----- /// Mujhe tumse duur jaana hai /// -----

by ~Hriday~ on October 24, 2010, 09:49:14 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3490 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote


kabhi tum meri zindagi hua karti thi,
aaj jeene ke liye tumko hi bhoolana hai,
kabhi tumhaare kareeb aane ko tadapte the hum,
aaj khud se humein ladke tumse duur jaana hai,

sambhaala tha khud se jyaada tumhaare har cheez ko,
aaj mujhe tumhaari har nishaani ko mitaana hai,
likhe the kai geet tumhaare naam se kabhi,
aaj har geet se tumhaara naam mitaana hai,

tamanna hai meri ki mujhe ek baar fir se jeena hai,
tumhaari yaadon ko mitaa ke naya jahaan basaana hai,
kisi ki mohabbat me ek baar fir se behek jaana hai,
kisi ko apna banaake uske saath mujhe muskuraana hai,

ab nahi chaahta main rehna bandhke tumhaare yaadon se,
mujhe kisi bhi tarha khud ko azaad karaana hai,
bhoolaake tumhaare saath beete har lamhe ko,
mujhe ek naye sire se apne jeewan ko sajaana hai,

haan ab mujhe mere kisi apne ka saath nibhaana hai,
kisi ki sachchi mohabbat me ab mujhe mit jaana hai,
nahi seh sakta main ab dard bewafaai ka o sanam,
mujhe ab fir se sirf apne liye muskuraana hai,

haan mujhe ab firse is zindagi ko jeena hai,
kisi ka ban ke apna uski mohabbat me lut jana hai....


*****HRIDAY*****
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: October 25, 2010, 03:49:09 AM »
Reply with quote
ALL THE BEST KAPIL JI FOR UR EFFORTS AND BEST WISHES FOR UR NEW LIFE....
icon_flower love4 icon_flower  love4icon_flower love4 icon_flower  love4icon_flower
Haan sahi kaha tumne k ab tum sambhal gaye ho
Beete kal se ab tum aazaad ho gaye ho
Nai zindagi naya pyaar baahein failaye bula raha
Ab tumhe sab bhulke uske kareeb jana hai

Bht jee liye tum uske diye dard me tanhai me
Ab tumhe fir kisiko apne dil me basana hai
Bhulke apna pehle pehle pyaar ka jakhm
Tumhe fir se apne ruthe dil ko mananan hai

Saja k phool uski zulfon me ab tumhe ee mere dost
Sukha hua ye pyaar ka gulshan khilana hai
Sachche pyaar me khoke tumhe apne har dard bhulke
Apne jeewan sathi ka ab har rangeen sapna sajana hai…!!!
icon_flower love4 icon_flower  love4icon_flower love4 icon_flower  love4icon_flower
[/color][/b]
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: October 25, 2010, 06:29:14 AM »
Reply with quote
Thank you so much Kasak ji for your best wishes... bahut bahut shukriya ji... aur aapke wish karne ka tarika mujhe bahut bahut pasand aayaa... main aapka dil se shukriya adaa karta hoon...

main apne ansuon ko chhupaake use hasaane ki koshish karunga,
main sari duniyaa ko bhulaake use bepanah mohabbat karunga,

kya hua agar chot khai thi maine kabhi mohabbat me,
usko main kabhi us chot ka ehsaas na hone dunga,

main usko itna pyar dunga ki wo sochegi bas mere baare me,
ab main apni saari khushiyaan bas usi ke naam kar dunga,

aasan nahi hoga mujhse kisi aur ko chaahna bhoolaake kisiko,
par main mitaake puaarne har nishaani ko bas usse pyar karunga...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #3 on: October 25, 2010, 06:49:17 AM »
Reply with quote
most welcome kapil ji.......have a wonderful life ji.....all the best 1s again..bht acchha likha hai aapne bas yunhi karna bhi......
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: October 25, 2010, 06:57:11 AM »
Reply with quote
Thank you so much hai ji.. I will try my best....!!!
Logged
Intezar
Guest
«Reply #5 on: October 25, 2010, 07:20:04 PM »
Reply with quote
kisi ko bhulaane ka use ehsaas dilaane ka andaaz badhiya se likha hai Kapil bhai aapne.. bahut badhiya...

Intezar !
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #6 on: October 25, 2010, 07:58:04 PM »
Reply with quote

kabhi tum meri zindagi hua karti thi,
aaj jeene ke liye tumko hi bhoolana hai,
kabhi tumhaare kareeb aane ko tadapte the hum,
aaj khud se humein ladke tumse duur jaana hai,

sambhaala tha khud se jyaada tumhaare har cheez ko,
aaj mujhe tumhaari har nishaani ko mitaana hai,
likhe the kai geet tumhaare naam se kabhi,
aaj har geet se tumhaara naam mitaana hai,

tamanna hai meri ki mujhe ek baar fir se jeena hai,
tumhaari yaadon ko mitaa ke naya jahaan basaana hai,
kisi ki mohabbat me ek baar fir se behek jaana hai,
kisi ko apna banaake uske saath mujhe muskuraana hai,

ab nahi chaahta main rehna bandhke tumhaare yaadon se,
mujhe kisi bhi tarha khud ko azaad karaana hai,
bhoolaake tumhaare saath beete har lamhe ko,
mujhe ek naye sire se apne jeewan ko sajaana hai,

haan ab mujhe mere kisi apne ka saath nibhaana hai,
kisi ki sachchi mohabbat me ab mujhe mit jaana hai,
nahi seh sakta main ab dard bewafaai ka o sanam,
mujhe ab fir se sirf apne liye muskuraana hai,

haan mujhe ab firse is zindagi ko jeena hai,
kisi ka ban ke apna uski mohabbat me lut jana hai....


*****HRIDAY*****

kabhi tum meri zindagi hua karti thi,
aaj jeene ke liye tumko hi bhoolana hai,
kabhi tumhaare kareeb aane ko tadapte the hum,
aaj khud se humein ladke tumse duur jaana hai,

sambhaala tha khud se jyaada tumhaare har cheez ko,
aaj mujhe tumhaari har nishaani ko mitaana hai,
likhe the kai geet tumhaare naam se kabhi,
aaj har geet se tumhaara naam mitaana hai,

tamanna hai meri ki mujhe ek baar fir se jeena hai,
tumhaari yaadon ko mitaa ke naya jahaan basaana hai,
kisi ki mohabbat me ek baar fir se behek jaana hai,
kisi ko apna banaake uske saath mujhe muskuraana hai,

ab nahi chaahta main rehna bandhke tumhaare yaadon se,
mujhe kisi bhi tarha khud ko azaad karaana hai,
bhoolaake tumhaare saath beete har lamhe ko,
mujhe ek naye sire se apne jeewan ko sajaana hai,

haan ab mujhe mere kisi apne ka saath nibhaana hai,
kisi ki sachchi mohabbat me ab mujhe mit jaana hai,
nahi seh sakta main ab dard bewafaai ka o sanam,
mujhe ab fir se sirf apne liye muskuraana hai,

haan mujhe ab firse is zindagi ko jeena hai,
kisi ka ban ke apna uski mohabbat me lut jana hai....


*****HRIDAY*****



Bahut khoob likha hai kapil ji maaf kijiyega kuch likhna chahungi main bhi...


Kaise bhula doge tum merre pyar ko,
kyun todna chahte ho tum merre intezar ko,

pehle dil mein uthti thi kya vo tadap beimaani thi,
jo aaj bandhan ki khaatir thukra rahe ho merre aetbaar ko,

mita doge tum merre naam se saje geeto ko,
ye faisla kar beijazzat kiya hai tumne mhbt k iqtidar ko,

baate karte ho naya jahana basane ki sang kisi aur k muskurane ki,
merri kya galti thi jo maine lutaya tumpe apni chaht k khumaar ko,

tum tou saja loge naya aashiya kisi gair k sang..
main kaise bhulau us shaam,us raat aur hamari mhbt k us izhaar ko.........




iqtidar-power,taqat...


Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: October 26, 2010, 10:24:56 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Bhai...!!!

kisi ko bhulaane ka use ehsaas dilaane ka andaaz badhiya se likha hai Kapil bhai aapne.. bahut badhiya...

Intezar !
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: October 26, 2010, 10:28:04 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Geet ji aur bahut hi khoob likha hai aapne....  abhi kuch ban nahi paa raha to jawaab nahi likh raha hoon.. main jald hi koshish karunga iska jawaab likhne ka .. ek baar fir se main aapka tahe dil se shukriya karta hoon...!!!



Bahut khoob likha hai kapil ji maaf kijiyega kuch likhna chahungi main bhi...


Kaise bhula doge tum merre pyar ko,
kyun todna chahte ho tum merre intezar ko,

pehle dil mein uthti thi kya vo tadap beimaani thi,
jo aaj bandhan ki khaatir thukra rahe ho merre aetbaar ko,

mita doge tum merre naam se saje geeto ko,
ye faisla kar beijazzat kiya hai tumne mhbt k iqtidar ko,

baate karte ho naya jahana basane ki sang kisi aur k muskurane ki,
merri kya galti thi jo maine lutaya tumpe apni chaht k khumaar ko,

tum tou saja loge naya aashiya kisi gair k sang..
main kaise bhulau us shaam,us raat aur hamari mhbt k us izhaar ko.........




iqtidar-power,taqat...



Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #9 on: October 26, 2010, 11:16:47 AM »
Reply with quote
kya bat hai bahut bahut khoob kapil jii



sambhaala tha khud se jyaada tumhaare har cheez ko,
aaj mujhe tumhaari har nishaani ko mitaana hai,
likhe the kai geet tumhaare naam se kabhi,
aaj har geet se tumhaara naam mitaana hai,


*****HRIDAY*****

anu ji badhiya replyy maja ayaa...

ALL THE BEST KAPIL JI FOR UR EFFORTS AND BEST WISHES FOR UR NEW LIFE....
icon_flower love4 icon_flower  love4icon_flower love4 icon_flower  love4icon_flower

Saja k phool uski zulfon me ab tumhe ee mere dost
Sukha hua ye pyaar ka gulshan khilana hai
Sachche pyaar me khoke tumhe apne har dard bhulke
Apne jeewan sathi ka ab har rangeen sapna sajana hai…!!!
icon_flower love4 icon_flower  love4icon_flower love4 icon_flower  love4icon_flower
[/color][/b]


and geet di apne to teer par teer mare hain isme..wakai bahut badhiya hai~



Bahut khoob likha hai kapil ji maaf kijiyega kuch likhna chahungi main bhi...


Kaise bhula doge tum merre pyar ko,
kyun todna chahte ho tum merre intezar ko,

pehle dil mein uthti thi kya vo tadap beimaani thi,
jo aaj bandhan ki khaatir thukra rahe ho merre aetbaar ko,

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: October 27, 2010, 12:51:06 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Abhi ji...!!!

kya bat hai bahut bahut khoob kapil jii

anu ji badhiya replyy maja ayaa...


and geet di apne to teer par teer mare hain isme..wakai bahut badhiya hai~

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: October 27, 2010, 09:13:44 AM »
Reply with quote
maafi chaunga deri ke liye Geet ji... aaj koshish kar ke kuch likh hi liya.. ummeed hai aapko achchi lagegi...

kai saalon se main dekh raha hoon raah tumhaare aane ki,
ruka hoon bahut par ab mujhse aur intezaar nahi hota,

khaayen hain chot maine kai kai baar mohabbat mein,
shayad yahi wajah hai ki ab kisi pe aetbaar nahi hota,

reh reh ke utha_ta hai is dil me dard judaai ka,
shayad yahi wajah hai ki ab mera ikhtiyaar nahi hota,

bharosa uth chuka hai mera is jahaan me waado se,
ab achche to lagte hain log par kisi se pyar nahi hota...




Bahut khoob likha hai kapil ji maaf kijiyega kuch likhna chahungi main bhi...


Kaise bhula doge tum merre pyar ko,
kyun todna chahte ho tum merre intezar ko,

pehle dil mein uthti thi kya vo tadap beimaani thi,
jo aaj bandhan ki khaatir thukra rahe ho merre aetbaar ko,

mita doge tum merre naam se saje geeto ko,
ye faisla kar beijazzat kiya hai tumne mhbt k iqtidar ko,

baate karte ho naya jahana basane ki sang kisi aur k muskurane ki,
merri kya galti thi jo maine lutaya tumpe apni chaht k khumaar ko,

tum tou saja loge naya aashiya kisi gair k sang..
main kaise bhulau us shaam,us raat aur hamari mhbt k us izhaar ko.........




iqtidar-power,taqat...



Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #12 on: October 27, 2010, 09:18:22 AM »
Reply with quote


Bahut khoob likha hai kapil ji maaf kijiyega kuch likhna chahungi main bhi...


Kaise bhula doge tum merre pyar ko,
kyun todna chahte ho tum merre intezar ko,

pehle dil mein uthti thi kya vo tadap beimaani thi,
jo aaj bandhan ki khaatir thukra rahe ho merre aetbaar ko,

mita doge tum merre naam se saje geeto ko,
ye faisla kar beijazzat kiya hai tumne mhbt k iqtidar ko,

baate karte ho naya jahana basane ki sang kisi aur k muskurane ki,
merri kya galti thi jo maine lutaya tumpe apni chaht k khumaar ko,

tum tou saja loge naya aashiya kisi gair k sang..
main kaise bhulau us shaam,us raat aur hamari mhbt k us izhaar ko.........




iqtidar-power,taqat...




mastam mast reply geet ji bht mast......

maafi chaunga deri ke liye Geet ji... aaj koshish kar ke kuch likh hi liya.. ummeed hai aapko achchi lagegi...

kai saalon se main dekh raha hoon raah tumhaare aane ki,
ruka hoon bahut par ab mujhse aur intezaar nahi hota,

khaayen hain chot maine kai kai baar mohabbat mein,
shayad yahi wajah hai ki ab kisi pe aetbaar nahi hota,

reh reh ke utha_ta hai is dil me dard judaai ka,
shayad yahi wajah hai ki ab mera ikhtiyaar nahi hota,

bharosa uth chuka hai mera is jahaan me waado se,
ab achche to lagte hain log par kisi se pyar nahi hota...



equally beautiful reply kapil maza aagaya padhke
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: October 27, 2010, 09:21:31 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Kasak ji...!!!

mastam mast reply geet ji bht mast......

equally beautiful reply kapil maza aagaya padhke
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #14 on: October 27, 2010, 02:12:45 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley  Applause  Applause  Applause   Applause  Applause  Applause
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:27:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer