Maine Poocha

by Pooja on October 10, 2005, 03:17:00 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1245 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
From FWD e-mail, Muje achi lagi, iss liye yaha shair kar rahi hu:

Mein Ne Us Ko Salam Likh Bheja,
Haal-e-Dil Tamaam Likh Bheja..

Maine Poocha Tere Honth Kaise Hain,
Us Ne Ik Lafz Jaam Likh Bhejja.. **

Maine Poocha Tere Baal Kaise Hain,
Us Ne Qudrat Ka Inaam Likh Bheja..


Maine Poocha Kab Ho Gi Mulaqaat,
Us Ne Qayamat Ki Sham Likh Bheja..

Maine Poocha Itna Tadpaati Kyon Ho,
Us Ne Jawani Ka Intiqaam Likh Bheja..

Maine Poocha Tere Khad-o-Khaal Kaisey Hain,
Us Ne Husn Tamaam Likh Bheja..

Maine Poocha Tujhey nafrat Kiss Se Hai,
Kambakhat Us Ne MERA Hi Naam Likh Bheja..(nm)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Maine poocha chand se... by dhadkan in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 25 26 »
Maine poocha chand ........... by NewYorker in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Humne poocha Rab'se by doll22 in Shairi - E - Zindagi
nigahon se poocha by saahill in Miscellaneous Shayri
aayne se poocha to by saahill in Miscellaneous Shayri
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: October 11, 2005, 07:25:44 PM »
Reply with quote
hmmmmm    very  nice post  Pooja................tongue3
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: October 14, 2005, 03:15:54 PM »
Reply with quote
Soch hai pehli si,andaz app k pehlay sa hain
kurbatoon mein bhi diloon k faisaly pehlay sa hain

kasmakash ki adat talb kerti hai hungamay nay
zindagi k sath hain jo hadsay pehlay sa hain

aap ab kertay hain dunia k ghamoon k tazkaraa
rah-e-hasti mein tu ya mera humdum pehlay sa hain

app ko dekha tu phir koi na nazroon mein jacha
app hi mere nazroon k samna pehlay sa haain

ajnabi hum ko banaya gardish-e-halaat naa
werna hum aik dosray ko jantay pehlaay sa hain

zindagi k sang paron ko na tum ilazaam do
khwahi-shoon k aynaay tootay howa pehlay sa hain

bhujh gaya jis roz sa saki charg-e-arzoo
dil hai pehla sa ,na dil k walwalay pehlay sa hain (nm)
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #3 on: October 15, 2005, 02:52:47 PM »
Reply with quote
nice  again  Pooja................ :lol:

Woh Apne Ghar Chala Gaya, Afsoos Mat Karo
Itna Hi Uss Kaa Saath Thaa Afsoos Mat Karo

Insaan Apne Aaap Mein Majboor Hai Bohuat
Koi Nahien Hai Bewafa, Afsoos Mat Karo

Iss Baar Tum Ko Aane Mein Kuch Dair Hoo Gaye
Thak Haar Ke Woh Soo Gaya, Afsoos Mat Karo

Duniya Mein Aur Chahney Waale Bhi Hein Bohuat
Jo Hona Thaa Woh Hoo Gaya, Afsoos Mat Karo

Iss Zindagi Kay Mujh Pe Kayi Karz Hein Magar
Mein Jald Laut Ayun Gaa, Afsoos Mat Karo

Yeh Dekho Phir Se Aa Gayein Phoolon Pe Titliyan
Ek Rooz Woh Bhi Aaye Gaa, Afsoos Mat Karo

Woh Tum Se Aaj Duur Hai, Kal Paas Aaye Gaa
Phir Se Khuda Milaye Gaa, Afsoos Mat Karo

Bekaar Jee Pe Boojh Liye Phir Rehe Hoo Tum
Dil Hai Tumhaara Phool Saa, Afsoos Mat Karo ....basir badar...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: October 17, 2005, 03:24:15 PM »
Reply with quote
wah!! Good one waheed!!
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #5 on: October 17, 2005, 05:47:54 PM »
Reply with quote
bahoot sunder waahid ji....
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #6 on: October 19, 2005, 08:02:34 AM »
Reply with quote
bahut khub "wahid" sahab
padke dil baaaag baaaaaaaaag ho gaya

ek line mai bhi kah deta hoon,

janata nahi hai tujhako, jaan jayega,
kah diya "bekar" par afsos mat karo
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #7 on: October 19, 2005, 06:02:16 PM »
Reply with quote
Dil ke ujade baagh se kisi ko kya wasta
usko our daagdaar ker afsos mat kero.
zindagi ka aaj ab ye dastoor hai naya
ker kay paat paat use afsos mat kero.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: October 20, 2005, 03:57:31 PM »
Reply with quote
ik kaanch ki guriya basti thi mujh mein
jisay khel hi khel mein sab ne tor dala
laakh sameti us ki kirchian mein ne per
us ki kirchion ne lahoo-lahaan ker dala
kaash usay torne se pehlay koi itna soch leta
wo bhi dil rakhti thi jisay bedardi se tor dala
aaj bhi us guriya ke ronay ki awaz ati hai
jis ki chahaton ka sab ne gala ghont dala
jisay umar bhar sambhal ker rakha mein ne
aj tooti to saath mera maan bhi tor dala (nm)
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #9 on: October 25, 2005, 06:54:23 AM »
Reply with quote
nice one pooja ji,
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: October 25, 2005, 03:21:30 PM »
Reply with quote
shukariyan Bekarar ji!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #11 on: October 29, 2005, 07:21:31 PM »
Reply with quote
Thanxxxxxx All..........Nice  Again  Pooja......Harsh ...Bekarar..........

apni halat jaane kin kin se chupaate hain
kin kin se karte hain baat kin kin se chupate hain
jaane kitne raaz dil main reh-jaate hain
kitnii judayon ke dukh hum uthate hain
kitnii baar hawaon main bikhar jaate hain
tujhe tanhayoun se bachane ke liye Tanha
aik pather seene main ham dharkaate hain.........
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: October 31, 2005, 05:24:27 PM »
Reply with quote
Thanks Waheed and Good one!!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:18:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer