----- /// Main tera intezaar karta hoon /// -----

by klaskar on August 21, 2010, 02:11:26 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 5737 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote

aaj bhi aisa lagta hai, aake seene se lag jaayegi tu,
naam tera pukaarun main, aur daudi chali aayegi tu,
tujhse chaahe dur hoon par dhadkan ab bhi tere paas hai,
tut gaye hain sapne saare par ab bhi tujhe paane ki aas hai,


mujhe rote huye na dekhle tu isliye main chehra chhupaata hoon,
har lamha main tujhe bas apna muskuraata hua chehra dikhaata hoon,
main nahi chaahta ki tu mujhe mere aansoo dekh ke chaahne lage,
main tujhse daya ki bheek nahi, mai to teri mohabbat chaahta hoon,


aaj bhi teri raahon pe main nazre bichaayen baitha hoon,
maine mohabbat ki thi tujhse main aaj bhi tujhe chaahta hoon,
wo gulaab jo tu ne mujhe mohabbat ke saath diya tha kabhi,
kitaab me rakhe us sukhe gulaab ki khushboo mehsoos karta hoon,


band kamre ki khaali deewaaron pe main teri tasveer sajaata hoon,
tere likhe geeton ko main aaj tanhaayi me gungunaata hoon,
aisi bhi kya naraazgi humse ki chhod gayi tu mujhko yun tanha,
main uparwaale se bas teri mohabbat ki ek nazar chaahta hoon,

tere aane ka aetbaar tha mujhe, main aaj bhi aetbaar karta hoon,
maine kahaa tha main intezaar karunga, main aaj bhi karta hoon...


edited by one of my friends... thanx dear...!!!


*****HRIDAY*****
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jab main unhein yaad karta hoon by waheed_rose2004 in Ghazals « 1 2  All »
Main Tau Tum Se Mohabbat Karta Hoon... by Aryaan in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Tera Intezaar Karta Hu... by theyash in Share:Love Poetry
main usi zindagi ka Intezaar karta h0n by Lovely-Prince in Shayri-E-Dard
Tu Aayegi Nahi Phir Bhi Tera Intezar Karta Hoon..!!..Miru by Miraj. in Shayri-E-Dard
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: August 21, 2010, 02:21:23 PM »
Reply with quote
bht achcha likha hai aapne kapil ji...dard bayaan ho raha hai lafzon me
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
arifuddin
Guest
«Reply #2 on: August 21, 2010, 03:56:52 PM »
Reply with quote
 laughing4 keep it up chindyaaaa  Crying Bohat pasand aayi mujhe thx for this  icon_salut
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: August 21, 2010, 05:59:02 PM »
Reply with quote
Klaskar jee aadaab

Behad achchi kalaam laye hai aap shuruwat bahut achchi kii aapne waise hi last tak rakhte to maza aa jata....

Wel achchi koshish per daad janab....           
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: August 21, 2010, 06:21:08 PM »
Reply with quote
shukriya Parwaaz ji... koshish karenge aage behtar likhne ki...!!!

Klaskar jee aadaab

Behad achchi kalaam laye hai aap shuruwat bahut achchi kii aapne waise hi last tak rakhte to maza aa jata....

Wel achchi koshish per daad janab....           

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: August 21, 2010, 06:21:34 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Kasak ji....!!!

bht achcha likha hai aapne kapil ji...dard bayaan ho raha hai lafzon me
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: August 21, 2010, 06:22:22 PM »
Reply with quote
shukriya Arif ji...!!!

laughing4 keep it up chindyaaaa  Crying Bohat pasand aayi mujhe thx for this  icon_salut
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #7 on: August 22, 2010, 06:29:27 PM »
Reply with quote
intezar karte karte na jane
kitni sadiyaan beet gai hain

ab to aake dekh ja meri haalat
ab to nigaahein bhi pathra si gai hain

lafzon ki rawaani bhi ab dhundhli ho gai
mere khwabon ki tasveer bhi berang ho gai hai

aake dekh to sahi mere sanam ab to
mere hathon pe kisi aur k naam ki mehandi bhi lag chuki hai..
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: August 22, 2010, 08:01:30 PM »
Reply with quote
bahut pyara jawaab likha hai aapne.... meri kalam mera saath nahi de rahi.... tab bhi maine koshish ki hai kuch likhne ki.... pata nahi kaisi lagegi aapko....

intezaar tu karna mera,
main waada apna nibhaunga,
maut se bhi main ladke,
jaana tujhse milne aaunga,

baandh sake koi zor se tujhko,
aisi bani koi dor nahi,
pyaar se apne jeet lu tujhko,
tujh bin maangu kuch or nahi,

kesri rang se ranga hua hai,
haath tera to kya hai,
pyaar ke rishton ke aage,
saat feron ka bandhan kya hai,

rishta kisi se jod chuki hai,
us rishte ki koi buniyaad nahi,
kuch waaden kiye the mujhse,
kya tujhe wo waade yaad nahi,

mere liye to tu hi hai sab kuch,
tere siwa na koi dooja hai,
mere liye to tu hi ibaadat,
aur tu hi meri pooja hai.....
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #9 on: August 22, 2010, 08:07:53 PM »
Reply with quote
bina kalam k sath diye aapne itna achcha likh diya klaskar ji......

kalam sath deti to kya karte........ Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: August 22, 2010, 08:17:01 PM »
Reply with quote
aapko sach me pasaand aayi kya... mujhe khud ko bharosa nahi ho raha hai... thanx hai ji... dher saara...!!!

 Thankyou !
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #11 on: August 26, 2010, 10:44:15 AM »
Reply with quote
wah kya likha he klaskar ji, kasak ne utna hi achcha reply diya he, or uske badle me aapne or bhi achcha likha he....

 Clapping Smiley  Applause  Applause  Applause  Applause  Applause  Applause  Applause  Applause
 Applause  Applause  Applause  Applause  Applause  Applause  Applause  Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: August 26, 2010, 12:56:31 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Devangi ji... main tahe dil se aapka shukriya adaa karta hoon....!!!

wah kya likha he klaskar ji, kasak ne utna hi achcha reply diya he, or uske badle me aapne or bhi achcha likha he....

 Clapping Smiley  Applause  Applause  Applause  Applause  Applause  Applause  Applause  Applause
 Applause  Applause  Applause  Applause  Applause  Applause  Applause  Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #13 on: August 31, 2010, 10:31:29 PM »
Reply with quote

aaj bhi aisa lagta hai, aake seene se lag jaayegi tu,
naam tera pukaarun main, aur daudi chali aayegi tu,
tujhse chaahe dur hoon par dhadkan ab bhi tere paas hai,
tut gaye hain sapne saare par ab bhi tujhe paane ki aas hai,


mujhe rote huye na dekhle tu isliye main chehra chhupaata hoon,
har lamha main tujhe bas apna muskuraata hua chehra dikhaata hoon,
main nahi chaahta ki tu mujhe mere aansoo dekh ke chaahne lage,
main tujhse daya ki bheek nahi, mai to teri mohabbat chaahta hoon,


aaj bhi teri raahon pe main nazre bichaayen baitha hoon,
maine mohabbat ki thi tujhse main aaj bhi tujhe chaahta hoon,
wo gulaab jo tu ne mujhe mohabbat ke saath diya tha kabhi,
kitaab me rakhe us sukhe gulaab ki khushboo mehsoos karta hoon,


band kamre ki khaali deewaaron pe main teri tasveer sajaata hoon,
tere likhe geeton ko main aaj tanhaayi me gungunaata hoon,
aisi bhi kya naraazgi humse ki chhod gayi tu mujhko yun tanha,
main uparwaale se bas teri mohabbat ki ek nazar chaahta hoon,

tere aane ka aetbaar tha mujhe, main aaj bhi aetbaar karta hoon,
maine kahaa tha main intezaar karunga, main aaj bhi karta hoon...


edited by one of my friends... thanx dear...!!!


*****HRIDAY*****

Bahut khoob Kapil
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: September 01, 2010, 02:46:16 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Rajesh ji.....!!!

Bahut khoob Kapil
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:04:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.145 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer