----- /// Meri Chaahat /// -----

by klaskar on August 07, 2010, 07:42:20 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 3691 times)
Matrix Guy
Guest
«Reply #15 on: August 08, 2010, 01:15:09 PM »
Reply with quote
aapki ye lines meri apni kahani kehti hain...
kya reply dun ab iske aage...


kasak ji.........aap dono ke sawal jawab me jo poetry hoti he wo lajawab hoti he .....

but dil udas ho gaya ......ye kya baat kahi apne ?

itna dard he ? apki kahani bhi esi he ?
hume maloom nahi tha........

apno ki kami ........tuta dil........sady sady ho gaya ye pad ke......

sirf ek baat kahta hu

"khushnasib he wo jinke paas zindagi to he"

mere paas bht bht khushiya he .....aur jab tak rahugna ye mere sath rahegi...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Meri Chaahat Ab Tere Dil Men Na Ho by syednaami in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Chaahat by kashif_khan in SMS , mobile & JOKES
***Meri Chaahat*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Khumar -e- Ishq
***Meri Chaahat*** by AVTAR RAYAT in Share:Love Poetry
**Chaahat** RH by Rajesh Harish in Share:Miscellaneous Shayari
Anshumali
Guest
«Reply #16 on: August 08, 2010, 01:17:19 PM »
Reply with quote
na daulat chahta hoon, na hi shohrat chahta hoon,
main to apne chahne waalon ki chahat chahta hoon,

hain bahut kam ye zindagi ke din mere saathi,
main bas kisi humsafar ka saath chahta hoon,

na main bangla chahta hoon, na main kothi chahta hoon,
bas sar chhipaane ke liye ek chhoti jhhopdi chahta hoon,

na main baadal chahta hoon, na hi barsaat chahta hoon,
bas apni pyaas bujhaane ke liye do boond paani chahta hoon,

na koi aarzoo hai, na koi khwaish hai zindagi se,
main to bas apno ke chehron pe muskaan chahta hoon,

rasta mushkil hai yahaan har taraf rukawatein hain,
main to bas berok is safar me chalna chahta hoon,

koi dushman chahta hoon, na koi dost chahta hoon,
bas har insaan ko mai gale lagaana chahta hoon....


*****HRIDAY*****


Very Impressive Creation...... klaskar ji.... bhaut khoob !
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #17 on: August 08, 2010, 01:22:28 PM »
Reply with quote
heyyyy matrix jiiii....khushiyan hamare pas bhi bht hain...

lekin aur sab k liye

lekin hamari khushi sirf ek hai..aur wo har haal me hamare pas hai..uske alawa kisi aur khushi ki jarurat hume nahin...

bas klaskar ji ki ye lines padhke kuch beete zamane yaad aagaye aur kuch nahin....

aur yehi to baat hai klaskar ji ki poems me...jo itne gehrai me dil chhuti hain k bas kho jati hun imne...

thnx ji for ur concern
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #18 on: August 08, 2010, 01:30:50 PM »
Reply with quote
tab to thik he kasak ji......

ye baat hume samaj aati he........aur ese hi khush rahiye....

aur jo apne klaskar ji ke liye kaha he wo 100 % nahi 1000 % true he..........

he is real poet aur poet bhi artist hi hote he jo apni likhayi se logo ke dimag me scene creat kar dete he ...aur klaskar ji isko behad behtareen tarike se pura karte he......

wese ek baat kahu muje nahi pata klaskar ka meaning kya hota he ......agar urdu he to muje jyada urdu ati bhi nahi he......he is artist so me inke naam me kuch ferbadal kar du to inka naam khud "kalakar ji" ho jayega ......and he is perfect person for that name......apki kya ray he kasak ji Huh?
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #19 on: August 08, 2010, 01:31:28 PM »
Reply with quote
thanx a lot Naresh ji... !!!


Very Impressive Creation...... klaskar ji.... bhaut khoob !
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #20 on: August 08, 2010, 01:36:25 PM »
Reply with quote
maafi chaahenge Kasak ji agar hamari kavitaayein aapko us daud me le jaati hain jinhe aap yaad nahi karna chahte... hum to bas kuch bhi likh dete hain... aur aap hain ki doob jaate hain unme.... aur main aapka dil se shukriya adaa karta hoon jo aap mere poems ko dil se feel karti hain... !!!

heyyyy matrix jiiii....khushiyan hamare pas bhi bht hain...

lekin aur sab k liye

lekin hamari khushi sirf ek hai..aur wo har haal me hamare pas hai..uske alawa kisi aur khushi ki jarurat hume nahin...

bas klaskar ji ki ye lines padhke kuch beete zamane yaad aagaye aur kuch nahin....

aur yehi to baat hai klaskar ji ki poems me...jo itne gehrai me dil chhuti hain k bas kho jati hun imne...

thnx ji for ur concern
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #21 on: August 08, 2010, 01:38:58 PM »
Reply with quote
Matrix ji... main kin shabdon me aapka shukriyaa adaa karun samajh nahi paa raha hoon... main kavita itni achchi shayad nahi likhta jitni taarif aap kar rahe hain... main kahaan ka kalaakar bhala... aapka main tahe dil se shukriya adaa karta hoon itni izzat dene ke liye meri lekhni ko... bahut bahut shukriya sarkaar... waise klaskar mera naam hi hai...!!!

tab to thik he kasak ji......

ye baat hume samaj aati he........aur ese hi khush rahiye....

aur jo apne klaskar ji ke liye kaha he wo 100 % nahi 1000 % true he..........

he is real poet aur poet bhi artist hi hote he jo apni likhayi se logo ke dimag me scene creat kar dete he ...aur klaskar ji isko behad behtareen tarike se pura karte he......

wese ek baat kahu muje nahi pata klaskar ka meaning kya hota he ......agar urdu he to muje jyada urdu ati bhi nahi he......he is artist so me inke naam me kuch ferbadal kar du to inka naam khud "kalakar ji" ho jayega ......and he is perfect person for that name......apki kya ray he kasak ji Huh?
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #22 on: August 08, 2010, 01:43:55 PM »
Reply with quote
kabhi tanhaayi ko kabhi tere saath ko yaad kar lete hain,
hum bhi kabhi kabhi haal-e-dil bayaan kar lete hain,
kabhi kabhi jab tu chhed jaati hai humein aake khwaabo me,
usi ehsaas ho labzon me bayaan kar lete hain...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #23 on: August 08, 2010, 01:48:12 PM »
Reply with quote
kabhi tanhaayi ko kabhi tere saath ko yaad kar lete hain,
hum bhi kabhi kabhi haal-e-dil bayaan kar lete hain,
kabhi kabhi jab tu chhed jaati hai humein aake khwaabo me,
usi ehsaas ho labzon me bayaan kar lete hain...

aapke khayalon me khud ko aabaad kar lete hain
hum dil o jaan se tujhko yaad karte hain

jab bhi tanha hote hain hum raaton me
teri likhi gazal gunguna liya karte hain.....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #24 on: August 08, 2010, 01:57:20 PM »
Reply with quote
ab to teri yaadon se hi hum apna dil behla lete hain,
tujhe na paane ka khayaal se hi aah bhar lete hain,
socha tha bahut aasaan hota hai pyaar ko bhula dena,
par kya kareen, ab to dard me bhi muskura lete hain...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #25 on: August 08, 2010, 02:01:07 PM »
Reply with quote
teri muskaan me hi hum khud ko paa lete hain
tere dard se khud ko tadpa lete hain
mana k nahin ho sakte hum sanam tere
iss baat k liye uss khuda se bhi lad lete hain
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #26 on: August 08, 2010, 02:23:37 PM »
Reply with quote
kya shikayat karein us khuda se jise humne kabhi dekha hi nahi,
apne dil ka haal use kya sunaate ho jiska koi wajood hi nahi,
kasoor to hamaare kismat ka hi hai bas jo hamara na ho saka,
shikayat humein hamaare kismat se hai us parvardigaar se nahi...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #27 on: August 08, 2010, 02:31:16 PM »
Reply with quote
kismat likhne wala to wo parwardigaar hi hai
hume milanewala to wo parwardigaar hi hai

hume tumse juda kar diya yun kismat kehke
ye khel khelne wala wo parwardigaar hi hai
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #28 on: August 08, 2010, 02:31:39 PM »
Reply with quote
Ati sunder Kapilji ..........kya bhaav hain Superb... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


na daulat chahta hoon, na hi shohrat chahta hoon,
main to apne chahne waalon ki chahat chahta hoon,

hain bahut kam ye zindagi ke din mere saathi,
main bas kisi humsafar ka saath chahta hoon,

na main bangla chahta hoon, na main kothi chahta hoon,
bas sar chhipaane ke liye ek chhoti jhhopdi chahta hoon,

na main baadal chahta hoon, na hi barsaat chahta hoon,
bas apni pyaas bujhaane ke liye do boond paani chahta hoon,

na koi aarzoo hai, na koi khwaish hai zindagi se,
main to bas apno ke chehron pe muskaan chahta hoon,

rasta mushkil hai yahaan har taraf rukawatein hain,
main to bas berok is safar me chalna chahta hoon,

koi dushman chahta hoon, na koi dost chahta hoon,
bas har insaan ko mai gale lagaana chahta hoon....


*****HRIDAY*****

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #29 on: August 08, 2010, 07:19:24 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Koyal ji... aapne apna waqt diya, padha aur ise pasand kiya... main tahe dil se aapka shukriya adaa karta hoon...!!!

Ati sunder Kapilji ..........kya bhaav hain Superb... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:18:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer