Main terri kya hu...R...

by brokenbyluv on June 29, 2010, 07:03:12 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3035 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #15 on: July 05, 2010, 01:36:06 AM »
Reply with quote
bahut khoobsurat kavita likhi hai aapne Geet ji... lajawaab... bahut hi sundar likha hai...!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

yeh kaisa pyaar hai tumhaara jo tumhe pyaar pe aetbaar nahi,
kehti ho masoom mujhe par meri masoomiyat pe aetbaar nahi,

agar karte ho pyaar mujhse sachche dil se to darti kyun ho,
barso se saath hoke bhi kyun tumhe mujhpe aetbaar nahi,

chhipati ho sach mujhse aur kehti ho mujhse koi gila nahi,
toda nahi koi vaada par ab tumhe mere vaado pe aetbaar nahi,

kabhi tum subah se lekar shaam tak bas mera raah takti thi,
ab jaane kyun aisa ho gaya hai ki tumhe mera intezaar nahi,

kyun tum ab mere khamoshi me chhipa dard nahi samajh paati,
kya badal gaya hoon main hi ya tumhe ab mujhse pyaar nahi...

*****HRIDAY*****

Kaash terre har alfaz pe main aetbaar kar pati,
kaash ki terri is masumiyat se main phir pyar kar pati,

koi gila tou nhi hai tujhse mujhe,
bus main apne jazbaato ka kaash tujhse izhar kar pati,

main nhi janti kyun khamosh ho gaya hai tu,
terre bin kitni adhuri hu main kaash main tujhse ye iqrar kar pati,

terre aane ki koi aas nhi hai mujhe,
terre kiye kisi waade pe kaash main ikhtiyar kar pati,

hamari manzil shayad kabhi ek na ho,
apne is darr se do ghadi ko hi sahi kaash main inkar kar pati,

merre liye takra jayee jo iss zaamane se..
tujhko iss kadar kaash main apna talabgar kar pati,

kaash ki terri is masumiyat se main phir pyar kar pati.........

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ek khuaish hai terri baho mein sone ki... by brokenbyluv in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4  All »
Terri kami hai...Geet... by brokenbyluv in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Terri muskaan...Geet... by brokenbyluv in Miscellaneous Shayri « 1 2 3  All »
Ek lafz terri shuao ka chahiye...Geet... by brokenbyluv in Shayri for Dard -e- Judai
Har dar pe terri raah niharungi...Geet... by brokenbyluv in Shayri for Khumar -e- Ishq
KOYAL46
Guest
«Reply #16 on: July 05, 2010, 06:49:53 AM »
Reply with quote
Lajawaab daur sawaal aur jawaab ka chal raha hai..... Applause Applause Applause
Jajbaaton ka sahi aur umda chitran ho raha hai... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Jaante dono hain kaun kiska kya hai
Phir bhee puchhte hain aetbaar nahi

Majbooriyen hain samaaj aur quom ki
Unse takraane kaa housla jutate nahi

Gile-shikve kar Ke dil behlaate hain
Dil k ghaav bas yu he sehlaate hain

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #17 on: July 05, 2010, 07:30:14 AM »
Reply with quote
Kapil Ji...Bahut Bahut khoob likha hai aapne..

Yoindia mein Aajkal bahut kam hi dekhne ko milta hai ke koi kisi ke saath likhe..Aapne bahut acha saath diya hai geetji ka,padhkar bahut acha laga hai..

Yuhi likhte rahiyega..Bahut Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #18 on: July 05, 2010, 07:41:04 AM »
Reply with quote
jisse meri har subha roshan hoti hai,
suraj ki wo pehli kiran hai tu,

jisse mere pyaase dil ko raahat milti hai,
baarish ki wo pehli boond hai tu,

jisse mere zindagi ki thakaan dur hoti hai,
peepal ki wo thandi chaon hai tu,

jise dekh main zindagi ke safar pe chal raha hoon,
meri wo pehli aur aakhri manzil hai tu,

tere hi hone se to meri saanse chalti hain,
tu meri zindagi hai, meri mohabbat hai tu...

*****HRIDAY*****

Kaash terre har alfaz pe main aetbaar kar pati,
kaash ki terri is masumiyat se main phir pyar kar pati,

koi gila tou nhi hai tujhse mujhe,
bus main apne jazbaato ka kaash tujhse izhar kar pati,

main nhi janti kyun khamosh ho gaya hai tu,
terre bin kitni adhuri hu main kaash main tujhse ye iqrar kar pati,

terre aane ki koi aas nhi hai mujhe,
terre kiye kisi waade pe kaash main ikhtiyar kar pati,

hamari manzil shayad kabhi ek na ho,
apne is darr se do ghadi ko hi sahi kaash main inkar kar pati,

merre liye takra jayee jo iss zaamane se..
tujhko iss kadar kaash main apna talabgar kar pati,

Kaash terre har alfaz pe main aetbaar kar pati,
kaash ki terri is masumiyat se main phir pyar kar pati.........

Naa Jaane Kin Lafzon mein Main Iss Lekhni ki tareef karoon..Iss Kavita mein Majbooriyan,Kuch shikayatein,Kuch Masuumiyat se Bhare Jazbaat Hai..Mujhe Khaas Taur Pe Har Ek Line Dil Ko Chuti Gayi..
Bahut Bahut Aur Bahut Khoob Geetji...Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aapki Ek line Ke Adhaar par Kuch Likhne Ki Gustaaki Kar raha Hoon Geetji..Agar Acha na Lage to Muaaf Kijiyega..

Aapki Likhi Yeh Line Sabse Khoobsurat Hai..

"Hamari Manzil Shayad Kabhi Ek Na Ho,
Apne Iss darr Se Do Ghadi Ko hi Sahi Kaash main inkaar kar paati"

Naa Jaane Kis Rang mein
Main Zindagi Ki Yeh Tasveer Banau...

Tere Aur kareeb Aau,
Yaa Tujhse Aur Door Ho Jaau..

Main Jaanta Hoon haal-e-dil Apna
Par Aakhir Kin Lafzon mein Apna Haal-e-dil Tujhe Sunau...

Duniya ke iss bheed mein tujhko Hi dhoondhte Rehta Hoon,
Aarzoo Bas itni si Hai ke Teri Rooh Mein Main Kho Jaau...

Inn Haathon Ki Lakeeron mein Tujhe Qaid kar loon,
Apne mutaabik Kaash main Khuda Se Apna Naseeb Likhau...

Kisi Din Hum Juda Ho bhi jaaye To Ashq Na Bahaana!!!!!!
Mujhe Sirf Yaad karna Aur main tere Laboon Par Hurdam  Muskuraoo...

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #19 on: July 06, 2010, 03:24:22 PM »
Reply with quote
Lajawaab daur sawaal aur jawaab ka chal raha hai..... Applause Applause Applause
Jajbaaton ka sahi aur umda chitran ho raha hai... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Jaante dono hain kaun kiska kya hai
Phir bhee puchhte hain aetbaar nahi

Majbooriyen hain samaaj aur quom ki
Unse takraane kaa housla jutate nahi

Gile-shikve kar Ke dil behlaate hain
Dil k ghaav bas yu he sehlaate hain

thnx alot koyal...sach kaha tune majburiya tou hai per samaaj aur kom k sath sath aur b kayi chizo ki,waise ye pyar kab in jaat ya kisi dharam ko manta hai...uper wala jinki kismat ek sath baandh deta hai unhe milne se koi nhi rok pata...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #20 on: July 06, 2010, 03:30:57 PM »
Reply with quote
Kapil Ji...Bahut Bahut khoob likha hai aapne..

Yoindia mein Aajkal bahut kam hi dekhne ko milta hai ke koi kisi ke saath likhe..Aapne bahut acha saath diya hai geetji ka,padhkar bahut acha laga hai..

Yuhi likhte rahiyega..Bahut Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Main bhi bahut bahut shukar guzar hu aap teeno ki khwaish ji,kapil ji aur koyal ki aap teeno ne merre kaam ko pasand kiya aur merre is thread pe merra sath diya...
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #21 on: July 06, 2010, 03:40:11 PM »
Reply with quote
bahut khoobsurat kavita likhi hai aapne Geet ji... lajawaab... bahut hi sundar likha hai...!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

yeh kaisa pyaar hai tumhaara jo tumhe pyaar pe aetbaar nahi,
kehti ho masoom mujhe par meri masoomiyat pe aetbaar nahi,

agar karte ho pyaar mujhse sachche dil se to darti kyun ho,
barso se saath hoke bhi kyun tumhe mujhpe aetbaar nahi,

chhipati ho sach mujhse aur kehti ho mujhse koi gila nahi,
toda nahi koi vaada par ab tumhe mere vaado pe aetbaar nahi,

kabhi tum subah se lekar shaam tak bas mera raah takti thi,
ab jaane kyun aisa ho gaya hai ki tumhe mera intezaar nahi,

kyun tum ab mere khamoshi me chhipa dard nahi samajh paati,
kya badal gaya hoon main hi ya tumhe ab mujhse pyaar nahi...

*****HRIDAY*****

shukriya kapil ji aur bahut khoob reply kiya hai apne...

Pyar tou tujhse kal bhi tha aur aaj bhi hai,
aetbaar tujhpe kal bhi tha aaj bhi hai,

na kabhi terri wafa pe maine shak kiya,
aur na hi terre pyar pe kisi aur ko haq diya,

terri kuch waqt ki khamoshi ne mujhe tadpa diya tha,
kuch palo ko tujhse hi ajnabi bana diya tha,

per ab merre dilbar mujhe tujhpe aetbaar hai,
aaj sache dil se kehti hu ki haan mujhe tujhse pyar hai.........

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #22 on: July 06, 2010, 05:06:40 PM »
Reply with quote
Naa Jaane Kin Lafzon mein Main Iss Lekhni ki tareef karoon..Iss Kavita mein Majbooriyan,Kuch shikayatein,Kuch Masuumiyat se Bhare Jazbaat Hai..Mujhe Khaas Taur Pe Har Ek Line Dil Ko Chuti Gayi..
Bahut Bahut Aur Bahut Khoob Geetji...Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aapki Ek line Ke Adhaar par Kuch Likhne Ki Gustaaki Kar raha Hoon Geetji..Agar Acha na Lage to Muaaf Kijiyega..

Aapki Likhi Yeh Line Sabse Khoobsurat Hai..

"Hamari Manzil Shayad Kabhi Ek Na Ho,
Apne Iss darr Se Do Ghadi Ko hi Sahi Kaash main inkaar kar paati"

Naa Jaane Kis Rang mein
Main Zindagi Ki Yeh Tasveer Banau...

Tere Aur kareeb Aau,
Yaa Tujhse Aur Door Ho Jaau..

Main Jaanta Hoon haal-e-dil Apna
Par Aakhir Kin Lafzon mein Apna Haal-e-dil Tujhe Sunau...

Duniya ke iss bheed mein tujhko Hi dhoondhte Rehta Hoon,
Aarzoo Bas itni si Hai ke Teri Rooh Mein Main Kho Jaau...

Inn Haathon Ki Lakeeron mein Tujhe Qaid kar loon,
Apne mutaabik Kaash main Khuda Se Apna Naseeb Likhau...

Kisi Din Hum Juda Ho bhi jaaye To Ashq Na Bahaana!!!!!!
Mujhe Sirf Yaad karna Aur main tere Laboon Par Hurdam  Muskuraoo...

Tahe dil se apka shukriya khwaish ji..apne bhi bahut hi khubsurat alfazo se apna haal-e-dil bayan kiya hai...

Ye mhbt ki hai takdir kuch pechida merre dost,
har safar ek naya mod hai aata,

kahiin haasil nhi ho pati manzil pyar mein,
tou kabhi bin mange hai sab kuch mil jata,

khuda se har sajde mein sath ishq ka mangte hai diwane,
aur kisiki arzu mein hai har aashiq khuda k aage apna sir jhukata,

per himmat se har mushkil ko asan banaya jaa sakta hai,
waqt tou har kasauti pe hai diwano ko azmaata,

tum bhi ishq ki iss uljhan se jald hi nikal jaoge dost..
kyunki imtihaan hi hai jo insaan ko har kadam hai mazbut banata......... icon_thumleft icon_thumleft

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #23 on: July 10, 2010, 09:31:44 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Khwaish ji... bahut achcha laga jaanke ki aapne apne kimti waqt me se thoda sa waqt nikaal ke hamare is thread ko diya , ise padha aur pasand kiya...  main tahe dil se aapka shukriya adaa karta hoon... sahi kaha aapne ki aajkal bahut kam dekhne ko milta hai ki koi kisi ke saath likhe YO me... agar koi saath deta hai to likhne ka alag hi aanand aata hai... ek baar fir se shukriya Khwaish ji...!!!

Kapil Ji...Bahut Bahut khoob likha hai aapne..

Yoindia mein Aajkal bahut kam hi dekhne ko milta hai ke koi kisi ke saath likhe..Aapne bahut acha saath diya hai geetji ka,padhkar bahut acha laga hai..

Yuhi likhte rahiyega..Bahut Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #24 on: July 10, 2010, 09:34:54 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoobsurat kavita likhi hai aapne Khwaish ji... ek ek line mohabbat se bharpoor hai... bahut hi khoob...!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Naa Jaane Kis Rang mein
Main Zindagi Ki Yeh Tasveer Banau...

Tere Aur kareeb Aau,
Yaa Tujhse Aur Door Ho Jaau..

Main Jaanta Hoon haal-e-dil Apna
Par Aakhir Kin Lafzon mein Apna Haal-e-dil Tujhe Sunau...

Duniya ke iss bheed mein tujhko Hi dhoondhte Rehta Hoon,
Aarzoo Bas itni si Hai ke Teri Rooh Mein Main Kho Jaau...

Inn Haathon Ki Lakeeron mein Tujhe Qaid kar loon,
Apne mutaabik Kaash main Khuda Se Apna Naseeb Likhau...

Kisi Din Hum Juda Ho bhi jaaye To Ashq Na Bahaana!!!!!!
Mujhe Sirf Yaad karna Aur main tere Laboon Par Hurdam  Muskuraoo...

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #25 on: July 10, 2010, 09:38:21 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob likha hai aapne Geet ji... bahut hi khoob...!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause

Tahe dil se apka shukriya khwaish ji..apne bhi bahut hi khubsurat alfazo se apna haal-e-dil bayan kiya hai...

Ye mhbt ki hai takdir kuch pechida merre dost,
har safar ek naya mod hai aata,

kahiin haasil nhi ho pati manzil pyar mein,
tou kabhi bin mange hai sab kuch mil jata,

khuda se har sajde mein sath ishq ka mangte hai diwane,
aur kisiki arzu mein hai har aashiq khuda k aage apna sir jhukata,

per himmat se har mushkil ko asan banaya jaa sakta hai,
waqt tou har kasauti pe hai diwano ko azmaata,

tum bhi ishq ki iss uljhan se jald hi nikal jaoge dost..
kyunki imtihaan hi hai jo insaan ko har kadam hai mazbut banata......... icon_thumleft icon_thumleft

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #26 on: July 10, 2010, 09:39:20 AM »
Reply with quote
U r welcome Geet ji... aur shukriya hamari kavita pasand karne ke liye...!!!

Aur har baar ki tarha is bar bhi bahut hi khoob likha hai aapne...!!!!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

mann karta hai mera tujhe main baahon me bhar loon,
sochta hoon tere pyaar se main bhi pyaar kar loon,

kabse ye baahen meri sooni hain tujhe kaise bataun,
tujhse ek baar milke apni hasratein poori kar loon,

har subah, har shaam bas ek khwaab dekha karta hoon,
meri jaan tujhe har janam me apni zindagi bana loon,

tere nasheeley hothon pe jo paani ki ek boond si hai,
ji karta hai usi boond se main apni pyaas bujha loon,

tere samundar jaisi aankhon me itna gehra paani hai,
mera ji karta hai usi paani me aaj doobki laga loon,

mann karta hai mera tujhe main baahon me bhar loon,
sochta hoon tere pyaar se main bhi pyaar kar loon...

*****HRIDAY*****

shukriya kapil ji aur bahut khoob reply kiya hai apne...

Pyar tou tujhse kal bhi tha aur aaj bhi hai,
aetbaar tujhpe kal bhi tha aaj bhi hai,

na kabhi terri wafa pe maine shak kiya,
aur na hi terre pyar pe kisi aur ko haq diya,

terri kuch waqt ki khamoshi ne mujhe tadpa diya tha,
kuch palo ko tujhse hi ajnabi bana diya tha,

per ab merre dilbar mujhe tujhpe aetbaar hai,
aaj sache dil se kehti hu ki haan mujhe tujhse pyar hai.........

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #27 on: July 10, 2010, 09:53:11 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Koyal ji...aur bahut khoob likha hai aapne...!!!

 Applause Applause Applause

sach kaha hai tumne Koyal ki hum dil behlaate hain,
kuch gile shikwe baantke bas ghaaw sehlaate hain,

koshish to har baar karte hain ki thodi himmat juta le,
par har baar kuch na kuch wajah se hum haar jaate hain,

kabhi halaat ko doshi kehte hain to kabhi hum waqt ko,
aur inhi ka bahana leke hum pyaar ko bhool jaate hain,

hota aksar yahi hai ki pyaar koi karta to bas rota hai,
unki haalat dekh ke bhi hum bekhauff pyaar karte hain,

kuch mahino saal k saath rehne ke baad ehsaas hota hai,
pyaar wo humse nahi karte hum to bas ek tarfa karte hain,

agar koi karta hai pyaar sachche dil se to dar kaisa fir,
wo agar chaahe to har jang mohabbat se hi jeet jaate hain...

Lajawaab daur sawaal aur jawaab ka chal raha hai..... Applause Applause Applause
Jajbaaton ka sahi aur umda chitran ho raha hai... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Jaante dono hain kaun kiska kya hai
Phir bhee puchhte hain aetbaar nahi

Majbooriyen hain samaaj aur quom ki
Unse takraane kaa housla jutate nahi

Gile-shikve kar Ke dil behlaate hain
Dil k ghaav bas yu he sehlaate hain

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #28 on: July 10, 2010, 10:37:49 AM »
Reply with quote
aAPKA BAHUT BAHUT SHUKRIYA gEET-DI FOR UNDERSTANDING AND SUPPORTING MY POINT OF VIEW.... icon_flower icon_flower icon_flower wave wave wave hello hello hello hello

thnx alot koyal...sach kaha tune majburiya tou hai per samaaj aur kom k sath sath aur b kayi chizo ki,waise ye pyar kab in jaat ya kisi dharam ko manta hai...uper wala jinki kismat ek sath baandh deta hai unhe milne se koi nhi rok pata...
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #29 on: July 10, 2010, 10:51:54 AM »
Reply with quote
Bahut khoob jawaab diya hai aapne Klaskar-ji..... Applause Applause Applause
Sach ko maan lena achhi baat hai.... Winking Winking Winking
Sangharsh he zindagi ka dusaraa naam hai..... hello hello hello

bahut bahut shukriya Koyal ji...aur bahut khoob likha hai aapne...!!!

 Applause Applause Applause

sach kaha hai tumne Koyal ki hum dil behleete hain,
kuch gile shikwe baantke bas ghaaw sehlaate hain,

koshish to har baar karte hain ki thodi himmat juta le,
par har baar kuch na kuch wajah se hum haar jaate hain,

kabhi halaat ko doshi kehte hain to kabhi hum waqt ko,
aur inhi ka bahana leke hum pyaar ko bhool jaate hain,

hota aksar yahi hai ki pyaar koi karta to bas rota hai,
unki haalat dekh ke bhi hum bekhauff pyaar karte hain,

kuch mahino saal k saath rehne ke baad ehsaas hota hai,
pyaar wo humse nahi karte hum to bas ek tarfa karte hain,

agar koi karta hai pyaar sachche dil se to dar kaisa fir,
wo agar chaahe to har jang mohabbat se hi jeet jaate hain...

Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 10:59:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.139 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer