Mai aur Dil.........................NIkhaar

by Nikhaar on December 16, 2012, 05:33:22 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1786 times)
Nikhaar
Guest
Reply with quote



Fassle hai darmiyaan, Mit sakege ya nahi
Keh sakte nahi....

Kho diya hai tujhe, jaante hai hum
Par kaise ye baat samjhaaye apne dil ko hum

Ye dil,.....
JO na khuch sunta hai , na khuch maanta hai

Jo kahu mai dil se,  tu usse bhool ja
Ye kehta hai, wo nahi hai mujhse juda
Mai kehti hu isse, ab nahi aayega wo
Ye kehta hai , meri ummid mat chura

Mai samjhaati hu dil ko, ab wo tera nahi
Ye kehta hai, kar le tu mera yakeen

Maine bola dil se, usse nahi hai teri parwaah
Ye kehta hai , mat kar mujhe gumraah

Haar kar mai dikhati hu dar dil ko, toot jaane ka
Ye kehta hai duga mai tujhe har pal muskuraane ka

Mai ladti hu dil se , dil ladta hai mujhse
Na haarta hai ye , Na jhukta hai ye
Chot khaata hai ye, aage badhta jaata hai ye

Zakhmon se bachega ye dil, ya nahi
Keh sakte nahi......
Laut kar aayega, ya nahi
Keh sakte nahi......
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #1 on: December 21, 2012, 07:37:11 PM »
Reply with quote
oh......post karne k baad picture gayab ho gayi thi....now its back
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: February 18, 2013, 09:26:37 PM »
Reply with quote
waah waah waah waah kyaa kehne... aapki aur aapke dil ki baatein bahut khoobsurat rahi... bahut bahut khoob likha hai aapne Pooja ji...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


kuch yunhi dil se main baatein kiyaa kartaa hoon
lagaa ke yaadon ko seene se main jiyaa kartaa hoon

hai yakeen ki wo aayegaa nahi kabhi milne mujhse
main apne yakeen ko hi samjhaa liyaa kartaa hoon

kabhi baatein kar letaa hoon main uski tasveer se
kabhi tanhaayi me aansoo bahaa liyaa kartaa hoon

jaanta hoon ki wo bhool chukaa hai mujhe, meri mohabbat ko
magar fir bhi, main us shaqs ko aaj bhi yaad kiyaa kartaa hoon

koi keh de agar mujhse ki wo bewafaa hai, dhokebaaz hai
main us shaqs se har rishtaa hi tod diyaa kartaa hoon

jaantaa hai meraa dil, samajhtaa bhi hai ki wo nahi aayegaa
par har subah use dekhne khidki kaa pardaa hataa liyaa kartaa hoon

naa paake use dard hotaa hai, magar fir bhi jaane kyun
har lamhaa bas usi ke aane kaa main intzaar kiyaa kartaa hoon...

*****HRIDAY*****
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #3 on: February 21, 2013, 09:48:08 AM »
Reply with quote
 Thumbs UP Thumbs UP.....bahut bahut shukriya Hriday ji...i felt ki Nikhaar ki ye pehli post hogi jo yu hi yoindia mein ghum ho jaayegi....thanks a lottttt hriday ji..aapne iss post ko ghum hone se bchaa liya...wo bhi itne khoobsurat jwaab k saath.... Hats off to you! bahut bahut shukriya hriday ji.. Thankyou !


Na jaane kya hai unme , jo mai iss qadar unko yaad kiya karti hu
K har pal unse apni mohabbat ka  izhaar kiya karti hu

Dua maangi thi maine khuda se,
 k mai bhi mehsoos karna chahti hu iss alfaaz ko,
Jise tere nek bande mohabbat kehte hai
Aur aaj dekho mujhe, mai iss qadar girfat ho unki mohabbat mein
K unko paane k liye uss rab se aaj mai ladti hu

Ummid tum bhi mat gwaana apni mohabbat ko paane ki
Chahe laakh kahe duniya k wo nahi hai tumhara
Par tum ho jaante k tumhare dil ne sirf ussi ko hai pukaara

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: February 25, 2013, 11:37:19 PM »
Reply with quote
You sre most welcome Nikhaar ji... aur bahut bahut shukriyaa jo aapne meri koshish ko pasand kiyaa aur apnaa jawaab likh ke uski khoobsurti ko badhaayaa... thank you soooo much ji....!!!

kuch alag hi rishtaa hai meraa unse kyaa bataaun
chaah ke bhi unhe khud se judaa kar paataa nahi

wo sataate hain, tadpaate hain, dil dukhaate hain
magar unki kisi baat me unse rooth paataa nahi

kuch to baat hai unme ki itni mohabbat hai unse
hain nahi kareeb, par unki yaadon se duur jaa paataa nahi

aankhein kholun yaa band unkaa hi chehraa dikhtaa hai
aisaa nashaa hai unkaa ki ek pal bhi utar paataa nahi

unkaa intzaar hai is dil ko, meri dhadkano ko bhi har pal
main samajh jaataa hoon, magar ye dil samajh paataa nahi

kitni baar kahaa maine is dil ko bhulaa de tu unhe, wo naa aayenge
magar, ye dil naadaan hai, jo sach kyaa hai dekh paataa nahi....

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:37:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer