Main usko bhula dun nahi ji nahi (Riyaz)

by riyaz106 on April 10, 2010, 07:37:11 AM
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 5189 times)
waquif ansari
Guest
«Reply #30 on: April 13, 2010, 11:06:48 AM »
Reply with quote
Wah wah wah Riyaz Aashna Ji! Aik munfarid, meaari aur murassa ghazal pesh ki hai aapne. Nahin ji nahin ki takraar aik kaif-o-suroor paida kar rahi hai. Aise achhoote radeef bahut kam dekhne ko milte haiN. Bahut khoob radeef ko nibhaaya hai. Is ghazal ki sab se baDi khoobi yahi hai k is meiN musalsal naghmagi barqaraar hai. Agar maiN ye kahuN k ye ghazal bolywood k laaiq ghazal hai. Ghazal ke zabaan-o-bayaan k kya kahne. Aik dilkash aur pursoz ghazal se nawaza hai aapne. HazaroN daad qubul kijiye is dua k saath k zore qalam aur ziyaada.......
              ..GHAZAL..
Main usko bhula dun, nahi ji nahi
Main khud ko mita dun, nahi ji nahi
Andheron mein hi raaz rahta hai raaz
Diya main jalaa dun, nahi ji nahi
Mujhe apna qaatil hai ab bhi azeez
Usey bad-duaa dun, nahi ji nahi
Ye dil kisne toda, hai naam uska kya
Main sabko bata dun, nahi ji nahi
Usey dil se chaaha, to phir uska naam
Main dil se mita dun, nahi ji nahi


Riyaz Ashna
Logged
waquif ansari
Guest
«Reply #31 on: April 13, 2010, 11:08:56 AM »
Reply with quote
Bhai maiN to aik sher kahne se rah gaya woh kuchh yuN hai:

Ye jiske liye hai ghazal ASHNA
Use maiN suna duN nahiN ji nahiN

              ..GHAZAL..
Main usko bhula dun, nahi ji nahi
Main khud ko mita dun, nahi ji nahi
Andheron mein hi raaz rahta hai raaz
Diya main jalaa dun, nahi ji nahi
Mujhe apna qaatil hai ab bhi azeez
Usey bad-duaa dun, nahi ji nahi
Ye dil kisne toda, hai naam uska kya
Main sabko bata dun, nahi ji nahi
Usey dil se chaaha, to phir uska naam
Main dil se mita dun, nahi ji nahi


Riyaz Ashna
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #32 on: April 13, 2010, 12:24:30 PM »
Reply with quote
Aapka tahe dil se shukriya Khwaish ji.
Bahut Bahut Khoob Riyazji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #33 on: April 13, 2010, 12:43:38 PM »
Reply with quote
Madhu bahan aapka bahot bahot bahot shukriya. Hamesha khush rahiye.
Wah wah Riyaz bhai,bahut khoobsurat gazal pesh kiya aapne.marvelous creation.great thoughts.excellent Hats off to you! Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #34 on: April 13, 2010, 05:32:20 PM »
Reply with quote
Behad shukriya Shihab bhai. Jis andaaz mein aapne ghazal ki tareef ki, usse lagata ke aapne badi tawajjo ke saath padha hai. Hausla afazaai ka bhi shukriya adaa karta hun. Allah aapko bhi khush rakhe.
Wah Wah Riyaz Bhai Kya Hi Khub Andaaz Hain Aapke
Har Baar Ki Tarah Ik Bahut Hi Khoobsurat Peshkash.
Aagaz Se Lekar Anjaam Tak Behtreen Ashaar Rahen.
Aapne Pura Insaaf Kiya Hai Is Ghazal Ke Saath...
Mubaarq Ho Bhai...


Khush Rahiye...


~Shihab~

Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #35 on: April 13, 2010, 05:50:49 PM »
Reply with quote
itani sadagi se bhi sanjidagi ko bayan kiya ja sakta hai......aaj aapse seekh liya riyaz ji...bahoot hi khoob...wah
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #36 on: April 14, 2010, 01:38:01 AM »
Reply with quote
Uzma ji aapka bahut saara shukria ke aapne ghazal ko pasand farmaya.
kaia  khoob  likha  hay  nahee  ji  nahee


bulkay bhut hee khoob likha hay ap nay
great work Clapping Smiley
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #37 on: April 14, 2010, 07:09:21 AM »
Reply with quote
Jis muhabbat aur khuloos ke saath aapne khoobsurat alfaaz se nawaazte hue ghazal ki paziraai ki hai, uske liye main aapka tahe-dil se shukriya adaa karta hun. Aapne ghazal ke tasalsul ke mutabiq bahot mauzun sher kaha hai. Phir se aapka shukriya is ummeed ke saath ke aapka saath milta rahega.
Wah wah wah Riyaz Aashna Ji! Aik munfarid, meaari aur murassa ghazal pesh ki hai aapne. Nahin ji nahin ki takraar aik kaif-o-suroor paida kar rahi hai. Aise achhoote radeef bahut kam dekhne ko milte haiN. Bahut khoob radeef ko nibhaaya hai. Is ghazal ki sab se baDi khoobi yahi hai k is meiN musalsal naghmagi barqaraar hai. Agar maiN ye kahuN k ye ghazal bolywood k laaiq ghazal hai. Ghazal ke zabaan-o-bayaan k kya kahne. Aik dilkash aur pursoz ghazal se nawaza hai aapne. HazaroN daad qubul kijiye is dua k saath k zore qalam aur ziyaada.......
Bhai maiN to aik sher kahne se rah gaya woh kuchh yuN hai:

Ye jiske liye hai ghazal ASHNA
Use maiN suna duN nahiN ji nahiN
Logged
Talat
Guest
«Reply #38 on: April 14, 2010, 11:17:08 AM »
Reply with quote
              ..GHAZAL..
Main usko bhula dun, nahi ji nahi
Main khud ko mita dun, nahi ji nahi
Andheron mein hi raaz rahta hai raaz
Diya main jalaa dun, nahi ji nahi
Mujhe apna qaatil hai ab bhi azeez
Usey bad-duaa dun, nahi ji nahi
Ye dil kisne toda, hai naam uska kya
Main sabko bata dun, nahi ji nahi
Usey dil se chaaha, to phir uska naam
Main dil se mita dun, nahi ji nahi


Riyaz Ashna

Bohot pyaari ghazal kahi hai, Riyaz Ji.....
Logged
Gumshuda
Guest
«Reply #39 on: April 14, 2010, 05:21:55 PM »
Reply with quote
Khoobsurat,andaaz e bayan aapka
yahan kuch na likhu main..nahi ji nahi !

Har ashra, hai jaise mukkamal Riyaaz,
Tareef na karun main.. nahin ji nahi !

Sabhi hazraat apni raya de chuken hain aur main bhi unke saath hun.. Khoobsurat alfaaz, saadgi ke saath aur seedhi dil ki baat. ! Bass yahin hain aapki Ghazal per hamare Khayalat..

Yun toh aapki meri khasi jaan-pehchan nahi hai per apki Ghazal dekh ruk  gaya !
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #40 on: April 15, 2010, 07:38:40 AM »
Reply with quote
Bekarar ji aapka tahe dil shukriya ke aapne ye ghazal badi tawajjo se padhi aur apne tassuraat zahir kiye. Ghazal pasand farmane aur hausla afazaai ke liye shukriya. Aainda bhi aapse aise hi ummeed rahegi.
itani sadagi se bhi sanjidagi ko bayan kiya ja sakta hai......aaj aapse seekh liya riyaz ji...bahoot hi khoob...wah
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #41 on: April 15, 2010, 09:57:37 AM »
Reply with quote
Talat ji aapka behad shukriya ke ghazal ko pasand farmaaya aapne.
Bohot pyaari ghazal kahi hai, Riyaz Ji.....
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #42 on: April 15, 2010, 10:42:06 AM »
Reply with quote
Aapse milkhar badi khushi hui. Jis khoobsurat andaaz se aapne ghazal ki paziraai ki hai uske liye main aapka shukrguzaar hun. Aainda bhi aapse hausla afazaai ki ummeed rahegi.
Khoobsurat,andaaz e bayan aapka
yahan kuch na likhu main..nahi ji nahi !

Har ashra, hai jaise mukkamal Riyaaz,
Tareef na karun main.. nahin ji nahi !

Sabhi hazraat apni raya de chuken hain aur main bhi unke saath hun.. Khoobsurat alfaaz, saadgi ke saath aur seedhi dil ki baat. ! Bass yahin hain aapki Ghazal per hamare Khayalat..

Yun toh aapki meri khasi jaan-pehchan nahi hai per apki Ghazal dekh ruk  gaya !
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #43 on: May 09, 2010, 04:14:25 PM »
Reply with quote
RIYAZ SAHEB AAP NE TO MAHFIL LOOT LI.MAI AAPKE SBHI QADRADANON SE SAHMATHOON.EK NACHEEZ SA SHER AAP KI NAZAR...


KHATA TUM NE KI HAI SATA KE MUJHE
AB TUMHEN MAI SAZA DOON? NAHI JI NAHI
Logged
vb
Guest
«Reply #44 on: May 10, 2010, 03:20:32 PM »
Reply with quote
buhat he aalaa'

ye maasoom jazbay, ye sundar kavita
inhen daad na doon? nahi jee nahi
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:35:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer