Manjoore Khuda !!

by Pooja on February 12, 2009, 11:37:29 PM
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 2782 times)
Pooja
Guest
«Reply #30 on: February 15, 2009, 08:16:38 AM »
Reply with quote
thanks CHITRA
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KHUDA by soni_nice1 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
khuda by mahen in Shayari-e-Parastish
khuda by chetanmamtora in SMS , mobile & JOKES
E KHUDA by majid in Shayri for Dard -e- Judai
CHUTAA JUNOON SE PECHA KHUDA KHUDA KER KE by khalidrawat in Ghazals
Roja
Guest
«Reply #31 on: February 15, 2009, 04:33:47 PM »
Reply with quote
Kahe na kahe, kahne se kaya hota hai
hota hai wo he jo manjoore khuda hota hai
maine kaha, apne suna, apke sun.ne se kaya hota hai
hota hai wahin jo kahe-sune main hota hai...

samjhne ki na kar koshish, samjhne se kaya hota hai
hoti samjh jo itani, to apni nasamjhi per kyun itna rota hai
Rone ki baat se ayya yaad, yaadon se kaya hota hai
hoti hai yaad, badi nasamjh, inhe samjhane se kaya hota hai...

Kahe na kahe, kahne se kaya hota hai
hota hai wo he jo manjoore khuda hota hai...


Bahut accha likha hai ... too good to read didi  Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #32 on: February 15, 2009, 04:48:22 PM »
Reply with quote

Kismat ke daniya me kuch kam hi ata hota hai...
Mit jaye gam sare toh khushiyo ka sama hota hai...

Likhe na likhe zindagi kabhi kahani khud apni,
Waqt waqt ki baat hai sab kismat me likha hota hai...

Dekhte hai log zindagi ko apni hi nazar se,
Zindagi har pal badalti hai iska har pal hi naya hota hai...

Koshishe karna toh insaan ki fitraat hai,
Aakhir hota vahi hai jo manzoore khuda hota hai...

~Pank~

Wah wah  Applause bahut khoob  Applause
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #33 on: February 16, 2009, 07:58:02 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Jas ji

Thanks JI

Jasbir Singh
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #34 on: February 16, 2009, 08:00:22 PM »
Reply with quote

Kismat ke daniya me kuch kam hi ata hota hai...
Mit jaye gam sare toh khushiyo ka sama hota hai...

Likhe na likhe zindagi kabhi kahani khud apni,
Waqt waqt ki baat hai sab kismat me likha hota hai...

Dekhte hai log zindagi ko apni hi nazar se,
Zindagi har pal badalti hai iska har pal hi naya hota hai...

Koshishe karna toh insaan ki fitraat hai,
Aakhir hota vahi hai jo manzoore khuda hota hai...

~Pank~

wah wah pank, bahut khoob

jasbir singh
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #35 on: February 17, 2009, 09:06:20 AM »
Reply with quote
Wah Wah kya baat Pooja DI tussi kamal ho.. Good Work all. keep writing...
Logged
salma786
Guest
«Reply #36 on: February 17, 2009, 09:22:27 AM »
Reply with quote
Bahoot hi khoob pank ji Clapping Smiley
Logged
Pooja
Guest
«Reply #37 on: February 17, 2009, 04:41:29 PM »
Reply with quote
Wah Wah kya baat Pooja DI tussi kamal ho.. Good Work all. keep writing...

Shukaria Sophi.. waise Tussi v thora jaya kamal dhamal likh jandein ...
Logged
salma786
Guest
«Reply #38 on: February 17, 2009, 04:51:21 PM »
Reply with quote
Khuda ke ghar main koi bhi Na Manjoor nahi hota hai
na jaane kaise kaise baat soch kar Insaan preshan hota hai

Preshania bad gai hai itani, jitani insaan saanse leta hai
sansein lete hue bhi, ajj kal akaha koi insaan Zinda hota hai

Zinda insaan ki zindagi na pucho, kaya kaya kar ke jeeta hai
kabhi jhooth, kabhi lalach, kabhi bebasi ka alam hota hai

Her alam main magar her ek ka rab uske sath hota hai
Hota hai wahin jo manjorre khuda hota hai!!!


Very nice Pooja ji Clapping Smiley hamesha ki tarah Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #39 on: February 18, 2009, 04:32:01 PM »
Reply with quote

Kismat ke daniya me kuch kam hi ata hota hai...
Mit jaye gam sare toh khushiyo ka sama hota hai...

Likhe na likhe zindagi kabhi kahani khud apni,
Waqt waqt ki baat hai sab kismat me likha hota hai...

Dekhte hai log zindagi ko apni hi nazar se,
Zindagi har pal badalti hai iska har pal hi naya hota hai...

Koshishe karna toh insaan ki fitraat hai,
Aakhir hota vahi hai jo manzoore khuda hota hai...

~Pank~

chalo kare koshish, magar koshish karne se kaya hota hai
Ameer khata hai Greeb ki mehanat aor greeb ant main rota hai

Ant nahi gareebo ke gumo ka, Kadam kadam per apni bebsi per rota hai
Rone se bhi hoga kaya fayda, Karmo ka phal bhi to kuch hota hai

Karm kare jo her insaan ache, is se bad kar nahi kuch aor hota hai
Hota hai wahin bas is dunia main, Jo manjoore khuda hota hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #40 on: February 18, 2009, 08:43:23 PM »
Reply with quote
Very nice Pooja ji Clapping Smiley hamesha ki tarah Usual Smile

Thanks Salma!!
Logged
pandit
Guest
«Reply #41 on: February 18, 2009, 10:36:55 PM »
Reply with quote
nice lines pooja..
Logged
smardia
Guest
«Reply #42 on: February 21, 2009, 07:14:11 PM »
Reply with quote
Poojaji Bahut sunder is thread ki lambaaii ho gaii he...sab ne khoob masti me lika hai.. Applause Applause Applause

Main bhi agar kuchh likh du,pyaar kaisa kaisa hota hai
Per likhne se kya hota hai,pyaar hota hai tou hota hai
Per pyaar hone se kya hota,isme dhokha he dhokha hota hai
Dhokha khane se kya hota hai,Dard ke sagar me doobta hai
kisi k doobne se kya hota hai,pyaar tou fir bhi sab ko karna hota hai
kro pyaar tum per,pyaar safal tab hota hai jab manjoore khuda hota hai

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #43 on: February 21, 2009, 07:20:28 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Jas ji!!!

Shukaria Rajesh ji and Nice lines
Thanx Pooja Ji
Bas Suraj ko Diya dikhaya
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #44 on: February 25, 2009, 05:57:34 PM »
Reply with quote
chalo kare koshish, magar koshish karne se kaya hota hai
Ameer khata hai Greeb ki mehanat aor greeb ant main rota hai

Ant nahi gareebo ke gumo ka, Kadam kadam per apni bebsi per rota hai
Rone se bhi hoga kaya fayda, Karmo ka phal bhi to kuch hota hai

Karm kare jo her insaan ache, is se bad kar nahi kuch aor hota hai
Hota hai wahin bas is dunia main, Jo manjoore khuda hota hai





KARAM ACCHEY KARNEY SEY BHI KYA HOTA HAI
AAKHIR NASEEB BHI TOH KUCH HOTA HAI

NASEEB ACCHEY HONEY SEY BHI KYA HOTA HAI
NA-SHUKARGUZAAR TOH AAKHIR KHUDA SEY JUDA HOTA HAI

KHUDA SEY JUDA HOKEY FIR YEH KAHA KHUSH HOTA HAI
JINDAGI BHAR YUHI YEH GHAMAND MEH CHOOR HOTA HAI

GHAMAND ISKA TOH CHUTKI MEH DOOR HOTA HAI
AAKHIR HOTA HAI WOH JOH MANJUREY KHUDA HOTA HAI





JASBIR SINGH

Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 05:50:14 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer