~Mohobat nahin~ by Rahim

by dead heart on August 16, 2010, 11:56:10 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2117 times)
dead heart
Guest
«Reply #15 on: August 17, 2010, 07:13:21 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Rahim Apke Is Nazm  ki tareef mein Kya Kahoon!!! har Lafz,Dil Se Nikla Hua Mehsoos Hota Hai..bahut Gehri Aur Chot deti Hui yeh Nazm Humesha Mere Dil ke kareeb rahegi....Main Agar Kuch Yahan naa Likhoon To Woh Khud Se beimaani Hogi..Bas Kuch Likh raha Hoon..

Jo mohabbat Kabhi humne ki thi aaj shayad tumhe yaad hai ke Nahi
kuch waade Jo mil kar kiye the
aaj woh waade tumhe yaad hai ke Nahi

Mera Agar Tum Par koi Haq nahi To Naa Sahi!!!
Par tumne kabhi kaha tha ke Tum meri ho,
yeh Baatein tumhe yaad hai ke nahi..

asaan hai auron se fareb karna par Eh Nadaan Khud Se To waffa kar!!!!
kabhi Aaene mein Nazrein mila kar zaroor dekhna,
Yeh Nazrein Sharmshaar hai Ke nahi..

Main maanta Hoon,Zindagi Mein har Koi Apne haq Ka Failsa Le Sakta Hai
Par kuch jazbaat aise the jo Hum-Tum Ko "EK" Karte The!!!
Woh Jazbaat Aaj Bhi Zinda Hai ke Nahi...

Tere Ek baar Ke Ruthne Par naa Jaane Kitne Ashq Bahaye hai inn Palkon Ne!!
Ek baar phir Piche mudkar Dekh to le,
Aankhein meri Aaj Bhi Nam Hai ke Nahi...

Tu Khush rahe, Abaad Rahe, khuda Har Dum Tere saath Rahe!!!!
Par "Khwaish" Ke dil mein Sirf Ek saawaal hai!!!!

"Kya Sachi Mohabbat Ki iss Duniya mein Koi Aukaad Hai Ke Nahi...."


Khwaish Dost, apne itna keh dia kay yeh nazm apke dil kay kareeb rahegi yeh mere liye bahaut badi baat hai..Bahaut bahaut bahaut shukriya apka..Teh dil se shukriya.! hamesha khush rahiye.!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Apki iss kavita ne behad khusbsoorat sawal pucha hai..Kya sachi mohobat ki koi aukad nahin? bahaut khubsoorat..hamesha ki tarha..yunhi likte rahiye.!

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mohobat ka Asar...By Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
**Mohobat hogayi hai** by Rahim by dead heart in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
**Mohobat hargayi** by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
~Karunga mohobat dobara nahin~ by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
~*~ Mohobat karne kay liye degree nahin chahiye ~*~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
dead heart
Guest
«Reply #16 on: August 17, 2010, 07:18:07 PM »
Reply with quote
Rahim bhai ab main kin shabdon me aapke is kavita ki taarif karun samajh hi nahi pa rah hoon.. bahut khoobsurti se bahutt sundar shabdon me bahut khoob likha hai apne... shabd is tarha se jode hain jaise koi jaadu lag raha ho ... bahut pyaari peshkash hai ye aapki.... bahut khoob....!!!

 Applause Applause Applause Applause Applause

kuchalke apne paon tale meri mohabbat ko wo muskurayi,
us zaalim ki is adaa pe bhi mujhko pyaar aaya tha,

todke mere dil ko kaanch ke tukdo ki tarha rakha jisne,
jaane us bereham ko kyun maine gale lagaaya tha,

ab bhi us haseen qaatil ko main dil se yaad karta hoon,
jise maine bin maange duwa ki tarha paaya tha...

Kapil Dost, teh dil se shukriya..bahaut bahaut shukriya..
Bahaut khubsoorat lines likhi hai apne..bahaut ache.!
Likte rhaiye..Khush rahiye.!
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #17 on: August 17, 2010, 08:16:12 PM »
Reply with quote
U are welcome Rahim bhai aur hamaari lines pasand karne ke liye shukriya...!!!

Kapil Dost, teh dil se shukriya..bahaut bahaut shukriya..
Bahaut khubsoorat lines likhi hai apne..bahaut ache.!
Likte rhaiye..Khush rahiye.!
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #18 on: August 18, 2010, 07:08:14 AM »
Reply with quote
shukriya dost apko pasanad aayi ..achha laga~
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 03:13:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer