Mirza Nazar
Aghaaz ae Shayar
Rau: 3
Offline
Waqt Bitaya:12 hours and 3 minutes.
Posts: 45 Member Since: Mar 2016
|
|
|
Aakhir wo kaafir tha jo mar gaya, Rooth kar zindagi se kuch kar gaya, Aakhir wo kaafir tha jo mar gaya,
Ful sa khila hua, kal ek chehra tha, Hado ki lakiro se pare, na koi pehra tha, Wo hasin hasi ka jahan tha, khushiyo ka ehsaas bhi kitna gehra tha, Chala tha apni raaho me, samete lamho ko zindagi banaane, Akhsar bhool jaya karta tha wo guzre jamaane, Aaj bhool gaya lamho ko zindagi banaana, Khud hi ban gaya ek guzra jamana, Jaate hue logo ko apna sa kar gaya, Aakhir wo kaafir tha jo mar gaya,
Raaho me humdum ki tarah, Dhoop-chaav bhi chale the, Baaho me sanam ki tarah Dukh-Dard bhi khile the, Chiilla kar bhi sun na paya baat zalim dil ki, Dil se dil tak milo ke jaise faasle the, Unsuni si ek kahani wo dohorata chala gaya, Jhoote zamane me sachaaiyo ko bulaata chala gaya, Achha-bhala hi tha insaan wo, Zamana use Pagal banaata chala gaya, Buraaiyo me zamane ki achhai bhar gaya, Aakhir wo kaafir tha jo mar gaya,
Na soch, Na samajh hua karti thi, Kuch ulajhi hui si ye zindagi thi, Choti choti baato ki ehmiyat nahi thi, Un baato ki ehmiyat usne samjha dee thi, Dard maalum tha, ehsaas na tha, Khushi ka ehsaas tha, maalum na thi, Dooriyaa dikhti thi, mehsoos na hoti thi, Aaj mehsoos hoti hai par nahi dikhti, Ek Pagal duniya ko samajhdaar kar gaya, Aakhir wo kaafir tha jo mar gaya,
Apno se waade kar ke mukar gaya, Jahan bhar ka Dard duniya ko "Nazar" kar gaya, Aakhir wo kaafir tha jo mar gaya, Rooth kar zindagi se kuch kar gaya, Aakhir wo kaafir tha jo mar gaya..!
|