Mera Qaatil KhaRa Haath Malta Raha...(Haider)

by Ghulam Haider on July 08, 2010, 11:57:43 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3491 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
Ahl e bazm aadaab !
Apni aik nayi ghazal ke saath haazir hoN, aap dostoN ke behtareen comments ka intizaar rahega.

Raaste par wafaa ke maiN chalta raha.
Mera qaatil khaRa, haath malta raha.

Baam e maqsood tak wo pahuNch na sakaa,
Sirf chaRhta raha or phisalta raha.

Mujh ko khush dekh kar bazm e yaaraN meN woh,
Shama' ki tarh jalta pighalta raha.

Meri gardan pe jab tak raha mera sar,
Us ki qatil nigaahoN ko khalta raha.

MaiN to saabit qadam apne waa'doN pe tha,
Wo iraadoN ko apne badalta raha.

Baat koi bhi ho dil meN chupti nahiN,
Us ke chehre se har raaz khulta raha.

Aa gaya jab kabhi dostoN meN mere,
Zahr baatoN ka apni ugalta raha.

Zakhm baatoN ke naasoor bante gaye,
Umr bhar dard se dam nikalta raha.

Hosh Haider na tha kuchh mujhe ishq meN,
Dagmagaata raha or saNbhalta raha.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
qaatil mera dost puraana niklaa.. by jianrangrej in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Poetry ke liye mera mashwarah....Haider by Ghulam Haider in Shayari ki Batein- Sawaal Jawaab
Ek mera hi Haath Na thaama usne by jazbaat in Share: Poetry of Pain
Mera qaatil........MKV by mkv in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Main kinare pe khara....hatho'n ko malta hi raha by Syed Mohd Mahzar in Miscellaneous Shayri
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #1 on: July 08, 2010, 01:21:30 PM »
Reply with quote
Ahl e bazm aadaab !
Apni aik nayi ghazal ke saath haazir hoN, aap dostoN ke behtareen comments ka intizaar rahega.

Raaste par wafaa ke maiN chalta raha.
Mera qaatil khaRa, haath malta raha.

Baam e maqsood tak wo pahuNch na sakaa,
Sirf chaRhta raha or phisalta raha.

Mujh ko khush dekh kar bazm e yaaraN meN woh,
Shama' ki tarh jalta pighalta raha.

Meri gardan pe jab tak raha mera sar,
Us ki qatil nigaahoN ko khalta raha.

MaiN to saabit qadam apne waa'doN pe tha,
Wo iraadoN ko apne badalta raha.

Baat koi bhi ho dil meN chupti nahiN,
Us ke chehre se har raaz khulta raha.

Aa gaya jab kabhi dostoN meN mere,
Zahr baatoN ka apni ugalta raha.

Zakhm baatoN ke naasoor bante gaye,
Umr bhar dard se dam nikalta raha.

Hosh Haider na tha kuchh mujhe ishq meN,
Dagmagaata raha or saNbhalta raha.


Haider Bhai aadab o tasleemat ,,

Ap Jaisi Miyari shayari Kamm hi padne me aati hai ,, Apki tareef Karna Sahi maine suraj ko diye dikhane wali baath hogi ,, Ap to Ustaad Shaura ki safth se hain ,, ye apka badtpan hai jo ap Yahan tashreef Farma hai Aur eak baath kahena chahunga Ke app acha shayar ke saath eak bahoth ache insaan bhi ,,Kyun apke ilm ke samander me maine kabhi ubal nahi dekha kissi ki Taqliq pe apne kabhi tanqeed nahi ki ,, Ap sada tabiyath insaan ho ,, kissi qoob kaha shahurath agar gumnaam pasand ho to qayam dayam raheti hai..


Eak baath samajhne se qaasir hon ke itni sanjeeda taqleeq Mazahiye Section me kyun ?

Qair ap mujh se bahetar jaante hain jo kiya hai sunch samjh ke hi kiya hoga .. allah apko khush rakhe .. hazaro dad ..


Duwa go

Qadeertoopchi
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #2 on: July 08, 2010, 02:41:44 PM »
Reply with quote
Qadeer bhai tasleemat,
Ghazal ke baare meN aap ka khayaal bhi durust hai. Lekin jis zaaviye sa maiN dekh raha hoN, mujhe is ghazal meN chhupi huyi tanz o mizaaH ka ghalabah azar aa raha hai, jab ke zaahiri rang wohi hai jo aap ne kaha.
MaiN is ghazal le kar pareshaan tha ke kahaN post karoN, lekin mujhe phir yehi munasib jagah lagi.
Aap ne mujh naa cheez ki itni ta'reef kar di hai ke mere paas aap ke tashakkur ke liye alfaaz nahiN haiN.Phir bhi Hasb e dastoor aap ka bohot 2 shukriya.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: July 08, 2010, 03:05:04 PM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Haider Ji... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Ache..
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #4 on: July 09, 2010, 03:45:53 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Haider Ji... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Ache..

Hausla afzaayi ke liye be had shukriya khwaish ji. Isi tarah saath dete rahiye hamaara.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #5 on: July 09, 2010, 04:10:04 AM »
Reply with quote
Aadab Haider Bhai
Umeed Karta Hun Aap Khairiyat Se Honge.!
Aur Kya Kahen Janaab Tareef Mein Ab Hum
Aapke Peshkash To Hoti Hi Humesha Lajawaab Hai
Qadeer Bhai Ne Sach Kaha Tareef Karna Suraj Ko
Diya Dikhane Ke Baraabar Hoga...Jyada Nahi Bas
Itna Hi Kahunga ALLAH Pak Aapko Khush Rakhe..Ameen

Hazaron Dad Hazir Hain Kabule Karen...


~Shihab~

Tasleemaat shihab bhai !
Khuda ka shukr hai. Aap ki be panaah moHabbat aur nek duwayeN  hamesha mere saath haiN.
Aap log mujh naa cheez ki ta'reef karke itna sharminda kar rahe haiN ke ab aap ka shukriya adaa karne ke liye mere paas alfaaz bhi nahiN haiN. Khuda se bas yehi duwa hai ke woh(mujhe is se bhi behtar likhne ki taufeeq de aur)ham sab ko kaamyaabi o kaamraani se nawaaze.
Aap ki duwaaoN ka Taalib
    Haider
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #6 on: July 09, 2010, 12:34:49 PM »
Reply with quote
Ahl e bazm aadaab !
Apni aik nayi ghazal ke saath haazir hoN, aap dostoN ke behtareen comments ka intizaar rahega.

Raaste par wafaa ke maiN chalta raha.
Mera qaatil khaRa, haath malta raha.

Baam e maqsood tak wo pahuNch na sakaa,
Sirf chaRhta raha or phisalta raha.

Mujh ko khush dekh kar bazm e yaaraN meN woh,
Shama' ki tarh jalta pighalta raha.

Meri gardan pe jab tak raha mera sar,
Us ki qatil nigaahoN ko khalta raha.

MaiN to saabit qadam apne waa'doN pe tha,
Wo iraadoN ko apne badalta raha.

Baat koi bhi ho dil meN chupti nahiN,
Us ke chehre se har raaz khulta raha.

Aa gaya jab kabhi dostoN meN mere,
Zahr baatoN ka apni ugalta raha.

Zakhm baatoN ke naasoor bante gaye,
Umr bhar dard se dam nikalta raha.

Hosh Haider na tha kuchh mujhe ishq meN,
Dagmagaata raha or saNbhalta raha.

Its Too Good ....Haidar Sahab...very nice creation....ghazal ki adaayegi bahut pasand aai mujhe...aur khayal toh hai hi lajawaab ! yunhi behtar koshish ke saath humesha aate rahen...yeh hi duaa hai....dil se daad hazir hai...khush rahen...

apna khayal rakhen...
duaaon ke saath...
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #7 on: July 09, 2010, 03:41:25 PM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB HAIDAR SAHEB BAHUT HI KHOOB!!!SACH HI HAI ASHAR KA AISA NAYAB ZAKHEERA KAM HI DEKHNE KO MILTA HAI.HAR DIL KI KHALISH AAP KI GAZAL ME .BAHUT KHOOB....
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #8 on: July 09, 2010, 04:49:40 PM »
Reply with quote
Haider Sb
Adaab
Ager giran khatir na ho , aik guzarish hai, aap ki kawish achchee ,umda hooti hai , mager qawaid se mubbarra ,ager nazre sani ker lain to kia baat hai.
wassalam


javed
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #9 on: July 09, 2010, 10:40:36 PM »
Reply with quote
Haider Sb
Adaab
Ager giran khatir na ho , aik guzarish hai, aap ki kawish achchee ,umda hooti hai , mager qawaid se mubbarra ,ager nazre sani ker lain to kia baat hai.
wassalam


javed
Aadaab Javed Arshad bhi !
Mujhe aap ka comment paRh kar yaqeen kijiye be hadd khushi huyi hai. Is web par aise log kam haiN jo aap ki tarah daqeeq nazar aur a'meeq fikr rakhte haiN. Mere dost aap ne jo ia'tiraaz kiya hai, mere liye bohot qeemati hai, lekin maiN us ka jawaab dene se is liye qaasir hoN ke aap ka ia'tiraaz mere liye waazeh nahiN hai.
Aap ne kaha hai ke (Aap ki kawish achchee, umdah hooti hai, magar qawaid se mubbarra. agar nazar e sani kar lain to kya baat hai.)
A'zeez dost qawaaid do tarah ke hote haiN,1-Zubaan ke. 2-sinf e sukhan(Ghazal) ke qawaaid. Aap ye mua'yyan kar deN ki aap ka ia'tiraaz kis par hai. Agarche aap ki tanqeed se yehi zaahir hota hai ke aap ki nazar meN meri kaavish qawaid se mubarrah hai, ya'ni har tarah ke qawaaid se paak hai. Aur agar ye baat maan li jaaye to phir aap ke ye kehne ka kya matalab niklega ke "aap ki kawish achchee, umda hoti hai"? ? ?
Aik taraf se aap daad de rahe haiN(jab ke daad se ye pata nahiN chal raha ke kis baat par di jaa rahi hai), doosri taraf ia'tiraaz bhi aisa hi hai. Us se bhi kuchh khaas baat meri samajh meN nahiN aayi, to pehle aap ye batayen ki ta'reef kis cheez ki hai aur ia'tiraaz kahaN 2 hai. Phir maiN aap ka jawaab dene ki himmat karoNga.
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #10 on: July 10, 2010, 01:08:37 AM »
Reply with quote
Haider Sb Adaab

aap ka kahna baja hai, maine khul ker koi baat nahin ki zahir hai alfaaz ka chnau aur radeef qafiye ka khayal bhi rakhne ki koshish kisi had tak hai. asl mein main aap ko janta bhi nahin hun aur dilshikni mera dastoore nahin hai isliye isharon aur knayon mein baat pahunchane ki koshish ki hai,  ager ghaur fermain gay to khud dekh aur samajh lain gay ke kuch ashaar mein misrai oola kuch samajh se bala ter kahun ya baher se baher hai ab main aap ko bahr ke bare mein nahin dalna chaheta yeh aik bada hi lamba safer aur aaj ke ustaad loog bhi is se mubbara nazer aarahe hain . main aap se isi jawab ka ummedwar tha kuinke aajkal loog mushkil se baat ko samajh aur hazm ker paate hain
ager aap is ko zara gunguna liya karain aur matle ke mutabiq sari ghazal ko dhal liya karain to shaid hamare jaise ahmaq kuch na likhain.
ab aap likhte hain aur hum padhte hain jo nacheez ki samajh mein aata hai bata dete hain sunne wala samjh leta wah wah nahin to alhamdulilah
aap ke sare akalamat sahin hain. mera tareeqa batane ka shayed ghalat hoga .
to bas ager aik bahr mein her misra ho to kia baat hai sari rudaad ka mafhoom itna sa hai

kh

javed
Logged
ishk ek ibadat
Guest
«Reply #11 on: July 10, 2010, 07:59:30 AM »
Reply with quote
Ahl e bazm aadaab !
Apni aik nayi ghazal ke saath haazir hoN, aap dostoN ke behtareen comments ka intizaar rahega.

Raaste par wafaa ke maiN chalta raha.
Mera qaatil khaRa, haath malta raha.

Baam e maqsood tak wo pahuNch na sakaa,
Sirf chaRhta raha or phisalta raha.

Mujh ko khush dekh kar bazm e yaaraN meN woh,
Shama' ki tarh jalta pighalta raha.

Meri gardan pe jab tak raha mera sar,
Us ki qatil nigaahoN ko khalta raha.

MaiN to saabit qadam apne waa'doN pe tha,
Wo iraadoN ko apne badalta raha.

Baat koi bhi ho dil meN chupti nahiN,
Us ke chehre se har raaz khulta raha.

Aa gaya jab kabhi dostoN meN mere,
Zahr baatoN ka apni ugalta raha.

Zakhm baatoN ke naasoor bante gaye,
Umr bhar dard se dam nikalta raha.

Hosh Haider na tha kuchh mujhe ishq meN,
Dagmagaata raha or saNbhalta raha.

wah kya baat hai haidar bhai bahut khoob daad dil se kubul karen
duaon ke saath likhte rahen
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #12 on: July 10, 2010, 11:39:28 AM »
Reply with quote
Haider Sb Adaab

aap ka kahna baja hai, maine khul ker koi baat nahin ki zahir hai alfaaz ka chnau aur radeef qafiye ka khayal bhi rakhne ki koshish kisi had tak hai. asl mein main aap ko janta bhi nahin hun aur dilshikni mera dastoore nahin hai isliye isharon aur knayon mein baat pahunchane ki koshish ki hai,  ager ghaur fermain gay to khud dekh aur samajh lain gay ke kuch ashaar mein misrai oola kuch samajh se bala ter kahun ya baher se baher hai ab main aap ko bahr ke bare mein nahin dalna chaheta yeh aik bada hi lamba safer aur aaj ke ustaad loog bhi is se mubbara nazer aarahe hain . main aap se isi jawab ka ummedwar tha kuinke aajkal loog mushkil se baat ko samajh aur hazm ker paate hain
ager aap is ko zara gunguna liya karain aur matle ke mutabiq sari ghazal ko dhal liya karain to shaid hamare jaise ahmaq kuch na likhain.
ab aap likhte hain aur hum padhte hain jo nacheez ki samajh mein aata hai bata dete hain sunne wala samjh leta wah wah nahin to alhamdulilah
aap ke sare akalamat sahin hain. mera tareeqa batane ka shayed ghalat hoga .
to bas ager aik bahr mein her misra ho to kia baat hai sari rudaad ka mafhoom itna sa hai

kh

javed

Mohtaram aap ne ye nek kaam shuroo' kiya hai to ab qadam aage baRhaiye, peechhe khisakne ki koshish na kijiye, mujhe to aap jaise zaheen aur shatir insaan ki raah numaayi ki bohot zuroorat hai. MaiN ne riyaz bhai ki ghazal pe comment diya tha to ye keh diya tha ke wahaN maiN kya baat nahiN samajh saka tha.
Mere dost maiN aap se israar kar raha hoN ke daleel pesh kijiye.
Agar meri poori ghazal behr se khaarij lagti hai to maiN us ka jawaab doN. aur agar kuchh asha'ar khaarij haiN to aap un meN se kuchh ka tazkerah kar deN, lekin is kaar e khair se a'qab nasheeni na karN aur ab ishaaroN aur kinaayaat se bhi kaam na leN.
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #13 on: July 10, 2010, 01:01:54 PM »
Reply with quote
Muhtaram Tasleem.
Jis kisi ko kuch samajhna hoota hai pahle to usko Hadde adab ka khayal rakhna chahiye ,Jahan itna shaur na ho ke kisi ko kin alfaaz se mukhatib kerna chahiye , phir usper zoom yeh pahle  daleel mangee jaye phir jawab ke liye taal thoonkay khade hain, Maine wazeh ker diya tha ke aap ke ashaar ke misraye oola pabandi se baher hain, itni see baat to samajh mein aayee nahin . to bhai mujhe kutte ne to kata nahin hai ke aa bail mujhe maar karun , yani bhais ke aagay been bajana jahilo ka kaam hoota hai, Mashallah se aap kafi danishwer aur aala paye ke shair hain, meri himaqat thee jo az rahe hamdardi rah hamwar kerne ki zahmat ki.

Shukriya


javed


Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #14 on: July 10, 2010, 03:10:49 PM »
Reply with quote

Raaste par wafaa ke maiN chalta raha.
Mera qaatil khaRa, haath malta raha.

Baam e maqsood tak wo pahuNch na sakaa,
Sirf chaRhta raha or phisalta raha.

Mujh ko khush dekh kar bazm e yaaraN meN woh,
Shama' ki tarh jalta pighalta raha.

Meri gardan pe jab tak raha mera sar,
Us ki qatil nigaahoN ko khalta raha.

MaiN to saabit qadam apne waa'doN pe tha,
Wo iraadoN ko apne badalta raha.

Baat koi bhi ho dil meN chupti nahiN,
Us ke chehre se har raaz khulta raha.

Aa gaya jab kabhi dostoN meN mere,
Zahr baatoN ka apni ugalta raha.

Zakhm baatoN ke naasoor bante gaye,
Umr bhar dard se dam nikalta raha.

Hosh Haider na tha kuchh mujhe ishq meN,
Dagmagaata raha or saNbhalta raha.

"Baat koi bhi ho dil meN chupti nahiN,
Us ke chehre se har raaz khulta raha."

Bahut achchhey, Ghulam Haider ji!

                   - abd bundeli


Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:56:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.149 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer