Malik se won na mango jo wo de nahin sakta ....bansi

by BANSI DHAMEJA on September 08, 2012, 05:50:19 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 925 times)
BANSI DHAMEJA
Guest
Reply with quote
Malik se won na mango jo wo de nahin sakta
Zidagi bhoj ham mbante hain wo to nahin banata

Galtiyaan ham karte hain wo to nahin karaata
Galat jagah ham dil lagte hain wo to nahin kahita

Jise bhool jana chahiye ham to bhulate nahin
Khuda to is ke liye kuchh kar nahin sakta

Jo hamen karna hai wo hame hi karna hai
Hamari jagah koi aur to  kar nahin sakta

Malik se won na mango jo wo de nahin sakta
------------bansi(madhur)


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
..nahin sakta... by dead heart in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
TU NAHIN TO KOI AUR SAHI ......bansi by BANSI DHAMEJA in Share:Miscellaneous Shayari
KHUDA SAATH DETA NAHIN......bansi by BANSI DHAMEJA in Miscellaneous Shayri
ZAROORAT NAHIN........................bansi by BANSI DHAMEJA in Miscellaneous Shayri
MOHABAT KI HAI KOI TIJARAT NAHIN.....bansi by BANSI DHAMEJA in Miscellaneous Shayri
mkv
Guest
«Reply #1 on: September 08, 2012, 05:57:47 PM »
Reply with quote
Bahut sach likha hai..
kathni aur karnee me bahut farq hai..accha hua to maine kiya aur bura to usne..aisi soch ke saath jeete hai log.
aham dil me basa ke jeete hai..saamne vaale ko insaan nahee samajhte. kisi ki madad nahi karna chaahte par doosro se  ummeed karte hain.
jo karna hai karne vaale chupchaap karte hai..dhindhora peetne vaale kuch karte nahee.
kaafi likh diya...
bas yun hi likhte rahiye..hamaari duaayen aapke saath hain.
Logged
BANSI DHAMEJA
Guest
«Reply #2 on: September 08, 2012, 06:01:12 PM »
Reply with quote
MUKSH JI KIN ALFAZ SE APKA SHUKRI YA ADAA KAROON.
SACH MANIYE AAP SAB DOSTON KI WAJAH SE HI SHAYA MAIN LIKH PAATA HOON . THANKS
Logged
BANSI DHAMEJA
Guest
«Reply #3 on: September 08, 2012, 06:06:14 PM »
Reply with quote
Mukesh ji bilkul sahi kaha hai aapne


Galtiyaan ham karte hain dosh doosron ko dete hain
Jaise ham to kabhi galatiyaan  kar hi nahin sakte

Agar milta nahin koi aur to kasoorwar Khuda ko bana dete hain
Jab ki asiliyat men kasoorwar koi aur nahin ham hote hain
Logged
mkv
Guest
«Reply #4 on: September 08, 2012, 06:10:25 PM »
Reply with quote
MUKSH JI KIN ALFAZ SE APKA SHUKRI YA ADAA KAROON.
SACH MANIYE AAP SAB DOSTON KI WAJAH SE HI SHAYA MAIN LIKH PAATA HOON . THANKS

jee haan..sach maayne me aap shaayar hai..aap dil se likhte hain.
jo sab samajh saken us bhaasha me jo likhe vahee shayar. technicalities are there and should be adopted but the person who doesn't know it, should not be discouraged..
shukriya karne ki zaroorat nahee. bas vahee se kah deejiyega..mujh tak baat pahuch jaayegi.
Logged
Aarish
Guest
«Reply #5 on: September 09, 2012, 01:01:34 AM »
Reply with quote
Bansi ji maiN aap ki is lise sehmat nahi hun.

Malik se won na mango jo wo de nahin sakta.

bansi ji Aisa kuch Nahi Hai Jo Malik dE nahi sakta, shayad hamari duaoN men wo asar hi nahi hai, Ki hum apni man maNgi Duayen pa sakeN..Kami Hamare Mangne MeN Hai. uske Dene MeN nahi,

Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #6 on: September 09, 2012, 01:02:48 AM »
Reply with quote
Sach kaha Bansi ji, very very nice
Logged
BANSI DHAMEJA
Guest
«Reply #7 on: September 09, 2012, 04:19:03 AM »
Reply with quote
Bansi ji maiN aap ki is lise sehmat nahi hun.

Malik se won na mango jo wo de nahin sakta.

bansi ji Aisa kuch Nahi Hai Jo Malik dE nahi sakta, shayad hamari duaoN men wo asar hi nahi hai, Ki hum apni man maNgi Duayen pa sakeN..Kami Hamare Mangne MeN Hai. uske Dene MeN nahi,



Sahi kah hai Malik apne pe aaye to kiya nahin kar sakta
Wo sab kuchh kar sakta hai Hamaara vajood talk mitta kasta hai
 
Mera kahne ka arz yeh tha ki
Malik hame wo kiyon dega jis ke ham haqdaar nahin
Mangne ke liye maangte rahen par wo dega nahin

Agar jo mujhe  karna chahiye par karunga nahin  to
Main yeh sochta hoon ki Malik kabhi mujhe  dega nahin

Jo sochte hain apna farz poora kiye bagir  
Malik phir bhi unhen dega
Unko Malik se  maangne se main rokata nahin

Yeh to soch hai apni apni aur khayal apna apna

Logged
Aarish
Guest
«Reply #8 on: September 09, 2012, 08:23:39 AM »
Reply with quote
Sahi kah hai Malik apne pe aaye to kiya nahin kar sakta
Wo sab kuchh kar sakta hai Hamaara vajood talk mitta kasta hai
 
Mera kahne ka arz yeh tha ki
Malik hame wo kiyon dega jis ke ham haqdaar nahin
Mangne ke liye maangte rahen par wo dega nahin

Agar jo mujhe  karna chahiye par karunga nahin  to
Main yeh sochta hoon ki Malik kabhi mujhe  dega nahin

Jo sochte hain apna farz poora kiye bagir 
Malik phir bhi unhen dega
Unko Malik se  maangne se main rokata nahin

Yeh to soch hai apni apni aur khayal apna apna


bilkul thik kaha aapne bansi ji. lekin soch ko sahi shabdoN meN bhi Dhalna zaroori hota hai. apni soch ke bare meN sirf Hum Jante HaiN.. Log NaHiN Log to to is site par shabd hi padte hain...
Logged
BANSI DHAMEJA
Guest
«Reply #9 on: September 09, 2012, 11:31:31 AM »
Reply with quote
bilkul thik kaha aapne bansi ji. lekin soch ko sahi shabdoN meN bhi Dhalna zaroori hota hai. apni soch ke bare meN sirf Hum Jante HaiN.. Log NaHiN Log to to is site par shabd hi padte hain...
aarish ji theek kah rahe hain. dhiyaan doonga is cheez par.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #10 on: September 09, 2012, 11:57:34 AM »
Reply with quote
bahut khoob bansi ji mubarak ho
Logged
BANSI DHAMEJA
Guest
«Reply #11 on: September 09, 2012, 12:01:37 PM »
Reply with quote
bahut khoob bansi ji mubarak ho
saini ji shukriya
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:29:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.146 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer