Mujhe wo bachpan yaad aata hai.
Naadan dil ka apnapan yaad aata hai.
Chote hote koi dar na tha rasm-o-riwajon ka,
Bekhauf har kisi ka pyar pana yaad aata hai.
Har rishta apna tha, paraya bhi hame dularta tha,
Pyar se sabka godi me uthana yaad aata hai.
Yaad hai mujhe chacha ka mere liye khilona car le kar aana,
Aur usme beith kar galiyon me ghoomna yaad aata hai.
Bua-chachi ka mere liye roj naye pakwan banana,
Bina bhukh ke bhi meri jeb bhar dena,
Unki pyar se khilaya har niwala yaad aata hai.
Dada-dadi ki kya kahun, main to unki aakhon ka tara tha.
Chori-chori dada ka mujhe kharchi dena yaad aata hai.
Yun to dadi sabka hi khayal rakhti thi, par mere liye alag se desi ghee ki pinni banana yaad aata hai.
Papa ne sikhaya mujhe ungli pakad kar chalna,
Aur meri galti par unkka mujhe daant lagana, aur phir bhag kar mummy ke piche chup jana yaad aata hai.
Jab bhi koi bade bujurg saamne aate to bhag kar unke pair choote the,
Aur unka hamare sir par pyar se haath rakhna yaad aata hai.
Sabse jyada yaad aata hai bachpan ke doston ka sath,
Mil kar galiyon me hud-dang machana yaad aata hai.
Sabhi tyohaar mil kar manate the hum,
Wo chowk me ikkathe ho kar masti karna yaad aata hai.
Waqt beetata gaya, hum bade hote gaye.
Jawani ki chakachondh ke piche chupa wo bachpan yaad aata hai.
Chote hote huye kya mauj thi hamari, ab to apno se mile jamana beet jata hai.
Wo bichade huye sab rishte yaad aate hain,
“RAAJ” Waqt ki aandhi me bhoola-bisra wo bachpan yaad aata hai.

Naadan dil ka apnapan yaad aata hai.