Maa mujhe koi Lori suna do!

by deepika_divya on March 02, 2009, 05:47:28 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 13031 times)
k.shael
Guest
«Reply #15 on: March 02, 2009, 07:17:11 AM »
Reply with quote
Sanjeev Bro,Aapne bhi Dil Ko Chunne Wali Baatein Khai Hia..Bahut Bahut Koob Bhai.. Applause Applause Applause

Wah Wah Bahut Bhaut khoob Shally, Jasbir Paaji..Sab ne Khoob Likha.. Applause Applause

Kuch Main Bhi Koshish karta hoon..aur phir se Thanks Sophi,aapne itne ache Khayaalat Pesh kiye hai.. Applause Applause

Maa Main Jab bhi Girta Hoon,
Aap Mujhe sambhaal liya Karte ho,
Chot Pahunchne Par Zakhmo Par Dawaa Laga liya karte ho,
Aaj bhi gira hoon,par Zakhm ab Dikhte Nahi,
Rota Bahut Hoon Par Inn Aansuo Ki Kadar,
Koi Yahan Par Karte Nahi

Maa Mujhe Apne Aanchal Mein Panaah Do,
Mujhe Apni God Mein Sula Do....

Duniyadaari Mere Bas Ki Nahi,
Meri Zimmedariyan Mujhe Daraati hai,
Zindagi Ko Mushkilo Mein Jeena Ek Kadwa Sach Hai,
Yeh Sachi Baatien Hai Aur
Yeh Sachai Meri Aankhon ko Aur rulaati hai..

Maa Mujhe ek baar Hassa Do,
Mujhe apni god mein sula Do...

Maa Sirf Teri Ek Nazar Hi Mujh Par Ho,
To Mujhe Jeene Ka Hausla Deti Hai,
Mujhe Zindagi Mein Chalte rehne ki Nayi Raah Deti hai,

Meri Har Dard,Dukh,Takleef Ko Apne Duaon Ke Sadke Mita Do,
Maa, Mujhe Apni God Mein Sula Do....
     
         ~~~~~ Khwaish~~~~~



Shukriya Khwaish Ji,

 Applause  Applause  Clapping Smiley
& Kya Khoob saath diya hai aapne Janab,

Sach me sabne hi behtreen likha hai yahaan,

Shally.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ak choti si Lori by deepika_divya in Miscellaneous Shayri
Suna hai, Hamne bhi suna hai............. by vipul kumar in Shairi - E - Zindagi
lori for kids by abharastogi in Other Languages
lori i wrote for my son by anjaanajnabi in Share:Love Poetry
FOR ALL LITTLE PRINCESS.......jyuthika....my lori.... by jyuthika in Miscellaneous Shayri
deepika_divya
Guest
«Reply #16 on: March 02, 2009, 07:19:25 AM »
Reply with quote
Sophi Dear & Bekarar Brother,

 Applause  Applause  Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley
Aap dono ne hi bahut aacha likha hai, bahut pyara...

Ek koshish meri taraf se bhi..


Bachpan me tu sulaya karti thi Maa,
To mein sapno ki duniyaa me kho jaata tha,
Aaj tu phir se mujhe sula de meri Maa,
Warna mein inn mushqil raahoo me kho jaounga,


Bachpan me tu khilaya karti thi Maa,
to mein pait bhar ke khaa jaata tha,
Aaj to phir se mujhe khila meri Maa,
Warna mein phir bhooke pait so jaunga,


Bachpan me tu hasaya karti thi Maa,
To mein dil kar muskurye jaata tha,
Aaj to phir se mujhe hassa Meri Maa,
Warna mein aansoo ke sailaabme doob jaounga...

Shally.


Thanks dear .wah wah.. kya baat hai bahoot hi umda likha hai..
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #17 on: March 02, 2009, 07:21:00 AM »
Reply with quote
Sophi Dear & Bekarar Brother,

 Applause  Applause  Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley
Aap dono ne hi bahut aacha likha hai, bahut pyara...

Ek koshish meri taraf se bhi..


Bachpan me tu sulaya karti thi Maa,
To mein sapno ki duniyaa me kho jaata tha,
Aaj tu phir se mujhe sula de meri Maa,
Warna mein inn mushqil raahoo me kho jaounga,


Bachpan me tu khilaya karti thi Maa,
to mein pait bhar ke khaa jaata tha,
Aaj to phir se mujhe khila meri Maa,
Warna mein phir bhooke pait so jaunga,


Bachpan me tu hasaya karti thi Maa,
To mein dil kar muskurye jaata tha,
Aaj to phir se mujhe hassa Meri Maa,
Warna mein aansoo ke sailaabme doob jaounga...

Shally.


wah shally bahut khoob ....... par aaj shayed meri maa mujsey kehti hai :




HAR GUM SEY TUJHEY BACHAYA
KHUDD ROH KAR TUJHEY HASAYA
PADA LIKHA KAR TUJEY ISS KABIL BANAYA
JINDAGI KI DAUD SEY LADNA SIKHAYA

AAJ MEH WAQT KEY AAGEY LACHAAR HU
BIMAAR HOKAR, UMAR SEY BIMAAR HU
MERA HAUSLA ABB TUJHEY HAI BANNA
ISS DUNIYA MEH ABB TUNEY AKELEY HAI SAMBHALNA




jASBIR SINGH



Logged
k.shael
Guest
«Reply #18 on: March 02, 2009, 07:21:42 AM »
Reply with quote
Thanks dear .wah wah.. kya baat hai bahoot hi umda likha hai..

Shukriya Sophi dear,

Shally.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #19 on: March 02, 2009, 07:22:41 AM »
Reply with quote
Sanjeev Bro,Aapne bhi Dil Ko Chunne Wali Baatein Khai Hia..Bahut Bahut Koob Bhai.. Applause Applause Applause

Wah Wah Bahut Bhaut khoob Shally, Jasbir Paaji..Sab ne Khoob Likha.. Applause Applause

Kuch Main Bhi Koshish karta hoon..aur phir se Thanks Sophi,aapne itne ache Khayaalat Pesh kiye hai.. Applause Applause

Maa Main Jab bhi Girta Tha,
Aap Mujhe sambhaal liya Karte ho,
Chot Pahunchne Par Zakhmo Par Dawaa Laga liya karte ho,
Aaj bhi gira hoon,par Zakhm ab Dikhte Nahi,
Rota Bahut Hoon Par Inn Aansuo Ki Kadar,
Koi Yahan Par Karte Nahi

Maa Mujhe Apne Aanchal Mein Panaah Do,
Mujhe Apni God Mein Sula Do....

Duniyadaari Mere Bas Ki Nahi,
Meri Zimmedariyan Mujhe Daraati hai,
Zindagi Ko Mushkilo Mein Jeena Ek Kadwa Sach Hai,
Yeh Sachi Baatien Hai Aur
Yeh Sachai Meri Aankhon ko Aur rulaati hai..

Maa Mujhe ek baar Hassa Do,
Mujhe apni god mein sula Do...

Maa Sirf Teri Ek Nazar Hi Mujh Par Ho,
To Mujhe Jeene Ka Hausla Deti Hai,
Mujhe Zindagi Mein Chalte rehne ki Nayi Raah Deti hai,

Meri Har Dard,Dukh,Takleef Ko Apne Duaon Ke Sadke Mita Do,
Maa, Mujhe Apni God Mein Sula Do....
     
         ~~~~~ Khwaish~~~~~


Shukriya kwaish ji..

Kya baat hai bhoot hi khubsurat likhahai aapne..

Thank u all posting ur feelings in our thread. Very Very Nice all of U.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #20 on: March 02, 2009, 07:23:40 AM »
Reply with quote
wah shally bahut khoob ....... par aaj shayed meri maa mujsey kehti hai :




HAR GUM SEY TUJHEY BACHAYA
KHUDD ROH KAR TUJHEY HASAYA
PADA LIKHA KAR TUJEY ISS KABIL BANAYA
JINDAGI KI DAUD SEY LADNA SIKHAYA

AAJ MEH WAQT KEY AAGEY LACHAAR HU
BIMAAR HOKAR, UMAR SEY BIMAAR HU
MERA HAUSLA ABB TUJHEY HAI BANNA
ISS DUNIYA MEH ABB TUNEY AKELEY HAI SAMBHALNA




jASBIR SINGH

Kya baat hai jasbir ji.. very nice lines...




Logged
k.shael
Guest
«Reply #21 on: March 02, 2009, 07:27:28 AM »
Reply with quote
wah shally bahut khoob ....... par aaj shayed meri maa mujsey kehti hai :




HAR GUM SEY TUJHEY BACHAYA
KHUDD ROH KAR TUJHEY HASAYA
PADA LIKHA KAR TUJEY ISS KABIL BANAYA
JINDAGI KI DAUD SEY LADNA SIKHAYA

AAJ MEH WAQT KEY AAGEY LACHAAR HU
BIMAAR HOKAR, UMAR SEY BIMAAR HU
MERA HAUSLA ABB TUJHEY HAI BANNA
ISS DUNIYA MEH ABB TUNEY AKELEY HAI SAMBHALNA




jASBIR SINGH





Shukriya Jas Ji,

 Applause  Applause  Applause
Bahut khoob likha hai aapne,

Par ek beta ya beti bhi Maa se kuch kehna chahti hai,


Maa tujhe har khushi laa do,
Tere pairoon me jannat bicha do,
Tu ek baar keh to sahi mein tere aage khud ko mita do,

Badi kismat thi jo tujh jaisi maa ka bacha ho,
Haan galti kar baith.ta hoo aabhi samajh ka kacha ho,

Waada hai teri umar me apni umar jod doonga,
Tere liye duniyaa to kya zindagi chod doonga,

Badle me sirf ek cheez dena mujhe,
Jab tak zinda hoon apni goud ki chaaw dena mujhe,

Shally.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #22 on: March 02, 2009, 07:34:36 AM »
Reply with quote
Once again very very nice Shally..

Ak aur koshish:-

Kanto bari raah meinkadi hun
Maa mujhe tum ak dua do
na haaru kabi kisi raah mein
Maa mujpe apni mamata aise barsa do

Rohun kabi tho,tum mujhe hasa dena
APne bahoon mein mujhe panah do
Thakne na dena zindagi mein mujhe
tak jaun agar , tho apni ghod mein jagah do

Rutt na jana Maa tum mujhse
agar zindagi mein galat raah lun
Nikal dena mujhe uss narak se
Maa Mujhe koi ak aisi seekh do
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #23 on: March 02, 2009, 07:38:16 AM »
Reply with quote
Shukriya Jas Ji,

 Applause  Applause  Applause
Bahut khoob likha hai aapne,

Par ek beta ya beti bhi Maa se kuch kehna chahti hai,


Maa tujhe har khushi laa do,
Tere pairoon me jannat bicha do,
Tu ek baar keh to sahi mein tere aage khud ko mita do,

Badi kismat thi jo tujh jaisi maa ka bacha ho,
Haan galti kar baith.ta hoo aabhi samajh ka kacha ho,

Waada hai teri umar me apni umar jod doonga,
Tere liye duniyaa to kya zindagi chod doonga,

Badle me sirf ek cheez dena mujhe,
Jab tak zinda hoon apni goud ki chaaw dena mujhe,

Shally.



wah bahut khoob SHALLY


TERE KEHNEY SEY PEHLEY TERI JIDD PURI HO JATI THI
TU KEHTA BAAD MEH THA, TUHEY HAR CHEEZ MIL JATI THI

AAJ MERE KEHNEY PEH TU CHEEZ LAATA HAI
MAIN KAHU TABHI KHUDD KOH MITATA HAI ?

TU JEETA RAHEY HAZAROH SAAL, MERI DUYAEH TUJHEY LAG JAYE
TERE PYAR SEY HI JEETU HAI MAIN, NAZAR NA TUJHEY LAG JAYE



JASBIR SINGH

Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #24 on: March 02, 2009, 07:39:03 AM »
Reply with quote
Once again very very nice Shally..

Ak aur koshish:-

Kanto bari raah meinkadi hun
Maa mujhe tum ak dua do
na haaru kabi kisi raah mein
Maa mujpe apni mamata aise barsa do

Rohun kabi tho,tum mujhe hasa dena
APne bahoon mein mujhe panah do
Thakne na dena zindagi mein mujhe
tak jaun agar , tho apni ghod mein jagah do

Rutt na jana Maa tum mujhse
agar zindagi mein galat raah lun
Nikal dena mujhe uss narak se
Maa Mujhe koi ak aisi seekh do

WAH SOPHI, VERY NICE AGAIN

JASBIR SINGH
Logged
k.shael
Guest
«Reply #25 on: March 02, 2009, 07:42:08 AM »
Reply with quote
Shukriya Sophi Dear, & Jasbir Ji,

& Both of u also writte very well

Shally.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #26 on: March 02, 2009, 07:43:59 AM »
Reply with quote
Shukriya Sophi Dear, & Jasbir Ji,

& Both of u also writte very well

Shally.

thanks shally

jasbir singh
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #27 on: March 02, 2009, 10:25:54 AM »
Reply with quote
Waah Waah waah, Kya Khoob.
Sab Doston Ne Mashallah Kamaal Ka Likha Hai,.

Nice One Sophi Ji,.
Bekaraar Ji,.
Jasbir bhaiya,.
Shally Ji,.
Khwaaish Bhai.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #28 on: March 02, 2009, 10:28:50 AM »
Reply with quote
Mujhe neend nahi aa rahi hai
Maa Mujhe koi lori suna do
Apni mamta ka kuch hissa
Mujhpe ak baar fir barsaa do

Thak chuki hun mein
iss Zindagi ki daud mein
Apne komal komal haatho ko
Maa mere sar per fira do

Mujhe need nahi aa rahi hai Maa...
Mujhe koi lori suna do

Zindgai se kuch nahi chaiye mujhe
Na kabhi mein isse samaj paai hun
Bhul jaun har pareshani mein,
Maa mujhe apne Anchal mein chupa do

Mujhe need nahi aa rahi hai Maa..
Mujhe koi lori suna do...
mujhe koi lori suna do....

~~DiVyA~~
Bahut Khoob Sophi Ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #29 on: March 02, 2009, 10:46:43 AM »
Reply with quote
Waah Waah waah, Kya Khoob.
Sab Doston Ne Mashallah Kamaal Ka Likha Hai,.

Nice One Sophi Ji,.
Bekaraar Ji,.
Jasbir bhaiya,.
Shally Ji,.
Khwaaish Bhai.

thanks jahanasheen

jasbir singh
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:05:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer