maa----aaj kalam ko uski yaad aa gayi,,,

by guhar on November 14, 2009, 08:07:21 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1728 times)
guhar
Guest
Reply with quote
raat ki baat hui,
baaton mein is sach se rubaroo
mein aaj hui,

chat pe the hum dono,
wo mera sir sehla rahi thi,
khana abhi abhi khaaya tha,
so neend ki pari ko bhi mere liye mana rahi thi,

palkein jab kasne lagi ik dosre ko,
usne kal kal shabdon mein kaha,
"beta,lagta hai mein shaayad samne hoon,
par tere liye kahin kohre me chip gayi hoon,
hasti to aaj bhi kaayam hai shaayad ,
pr tujhe banaate banaate mein kahin mit gayi hoon,
mana ki tere paas kaam bahot hai,
rishto ka bhi hujoom ab bhad chala hai,
par kya bataon beta jab pyaar ki kami naaa thi,
jivan mein tab wo beshumaar tha ,
ab jab khaas hai zaroorat uski ,
tab hi uska gulshan ujad chala hai,
mujhe bahot akela rakhte hein ye
darakhti deewaaren,andhere kamre,gunjti khamoshiya,
bas mere khoon ko phir apni ragon mein sama lena caahti
hoon,
is daur mein aa kar tujhe khoya nahi,
phir bhi paa lena caahti hoon,,,"

itna keh k wo mere jore let gayi,
subaah ankh jo mene kholi,
wo jagne taiyaar naa hui..
kai dhakke diye use,
kai baar pyaar se ,
kai baar,
kheej ke chillaya,
par kaan,mooh,aankh band kare rooth gayi thi,
jo kab se laga kas k pakdi hai ,
wo saaans ki dor aaj haath se choot gayi thi,
par mujh se is baar bhi apni zid manwa gayi
door gayi duniya ki nazron mein mere aur kareeb aa gayi,
ghar k kamre se to bahaar gayi par zehen ,rago ,jigar mein sama gayi,,
likh di ye kuch chand pankti aaj ,
kyoki kalam ko us ki yaad aa gayi...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
uski yaad me by samnoj in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 10 11 »
Uski Yaad Bhoolne ke................... by ali_246 in Shayri-E-Dard
Uski Yaad Mitai Na Gai by Tamanna Azeem in Shayri-E-Dard
ninde ud gayi hain uski by raahgir in Shayri for Khumar -e- Ishq
.{ Kalam Ruk Si Gayi Hai }. by Omi-Shru in Shayeri for Dard -e- Bewafai
poppoetry
Guest
«Reply #1 on: November 14, 2009, 08:22:50 AM »
Reply with quote
bahut khoob guhar ji..dil ko chune waale alfaaz likhe hai aapne. Applause Applause
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #2 on: November 14, 2009, 10:29:06 AM »
Reply with quote
Nice Guhar Ji
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #3 on: November 26, 2009, 02:25:32 PM »
Reply with quote
Guhar bahut he maarmik rachna hai teri....
Mann ko chhuti...Dil ko jhak-jhor deti hai....

Kalam k kirdaar mai maa k rishte ko
Badi khoobsurti se jeeya hai tune.... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Applause Applause Applause



raat ki baat hui,
baaton mein is sach se rubaroo
mein aaj hui,

chat pe the hum dono,
wo mera sir sehla rahi thi,
khana abhi abhi khaaya tha,
so neend ki pari ko bhi mere liye mana rahi thi,

palkein jab kasne lagi ik dosre ko,
usne kal kal shabdon mein kaha,
"beta,lagta hai mein shaayad samne hoon,
par tere liye kahin kohre me chip gayi hoon,
hasti to aaj bhi kaayam hai shaayad ,
pr tujhe banaate banaate mein kahin mit gayi hoon,
mana ki tere paas kaam bahot hai,
rishto ka bhi hujoom ab bhad chala hai,
par kya bataon beta jab pyaar ki kami naaa thi,
jivan mein tab wo beshumaar tha ,
ab jab khaas hai zaroorat uski ,
tab hi uska gulshan ujad chala hai,
mujhe bahot akela rakhte hein ye
darakhti deewaaren,andhere kamre,gunjti khamoshiya,
bas mere khoon ko phir apni ragon mein sama lena caahti
hoon,
is daur mein aa kar tujhe khoya nahi,
phir bhi paa lena caahti hoon,,,"

itna keh k wo mere jore let gayi,
subaah ankh jo mene kholi,
wo jagne taiyaar naa hui..
kai dhakke diye use,
kai baar pyaar se ,
kai baar,
kheej ke chillaya,
par kaan,mooh,aankh band kare rooth gayi thi,
jo kab se laga kas k pakdi hai ,
wo saaans ki dor aaj haath se choot gayi thi,
par mujh se is baar bhi apni zid manwa gayi
door gayi duniya ki nazron mein mere aur kareeb aa gayi,
ghar k kamre se to bahaar gayi par zehen ,rago ,jigar mein sama gayi,,
likh di ye kuch chand pankti aaj ,
kyoki kalam ko us ki yaad aa gayi...
Logged
buy lipitor 87ehrf
Guest
«Reply #4 on: December 20, 2009, 12:45:52 PM »
Reply with quote
It is pivotal to change your physician about any allergies you may have and also your medical history, before getting your Lipitor prescription. The drug Lipitor also has a bioequivalent generic which is identical to the brand in strength as well as safety and is sold at a slightly lower cost.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:57:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer