Main ik naakaam shaair hun (by vb)

by vb on July 30, 2011, 07:23:45 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1007 times)
vb
Guest
Reply with quote


Main ik naa-kaam shaair hoon
Guzar jaati hay bus apni
Nayay sapnay kabhi bun kar
Kabh un k uzar sun kar
Meray naghmay tu jaari hain
Magar lehjay say aari hain
Faqat lafzon ka maahir hoon
Main ik naa-kaam shaair hoon

Faqat hasrat sahi jaanaan!
Magar hasrat rahi jaanaan!
Main kuchh aisa likhun k jo
Tumhaaray dil ko bhaa jaayay
Meray ehsaas ki duniyaa
Tumhen mera banaa jaayay
Kabhi raaton ko uth uth kar
Kabhi logon say chhup chhup kar
Kabhi bazaar men phirtay
Kabhi rastay main ruk ruk kar
Nashay main gharq ho kar bhi
Kabhi galiyon main so kar bhi
Kabhi masroof duniya main
Kabhi fursat main ro kar bhi
Hazaaron geet likhay hain
Sabhi baykaar lagtay hain

Mera eemaan hay jaanaan!
Meray jazbon ki sachaai
Meri chaahat ki barnaai
Agar tum tak puhunch paati
Tum khud ko bhool he jaati
Bhala kaisay ye mumkin hay?
Mohabbat ka haseen jazba
Kisi ki rooh tak aayay
Wo khud ko bhool na jaayay

Meray andar ka shaair ab
Guzar jaayay ga jaanay kab
Mujhay aksar ye lagta hay
K ab likhnay say qaasir hoon
Main ik naa-kaam shaair hoon
Main ik.....

......................................


Logged
sarfira
Guest
«Reply #1 on: July 30, 2011, 08:53:34 AM »
Reply with quote
hahaha
naakaamiya bhi teri hain
sargoshiya bhi teri hain
naakaam shayar kahe khud ko
dilfarebi kahaniyan ye teri hain----

aapke post parh kar kasam se dusre jahan ka aanand aata hai
u r the unique shaair of this mehfil Usual Smile
Logged
vb
Guest
«Reply #2 on: July 30, 2011, 08:57:01 AM »
Reply with quote
:]
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: July 30, 2011, 10:34:41 AM »
Reply with quote
VB jee Aadaab!

Waah janab kia lafzoN ki hair pher ki hai aapne..
Bahut umdaa peshkash ki hai aapne... khub manzarkashi
rahi... dil bagH BaagH ho gaya.. Humari daad kabul
kijiye... Aur yeH chaNd ashaar aapki khidmat meiN.. Usual Smile


Waqai aap lafzoN ke maheer hai
Aur aik kamyaab shayeer hai..
Aap iss mehfil ki ronak hai
yeH aapke kalaamoN se zaheer hai..

Kabhi lazoN meiN ghalib ko
kabhi ahsaasoN se meer ko..
Chhu jaate hai dil o jigar ko
Aap ke khayaaloN meiN saheer hai.. Usual Smile

           


Likhate rahiye janab... Khush O aabaad rahiye..
Aate rahiye... Khuda Hafez Usual Smile


Logged
vb
Guest
«Reply #4 on: August 02, 2011, 06:17:20 AM »
Reply with quote
ParwaaZ jee! shukriya aap kaa...
Logged
khujli
Guest
«Reply #5 on: August 07, 2011, 10:06:28 PM »
Reply with quote


Main ik naa-kaam shaair hoon
Guzar jaati hay bus apni
Nayay sapnay kabhi bun kar
Kabh un k uzar sun kar
Meray naghmay tu jaari hain
Magar lehjay say aari hain
Faqat lafzon ka maahir hoon
Main ik naa-kaam shaair hoon

Faqat hasrat sahi jaanaan!
Magar hasrat rahi jaanaan!
Main kuchh aisa likhun k jo
Tumhaaray dil ko bhaa jaayay
Meray ehsaas ki duniyaa
Tumhen mera banaa jaayay
Kabhi raaton ko uth uth kar
Kabhi logon say chhup chhup kar
Kabhi bazaar men phirtay
Kabhi rastay main ruk ruk kar
Nashay main gharq ho kar bhi
Kabhi galiyon main so kar bhi
Kabhi masroof duniya main
Kabhi fursat main ro kar bhi
Hazaaron geet likhay hain
Sabhi baykaar lagtay hain

Mera eemaan hay jaanaan!
Meray jazbon ki sachaai
Meri chaahat ki barnaai
Agar tum tak puhunch paati
Tum khud ko bhool he jaati
Bhala kaisay ye mumkin hay?
Mohabbat ka haseen jazba
Kisi ki rooh tak aayay
Wo khud ko bhool na jaayay

Meray andar ka shaair ab
Guzar jaayay ga jaanay kab
Mujhay aksar ye lagta hay
K ab likhnay say qaasir hoon
Main ik naa-kaam shaair hoon
Main ik.....

......................................



Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:49:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer