main ghar ka mukhiya hoon... soudagar

by soudagar on July 22, 2012, 04:57:11 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3233 times)
soudagar
Guest
Reply with quote
namaskar,
main yeh jo post kar raha hoon wo mere ek uncle ke khayalat hai jinhe maine baton mein suna aur ek shayri ke tarike se pesh kar rha hoon wo kafi pareshan hokar apni dastan suna rahe the,,

isme last ki 4 lines shayad aapko bahut buri lagein par jo unhone kaha use hi bta raha hoon aur shayad aaj ke samay mein bahut se logo k aise hi vichar ho gaye phir bhi agar kisi ko bura lage to main dil se mafi chahta hoon..



Main ghar ka mukhiya hoon is ghar ki mujhpar jimmedari hai
meri khushi kuch nahi mere pariwar ki khushiyan hi mujhe pyari hai

teen betiyan hai meri teeno hi samjhdhar aur meri aakhon ka noor hai
teeno badi ho gai aa gaya samay badi beti ki shadi ki tayari hai

jeewan bhar ki mehnat se bhi dahez ek ka jamma kar paya
sochta hoon aage kya hoga aage do ladki aur kunwari hai

umr bhar chala main imandari se to kuch bhi hasil na hua mujhe
mere sathiyon ne thaggi aur rishwt se khride bangle aur gaadi hai

sochta hoon gar meri bhi yahi raah hoti to naa aaj koi pareshani oti
dekhkar khud ki haalat yahi lagta hai achhai par burai bhaari hai

mujhe mouke par chunna tha gandhi ji ki photo lage note ko
maine chuna gandhi ji ke aadarsh ko yahan galti meri sari hai

lagta hai mujhe gandhi ji ke to aadarsh chale gaye sath unke
ab to gandhi ki photo lagi note se hi chalti dunia sari hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MAIN EK SOUDAGAR HOON...soudagar by soudagar in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
-----/// Main apnaa ghar dhundtaa hoon ///----- Hriday by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
main to ek khilona hoon...soudagar by soudagar in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Aznabi hoon main apne ghar ke liye by dksaxenabsnl in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
BADAL GAYA HOON MAIN.......SOUDAGAR by soudagar in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: July 22, 2012, 05:03:55 PM »
Reply with quote
heart tuching
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: July 22, 2012, 05:09:30 PM »
Reply with quote
Sach me Saudagar jee
aaj ke aapke is kalaam me kuch khaas hai.
theme to acchi hee hai..par aapke chuninda alphaajo ne ise aur khoobsurat bana diya hai..
Bahut umda Applause Applause Applause
Logged
soudagar
Guest
«Reply #3 on: July 22, 2012, 05:26:51 PM »
Reply with quote
shukriya saini sir..
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #4 on: July 22, 2012, 06:04:06 PM »
Reply with quote
namaskar,
main yeh jo post kar raha hoon wo mere ek uncle ke khayalat hai jinhe maine baton mein suna aur ek shayri ke tarike se pesh kar rha hoon wo kafi pareshan hokar apni dastan suna rahe the,,

isme last ki 4 lines shayad aapko bahut buri lagein par jo unhone kaha use hi bta raha hoon aur shayad aaj ke samay mein bahut se logo k aise hi vichar ho gaye phir bhi agar kisi ko bura lage to main dil se mafi chahta hoon..



Main ghar ka mukhiya hoon is ghar ki mujhpar jimmedari hai
meri khushi kuch nahi mere pariwar ki khushiyan hi mujhe pyari hai

teen betiyan hai meri teeno hi samjhdhar aur meri aakhon ka noor hai
teeno badi ho gai aa gaya samay badi beti ki shadi ki tayari hai

jeewan bhar ki mehnat se bhi dahez ek ka jamma kar paya
sochta hoon aage kya hoga aage do ladki aur kunwari hai

umr bhar chala main imandari se to kuch bhi hasil na hua mujhe
mere sathiyon ne thaggi aur rishwt se khride bangle aur gaadi hai

sochta hoon gar meri bhi yahi raah hoti to naa aaj koi pareshani oti
dekhkar khud ki haalat yahi lagta hai achhai par burai bhaari hai

mujhe mouke par chunna tha gandhi ji ki photo lage note ko
maine chuna gandhi ji ke aadarsh ko yahan galti meri sari hai

lagta hai mujhe gandhi ji ke to aadarsh chale gaye sath unke
ab to gandhi ki photo lagi note se hi chalti dunia sari hai


infact this is fact
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #5 on: July 22, 2012, 06:17:14 PM »
Reply with quote
BEHAD UMDA
HER EK SHABD MAN TO CHUTA HAI
namaskar,
main yeh jo post kar raha hoon wo mere ek uncle ke khayalat hai jinhe maine baton mein suna aur ek shayri ke tarike se pesh kar rha hoon wo kafi pareshan hokar apni dastan suna rahe the,,

isme last ki 4 lines shayad aapko bahut buri lagein par jo unhone kaha use hi bta raha hoon aur shayad aaj ke samay mein bahut se logo k aise hi vichar ho gaye phir bhi agar kisi ko bura lage to main dil se mafi chahta hoon..



Main ghar ka mukhiya hoon is ghar ki mujhpar jimmedari hai
meri khushi kuch nahi mere pariwar ki khushiyan hi mujhe pyari hai

teen betiyan hai meri teeno hi samjhdhar aur meri aakhon ka noor hai
teeno badi ho gai aa gaya samay badi beti ki shadi ki tayari hai

jeewan bhar ki mehnat se bhi dahez ek ka jamma kar paya
sochta hoon aage kya hoga aage do ladki aur kunwari hai

umr bhar chala main imandari se to kuch bhi hasil na hua mujhe
mere sathiyon ne thaggi aur rishwt se khride bangle aur gaadi hai

sochta hoon gar meri bhi yahi raah hoti to naa aaj koi pareshani oti
dekhkar khud ki haalat yahi lagta hai achhai par burai bhaari hai

mujhe mouke par chunna tha gandhi ji ki photo lage note ko
maine chuna gandhi ji ke aadarsh ko yahan galti meri sari hai

lagta hai mujhe gandhi ji ke to aadarsh chale gaye sath unke
ab to gandhi ki photo lagi note se hi chalti dunia sari hai

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: July 22, 2012, 08:00:41 PM »
Reply with quote
Saudagar Jee Aadaab!

Waqai haqeekhat bayaaN ki hai aapne.... achche khayaaloN ko
sahiN lafz diye hai... Usual Smile

K A Jee ne jo farmaya sahiN hai infact it's realy todays fact...
Imandaari se jeene waloN ka jeena mushkil hai...
Par beimaani karna bhi aasaaN nahi yeH bhi fact hai... tongue3

Wel aapki is kalaam par dheroN daad ...

Likhate rahiye... aate rahiye...
SHaad O aabad rahiye...
Khuda Hafez.. Usual Smile                   

Logged
Aarish
Guest
«Reply #7 on: July 23, 2012, 01:53:42 AM »
Reply with quote
Bohut Khoob Saudagar jee, isme muafi mangne ki koi zaroorat nahi hai , aapne zindagi ki kadwi haqiqat ko ujagar kiya hai,  dheerrron daad qubool kijiye
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #8 on: July 23, 2012, 02:46:00 AM »
Reply with quote
BAhut Hi Umda likha hai Soudagar Ji Daad Qabul Farmayeen
Logged
soudagar
Guest
«Reply #9 on: July 23, 2012, 06:16:13 AM »
Reply with quote
Aapke in keemti shabdo ke liye bahut bahut dhanywad mkv ji
Logged
soudagar
Guest
«Reply #10 on: July 23, 2012, 12:54:07 PM »
Reply with quote
Shukriya K.A ji
Logged
soudagar
Guest
«Reply #11 on: July 23, 2012, 01:31:00 PM »
Reply with quote
Baht bahut shukriya manoj ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #12 on: July 23, 2012, 02:52:54 PM »
Reply with quote
Justtttttt Excellent!!!!!!

Zabardast peshkash Saudagar Ji..

Har Ek Sher Lajawaab.....

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
soudagar
Guest
«Reply #13 on: July 23, 2012, 05:37:14 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya parwaz ji.........
Logged
soudagar
Guest
«Reply #14 on: July 24, 2012, 02:33:12 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya aarish bhaijan,,,,
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 09:38:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer