Mera Qaatil KhaRa Haath Malta Raha...(Haider)

by Ghulam Haider on July 08, 2010, 11:57:43 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3425 times)
Ghulam Haider
Guest
«Reply #15 on: July 10, 2010, 10:41:20 PM »
Reply with quote
Muhtaram Tasleem.
Jis kisi ko kuch samajhna hoota hai pahle to usko Hadde adab ka khayal rakhna chahiye ,Jahan itna shaur na ho ke kisi ko kin alfaaz se mukhatib kerna chahiye , phir usper zoom yeh pahle  daleel mangee jaye phir jawab ke liye taal thoonkay khade hain, Maine wazeh ker diya tha ke aap ke ashaar ke misraye oola pabandi se baher hain, itni see baat to samajh mein aayee nahin . to bhai mujhe kutte ne to kata nahin hai ke aa bail mujhe maar karun , yani bhais ke aagay been bajana jahilo ka kaam hoota hai, Mashallah se aap kafi danishwer aur aala paye ke shair hain, meri himaqat thee jo az rahe hamdardi rah hamwar kerne ki zahmat ki.

Shukriya


javed



Mere buzurg, Javed Arshad saahib Aadaab !
Is liHaaz se ke u'mr meN mujh se baRe haiN, maiN aap ka iHtiraam karta hoN aur ye mera farz bhi hai, lekin maiN aap ko Aligarians web se pehchaanta hoN. MaiN bhi us ka member reh chuka hoN. Mujhe intihaayi afsos ke saath ye kehna paR raha hai ke aap jaise insaan ko sirf jaahil kahoN ya jaahil e murakkab?
Jaahil to woh hota hai jo apni naa daani ka mo'tarif hota hai. Lekin jaahil e murakkab woh hota hai jo apni naa daani ko naa daani na samajh kar i'lm samjhe.
Pehle aap is link par jaa kar apne baare meN ye samjheN ke maiN kis zumre meN aata hoN.
http://aligarians.com/mehfil/index.php/topic,14807.msg196166.html#msg196166
Main ab tak aap ki dil-shikani nahiN karna chahta tha,lekin aap apne baare meN zubaan khulwaane par musirr haiN. Jab ek shakhs ye jaanta hi na ho ke ghazal kaisi honi chaahiye (qawaaid ke ia'tibaar se) aur is ke oopar us ki ye jurat ke doosre ki ghazal par ia'tiraaz kare, to use kaon samjha sakta hai?
Jab aap mujhe is marhale tak le hi aaye haiN to aap ko aap ki Haqeeqat se aashna karaana meri zimmedaari hai.
Aap ke liye mera behtareen aur sameemaana mashwarah ye hai ke kuchh bhi seekhne ke liye umr ki qaid nahiN hoti ab bhi waqt hai ke aap kam se kam nazm goyi ke qawaaid seekh leN, Aap ne Aligarians par 49 pages kaale kiye haiN-aur yahaN bhi aap ka wohi haal hai-aap ki 1(waahid) gazal bhi aisi nahiN dekhi jis meN behr aur wazn ki ria'ayat ki ho aap ne. Aur aap mujh se is par aRe huye haiN ye sharm ki baat nahiN hai aap ke liye?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
qaatil mera dost puraana niklaa.. by jianrangrej in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Poetry ke liye mera mashwarah....Haider by Ghulam Haider in Shayari ki Batein- Sawaal Jawaab
Ek mera hi Haath Na thaama usne by jazbaat in Share: Poetry of Pain
Mera qaatil........MKV by mkv in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Main kinare pe khara....hatho'n ko malta hi raha by Syed Mohd Mahzar in Miscellaneous Shayri
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 3 hours and 46 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #16 on: July 10, 2010, 11:26:52 PM »
Reply with quote
Gar Aap Jaise Danishwar Aur Ustad Log Hi
Yun Sareaam Jhagda Karenge Aur Aise Alfazon Ka
Istimal Karenge To Uska Hum Zahilon Pe Kya Asar Parhega?

Insan Ko Soch Samajhkar Koi Bhi Baat Kehni Chahiye
Kyun Ki Woh Nahi Jaanta Ki Uske Munh Se Nikli Baat Kya
Asar Chhorhgi Mahol Mein...!
Meri Aap Dono Hazraat Se Aadaban Request Hai Ki
Is Qissey Ko Yahin Pe Khatam Kar Den...
Kyun Ki Ziid Pe Arhna Saitna Ka Kaam Hai Momin Ka Nahi
Haan Gar Aap Logon Ko Apna Apna Jauhar Hi Dikhana Hai To
PM Ke Zariye Dikha Dijiye Ik Dusre Ko Par Meharbani
Yun Sareaam Aisa Na Kijiye...Baaki Aap Log Khud Samajhdar Hain
Main To Chhota Munh Badi Baat....Maine Apna Kaam Kiya
Aage Aap Hazraat Ki Jo Marzi....

ALLAH Pak Aap Dono Ko Khush Rakhe...
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #17 on: July 11, 2010, 12:10:25 AM »
Reply with quote
Gar Aap Jaise Danishwar Aur Ustad Log Hi
Yun Sareaam Jhagda Karenge Aur Aise Alfazon Ka
Istimal Karenge To Uska Hum Zahilon Pe Kya Asar Parhega?

Insan Ko Soch Samajhkar Koi Bhi Baat Kehni Chahiye
Kyun Ki Woh Nahi Jaanta Ki Uske Munh Se Nikli Baat Kya
Asar Chhorhgi Mahol Mein...!
Meri Aap Dono Hazraat Se Aadaban Request Hai Ki
Is Qissey Ko Yahin Pe Khatam Kar Den...
Kyun Ki Ziid Pe Arhna Saitna Ka Kaam Hai Momin Ka Nahi
Haan Gar Aap Logon Ko Apna Apna Jauhar Hi Dikhana Hai To
PM Ke Zariye Dikha Dijiye Ik Dusre Ko Par Meharbani
Yun Sareaam Aisa Na Kijiye...Baaki Aap Log Khud Samajhdar Hain
Main To Chhota Munh Badi Baat....Maine Apna Kaam Kiya
Aage Aap Hazraat Ki Jo Marzi....

ALLAH Pak Aap Dono Ko Khush Rakhe...

Mere a'zeez mujhe ummeed hai ke aap ne is msg se pehle zuroor saari posts ka mua'ayena kiya hoga. MaiN ne jis mauqaf ko ikhtiyaar kiya tha, wo shuroo se ye tha ke beHs mufeed ho. Sab us se faayeda uThayeN. MaiN to khud bila vajah ki baatoN se ijtinaab karta hoN. Aur aap ke liye bhi a'rz kar doN ke ye koi jhagRa nahiN hai. Naa hi mujhe Javed saahib se koi zaati dushmani hai aur na hi unheN mujh se. YahaN behs ye hai ke ia'tiraaz kya hai? Kaun ia'tiraaz kar raha hai? Us ka ia'tiraaz se maqsad kya hai? aur isi tarah..
Ia'tiraaz meri ghazal pe hai ! ahlan wa sahlan dil khol kar kijiye. mera kalaam khuda ka kalaam nahiN jo har a'ib se mubarrah ho, lekin jab ia'tiraaz kiya hai to karne waale ki zimmedaari banti hai ke daleel pesh kare, aur bataaye ki ye ghalati hai. is tarah sab ki samajh meN baat aa jaayegi. aur agar baat sach hogi to maiN bhi qubool karoNga. lekin sirf abhi tak ia'tiraaz baaqi hai, us ka suboot ya wazaahat kuchh bhi nahiN hai, to ye kaun sa tareeqa hota hai bhai. MaiN to ab tak yehi keh raha hoN ke agar meri kaavishaat qawaaid se mubarrah hoti haiN to mujhe qawaaid bataaiye aap mere buzurg haiN, mujhe samjhaiye. Is tarah meri islaah bhi hogi aur ye beHs sab ke liye mufeed bhi hogi. agar mere paas difaa' meN kuchh hoga to pesh kar doNga. nahiN to mujhe muqaabil ki baat tasleem karni paRegi.
Chaliye ab Javed saahib yahaN tak aa gaye haiN ke misra'e oola maurid e behs hai aur un ki nazar meN koi ghalati ya kharaabi hai fikri, fanni, adabi ya aur kisi bhi tarah ki to use batayeN. tabhi to samajh meN aayega.Aap bhi aur aap ke a'laavah web ke doosre members bhi aapni raaye deN, aur bataayeN ki sachchaayi kya hai. MaiN bhi tasleem karoNga. Bila vajah ki baatoN se to sab ka hi waqt kharaab hota hai. Aur mera maqsad kuchh bhi nahiN hai.
Mukhlis  :  Haider
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #18 on: July 11, 2010, 12:25:14 AM »
Reply with quote
Agar Javed saahib ne mere kalaam ke baare meN nahiN, balke mere baare meN kuchh kaha hota to yaqeenan maiN yahaN apni koi baat na krata. Lekin jab tak un ka ishkaal mere kalaam par yahaN baaqi hai mujhe majbooran yahiN jawaab dena paRega. MaiN apni zaati guftgoo se ijtinaab karoNga.
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #19 on: July 11, 2010, 04:03:23 PM »
Reply with quote
Hum Dum Adaab
Bakhuda mujhe to ilm hi na tha keh yeh hazrat hain kaun, bas waise hi nazer pad gayee to jaisa ke maine likha hai azrahe hamdardi jo deekhayee diya ya meri naqis aql mein aaya kah diya. Yeh her us shaqs ko ilm hai jo mujhko janta hai ke main shayer nahin hun bas urdu se lagau hai aur barsoon se dayare ghair jahan urdu ka saan gumaan bhi nahi hai, rahta hun.
Main hairat zadah tha yeh hazrat itne chiraagh pa kuin hai ager mara pahla msg padhain to usmein kis aajzi se maine derkhuwast kee thee.
Mager jab Alig ka naam aaya to mujhko yaad aaya ke huzoor kaun hai.ager pahle se ilm hoota to yeh baat uthne ka sawal hi na hoota.main yahah yeh sab is liye likh raha hun ke sab ko haqqiqat ka ilm ho jaye, waise main jawab dene wala nahin tha , kauin ke yahan main koi aisi baat nahin chaheta hun.Kuinke yeh humlogon ke apni bazm hai.koi akhada nahin.
Alig. se ban kiye gaye hain,uska gham o ghussa hai, main inke in nazeba aur nashaista actions kis nazer se dekhon go ke main yahan inko ban ker sakta hun mager phir hum mein doosron mein farq hi kia rah jaye ga , main her us shaqs ki izzat kerta hun jis ko zubaan se zara bhi lagau ya muhabbat hai. Ager main koi aala urdu dan ya shair hoota to yun web sites per waqt na kharab kerta , yeh to aik mohim hai jis se zubaan zinda rahe aur logon ko raghbat rahe.

aap ki muhabbatka shukrguzar aur zahni kulfat ke liye maa'zrat khuwah hun

wasslam


javed
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #20 on: July 11, 2010, 06:10:31 PM »
Reply with quote
Haider Bhai aur javed bhai aadab o tasleemat ,


Ap mahutram se guzarish hai ke is bahs ko yaqeen qatam kar den .. warna quloos jata rahega .. ..

Meri koi baath agar na gawar guzri ho to mazrath khaw hon .. Allah apko khush rakhe ....


Duwa go

Qadeertoopchi
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #21 on: July 11, 2010, 08:02:57 PM »
Reply with quote
Haider Bhai aadab o tasleemat ,


Kal is silsile me javed bhai se tabadila-e-qayal howa tha ,,Javed bhai is baath se ilm the ke ap AMU ke zumre me aate hain ,,apki narazgi durust hai .. apki ghazal har aitebar se sahi hai , apki sukhanwari pe bhala kisko shak ho sakta hai ,, javed bhai shayad koi chiz samjhne se qasir rahe hon ,,qaari ki apni nigah hoti hai ,,Ap se adban guzarish hai ke app is masle ko yahin qatam kar den .. Javed bhai ap mere azizon me shamil hain .. umid hai ap bhi is masle ko yahin qatam kardenge ..ab mazeed guftago se quloos jaata rahega ..

Meri koi baath agar na gawar guzri ho to mazrath khaw hon .. Allah apko khush rakhe ....


Duwa go

Qadeertoopchi
Mere a'zeez o mukarram bhai aadaab !
Mujhe khushi is baat ki thi ke is bazm meN koi tanqeedi nazar rakhta hai. kyoN ke tanqeed se islaah bhi hoti hai aur seekhne ko bhi milta hai. MaiN to ia'tiraaf karta hoN ke insaan ki naaqis a'ql se khata mumkin hai. Aur (و فوق كل ذي علم عليم)har saahib e i'lm ke oopar us se bhi ziyada i'lm rakhne wala maujood hai. Koi bhi ye na soche ke mujhe Javed Arshad saahib se koi zaati dushmani hai, aur ye bhi nahiN samajhta ke unheN mujh sekoi zaati dushmani hogi. Jab maiN ne buzurg ka comment paRha to maiN ne darkhwaast ki ke aap ko agar meri ghazal qawaaid se mubarrah nazar aati hai to aap mujhe sirf sik misaal samjhane ke liye pesh kar deN ke aap ki ghazal is tarah honi chaahiye, lekin unhoN ne koi wazaahat abhi tak nahiN ki. Jab guftgoo kuchh aage baRhi to maiN ne buzurg ki kaavishaat ki taraf rujoo' kiya taake mujhe unki salaahiyyat ka andaazah ho sake. Jab mujhe ye pata chala ke aap ghazal ke usloob se naa aashan haiN to phir mujhe majbooran ye kehna paRa ke aap pehle ghazal goi ke fann se waaqif ho jaayeN phir aap ko zeeb dega ke kisi ki ghazal par ia'tiraaz karN. Abhi to aap apna difaa' nahiN kar sakte aur baHs karne par aRe huye haiN. Doosri baat ye a'rz kar doN ke moHtaram ko abhi tak ye i'lm nahiN hai ke Alig. ne mujhe ban kiya hai ya maiN ne hi wahaN par post karna ban kiya hai. Alig. ki ab bhi mere paas request hai ke maiN wahan par apna kalaam post karN, aur maiN aisa kar bhi sakta hoN aur aksar alig. par jata bhi rahta hoN.
Buzurg ki is baat se kya andaza lagaya ja sakta hai ke "agar maiN koi aa'la urdu daaN ya shayer hota to is tarah websites par waqt kharaab na karta" goya jo log web sites par aate haiN wo na to aa'laa urdu daaN haiN na shaayer. Aur agar koi shayer aisa karta hai to buzurg ki nazar meN waqt kharaab karta hai.
Ba har haal agar web mod ko meri ghalati lagti ho to mujhe likh deN ke "Haider tumhari ye ghalati hai, aur tum is web ko khuda haafiz ke do". HaN mujhe web mod ke msg ki bhi zuroorat nahiN hai, sirf Arshad saahib itna isharah kar deN ke is web ka maiN mod hoN to maiN khud hi is web ko chhoR doNga. MaiN kisi ki dilaazaari ka sabab nahiN ban na chahta.
Mera mauqaf yehi rehta hai ke baat jitni hai us ko utna hi rakha jaaye. Agar buzurg ko ab bhi koi ia'tiraaz ho, aur wo us ki wazaahat kareN to khuda ki qasam mujhe khushi ye hogi ke mere kalaam ki kam se kam aik kami door ho gayi. Lekin agar unke dil meN kuchh aur hi baat hai to uska mere paas baghair samjhe koi jawaab nahiN hai.
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #22 on: July 11, 2010, 08:06:57 PM »
Reply with quote
Qadeer bhai aap ka hukm sar aaNkhoN par maiN apni taraf se ab aur koi baat nahiN kahoNga. Aur aap ko insha Allaah meri ghazal jald hi Aligarians meN bhi mile gi jis se Hazrat ye gumaan bhi door ho jayega ke mujh par wahaN pa bandi hai.   Apna khayaal rakhna.
Mukhlis :  Haider
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #23 on: January 08, 2012, 11:18:24 PM »
Reply with quote
MoHtaram qareien, Al-Salaaam A'laikum !
MaiN tah e dil se aap sab ka shukr guzaar hoN. Aap ne meri is adnaa si ghazal ko apna qeemati waqt diya, aur apni achchi achchi aaraa se bhi nawaaza. maiN bohot se aHbaab ke comments ka bar waqt jawaab nahiN de saka tha, is liye ma'zerat chaahta hoN. Agar kisi ko meri kisi baat se kisi tarah ki dilaazaari huwyi ho to mujhe apni faraagh dili se mua'af kar de.
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 07:08:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer