majburi....sheba

by Sheba on March 05, 2011, 01:03:03 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1420 times)
Sheba
Guest
Reply with quote
         

           hota roshni se gulistaan kabhi gunjaan nahin ..,
           hota zindagi ke andheron ka ilaaj aasaan nahin..,
          
            banayaa hai lazzat-e-duniya ne ghulaam apnaa,
            hota lafzo ke talwaar se koi qurbaan nahin ,

            hilaa di khudgarzi ne buniyaad rishto ki,
            hota dushman bhi aaj ghar pe mehmaan nahin ,

            karein kis-kis pe bharosa apni izzat ke hawaale,
            hota shaitaan bhi shahar mein abb shaitaan nahin,

            hai gunjti cheekhein majburiyon ki sheba...!
            hota qaatil jaan mujhe, yahan koi hairaan nahin ...!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ye kya majburi hai by Cma in Songs & Lyrics
MAJBURI by khilona in Shayri-E-Dard
majburi by ranjana in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Majburi by Dante in Friendship Poetry in Punjabi
Majburi by jitesh in Shayri-E-Dard
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: March 05, 2011, 01:10:02 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khooob Shebaji..

Lajawaab!!!! Har Ek Ashaar Apni Chaap Chodta Hua..

Bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #2 on: March 05, 2011, 01:14:56 PM »
Reply with quote


            roshni se gulistaan younn gunjaan nahin hota..,
            zindagi ke andheron ka ilaaj aasaan nahin hota..,
 
            lazzat-e-duniya ne banayaa hai ghulaam apnaa,
            lafzo ke talwaar se koi qurbaan nahin hota,

            khudgarzi ne rishto ki buniyaad hilaa di,
            dushman bhi aaj ghar pe mehmaan nahin hota,

            karein kis-kis pe bharosa apni izzat ke hawaale,
            shaitaan bhi shahar mein abb shaitaan nahin hota,

            hai gunjti cheekhein majburiyon ki sheba...!
            mujhe qaatil jaan, koi hairaan nahin hota...!

Kya baat hai sheba ji badi ji kaatilana ghazal hai..
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #3 on: March 05, 2011, 07:43:30 PM »
Reply with quote
nice


            roshni se gulistaan younn gunjaan nahin hota..,
            zindagi ke andheron ka ilaaj aasaan nahin hota..,
 
            lazzat-e-duniya ne banayaa hai ghulaam apnaa,
            lafzo ke talwaar se koi qurbaan nahin hota,

            khudgarzi ne rishto ki buniyaad hilaa di,
            dushman bhi aaj ghar pe mehmaan nahin hota,

            karein kis-kis pe bharosa apni izzat ke hawaale,
            shaitaan bhi shahar mein abb shaitaan nahin hota,

            hai gunjti cheekhein majburiyon ki sheba...!
            mujhe qaatil jaan, koi hairaan nahin hota...!
Logged
sbechain
Guest
«Reply #4 on: March 06, 2011, 12:20:08 PM »
Reply with quote
Bahut Khub Sheba Ji Sabhi Ashar Khub Rahe
Bas Is Ek Ko Chhodkar Shayad Mere Kam Ilm Ki Wajah Se

Yeh Wala Zara Mujh Na Samajh Ko
Samajh Nahi Aaya, Badi Mehbarni Hogi
Gar Is Baat Pe Aap Roshni Daal Den To.?

Karen Kis-Kis Pe Bharosa Apni Izzat Ke Hawaale
Shaitaan Bhi Shahar Mein Abb Shaitaan Nahi Hota


Khush Rahiye...


~Shihab~

shihab ji ,
adab arz hai,
 mazeed aapko ye khulasa karti chlon apne iss sher ke hawaale se ,

  meri samajh mein jo sharif hone ka dawa karte hain aur unke kirdaar waise nahin hote dual personality wo zyada khatarnaak hain banisbat wo jo khule hue kharaab insaan hain.iss tarah aap shaitaan ko shaitani se nahin  rok sakte jabke aap ka khud ka kirdaar uss mayaar ka na ho.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #5 on: March 06, 2011, 09:38:46 PM »
Reply with quote
Walaikum Aadab Ji...
Bahut Shukariya Ji Roshni Dalne K Liye
Par Sach Kahun To Aapka Jawab Mujhey
Tasalli Baksh Nahi Laga Kyon Ki Jis Hisab
Se Aapne Bataya Us Hisab Se To Aise Hona Chahiye Na

    Karen Kis Kis Pe Bharosa Apni Izzat Ke Hawaale
Shaitaan Bhi Shahar Mein Abb Shaitaan Nazar Nahi Aata


Kyon Ki Na Hona Aur Na Nazar Aana Isme Bahut Fark Hai Na Ji
Aur Aapne To Na Hone Ki Baat Ki Hai, Na Nazar AaNe Ki Nahi

Khair Yeh Aapka Likha Hua Hai So Aap Hi Behtar Jane
Aapne Jo Socha Hoga Behtar Hi Socha Hoga Ji...Khair
Meri Kisi Baat Ka Bura Laga Ho To Maafi Chahta Hoon

Shad o Aabad Rahiye...

~Shihab~

shihab sahab,
 salaam alaikum,

phir yahan khyaaloan ka aur nazariye ka farq hai,

 hota aur nazar aata ye do alag alag maani hai.

 maine hone pe isliye zor diya chunke wo shaitan hai magar khula hua aur wo chupe hue shaitaano ke beech hai issliye samaaj uske shaitan hone ko nakaartaa hai. aur nazar aane ki baat wo to aisi personality se wabasta hai ya wo achaa bann gyaa achon ke beech ya
sabhi shaitan hain. ye confusing state ho jaataa hai mere khyaal se.!!!!! isliye hota ka istemaal kiya
Logged
sbechain
Guest
«Reply #6 on: March 19, 2011, 12:36:25 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khooob Shebaji..

Lajawaab!!!! Har Ek Ashaar Apni Chaap Chodta Hua..

Bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


thank you khawahish ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:14:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer