Main To Ek Khwahish Ki Tarah Hoon "Khwahish"

by khwaish on October 24, 2013, 07:57:17 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1916 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Jaane Kaisi Kashish Hai Uskee Yaadon Mein Khuda Jaane . . .
Uss Ka  Zikr Bhi Karoon Toh Hawaayein Shor Karti Hai......




Inn AshqoN Ne AankhoN Se To  Utar Jaana hai
Par Tu Hi Bataa Bin Tere Ab Kidhar Jaana Hai

Jee meN Aaye Woh Saza Dena Gar Yeh Jhoot Hai
Hum Bichde To Shisha-e-Dil Ne Bikhar Jaana Hai

Sab Fasaane Ek Se Lagte HaiN Yeh Jaanta Hoon Main
Par Kuch LafzoN Ne Tere Dil MeN Ghar Kar Jaana Hai

Ek Lamhe MeN Baras Jaate HaiN Gham Ke Baadal Aksar
Tu Saath Ho To Har Mushkil Raah Se Guzar Jaana Hai

Main Jaanta HuN Zindagi MeN Tabdiliyaan Bhi Aati Hi Hai
Ishq Ka Junoon Zinda Rehta Hai,Ishq Ne Kab Mar Jaana Hai

Main To Ek "Khwahish" Ki Tarah Hoon Aur Kahaan Reh Paaunga!!!
Teri Rooh,Teri AankheN, Tere Dil MeN Hi Basar Jaana Hai


                  ~~~~~Khwahish~~~~~









Logged
laaiba
Guest
«Reply #1 on: October 24, 2013, 08:07:05 PM »
Reply with quote
Jaane Kaisi Kashish Hai Uskee Yaadon Mein Khuda Jaane . . .
Uss Ka  Zikr Bhi Karoon Toh Hawaayein Shor Karti Hai......

khoobsoorat khayya.l hai khwahish jee, nyc sher




Inn AshqoN Ne AankhoN Se To  Utar Jaana hai
Par Tu Hi Bataa Bin Tere Ab Kidhar Jaana Hai

(achaa matlaa hai waah ,..bohat c daad

Jee meN Aaye Woh Saza Dena Gar Yeh Jhoot Hai
Hum Bichde To Shisha-e-Dil Ne Bikhar Jaana Hai

jhoot our sach ki paimayiesh mushkil hotee hai khwahish jee,
bohat achaa sher hai ,....daad,

Sab Fasaane Ek Se Lagte HaiN Yeh Jaanta Hoon Main
Par Kuch LafzoN Ne Tere Dil MeN Ghar Kar Jaana Hai

waah waah bohat hee khoob ,...

Ek Lamhe MeN Baras Jaate HaiN Gham Ke Baadal Aksar
Tu Saath Ho To Har Mushkil Raah Se Guzar Jaana Hai

bohat achaa our sacha sher kaha hai aap ne,.waaahhh

Main Jaanta HuN Zindagi MeN Tabdiliyaan Bhi Aati Hi Hai
Ishq Mausam Nahi,Jis Ne Waqt Ke Mutabik Badal Jaana Hai

kia baa.t hai ,haqeeqat per mabnee hai ye khyaal toh ,bohat c daad,.......

Main To Ek "Khwahish" Ki Tarah Hoon Aur Kahaan Reh Paaunga!!!
Teri Rooh,Teri AankheN, Tere Dil MeN Hi Basar Jaana Hai

waaah khoobsoorat matla hai ,  bohat bohat c daad,..
                  ~~~~~Khwahish~~~~~

bohat acha kalaam khwahish ji hamesha ki tra,
bohat bohat c daad,...........








Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: October 24, 2013, 08:10:15 PM »
Reply with quote

Khwahish Jee Aadaad...!


Bahut khoob janab ... behad umdaa khayaalaat ko khoob lafzoN meiN baNdha hai aapne...
Badi achchi kalaam huyi hai janab... is khoob kalaam par humari dheroN daad O mubbarakbad kabul kijiye....

HaaN aapke kalaam ke 5th sher ka kafiyaa dusre kafiyoN se milta nahi hai use badalkar sher durust kar lijiye...

Likhate rahiye... Bazm ko roshan karte rahiye...
Shaad O aabaad rahiye...

Khuda Hafez...

Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #3 on: October 24, 2013, 08:25:57 PM »
Reply with quote
Inn AshqoN Ne AankhoN Se To Utar Jaana hai
Par Tu Hi Bataa Bin Tere Ab Kidhar Jaana Hai


Bahut Khub Khwaish Sahab


Shad o Aabaad Rahiye


Shihab
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #4 on: October 24, 2013, 09:01:35 PM »
Reply with quote
bahot khooob, daaad hi daad  Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #5 on: October 24, 2013, 10:01:52 PM »
Reply with quote
waah waah Khwaish jee, poora kalaam hi badhiya hai per ye ash'aar khususann bahut pasand aaye-

Inn AshqoN Ne AankhoN Se To  Utar Jaana hai
Par Tu Hi Bataa Bin Tere Ab Kidhar Jaana Hai

Jee meN Aaye Woh Saza Dena Gar Yeh Jhoot Hai
Hum Bichde To Shisha-e-Dil Ne Bikhar Jaana Hai


DheroN daad aur ek Rau meri taraf se.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: October 24, 2013, 10:12:06 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut khoob Khwahish ji....!!!
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #7 on: October 25, 2013, 08:34:10 AM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob
Logged
aqsh
Guest
«Reply #8 on: October 25, 2013, 01:50:37 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Waaaaaaah...Bahut khoooooooooob khwahish ji... achchi peshkash... hazaron hazaron daaaaad..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:36:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer