~Main qabr ki orre barr gaya~by Rahim

by dead heart on December 18, 2010, 11:13:08 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1137 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Mera janam dinn ho ya ek saal ka ant..mujhe yehi ehsaas hota hai kay maut kay kareeb agaye hai hum..
iss guzre hue saal main, kayi cheezein seekhi hai, mehsus kiya hai mager dekh jaye toh mere liye meri personal life ka ek toota hua saal guzra hai..maine jisse bahaut chaha, woh apni raah badal gaya..
Aur meri professional life jisse koi raah nahin dikh rahi thi woh sahi track par chal parri..Khuda ka shukar hai har cheez kay liye..
Bas kuch apne saal par likha hai..

Ek aur saal dekhte hi dekhte beet gaya,
Mera ek aur qadam meri qabr ki orre barr gaya..

Jisne thaam kay haath mera najane kitne vaade kiye the,
Woh shaks iss saal main najane kyun apni raah badal gaya..

Ek waqt aisa bhi tha kay dikh nahin rahi thi raah koi mujhe,
‘Khamosh’ ko sahi raah miljaye; najane kaun aisi dua kar gaya..

Maine apne apko kho diya kahin iss duniya ki bheed main,
Kyun ki jo kal tak mera tha, woh kisi aur ka hogaya..

Waqt beet kar kahi aur baatein seekha gaya mujhe,
‘Khamosh’ apni qabr ki orre bas qadam barra gaya..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Qabr Main Sone De by Roja in Shayri-E-Dard
**Bhula diya gaya** by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
**Chorr ke kyun gaya** by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
~Yaaron hum agey barr chale~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~*~ Mohobaton ka mausam gaya ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: December 19, 2010, 02:22:18 AM »
Reply with quote
 Applause Applause
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #2 on: December 19, 2010, 04:07:26 AM »
Reply with quote
wah bahut khub Rahim Bhai jaan.
kya mast likha aapne ...aapki ye peshkash bilkul meri soch ke lafz hain.
wo bhi tab jab kal mera Bday hai
tab aapne ye likha ...
kasam se bahut khubsurat aur sachhi.
dil khus ho gaya ..
bahut umda
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: December 19, 2010, 09:25:43 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Rahim Ji
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: December 19, 2010, 10:42:24 AM »
Reply with quote
Shukriya Bekarar jee, KillBill jee aur Rajesh jee..!

Teh dil se shukriya..
Khush rahiye..!
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #5 on: December 20, 2010, 10:04:40 AM »
Reply with quote
are bhaii, abhi abhi to mile ho itni jaldi qabra ki bate na kro..dher saari daad aapne waqai bada achha likha hai~

zindagi jeene walon ki amanat hai..
maut ka khwab to murdon ko ata hai~

dost uparwale ne ham sabko ek or naseehaton se bhara saal baksha hai...yahi har janmdin par sochna chahiye...

khush rahiye..
likhte rahiye~
Logged
dead heart
Guest
«Reply #6 on: December 20, 2010, 11:02:58 AM »
Reply with quote
teh dil se shukriya Abhi bhai,.
Bahaut achi do lines..
Applause
Khush rahiye
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: December 20, 2010, 11:03:48 AM »
Reply with quote
Shukriya Shihab bhaijan..!
Khush rahiye..!
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #8 on: December 20, 2010, 12:32:31 PM »
Reply with quote
rahim ji bht aacha likha he aur bht meaningful bhi he ........byt pyara likha hua he but dear ek baat kahna chahunga .....bas ye hi ki uperwala jo karta he aache ke liye karta he ye samajne ki koshish kare .....sab sahi ho jayega....
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #9 on: December 20, 2010, 12:54:10 PM »
Reply with quote
Wah wah wah Rahim-bhai....mast likha hai....janmdin ko ek aur naye nazariye se dekha hai aapne.....par ye negetive soch hai....aane waale pal ka abhi se kya sochna....jo pal maujud hai usse hassi khushee jeena chahiye....


Mera janam dinn ho ya ek saal ka ant..mujhe yehi ehsaas hota hai kay maut kay kareeb agaye hai hum..
iss guzre hue saal main, kayi cheezein seekhi hai, mehsus kiya hai mager dekh jaye toh mere liye meri personal life ka ek toota hua saal guzra hai..maine jisse bahaut chaha, woh apni raah badal gaya..
Aur meri professional life jisse koi raah nahin dikh rahi thi woh sahi track par chal parri..Khuda ka shukar hai har cheez kay liye..
Bas kuch apne saal par likha hai..

Ek aur saal dekhte hi dekhte beet gaya,
Mera ek aur qadam meri qabr ki orre barr gaya..

Jisne thaam kay haath mera najane kitne vaade kiye the,
Woh shaks iss saal main najane kyun apni raah badal gaya..

Ek waqt aisa bhi tha kay dikh nahin rahi thi raah koi mujhe,
‘Khamosh’ ko sahi raah miljaye; najane kaun aisi dua kar gaya..

Maine apne apko kho diya kahin iss duniya ki bheed main,
Kyun ki jo kal tak mera tha, woh kisi aur ka hogaya..

Waqt beet kar kahi aur baatein seekha gaya mujhe,
‘Khamosh’ apni qabr ki orre bas qadam barra gaya..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: December 20, 2010, 06:40:17 PM »
Reply with quote
Shukriya Matrix Guy aur Koyal di..!
Mujhe uss Rabb par hi toh bharosa hai..
Teh dil se shukriya..
Khush rahiye..!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:02:17 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer