Main Jeena Chaahti Thi.. "Ek Pukaar" "Khwaish"

by khwaish on August 26, 2010, 09:13:32 AM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 29090 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
So Kyon Manda Aakhiye
Jis Jamme Rajaan!!!!

Dhan Guru Nanak Dev Ji Ne Yeh Anmol Bachan Uchaare The Ke Hum Usse Kaise Bura Keh sakte hai Jo Ek Janani hai,Yeh Insaan Ko kabhi nahi Bhoolna Chahiye Ke Bade-Bade Raje-Mahraajo,Peer-Paighambar,Sant-Avtaar Ko Janam Dene Wali Ek Aurat Hi Hai..


Aaj Ka Sach.....

“She was Thrown in the garbage dump outside the village for dogs that ate her.

Her only fault — she was the fourth girl born in a poor family,” said By
 paediatric doctor here, recalling the first time she witnessed discrimination against female infants.

Even today In Modern Times Birth of girl child is viewed as a bad investment for future..

India’s female to male ratio is 100 males to 93 females compared to a world average of 100 males to 105 females......

Yeh Hai Aaj ke daur Ka Ghinona Sach..Main Iss Kavita Ko Kavita Naa Maankar Sirf Ek Pukaar ka Darja Dunga,Ek Aisi Pukaar Jo Ek Ladki Apni Maa,Apne baap se Kardi hai Ke Aakhir Kyon Usse Hi Janam Milne Se Pehle Maar Diya Jaata Hai..

Iss Kavita Par Comments dena Na Dena,Shayad Zaroori nahi  hai Par Iss Kavita Ke Dard Ko,Ehsaas Ko Samjhna Bahut Zaroori Hai,Agar Yeh kavita Kisi Ke dil Mein Dard paida kar sake,Aur Hum Yeh sab Hone Se  Rok sake Jisse Jeev Hatya Ya Female Infanticide Kehte Hai to Bas Wahi Ek Anmol Inaam Hi Iss Kavita Ka..Shukriya..

Maa Teri saanson se meri saansein chalti Rahi
par pata Nahi kyon aaj saanso Ka Aana Band sa ho gaya
Ek Rooh Thi Main Tere Jism Ki
Par pata Nahi Kyon Aaj Iss Rooh Se Jism Hi Juda Ho Gaya

Maa Main Tujhse Kuch Kehna Chaahti Thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Jaane Kyon Mujhe Woh Tera Pyaar Naa Mila
Teri Balayen, Tera Woh Dulaar Naa Mila
Maa Main Teri Aanhkon Ka Tara Bankar Jhilmilana Chaahti Thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Maa main thi To ek Beti Par Kisi Bete Sa Kam naa Thi
Ek Baar Sach Kehna,Mujhe maarne Par Kya Teri Aankhein Nam Na Thi..
Maa Main Bhi tere Kadmon se Kadam Milakar chalna Chaahti thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Ek Beti ko Hi kyon Har baar Parkha Jaata Hai
eK jageh par janam Dete waqt Kehte Ho ghar Ki laxmi Ne Janam liya
Aur Dusre Hi pal usse paraya Dhan Kaha Jaata Hai
Maa Main Teri Dost, Teri Sakhi, Tera Hi Roop Bana Chahti thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Betiyan To Papa ki Laadliyan Hoti hai
Betiyan to papa Ke Liye Jaan Se Pyaari Hoti hai
Main Aap Dono Ki Izzat Bankar Duniya Mein Rehna Chaahti thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi..

"Khwaish" Kehta Hai Har Ek Jeev Ko haq Hai Zindagi Ko Jeene Ka
Kisi Ke haq Ko Cheena gunaah hai,
Ek masoon Si Jaan Ka Qatl karna, Kya Woh Insaan Hai??

Beti To Ek Phool Bankar Ghar-Aangan Mein Khilna Chaahti Thi..
bas..Uski Pukaar Yehi Thi..."Maa Main Jeena Chaahti Thi..."


                     ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
Rahi2001
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 19 hours and 8 minutes.

ミ★яαнι★彡¤ℓσνє¤ ●๋•кιηg σƒ ωαソ●๋•

Posts: 745
Member Since: Nov 2008


View Profile WWW
«Reply #1 on: August 26, 2010, 09:20:34 AM »
Reply with quote
kwaish jiiiiiiiiiiiiiii

sach me aap ne to aaj ek dam se rone ko majbur kar diya
\
jis aatarah se aap ne samaj ki buraiyon ko samaketit karty hue is rachna ko aakar diay hai
 

wo sach me lajawab hai

mujhe b apni aaj ek poorani kavita yaad aai hai jo maine isi topic pe karib 3 saal pehle schhol me likhi thi shayad kahin mil jaye to aap logon ko sunaonga

magar mujhe yakin hai ki wo isse jyada umda aur dilnashin nahi ho sakti

isme ubhara hua hjar dard , har shabd mere dil ko kachot raha hai aur jaise kah raha hai ki is burai se ladna hai tumhen ....................

bhut mushkil me dal diya aap ki rachna ne

kisi ne sach kaha hai

"kalam ki takat talwar se tej hai "

aap ka shubhchintak

"Raahi"
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #2 on: August 26, 2010, 09:43:20 AM »
Reply with quote
khwaish ji........
kuch kehna possible hi nahin iske liye...

ye feling hi apne aap me sharmindgi bhari hai k hamare aas pas ye ho raha hai aur hum ise rok nahin pa rahe...

kuch nahin keh paungi....
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #3 on: August 26, 2010, 12:36:49 PM »
Reply with quote
Speechless............Mook
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: August 26, 2010, 01:34:13 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #5 on: August 26, 2010, 03:00:00 PM »
Reply with quote
Marvellous Creation Khwahish Ji...

Very Nice Feelings...

Aaj Ke Samaaj Ke Ghatanaaon Par Aina Rakhne Ka Aapke Koshish... Dil Bhar Aaya..
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: August 26, 2010, 03:27:09 PM »
Reply with quote
Mashallah Bohat Achcha LIkha Hai Khwaish Bhi,.

its very touching
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #7 on: August 26, 2010, 03:49:27 PM »
Reply with quote
Bahut khoob khwaish ji bahut hi gehri aur sahi baat kahi hai apne..aksar log aese topics pe sochte tou hai per likhte kuch nhi apne kuch benaam se ehsaso ko itni khubsuarti se naam diya hai..apki kavita kaabil-e-tareef hai...bahut khoob...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: August 26, 2010, 06:32:00 PM »
Reply with quote
kwaish jiiiiiiiiiiiiiii

sach me aap ne to aaj ek dam se rone ko majbur kar diya
\
jis aatarah se aap ne samaj ki buraiyon ko samaketit karty hue is rachna ko aakar diay hai
 

wo sach me lajawab hai

mujhe b apni aaj ek poorani kavita yaad aai hai jo maine isi topic pe karib 3 saal pehle schhol me likhi thi shayad kahin mil jaye to aap logon ko sunaonga

magar mujhe yakin hai ki wo isse jyada umda aur dilnashin nahi ho sakti

isme ubhara hua hjar dard , har shabd mere dil ko kachot raha hai aur jaise kah raha hai ki is burai se ladna hai tumhen ....................

bhut mushkil me dal diya aap ki rachna ne

kisi ne sach kaha hai

"kalam ki takat talwar se tej hai "

aap ka shubhchintak

"Raahi"

Raahi Ji, Yeh kavita Likhte waqt Meri bhi Aankhein bhar Aayi Thi Aur Aisa bahut kam Hota hai,Ke Apne Khud Ki kavita Ko hum Yuh Mehsoos Kare..

Aapne Apna Waqt Diya, Aapka Teh Dil Se shukriya..Aur Aapne Bilkul Sach kaha Kalam Ki Taakat Kabhi bhi talwaar Se Tez Hi rehti hai
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: August 26, 2010, 07:20:34 PM »
Reply with quote
Kapil Dost ne mujse ek kavita par ek bada pyaara jumla kaha tha jo aj apko kehna chahta hoon Dost..

"Kuch nazmein parri nahin jaati..Mehsoos ki jati hai.."

I felt the vibration of this poem dear friend..Beautifully written..bahaut ache, nek, saaf ehsaas..ek sacchai par likhna wakei muskhil hota hai aur jabke woh sachayi ap par na biti ho..
Auron pe likhne wale bahaut bade dil kay malik hote hai..

Bahaut bahaut bahaut bahaut khoob Dost..I salute your poem.!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #10 on: August 27, 2010, 03:05:05 PM »
Reply with quote
Khwaish ji aapki iss poem ko jitna ho sake failana chahiye....logon se share karna chahiye.....iss jagah aakar ek maa majbur ho jaati hai....uss se uski bachi ko cheen liya jaata hai aur wo khuch nahi kar paati.....i hope inn alfaazon ko padh kar uss maa mein hausla aaye aur wo apni bachi ko haq de sake jeene ka.....jisse padhkar hamari aankhe nam hai...uss se ek maa ki ruh hi kaap jaaye.....i'll definetly share dis poetry as much as i can.....aur baaki members se bhi yahi gujarish hai meri.....Shukriya khwaish ji....iss aur hamein le jaane ka.....dheron daad kabul kijiye.....
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #11 on: August 27, 2010, 09:18:32 PM »
Reply with quote
Khaawish sahab aadab ,,


wah kya talq haqeeqath bayan ki hai apne .. ap beeti chor jagbeeti jo bayan kare shayad wohi shaair hai ..dad hazir jazbat se labrez is takhleeq pe khobool karen .. allah apko khush rakhe ..


khadim

qadeertoopchi
Logged
drpandey
Guest
«Reply #12 on: August 28, 2010, 02:09:08 PM »
Reply with quote
So Kyon Manda Aakhiye
Jis Jamme Rajaan!!!!

Dhan Guru Nanak Dev Ji Ne Yeh Anmol Bachan Uchaare The Ke Hum Usse Kaise Bura Keh sakte hai Jo Ek Janani hai,Yeh Insaan Ko kabhi nahi Bhoolna Chahiye Ke Bade-Bade Raje-Mahraajo,Peer-Paighambar,Sant-Avtaar Ko Janam Dene Wali Ek Aurat Hi Hai..


Aaj Ka Sach.....

“She was Thrown in the garbage dump outside the village for dogs that ate her.

Her only fault — she was the fourth girl born in a poor family,” said By
 paediatric doctor here, recalling the first time she witnessed discrimination against female infants.

Even today In Modern Times Birth of girl child is viewed as a bad investment for future..

India’s female to male ratio is 100 males to 93 females compared to a world average of 100 males to 105 females......

Yeh Hai Aaj ke daur Ka Ghinona Sach..Main Iss Kavita Ko Kavita Naa Maankar Sirf Ek Pukaar ka Darja Dunga,Ek Aisi Pukaar Jo Ek Ladki Apni Maa,Apne baap se Kardi hai Ke Aakhir Kyon Usse Hi Janam Milne Se Pehle Maar Diya Jaata Hai..

Iss Kavita Par Comments dena Na Dena,Shayad Zaroori nahi  hai Par Iss Kavita Ke Dard Ko,Ehsaas Ko Samjhna Bahut Zaroori Hai,Agar Yeh kavita Kisi Ke dil Mein Dard paida kar sake,Aur Hum Yeh sab Hone Se  Rok sake Jisse Jeev Hatya Ya Female Infanticide Kehte Hai to Bas Wahi Ek Anmol Inaam Hi Iss Kavita Ka..Shukriya..

Maa Teri saanson se meri saansein chalti Rahi
par pata Nahi kyon aaj saanso Ka Aana Band sa ho gaya
Ek Rooh Thi Main Tere Jism Ki
Par pata Nahi Kyon Aaj Iss Rooh Se Jism Hi Juda Ho Gaya

Maa Main Tujhse Kuch Kehna Chaahti Thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Jaane Kyon Mujhe Woh Tera Pyaar Naa Mila
Teri Balayen, Tera Woh Dulaar Naa Mila
Maa Main Teri Aanhkon Ka Tara Bankar Jhilmilana Chaahti Thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Maa main thi To ek Beti Par Kisi Bete Sa Kam naa Thi
Ek Baar Sach Kehna,Mujhe maarne Par Kya Teri Aankhein Nam Na Thi..
Maa Main Bhi tere Kadmon se Kadam Milakar chalna Chaahti thi
Maa Main Bhi Jeena Chaahti Thi...

Ek Beti ko Hi kyon Har baar Parkha Jaata Hai
eK jageh par janam Dete waqt Kehte Ho ghar Ki laxmi Ne Janam liya
Aur Dusre Hi pal usse paraya Dhan Kaha Jaata Hai
Maa Meri teri Dost, teri sakhi, Tera Hi Roop Bana Chahti thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Betiyan To Papa ki Laadliyan Hoti hai
Betiyan to papa Ke Liye Jaan Se Pyaari Hoti hai
Main Aap Dono Ki Izzat Bankar Duniya Mein Rehna Chaahti thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi..

"Khwaish" Kehta Hai Har Ek Jeev Ko haq Hai Zindagi Ko Jeene Ka
Kisi Ke haq Ko Cheena gunaah hai,
Ek masoon Si Jaan Ka Qatl karna, Kya Woh Insaan Hai??

Beti To Ek Phool Bankar Ghar-Aangan Mein Khilna Chaahti Thi..
bas..Uski Pukaar Yehi Thi...Maa Main Jeena Chaahti thi...


                     ~~~~~Khwaish~~~~~

Khwaish ji,

Aapke ehsaas aur usme simta hua dard darasl ek aise vishay par roshani daalta hai jispar poori manavta sharmsaar hai. Aaj ham sabhyata ke aise padav per aa khade hue hain ki jahan se door-door tak andhera hi andhera nazar aa raha hai, roshani ki koi umeed nahin dikhai deti. Khair aapke maanviye samvedna par main aapko hazaron saadhuvaad deta hun aur ishwar se prarthana karta hun ki yahi ehsaas hamare samaj mein aajaye.

Aapke is utkrisht kriti ke liye aapko badhai. Aaj-kal main research mein bahut vyast hun isliye forum per time nahin de pata. Umeed hai aap logon ka pyar aise hi bana rahega aur jald hi wapas aaunga.

HP Pandey 
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #13 on: August 28, 2010, 05:50:26 PM »
Reply with quote
kya kahem khwaish ji aap ne to hume ashaqon se bhigo diya.sach bahut achhi aur touching kavita.jaisa socha tha usse to bahut behtreen hai.
kaise aapne nanhi kali ke zazbaaton ko likha hai wakai daad ke kabil hai .daad kubool kijiye. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wo bhi waqt aayega jab dast-e-dua uthenge betiyon ki khatir.
wo bhi waqt aayega jab bajenge badhawe betiyon ki khatir.
gulshan mein phool mehkenge betiyon ki khatir.
chand sitare  to kya ,maa baap tarsenge betiyon ki khatir.

So Kyon Manda Aakhiye
Jis Jamme Rajaan!!!!

Dhan Guru Nanak Dev Ji Ne Yeh Anmol Bachan Uchaare The Ke Hum Usse Kaise Bura Keh sakte hai Jo Ek Janani hai,Yeh Insaan Ko kabhi nahi Bhoolna Chahiye Ke Bade-Bade Raje-Mahraajo,Peer-Paighambar,Sant-Avtaar Ko Janam Dene Wali Ek Aurat Hi Hai..


Aaj Ka Sach.....

“She was Thrown in the garbage dump outside the village for dogs that ate her.

Her only fault — she was the fourth girl born in a poor family,” said By
 paediatric doctor here, recalling the first time she witnessed discrimination against female infants.

Even today In Modern Times Birth of girl child is viewed as a bad investment for future..

India’s female to male ratio is 100 males to 93 females compared to a world average of 100 males to 105 females......

Yeh Hai Aaj ke daur Ka Ghinona Sach..Main Iss Kavita Ko Kavita Naa Maankar Sirf Ek Pukaar ka Darja Dunga,Ek Aisi Pukaar Jo Ek Ladki Apni Maa,Apne baap se Kardi hai Ke Aakhir Kyon Usse Hi Janam Milne Se Pehle Maar Diya Jaata Hai..

Iss Kavita Par Comments dena Na Dena,Shayad Zaroori nahi  hai Par Iss Kavita Ke Dard Ko,Ehsaas Ko Samjhna Bahut Zaroori Hai,Agar Yeh kavita Kisi Ke dil Mein Dard paida kar sake,Aur Hum Yeh sab Hone Se  Rok sake Jisse Jeev Hatya Ya Female Infanticide Kehte Hai to Bas Wahi Ek Anmol Inaam Hi Iss Kavita Ka..Shukriya..

Maa Teri saanson se meri saansein chalti Rahi
par pata Nahi kyon aaj saanso Ka Aana Band sa ho gaya
Ek Rooh Thi Main Tere Jism Ki
Par pata Nahi Kyon Aaj Iss Rooh Se Jism Hi Juda Ho Gaya

Maa Main Tujhse Kuch Kehna Chaahti Thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Jaane Kyon Mujhe Woh Tera Pyaar Naa Mila
Teri Balayen, Tera Woh Dulaar Naa Mila
Maa Main Teri Aanhkon Ka Tara Bankar Jhilmilana Chaahti Thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Maa main thi To ek Beti Par Kisi Bete Sa Kam naa Thi
Ek Baar Sach Kehna,Mujhe maarne Par Kya Teri Aankhein Nam Na Thi..
Maa Main Bhi tere Kadmon se Kadam Milakar chalna Chaahti thi
Maa Main Bhi Jeena Chaahti Thi...

Ek Beti ko Hi kyon Har baar Parkha Jaata Hai
eK jageh par janam Dete waqt Kehte Ho ghar Ki laxmi Ne Janam liya
Aur Dusre Hi pal usse paraya Dhan Kaha Jaata Hai
Maa Meri teri Dost, teri sakhi, Tera Hi Roop Bana Chahti thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi...

Betiyan To Papa ki Laadliyan Hoti hai
Betiyan to papa Ke Liye Jaan Se Pyaari Hoti hai
Main Aap Dono Ki Izzat Bankar Duniya Mein Rehna Chaahti thi
Maa Main Jeena Chaahti Thi..

"Khwaish" Kehta Hai Har Ek Jeev Ko haq Hai Zindagi Ko Jeene Ka
Kisi Ke haq Ko Cheena gunaah hai,
Ek masoon Si Jaan Ka Qatl karna, Kya Woh Insaan Hai??

Beti To Ek Phool Bankar Ghar-Aangan Mein Khilna Chaahti Thi..
bas..Uski Pukaar Yehi Thi...Maa Main Jeena Chaahti thi...


                     ~~~~~Khwaish~~~~~

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #14 on: August 29, 2010, 03:08:37 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause
khwaish bro......behad dardnaak pukaar ko shabdo ka jama pahnane me aap kamyaab rahe....aapki kavita ka sandesh jaroor kuch jindagiyon ko bachayega kyunki shabd kabhi khali nahi jaate.............is rachna ke liye aapko sadhuwad.....
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:18:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.181 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer