Maail e zabt ho magar phir bhee............mamta bajpai

by mamta bajpai on March 09, 2011, 02:39:49 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1266 times)
mamta bajpai
Guest
Reply with quote
dekho baateN naa yuN banaayaa karo
haal e dil humse naa chhupaayaa karo

rezaa rezaa hai khwaab kee mehfil
aa ke tum anjuman sajaayaa karo

gham kaa sailaab hai keh thamtaa naheeN
tum khushee ban ke dil me chhaayaa karo

ghar me yaadoN ke saath ho hardum
sair ko tum kabhee to jaayaa karo

maail e zabt ho magar phir bhee
zakhm dil ke hume dikhaayaa karo

Mamta Bajpai
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #1 on: March 09, 2011, 03:16:12 PM »
Reply with quote
dekho baateN naa yuN banaayaa karo
haal e dil humse naa chhupaayaa karo

rezaa rezaa hai khwaab kee mehfil
aa ke tum anjuman sajaayaa karo

gham kaa sailaab hai keh thamtaa naheeN
tum khushee ban ke dil me chhaayaa karo

ghar me yaadoN ke saath ho hardum
sair ko tum kabhee to jaayaa karo

maail e zabt ho magar phir bhee
zakhm dil ke hume dikhaayaa karo

Mamta Bajpai


Bahut khoob lage hume sabhi ashaar .... Mamta Ji !

khayaal aur saaf bayaani ... asardaar rahe ... dil se daad !

yunhi likhti rahen ... khush rahen ... !

duaaoN ke saath ... !
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #2 on: March 09, 2011, 03:40:50 PM »
Reply with quote
Bahut khoob mamta ji...
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #3 on: March 09, 2011, 07:06:22 PM »
Reply with quote
dekho baateN naa yuN banaayaa karo
haal e dil humse naa chhupaayaa karo

rezaa rezaa hai khwaab kee mehfil
aa ke tum anjuman sajaayaa karo

gham kaa sailaab hai keh thamtaa naheeN
tum khushee ban ke dil me chhaayaa karo

ghar me yaadoN ke saath ho hardum
sair ko tum kabhee to jaayaa karo

maail e zabt ho magar phir bhee
zakhm dil ke hume dikhaayaa karo

Mamta Bajpai



kya baat hai maail-e-zabt ho....bahut behtreen sherhai mamta ji
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #4 on: March 09, 2011, 08:04:14 PM »
Reply with quote
dekho baateN naa yuN banaayaa karo
haal e dil humse naa chhupaayaa karo

rezaa rezaa hai khwaab kee mehfil
aa ke tum anjuman sajaayaa karo

gham kaa sailaab hai keh thamtaa naheeN
tum khushee ban ke dil me chhaayaa karo

ghar me yaadoN ke saath ho hardum
sair ko tum kabhee to jaayaa karo

maail e zabt ho magar phir bhee
zakhm dil ke hume dikhaayaa karo

Mamta Bajpai

bahot acha likha apne mamta ji...

ek koshish meri bhi...
 

tum bhi to yun na sataya karo
paas akar yun na dur jaaya karo..

zuban se kehna zaruri to nahi
haal-e-dil yunhi samajh jaya karo..

khawabon ki mehfil sajani agar hai
to ankhon se neende yun na churaya karo..

sanam gam tumhare hum bana lenge apne
kar ke bharosa yunhi sab bataya karo..



samir"dilse"
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: March 09, 2011, 08:35:22 PM »
Reply with quote
Wow bahut khoob Mamta ji ,great creation,Samir ji aapne bhi bahut acha saath diya,hats off icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
kishan8888
Guest
«Reply #6 on: March 10, 2011, 03:28:09 AM »
Reply with quote
Good Usual Smile
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #7 on: March 10, 2011, 05:41:14 AM »
Reply with quote
Housalaa afzaai ka behad shukriyaa Naresh!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #8 on: March 10, 2011, 05:41:48 AM »
Reply with quote
shukriyaa kishan!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #9 on: March 10, 2011, 05:42:26 AM »
Reply with quote
Shukriyaa Madhu jee!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #10 on: March 17, 2011, 08:54:09 AM »
Reply with quote
behad shukriyaa Geet jee!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #11 on: March 17, 2011, 09:09:44 AM »
Reply with quote
Sameer jee behad khushee hui apne kalaam ke jawaab me aap kaa kalaam paRh kar.........beshumaar shukriyaa.....der se reply karne ke liye thodee see maafi bhee .....thodee himmat kar ke aap ke kalaam me kuchh chhedchaad kar rahee hooN.........naagawaar guzarne kee soorat me darkinaar kariye......dekhiyr......

tum bhee hum ko naa yuN sataayaa karo
paas aakar naa door jaayaa karo

kahnaa sab kuchh zubaaN se theek naheeN
haal e dil yuN hee samajh jaayaa karo

mehfil e khwab gar sajaanaa ho
neend aaNkhoN se naa churaayaa karo

hum sanam gham tumhaare le leNge
raaz e dil khud hee samajh jaayaa karo

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #12 on: March 17, 2011, 09:26:17 AM »
Reply with quote
mast poem Mamta-di..... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause




dekho baateN naa yuN banaayaa karo
haal e dil humse naa chhupaayaa karo

rezaa rezaa hai khwaab kee mehfil
aa ke tum anjuman sajaayaa karo

gham kaa sailaab hai keh thamtaa naheeN
tum khushee ban ke dil me chhaayaa karo

ghar me yaadoN ke saath ho hardum
sair ko tum kabhee to jaayaa karo

maail e zabt ho magar phir bhee
zakhm dil ke hume dikhaayaa karo

Mamta Bajpai

Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #13 on: March 17, 2011, 02:37:33 PM »
Reply with quote
shukriyaa Koyal!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #14 on: March 17, 2011, 02:39:11 PM »
Reply with quote
Shukriyaa Adil jee!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:58:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer