Talat
Guest
|
«Reply #15 on: February 16, 2010, 06:33:51 PM » |
|
Thanks a lot Divs for reading and appreciating....This is the pain which has taken the shape of words.
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #16 on: February 16, 2010, 06:45:00 PM » |
|
Bahut Bahut Khoob!!!!
Talat Dost!!Dil Se likhi Har ek cheez Dusro ke Dil tak Pahunchti hai..
Aapki Yeh Dedication Sirf dil ko Chuuti Hi nahi par Aankhon Ko Bhi nam Kar Deti Hai..
Punjabi Mein Maa Ke Liye Yeh shabd Kahe Jaata Hai Ke
"Maavan Thandiyan Chaavan" Hoti Hai..
Aur Vaakai yeh Sach Hai!!!! Maa Hi thandi Chaa Ki tarah Hoti Hai
bahut bahut Khoooob Dost!!!!!
Thanks Khwaish Dost aapne ise padha aur dil se mehsoos kiya.....Maa Khuda ka sab se haseen aur beshqeemti tohfa hai....Aaj Maa ko kho kar jaana hai ki kitna bada nuqsaan hua hai Zindagi ka..Allah ki raza hai......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #17 on: February 17, 2010, 04:10:37 PM » |
|
Aapke dil k jajbaat ujagar kar rahe hai aapke ye alfaaz....har alfaaz dil mein utar gya hai aur aankhon se chhalakne lage hai.....kya kahu.....hav no words...
Thanks dear for reading and feeling the pain...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
Rau: 1
Offline
Gender:
Waqt Bitaya:19 days, 10 hours and 36 minutes.
always smile
Posts: 15216 Member Since: Aug 2004
|
|
«Reply #18 on: February 18, 2010, 08:56:45 AM » |
|
ek ek lafz bahut hi umda laga....bahut hi ache Talat
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #19 on: February 18, 2010, 03:38:48 PM » |
|
Talat Ji.. Mere Paas Lafz Hi Nahi Hain Aapki Is Nazm Ki Tareef Ke liye.. Dil Se Likhe Aapke Yeh Alfaaz Waqai Dil Tak Utar Gaye.. Zyada Kya Kahun.. Kuch Lafz Hi Nahi Kahane ko Mere paas..!!!
**~** Mann **~**
Thanks a lot Vicky, aapne ye dard mehsoos kiya jo har pal har lamha meri zindagi ka hissa hai....Thanks a lot for reading....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #20 on: February 19, 2010, 08:33:02 AM » |
|
bahut achchaaaaaa behtreen celmira ji............ALLAH AAP KO SAKOON DE AUR AAPKI AMMI KO JANNAT- UL -FIRDAUS MAIN JAGAH DE ....AAMIN....!!
Bohot shukriya Sheba ji aapki duaaon ka...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #21 on: February 19, 2010, 01:22:39 PM » |
|
talat jee:
Aadaab!
mujhe baRaa hi duKh huaa aapke mummy jee ke baare meN jaan.K.. Khudaa se duaa yahee hai kii uNkii rooh ko ShaaNti mileN... har aik lafz meiN apni maa.N ke liye dil meiN basaa huaa pyaar naZar aaya mujhe... bas itna hi kahuuNgaa talat jee ki aapke mummy jee kabhee naheeN chaaheNge ki uNki beTii ziNdagee ke kisi bhee moD par Khud ko kamzor mehsuus kareN... aapki maa.N haMeShaa aapke paas hi hai..Khud ko saMbhaaleN.. maiN jaantaa huuN kehnaa aur sehnaa alag baat haii.. par itnaa Khayaal raKhiye.ngaa ki apne bachche ke aaNKhoN meiN aaNsu ek maa.N kabhee bardaast nahiiN kar sakti.. we aapko har pal deKh rahe.n hai.n..maa.N ke saath guzra har laMhaa azeez hotaa hai bas uN beeteN laMhoN ko apni taaQat banaayeN... !
apnaa achchhe se Khayaal raKheN... Khudaa se merii duaa aapke liye!
duaaoN ke saath ijaazat
aapka
~ Dhaval
Bohot Bohot shukriya Dhaval Ji, aapne itna waqt diya..mere ehsaasat ko samjha aur hausla diya...Tah-e-dil se aapki shukrguzaar hoon...aapki duaaon ke liye mamnoon hoon......
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #22 on: February 24, 2010, 12:40:30 PM » |
|
Great dedication Talat ji,aankh bhar aayi padke aapke kavita.aapke dard ko mahesoos kar sakti hoon.par dil chotta mat kar.mindblowing creation.excellent.God bless you and give you peace Talat ji.take care.
Thanks so much Madhu Ji is hausla-afzaai aur himmat ke liye...Thanks a lot.....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #23 on: February 24, 2010, 02:32:56 PM » |
|
Dear Talat, alfaz nahi. Bahut accha likha hai. Dua mein ho tum God bless you dear.
Thanks so much Roja for your prayers...Thanks dear...
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #24 on: February 24, 2010, 03:13:19 PM » |
|
Talat Ji, apni maa ko yaad karte huye behad sanjeeda nazam likhi hai aapne. Bahut achhi lagi ye nazm. Jaane wale lautkar to kabhi nahi aate magar unki yad hamesha aati hai. Ab isse zyada kuchh nahi kiya jaa sakta ke unke liye dua-e-maghfirat ki jaaye aur zyada se zyada eesal-e-swaab kiya jaye.
Jee haan, sahi kaha aapne Riyaz Ji...Meri Maa ko ab main isaal-e-sawab aur dua-e-maghfirat ke siwa kuch nahin de sakti..Allah qubool farmane waala hai....Ye Shayari to ek beti ke jazbaat hain jo apni Maa ko itni jaldi kho dene ke ghum main khud bakhud zubaan pe aa gaye....Thanks a lot Riyaz Ji....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ali_nadan
Guest
|
|
«Reply #25 on: February 24, 2010, 03:39:06 PM » |
|
bohat hi hassas nazm Celmira ji... allah se aap ki ammi ki maghfirat ki dua karta hun.. aamin..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #26 on: February 25, 2010, 01:04:11 PM » |
|
Thanks so much Wasil Ji for your prayers....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #27 on: February 25, 2010, 09:06:15 PM » |
|
Bahut Hi Sunder Aur Dil Ko Chune Wali Aapne Ye Nazam Likhi Mein Duaa Karunga Talat Ji Aapki Ammi Ko Jannat Naseeb Ho Thanks a lot Rishi Ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #28 on: February 26, 2010, 11:06:49 AM » |
|
bahut bahut ehasaas bhara kalaam hai Talat ji, hamesha ki tarah aapne behad acha likha hain. lines are filled with sadness,great dedication. Talat ji validain ki ahmiyat ahmiyat ke darje se bhi upar hai. aapki mummy ki aatma ko eeshwar shanti pradan karen. May her soul rest in peace God bless Sach kaha Kaash Ji...Walaidain jaisi nemat Khuda ka ek tohfa hai Insaan ke liye...Thanks for your prayers, Kaash Ji..
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Talat
Guest
|
|
«Reply #29 on: February 28, 2010, 01:48:51 PM » |
|
Zindagi mein kisi ki kami shayd kisi tarhaa.n bhi poori nahi ki ja sakti aur jahan lafz maa uske aage juR jaata ho to shayad phir saare alfaaz bhut kam aur bhut chote lagne lagte hain kuch bhi kehne ke liyn, ye wo rishta jo belos mohabbat ki ek aisi misaal hai jiski koi tashbeeh nahi, aapne apni is tehreer mai apne ehsaason ka bakhoobi izhaar kia hai, Allah se dua hai ki wo aapki ammi ko Jannat mai aala maraatba ata farmaaye aameen.
Sahi kaha aapne....Bohot bohot shukriya....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|