**Main mohobat karna chahta hoon** by Rahim

by dead heart on April 19, 2010, 03:22:22 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1725 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Main mohobat karna chahta hoon,
Apne ateet main basi woh parchai ko mitana chahta hoon,
Jisne diya hai ghum; woh be-rahem ko bhulana chahta hoon,
Aj ek daba hua sa ehsaas jaga hai dil main mere,
Main ek baar phir mohobat karna chahta hoon…

Jo thukra  ke mujhe khush reh sakta hai,
Usse bhi khush rehke dikhana  chahta hoon,
Jee sakta hoon uske bina main haste haste,
Main usse batana chahta hoon,
Main ek baar phir mohobat karna chahta hoon…

Tadpa hoon main bahaut uske bina har pal,
Kisi aur ko apna bana kar usse bhi tadpana chahta hoon,
Bahaut baha liye ansoo maine us’se arzoo karte karte,
Aj toh thoda sa ghum usse bhi chakhana chahta hoon,
Main ek baar phir mohobat karna chahta hoon…

Kehne ko toh bahaut nafrat bhara kalam likha hai maine,
Mager har lavz main badi mohobat dikhana chahta hoon,
Karli bahaut arzzoein main us’se,
Ke hoja ek mujse,
Aj usse apne dard ka ehsaas dilana chahta hoon,
Shayad kabhi na samaj paye woh ‘Rahim’ ke jazbaton ko,
Mager aj usse inki ek jhalak se milwana chahta hoon,
‘BAS’,
Yehi kehta hai mera ‘khamosh dil’,
Ke ab bas hogaya hai,
Ae Khuda mera dard anjam tak ponch gaya hai,
Ab iski inteha hogayi hai,
Bahaut hogayi hai mere ankhon se askhon ki barish,
Ab toh koi mausam badalne wala bhejde,
Sach kehta hoon yaaron,
Main ek baar phir mohobat karna chahta hoon…


~Rahim~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~Ek akhri baar main mehfil sajana chahta hoon~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
~Mohobat karne se darta hoon~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~Mohobat karna chahta tha~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
~Main toh bas mohobat karta raha~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
Main bas ik sapna sach karna chahta hoon...Raaj by Sunil Malhotra in Shairi - E - Zindagi
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: April 19, 2010, 03:24:26 PM »
Reply with quote
Bahut khoobsurat kavita hai Rahim bhai... bahut khoob...!!!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: April 19, 2010, 07:44:41 PM »
Reply with quote
Bahaut shukriya Kapil dost!
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #3 on: April 19, 2010, 09:37:51 PM »
Reply with quote
nice creation,bahoot khoob janaab


Apne ateet main basi woh parchai ko mitana chahta hoon,
Jisne diya hai ghum; woh be-rahem ko bhulana chahta hoon,
Aj ek daba hua sa ehsaas jaga hai dil main mere,
Main ek baar phir mohobat karna chahta hoon…



Aj usse apne dard ka ehsaas dilana chahta hoon,
Shayad kabhi na samaj paye woh ‘Rahim’ ke jazbaton ko,
Mager aj usse inki ek jhalak se milwana chahta hoon,
Logged
neelgold
Guest
«Reply #4 on: April 19, 2010, 11:38:36 PM »
Reply with quote
Kya baat hai ........Rahim Shab.....
Jst KAMAL.........

Bhut ho khoob no words ..............
Main mohobat karna chahta hoon,
Apne ateet main basi woh parchai ko mitana chahta hoon,
Jisne diya hai ghum; woh be-rahem ko bhulana chahta hoon,
Aj ek daba hua sa ehsaas jaga hai dil main mere,
Main ek baar phir mohobat karna chahta hoon…

Jo thukra  ke mujhe khush reh sakta hai,
Usse bhi khush rehke dikhana  chahta hoon,
Jee sakta hoon uske bina main haste haste,
Main usse batana chahta hoon,
Main ek baar phir mohobat karna chahta hoon…

Tadpa hoon main bahaut uske bina har pal,
Kisi aur ko apna bana kar usse bhi tadpana chahta hoon,
Bahaut baha liye ansoo maine us’se arzoo karte karte,
Aj toh thoda sa ghum usse bhi chakhana chahta hoon,
Main ek baar phir mohobat karna chahta hoon…

Kehne ko toh bahaut nafrat bhara kalam likha hai maine,
Mager har lavz main badi mohobat dikhana chahta hoon,
Karli bahaut arzzoein main us’se,
Ke hoja ek mujse,
Aj usse apne dard ka ehsaas dilana chahta hoon,
Shayad kabhi na samaj paye woh ‘Rahim’ ke jazbaton ko,
Mager aj usse inki ek jhalak se milwana chahta hoon,
‘BAS’,
Yehi kehta hai mera ‘khamosh dil’,
Ke ab bas hogaya hai,
Ae Khuda mera dard anjam tak ponch gaya hai,
Ab iski inteha hogayi hai,
Bahaut hogayi hai mere ankhon se askhon ki barish,
Ab toh koi mausam badalne wala bhejde,
Sach kehta hoon yaaron,
Main ek baar phir mohobat karna chahta hoon…


~Rahim~
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: April 20, 2010, 05:46:51 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Rahim Ji
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #6 on: April 20, 2010, 06:28:38 AM »
Reply with quote
Nice creation Abdul Rahim ji. Dil ki kaifiyat badi khubsurat tareeqe se bayaan kiya hai.
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: April 20, 2010, 12:48:52 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut shukriya sabhi ka...Bahaut bahaut shukriya!
Logged
Azeem,.
Guest
«Reply #8 on: April 20, 2010, 12:58:22 PM »
Reply with quote
Hmmm Mashallah Bohat Khoob Rahim Bhai,.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #9 on: April 20, 2010, 01:07:07 PM »
Reply with quote
Wah Rahim bhai bahut dard  aur khoobsurti se likha aapne.great work.par aap aisa nahi kar paoge kyunki aap unse pyar karte ho.lagta hai bahut gusse mei likha hai aapne.God bless you n give u peace. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: April 20, 2010, 01:09:19 PM »
Reply with quote
Shukriya Azeem bhaijan...

Shukriya di..Haan shayad gusse main likha hai...mager sach likha hai!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:19:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer