bolte raho sushil
Guest
|
|
|
MERE BACHPAN KI YAADE
Tha bachpan bhi mera thi merii kahani , mere andaaz m meri zubani,
Zara sun lo mere kaka aur taau , aawo mere bachpan ki kahani sunaun,
Chota tha main bhi umar bhi thi choti , kabhi khaya mitti kabhi pakdi chiti,
Pariyon ko sapno ki raani samjhna, chand ki biwi ko maami samjhna,
School me jaate hi ladna jhagdna, apne seniors ko dekh k akadna,
Dusare ki pencil ko apna batana, bina baat k sab se ulajh jaana ,
Apna tiffin kholte hi sharm mujhe aati thi , dusaro kaa dekhte hi jubban bhig jaati thi,
Naa dar tha kisi ka na koi moh maaya, naa apna tha koi na koi paraya ,
Tammana thi mujhe kuch bada kar jaane ki, taro ko thodi si baaten sunane ki,
Girta tha main fir sambhlta main, kisi bhi tarah se uchlta tha main,
Na paise ka lalach na kitabon ki chinta , bas papa ka pyaar aur mammi ki mamta,
AB dhire dhire main bada hota jaa raha tha, kahi kisi bheed men khota sa jaa raha tha,
Ab wahi moh maaya ka bandi hun main to, kisi band school kaa ghanti hun main to,
Yahan dauda daudi wahan dauda daudi, kahin mil jaaye thodi si KAUDI (money),
Bachpan bhi chutta aur desh paraya, pata nahi kaise hasin pal gavaya,
AB MUJHE yaad aata hai wo bachpan suhana , jab pura mohhla mujhe kahta tha NANA,
Aankho men aansoo aur bahot pachtaya , jab main samjha ki maine bachpan GAWAYA,
Nahi bhul sakta main bachpan ki yaade , wo lambi si raaten aur bahot saari baaten, NAHI MUJHKO BHAYI MUJHE MERI JAWAANI, BAS WAHI MERA JEEWAN AUR MERI KAHANI……………………………………………………………………………………………………
|