MEDIA TUJHE SALAAM ................................ HASAN

by F.H.SIDDIQUI on October 03, 2013, 03:18:50 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2231 times)
F.H.SIDDIQUI
Guest
Reply with quote

Kisi mulk ke halaat par media ka zabardast asar hota hai . Media chaahe
to achhe messages se mulk ka mahoul achha banaa sakti hai aur chaahe
to sansani phaila kar mahoul kharab kar de.Afsos ki hamari beshtar  media
eik doosre se compete karne aur commercial angle ko priority de kar apna
ye role theek se nahi nibha rahi hai . Ye qataat isi dard ka izhaar karte
hain .
..............................


Mizaj  Awaam  ka  pal  meiN  ubaal deti hai

Hamaari  Media  khabreiN  kamaal  deti hai

Aham  tareen  daba  saare  Qaum  ke  mudde

Bus  ishte'aal  ki  baateiN  uchhaal  deti  hai


.......................


ChanneloN  per  sansani  ke  silsile  haiN  Aajkal

Ishte'aal - o - Gumrahi  ke  tazkire  haiN  Aajkal

Mulk  jaaye  bhaad  mein , kya  farq  padta hai  inheiN

HoaR  mein   T.R.P.  ki   bus  lage   haiN   Aajkal


...........................


Aagahee  ka  diya  thha  kaam  tujhe

Dena  thha   Amn  ka   Payaam  tujhe

Waah , kya khoob  kar  diya  Maahoul

Mulk   ki   Media  , 'Salaam' tujhe



..............
Ishteaal = bhadkau ; Tazkire = debates/discussions
Aham tareen = important ; Aagahee = Awareness
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MEDIA by Friend_4uall in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 3 4 »
maa tujhe salaam by LEENA GOLA in Miscellaneous Shayri
SAB SE PAHLE , SALAAM KARTA HOON ...........HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
MAA TUJHE SALAAM by kittoo in Miscellaneous Shayri
Assam Ke Hamle Par Media Khamosh Kyun,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: October 03, 2013, 03:25:36 PM »
Reply with quote
waah waah bhai jaan aaj ke is media par baakamaal tanz mera bhe ese mrdia ko salaam
Logged
Sudhir Ashq
Khususi Shayar
*****

Rau: 108
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
16 days, 19 hours and 27 minutes.

Posts: 1813
Member Since: Feb 2013


View Profile WWW
«Reply #2 on: October 03, 2013, 04:52:55 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Wah,Wah,Waaaaaaaaaaaaaaah Hasan Sir,
Aapne bahut ki khoobsurati se media per tanz kia hai.Aapke zazbaat se main poori tarah se sahmat hun.
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #3 on: October 03, 2013, 04:59:00 PM »
Reply with quote
bahot hi khooob, aaina dikhaya hai aapne... dheron daaad...
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
mkv
Guest
«Reply #4 on: October 03, 2013, 06:02:58 PM »
Reply with quote
Aadaab Sir
Mizaj  Awaam  ka  pal  meiN  ubaal deti hai

Hamaari  Media  khabreiN  kamaal  deti hai

Aham  tareen  daba  saare  Qaum  ke  mudde

Bus  ishte'aal  ki  baateiN  uchhaal  deti  hai


Aagahee  ka  diya  thha  kaam  tujhe

Dena  thha   Amn  ka   Payaam  tujhe

Waah , kya khoob  kar  diya  Maahoul

Mulk   ki   Media  , 'Salaam' tujhe


bahut badhiya Sir
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #5 on: October 03, 2013, 06:05:04 PM »
Reply with quote

Siddiqui Sahab Aadaab...!


Kia kahne janab waqai hazaar guna sahiN baat kahi hai aapne... yeH aajkal ki media Hindustan ki gandi rajniti ka aik hissa hai jinke kahne par hi sab dikhaya aur sunaya jata hai...

Aur yehi media fasad ki sab se badi jad hai... jise haqeekhat dikhane se kuch nahi lena, bekar ki baatoN ko tul dekar ahem mudde ko kaise badla jaaye toH yeh media uske support meiN aati hai... Khair maine toH sahab shayad 3 saal se TV dekhna hi baNd kar diyaa hai kyuN kii hum jo dekh rahe hai woh kitna sahiN hai jab hume samjh meiN aa jaaye toH is media par se khud hi itebaar uth jaata hai...

Aapki qitaa bahut khoob rahi... is par dili daad O mubbarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye... Shaad O aabaad rahiye...
Khuda Hafez...
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #6 on: October 03, 2013, 06:32:56 PM »
Reply with quote
haa sahi kaha hai HASAN sahab ,

Media hi sab faasaad ki jad hai ,
aur har qaamyabi ka zariya bhi chahe to ban sakti hai,

khaber nahi hai to khaber bnate hain,
baad mein sab ki khaber banate hain.

ye ek hi profession hai jise se police bhi darti hai ,
police se leker PM tak .

lage raho media.
Logged
aqsh
Guest
«Reply #7 on: October 03, 2013, 08:44:57 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Bahut khoob hasan ji.. badi hi achchi tanziya kalaam kahi hai aapne.. aur bilkul sach hai...media hi sabhi fasaad ko anjaam deti hai.. is umda peshkash par rau ke saath hazaron dili daad qubool kijiye..
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #8 on: October 03, 2013, 10:04:46 PM »
Reply with quote
waah waah aur waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah, bilkul kamaal kar diya sir aapne, bahut hi bakhoobi bayaan kiye haiN aapne haalaat, bahut bahut mubarakbaad aur ek Rau.
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #9 on: October 03, 2013, 10:35:55 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob.
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #10 on: October 03, 2013, 11:18:27 PM »
Reply with quote
Ek aham masle par, jo ki hum sab ki zindagiyon ko kareeb se chhoota hai, aawaaz uthaane ka shukriya Hasan sahab ... aur ek asardaar nazm par daad
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #11 on: October 04, 2013, 01:26:28 AM »
Reply with quote

Kisi mulk ke halaat par media ka zabardast asar hota hai . Media chaahe
to achhe messages se mulk ka mahoul achha banaa sakti hai aur chaahe
to sansani phaila kar mahoul kharab kar de.Afsos ki hamari beshtar  media
eik doosre se compete karne aur commercial angle ko priority de kar apna
ye role theek se nahi nibha rahi hai . Ye qataat isi dard ka izhaar karte
hain .
..............................


Mizaj  Awaam  ka  pal  meiN  ubaal deti hai

Hamaari  Media  khabreiN  kamaal  deti hai

Aham  tareen  daba  saare  Qaum  ke  mudde

Bus  ishte'aal  ki  baateiN  uchhaal  deti  hai


.......................


ChanneloN  per  sansani  ke  silsile  haiN  Aajkal

Ishte'aal - o - Gumrahi  ke  tazkire  haiN  Aajkal

Mulk  jaaye  bhaad  mein , kya  farq  padta hai  inheiN

HoaR  mein   T.R.P.  ki   bus  lage   haiN   Aajkal


...........................


Aagahee  ka  diya  thha  kaam  tujhe

Dena  thha   Amn  ka   Payaam  tujhe

Waah , kya khoob  kar  diya  Maahoul

Mulk   ki   Media  , 'Salaam' tujhe



..............
Ishteaal = bhadkau ; Tazkire = debates/discussions
Aham tareen = important ; Aagahee = Awareness


bahot bahot khoob.achchche qata'at hain Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #12 on: October 04, 2013, 02:17:48 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Kahaa Hasan Sahab Clapping Smiley


Shad o Aabaad Rahiye


Shihab
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #13 on: October 04, 2013, 12:23:55 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya saini saheb.
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #14 on: October 04, 2013, 04:45:26 PM »
Reply with quote
Sudhir ji , Bahut bahut shukriya .
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:57:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer