leti har preshaani apne sirr per hamari
woh maa hai jo zindgai se pyaar karna sikha deti hai
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005

View Profile
«Reply #8 on: July 18, 2006, 10:45:56 AM »
Reply with quote
Quote from: "free_clouds"
Samjh sakti hun main woh din kitna khaas hoga,
Jab kuch lamhon ke intzaar ke baad ek kali ki tarah
Main tumhare dono hathon mein puri simat gayi hungi,
Dekhkar meri nanhi nanhi aankhein roshni ki tarah
Tumahri aankhon mein bhi chaamak bhar gayi hogi
Phir apni chamakati aankhon mein khawab lekar
Pyaar se tumne mere mathe ko chuma hoga
Tab tumhe khud pe hi bhaut gurur hua hoga
Jab maine tumhe pheli baar maa kha hoga

Naye khawabon ki nayi manzil saamne dekh
Tumne hath pakad kar mujhe chalna sikhaya hoga
Mujhe baar baar girte dekh,
Tumhara dil bhi darr se kapkapaya hoga
Aur apne pyaar bhare aanchal mein chupa kar
Kai zakhmaon se mujhe bachaya hoga

Phir dheere dheere chadi maine apni manzilon ki sidayan
Aur duniya ki bheed mein tera hath mujhse kahin chut gaya
Tune phir bhi thaam kar sambhalna sikhaya mujhe
Apni sikhon se duniyadari ki achi buri baatein bataya mujhe
Par maine hamesha hi apni zidd se thukaraya use
Meri zidd ke aage tumne apne dil pe pathar rakha hoga

Par aaj mujhe yakin ho chala hai ki maa tum sahi thi
Aur ab main ek baar phir-
Wapis tumhare dono hathon mein simtana chahti hun
Tumhare pyaare aanchal mein phir se chipna chahti hun
Tumhare haathon ke sahare ek baar phir se apne
Dagmaagte hue kadmaon ko sambhalana chahti hun

Maa chupo lo na mujhe apne mein hi kahin……….

wah free clouds ji aapne to waaqai mein ehsaason ki warsha kardi........wonderful...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #9 on: August 12, 2006, 03:54:11 PM »
Reply with quote
Quote from: "free_clouds"
Samjh sakti hun main woh din kitna khaas hoga,
Jab kuch lamhon ke intzaar ke baad ek kali ki tarah
Main tumhare dono hathon mein puri simat gayi hungi,
Dekhkar meri nanhi nanhi aankhein roshni ki tarah
Tumahri aankhon mein bhi chaamak bhar gayi hogi
Phir apni chamakati aankhon mein khawab lekar
Pyaar se tumne mere mathe ko chuma hoga
Tab tumhe khud pe hi bhaut gurur hua hoga
Jab maine tumhe pheli baar maa kha hoga

Naye khawabon ki nayi manzil saamne dekh
Tumne hath pakad kar mujhe chalna sikhaya hoga
Mujhe baar baar girte dekh,
Tumhara dil bhi darr se kapkapaya hoga
Aur apne pyaar bhare aanchal mein chupa kar
Kai zakhmaon se mujhe bachaya hoga

Phir dheere dheere chadi maine apni manzilon ki sidayan
Aur duniya ki bheed mein tera hath mujhse kahin chut gaya
Tune phir bhi thaam kar sambhalna sikhaya mujhe
Apni sikhon se duniyadari ki achi buri baatein bataya mujhe
Par maine hamesha hi apni zidd se thukaraya use
Meri zidd ke aage tumne apne dil pe pathar rakha hoga

Par aaj mujhe yakin ho chala hai ki maa tum sahi thi
Aur ab main ek baar phir-
Wapis tumhare dono hathon mein simtana chahti hun
Tumhare pyaare aanchal mein phir se chipna chahti hun
Tumhare haathon ke sahare ek baar phir se apne
Dagmaagte hue kadmaon ko sambhalana chahti hun

Maa chupo lo na mujhe apne mein hi kahin……….

Really Marvalous Work.....Free_Clouds jee.....aaj aisa hee kuch likha hai maine apni Maa ke liye.....toh yaad aya ki pehle koi iss topic pe likh chuka......So Now here my Words........!!!!!!!!!

Maa tum kahan ho......
Main kahan hoon akela tum hee toh mera Jahan ho......

Tumse hee hai Naam mera......
Tum hee mera Khuda ho......

Dia sab kuch tumne meri Zindagi me mujhe.......
Na jaane ab tum kahan Gumshuda ho......

Maa tum kahan ho.......

Pala tumne mujhe sada ek chote Rajkumar ki tarah.......
Dee mujhe harr Khushi is Vishaal Neele Asmaan ki tarah.......

Ab hoon me bachain tum binn.......
Do Awaaz agar tum yahan ho.......

Dekho Pukaar raha hoon main......
Maa tum kahan ho.......

Nahi lagta ab mann mera iss Jazbaat ke Bazaar me.......
Bula lo mujhe ya aao jao sirf mere Khawaab me.....

Dekhna Chahata hoon tumhe......
Tumhe mehsoos karna chahata hoon me.......

Nahi dekh sakta tum binn koi mujhe.......
Rote hue iss bheegi barsaat me.......

Maa tum kahan ho.............!!!!!!!!!!!!
Logged
indian_groom
Guest
«Reply #10 on: August 17, 2006, 02:08:57 PM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"

 =D>  =D>  =D>  =D>  =D>  =D>  =D>  =D>  =D>  =D>  =D>
 :rock:  :rock:  :rock:  :rock:  :rock:  :rock:  :rock:  :rock:

good one all............free_clouds,ranjana and gaurav
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: August 18, 2006, 01:15:13 AM »
Reply with quote
bahut khoob gauarv ..shukriya naveen ....
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:18:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer