mamta bajpai
Guest
|
Dard kaa dil me samandar naheeN hai yaaroN ab koi zakhm bhee andar naheeN hai yaaroN
chaltee raaheN hee meraa saath nibhaayeNgee sadaa maNzileN meraa muqaddar naheeN hai yaaroN
haasil e ishq meraa dil ho zarooree to naheeN ye muqaddar kaa sikandar naheeN hai yaaroN
kitanaa maasoom saa cheharaa ye nasheelee see adaa kaise kah dooN wo sitamgar naheeN hai yaaroN
dil meraa dard me royaa to khushi me bahkaa fitratan ye to kalandar naheeN hai yaaroN
Mamta Bajpai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Matrix Guy
Guest
|
|
«Reply #1 on: February 05, 2011, 07:47:23 AM » |
|
waaah mamata ji .as usal it is wondeful ji......
dil khush ho jata apki poetry padkar........bahot bahot khoob....
few lines from my side.....
wo chala gaya use to jana hi tha ab bhi pyar he dil me koi dard ka manjar nahi he yaroo
ishq mera majhab he aur sanam meri ibadat mere dil me bas ishq he koi nafarat-e-khanjar nahi he yaroo.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ParwaaZ
Guest
|
|
«Reply #2 on: February 05, 2011, 07:50:16 AM » |
|
Mamtaa Sahibaa aadaab!
Nayii kavish par likha hai aapne is baar achchi rahi aapki yeH Gazal bhi.....
Ahsaas O khayaal to Mashaa Allah hai hi aapke aur bayaani bhi khoob rahi..
Dard kaa dil me samandar naheeN hai yaaroN ab koi zakhm bhee andar naheeN hai yaaroN Kia kahne hai waah jee... Daad achcha matla hai..chaltee raaheN hee meraa saath nibhaayeNgee sadaa maNzileN meraa muqaddar naheeN hai yaaroN Masha Allah behad umdaa sher kaha hai aapne yeH.. Waqai zaheen shayari ka muzahera kiya hai daad daad daad haasil e ishq meraa dil ho zarooree to naheeN ye muqaddar kaa sikandar naheeN hai yaaroN Waah jee waah... Bahut khob Daad daad kitanaa maasoom saa cheharaa ye nasheelee see adaa kaise kah dooN wo sitamgar naheeN hai yaaroN Oye hoye... Yeh kia sitam hua bahut khoob ... Behad umdaa sher hai daad daad daad dil meraa dard me royaa to khushi me bahkaa fitratan ye to kalandar naheeN hai yaaroN Waah bahut khoob.... Yeh sher bhi behad achcha raha.. Mamta Bajpai Mamtaa jee waqai dil ko mutmaen karne wali kalaam se nawaaza hai aapne...
Dil se daad O mubarakbaad kabool kijiye.. Likhati rahiye... Khush O aabaad rahiye.. Khuda Hafez....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mamta bajpai
Guest
|
|
«Reply #3 on: February 05, 2011, 07:51:31 AM » |
|
waaah jee waaaaah ! Utkarsh ! aap to filbadeeh shayar ho gaye haiN ......bahut khoob!haaN dil se daad dene ke liye shukriyaa jee.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mamta bajpai
Guest
|
|
«Reply #4 on: February 05, 2011, 07:56:06 AM » |
|
Behad se bhee zyaadaa shukriyaa Parwaaz jee!aap kee nazaroN se ek baar kalaam nikal gayaa to samajhiye likhanaa fizool naa rahaa....waqai aap kaa apnaa alag hee andaaz hai...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
Rau: 166
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:272 days, 6 hours and 11 minutes.
Posts: 11814 Member Since: Sep 2006
|
|
«Reply #5 on: February 05, 2011, 08:08:48 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Anshumali
Guest
|
|
«Reply #6 on: February 05, 2011, 09:31:55 AM » |
|
|
|
|
Logged
|
|
|
|
AbhiTamrakar
Guest
|
|
«Reply #7 on: February 05, 2011, 11:00:39 AM » |
|
wahhh
comment to jo parwaz ji ne dii....copy paste...
ab meri baari..
diii bahut bahut sundar...kya kahu aaj mere pas labz kam pad gaye hain..
fir bhi as usual koshish to har bar karta hi hun..
har jagah mujhe bas wo hi nazar aati hai, naa hui ussi na koi or gazal he yaaron..
meri rag rag me uska nam basa hota hai tadpaati hai kabhi; jab milti nahi yaaron..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
brokenbyluv
Guest
|
|
«Reply #8 on: February 05, 2011, 11:22:45 AM » |
|
Nice mamta ji..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
dead heart
Guest
|
|
«Reply #9 on: February 05, 2011, 01:21:08 PM » |
|
bahaut bahaut khoob Mamta jee.. Bahaut hi zada khubsoorat.. Khush rahiye..!
|
|
|
Logged
|
|
|
|
sbechain
Guest
|
|
«Reply #10 on: February 05, 2011, 05:43:38 PM » |
|
Dard kaa dil me samandar naheeN hai yaaroN ab koi zakhm bhee andar naheeN hai yaaroN
chaltee raaheN hee meraa saath nibhaayeNgee sadaa maNzileN meraa muqaddar naheeN hai yaaroN
haasil e ishq meraa dil ho zarooree to naheeN ye muqaddar kaa sikandar naheeN hai yaaroN
kitanaa maasoom saa cheharaa ye nasheelee see adaa kaise kah dooN wo sitamgar naheeN hai yaaroN
dil meraa dard me royaa to khushi me bahkaa fitratan ye to kalandar naheeN hai yaaroN
Mamta Bajpai
bahut khoob kaha mamta ji aapne
|
|
|
Logged
|
|
|
|
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
Rau: 19
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle
Posts: 5603 Member Since: Jun 2010
|
|
«Reply #11 on: February 05, 2011, 06:09:04 PM » |
|
mamta ji aapka hi jaadu hai k sare log ek sath reply kar rahe hain aur wo bhi ek se badh kar ek.......mastam mast creation hai ye aapki bht hi khubb ji....
matrix ji and abhi ji bht hi mast likhe hain aapne ye sher.....keep replng this way.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
killbill
|
|
«Reply #12 on: February 05, 2011, 06:29:00 PM » |
|
Mamta ji Pranaam. aapke ek aur behtareen nagme se saamna hua. aapke iss kalaam ke har line ko bahut bahut saara matlab anginat Daad. lajawaab hai ji hamesha ki tarah balki kuch jada hi lajawaab hai. aapke liye khub saari duayen aap khus rahiye Maate aur hame to bas aasirwaad dijiye. sukriya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mamta bajpai
Guest
|
|
«Reply #13 on: February 05, 2011, 11:53:29 PM » |
|
Khwaish jee hameshaa kee tarah mere housaloN ko parwaaz dene ke liye behad se bhee zyaadaa shukriyaa...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
mamta bajpai
Guest
|
|
«Reply #14 on: February 05, 2011, 11:56:58 PM » |
|
Naresh jee bahut bahut dhanywaad !aap kee dilee daad kuchh aur likhne ko prerit kartee hai...dil se shukriyaa....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|